Saturday, May 24, 2014

ZAKAAT E AMAL KI QISME.N زکات ِعمل کی قسمیں (Method Of Zakat For Spiritual Spell)

          ZAKAAT  E AMAL KI QISMIEN

YE EK AISA RAAZ PINHA HAI JISSE HAZARO AMILEEN WAQIF
NAHIN SIRF KAMELEEN KE IRSHAD KE MUTABIQ AMAL KARTE
RAHE AUR USI KI TALEEM DUSRO KO DETE RAHE ZYADA SE ZYA-
DA KISI SAA’EL KE JAWAB ME YE FARMA DETE KE KISI AAYAT YA
ISM KI ZAKAAT SAWA LAAKH HAI JO 41 YAUM ME PURI KARNI
HAI-ISKE SIWA YE ILM NAHIN KE SAWA LAAKH KI TA’DAAD HAR
AAYAT YA ISM KI HAI AUR WO ZAKAAT KI QISMO ME SE KIS QI-
SM KI ZAKAAT HAI-AYA SAWA LAAKH KI ZAKAAT ADA KARNE KE
BAAD IS AMAL SE UMR BHAR KAAM LE SAKTE HAI YA WAQTI
TAUR PAR AGAR UMR BHAR KE LIYE AAMIL HO JAYEGA TO HAR
ROZ KISI MAKHSUS TA’DAAD ME PADHNE KI ZARURAT HAI YA
NAHIN-
·         QISM AWWAL:
 AAMIL APNE NAAM KE A’DAAD KE KE MUTAB-
IQ 41 YAUM ROZANA PADHE TO WO AMAL EK DAFA KAAM DE-
GA HAMESHA NAHIN-
·         QISM DOEM :
JO AMAL PADHNA HO USKE HURF KI TA’DAAD JI-
TNI HO UTNI HAZAAR MARTABA ROZANA 41 YAUM PADHE TO
HAMESHA KE LIYE AAMIL HO JAYEGA-AAMIL USKA SAIFE ZUB-
AN HO JATA HAI- PHIR WAQTE ZARURAT SIRF EK MARTABA PAD-
HNA KAAFI HOTA HAI –
·         QISM SOEM :
 AMAL KE JITNE HUROOF HO.N UTTNE SAU MARTABA
ROZANA PADHE YE ZAKAAT BHI EK HI BAAR KAAM DETI HAI-
MAGAR QISME AWWAL SE BEHTAR HAI –
·         QISME CHAHARAM:
ZAKAATE SAGEER AMAL KE ADAADE
QAMRI JITNE HO UTNE HI BAAR ROZANA PADHE- YE ZAKATE AMAL HAI
AUR MU’ATABAR BHI –
·         QISME PANJAM:
ZAKATE KABIR AMAL KE A’DAADE QAMRI
KO HURUFE AMAL SE ZARB DO AUR HASIL ZARB KO ROZANA
PADHO YE ZAKATE SAGEERA SE ZYADA QAVI HAI HAMESHA KE
LIYE AAMIL HO JAYEGA –
·         QISME SHASHAM:
 ZAKATE AKBAR AMALE KABIR KE A’DAAD
KO PHIR HUROOF KI TA’DAAD SE ZARB DEKAR ROZANA PADHE
YE KABEER SE BHI ZYADA QAVI HAI KE IS ISM KE MUVAKKIL SA-
MNE AKAR AAMIL SE MULAQAAT KARENGE –
·         QISM HAFTAM:
ZAKATE AKBA’ER AMALE AKBAR KI TA’DAAD
KO PHIR HUROOF KE A’DAAD SE ZARB DEKAR PADHE YE AKBAR
SE BHI ZYADA QAVI HAI IS ISM KE MUVAKKIL KHADIM HOKAR
HAR WAQT SAATH RAHENGE –
·         QISM HASHTAM:
ZAKATE AKBARUL KABA’ER YE AAKHRI ZAK-
AAT HAI YANI AMALE AKBAR KI TA;DAAD KO PHIR HUROOF KE
