Saturday, June 7, 2014

AMLIYAAT BARAYE TASARRUFAAT O KASHF O KARAMAAT عملیات برائے تصرفات و کشف و کرامات ( Practices For Miracle, Third Eye And Possession )










    AMALIYAAT BARAYE KASHF O KARAMAAT
(ALIF)
اَجِب یا اِسرَا فِیلُ بَحَقِّ اَلفِ یاَ اَللّٰہُ الحَمُودُ فیِ کُلِّ فَعّا لِہِ یاَ اللّٰہُ۔
AUAR AGAR FA’ALIHI KE FA KO FATAH KE SAATH PADH TO TAMAM AF’AALE HASNA USKO HASIL HONGE MUJSTAJABUDDA’WAAT HOGA-YAHAN TAK KE PAANI KE LIYE DUA KAREGA PAANI BARSEGA AUR KISI MUSALMAN KI TARAQQI DARJAAT KELIYE DUA KAREGA-TARAQQI HOGI AUR KISI DUSHMAN KI HAZIMAT CHAHEGA HAZIMAT HOGI- AGAR FI’AALIHI KE FA KO KASRA KE SAATH PADHE TO DUSHMAN HALAAK HO MAGAR DUSHMAN HAQ PAR HAI TO RAJ’AT HO AUR KHUD KO NUQSAN PAHUNCHE BEHTAR HAI KE FA KO FATAH KE SAATH PADHE-HAR MAQSAD HASIL HO AUR ROZANA KE PESH AANE WALE WAQEAT DIKHAYE YA BATA DIYE JATE HAIN-HAR ROZ 382 BAAR YA 11 BAAR YA 66 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR-
(BAA)
اَجِب یاَ جِبرَا ئیلُ با یا بارُّ فَلاَ شیء کُفُوہُ یُدَا نِیہِ وَلاَِ امْکاَنَا لِوَصْفِہ ٖیاَباَرُّ۔
AGAR BAARRU KE RA PAR DHAMMA AUR LIWASFIHEE  KI HA KO KASRA KE SAATH PADHE DIL USKA MUSAFFA AAINE KI MISL HO HAQ TA’ALA KE JALWE DEKHE JASAKE AUR FISQ O FUJUR SE BAAZ  RAHE-AUR SIFAATE MILKI SE MAUSOOF HO AUR KISI SAHIBE AMAL KE CHEHRE PAR NAZAR DALE USKE DIL ME IBRAT PAIDA HO AUR KABHI BURAI AUR MAASIAT  KE QAREEB NA BHATKE AUR AGAR YA BAARRA PADHE YANI RA PAR FATAH  AUR LIWASFIH YANI HAA PAR JAZAM TO JIS SHEHER YA QASBA YA GAON ME SAHIBE AMAL PADHEGA WO JAGAH WEERAAN BARBAD HO JAYE AUR TAMAM DARAKHT AUR PHAL AUR BAGAAT KHUSHK HO JAYE-HAR ROZ 247 BAAR YA 203 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALOAAKHIR DARUD SHAREEF 3 BAAR-
(JEEM)
اَجِبْ یاَکلْکاَئیِْلُ بَحَقِّ جِْیم یاَ جَلِیْلُ الْمُتَکَبِّرُعَنْ کُلِّ شَیْ ءٍ فالْعَدْلُ اَمْرُہُ وَالصِّْدقُ وْعدُہُ یاَجلِیْلُ۔
YA JALEEL LAAM PAR DHAMMA  SIDQ BAGAIR LAAM ALIF AUR WA’DUHU DAAL MUAJJMAH PADHE TO JO KUCH ZAMEEN KE SAATO TABAQ KE NEECHE HAI-AAMIL PAR ZAHIR HO AGAR JALEELA YANI LAAM PAR FATAH AUR LISIDQU LAAM ALIF KE SAATH AUR WA’DUHU DAAL MUHMALA KE SAATH PADHE AAMIL HONE KE BAAD 41 BAAR PADHE AUR APNE UPAR DUM KARLE KHALA’IQ KI NAZAR SE GAYAB HO AUR JAB CHAHE KE ZAHIR HO TO PEHLE TAREEQE SE PADHE TO KHALQ ME ZAHIR HO JAYEGA-HAR ROZ 142 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 9 BAAR –
(DAAL)