TA’DAAD SE ZARB DEKAR PADHE ISKO KABRIYAT YA LAAL SAPE-
ED KEHTE HAI –
NOTE:
 IN AQSAAM ME TA’DAADE AMAL KASEER HO JATI HAI
ISMAE BAARI TA’ALA KI TILAWAT TO MUMKIN HAI- MAGAR AA-
YATE QURANI KI ZAKATE SAGEERA BHI ADA KARNA MUMKIN
NAHIN ISKE LIYE AKABEREEN NE YE TAREEQA DARJ FARMAYA
HAI JIS KI PAANCH QISME HAI –
·         QISME AWWAL ASHR:
NISAAB KI NASF TA’DAAD KO KEHTE HAI -
·         QISME DOEM DAURE MUDAWAR:
DUR E MADUR ASHR KE NISF KO KEHTE HAIN-
·         QISME SOEM QAFL:
DUR E MADUR KE NISF KO KEHTE HAI -
·         QISME CHAHARAM BAZAL:
QAFL KE NISF KO KEHTE HAIN
·         QISME PANJAM KHATAM:
BADDAL KE NASF KO KEHTE HAI –
BILKUL MAMULI TAREEQA ME ZAKAAT KI QISME AUR BHI HAI
MAGAR INME YE KHATRA REHTA HAI KE AMAL KABHI FAYEDA KARTA HAI KABHI NAHIN YA SIRF EK DAFA HI AMAL KAAM DETA HAI-HAA YE EK FAYEDA YAQEENAN HAIKE KISI AMAL KE A’DAAD
ITNE ZYADA HAI KE ZAKAATE SAGEERA HI ADA KARNA MUSHKIL
HOTO WAHAN YE TAREEQA KAAM DE GA –
·         ASGAR:
YANI TA’DAADE SAGEERA KA NASF KARKE PADHE US
KO ASGAR KEHTE HAI –
·         SAGA’ER:
AGAR ASGAR KI TA’DAAD BHI PADHNA DUSHWAAR
HOTO ASGAR KA NISF KARKE PADHE USKO SAGA’ER KEHTE HAI
·         ASGARUS SAGA’ER:
 SAGA’ER KE NASF KO ASGARUS SAGA’ER KEHTE HAI –
YE ZAKAAT KI ADNA QISM HAI ISSE KAMTAR NAHIN WALLLAH
SUBHANA TA’ALA A’LAM (KAASHIFUL ASRAAR SHAREEF) ZAKA-
TE KABEERA AUR ZAKATE AKBAR KABA’ER AUR AKBARUL KAB-
A’ER IN AQSAAM KE LIYE YE ZARURI NAHIIN KE EK NASHIST ME
YE TA’DAAD PURI KI JAYE YA HAR ROZ ITNI TA’DAAD ME AMAL
PADHA JAYE BALKE 41 SE TAQSEEM KARKE HASILE ADAD KE
MUTABIQ 41 DIN YE TA’DAAD KO PURA KIYA JA SAKTA HAI- 

ZAKAAT E AMAL KE SILSILE ME MAZKOORAH BALA SATOOR APNE ANDAR EK JAMIYAT RAKHTA HAI JISSE AMILEEN HAZRAT KO APNE APNE QAWAYE BAATNI KE LIHAZ SE KISI EK TARIQAYE ZAKAAT KE INTEKHAB ME MUKAMMAL RAHNUMAI MILEGI ,HUMARE IDARE SE MUNSALIK AAMILEEN AUR AHBAB O MUTALLIQEEN KI MAZID ASANI KI KHATIR INSHA ALLAH ZAKAT KI HAR EK QISM KO ASMAYE ILAHI YA AYATE QURA’ANI SE TAMSILAN SAMJHAYA JAYEGA JISSE JISI BHI AMAL KI SAHEEH TADAD E ZAKAAT MALOOM KARNA MAZID ASAN HOJAYEGA     

 



Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668