 اَجِبْ یاَ دَرْدَاءِیْلُ بَحَقِّ داَلْ یاَ دَاءِمُ بِلاَ فَناَءٍ وَّلَ زَوَالَ لِمُلکِہٖ وَبَقَاءِہٖ یاَ دَاءِمُ
AGAR FANAA’E HUMZA  KO KASRA KE SAATH  PADHE TO TAMAM ALAM ZAHIRI  W BATINI USKO FANA DIKHAYI DE SAALIK KA MARTABA HASIL HO-HAR ROZ 250 BAAR YA 46 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWAL O AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR –
(HAA)
اَجِبْ یاَدُوْرَیاَ ءِیْلُ بَحَقِّ ہاَدِیْ اَنْتَ اللّٰہُ الَّذِیْ لاَ تَھْتَدِی الْعُقُوْ لُ لِوَصْفِ عَظْمَتِہٖ یاَھاَدِیْ اِھْدِناَالصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَ۔
ISKA AAMIL ANDHERE ME USI TARAH DEKHTA HAI JIS TARAH ROSHNI ME DEKHTA HAI NA DARYA ME DOOBE NA JUNGLE ME HALAAK HO,DARIYAI JANWAR YA JUNGLE KE WEHSHI USKE MUT’EE HO,SAANP BICHCHU USKE HUKM PAR AMAL KARE-BE DEENI GUMRAHI FISQO FUJUR AUR MAASIYAT KI TARIKIYON ME KABHI NA BHATKEGA AUR JIS BEDEEN BAD MAZHAB YA FASIQO FAAJIR KO NEKI KI TALQEEN KARE WO AZBAS USKE HUKM KI TA’MEEL KARE AUR HAR BURAI SE TA’EB HO-AWWALO AAKHI DARUD SHAREEF 21 BAAR HAR ROZ 262 YA 20 BAAR-ROZANA 762 BAR YA 19 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 9 BA-
(WAAU)
اَجِبْ یاَرَفْتَماَءِیلُ بَحَقِّ واو یاَوَاحِدُالْباَقِیُ اَوَّلُ کُلِّ شَیْءٍ وَاٰخِرُہُ لَیْسَ کَمَثَلِہٖ یاَ وَاحِدُ۔
 AGAR AWWALA YANI LAAM KO FATAH PADHE TO AAMIL KOIBTEDA E AAFRINSH SE FANAH KE ALAM TAK KA ILM HO AUR US PAR KUCH BHI MAKHFEE NA RAHE AUR AWWALU YANI LAAM PAR DHAMMAH AUR AAKHARAHU KHA KO FATAH KE SAATH PADHE  TAMAM KHALQ MUSAKHAR HO AUR SAB USKI ITA’AT KARE AGAR ISKE AAMIL KA SHIEKH YANI PEER ALIM BA AMAL MUTTAQI HAI TO USKA MUWAKKIL USKE PEER KI SHAKL ME HAZIR  HO AUR JAYEZ KHWAHISH BAGAIR KAHE PURI KARE  SAAT QALANDAR JO IS ALAM ME HAI HAZIR HOKAR FARMA BARDARI KA WADA KARE  AUR AGAR HAA PAR FATAH  PADHE TO ARWAAH  E AALAM SAHIBE AMAL KE RUBARU HOKAR APNA HAAL BAYAN KARE-AUR AAMIL JIS MISHKIL MUHIM SE UNSE MADAD CHAHE MADAD KARE-HAR ROZ 822 BAAR YA 38 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO  AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR –
(ZAA)
 اَجِبْ یاَشَرْفاَءِیْلُ بِحَقِّ زَا یاَزَکِیُّ الطّاھِرُ مِنْ کُلِّ اٰ فَتہٍ بِقُدْسِہٖ یاَزَا کِیْ
ISKA AAMIL JIS MAREEZ KO BANIYATE SEHAT O AAFIYAT DEKHE GA-KHUDA KE FAZLO KARAM SE WO MARZ JATA RAHEGA-JISKO TA’WEEZ DEGA MUASSAR HOGA AUR TAMAM QAUL O FEYL USKE  DURUST HONGE-AGAR(LAAHAYYI) YA KO KASRA  KE SAATH PADHEGA TO MAKASHFA HO AUR TAMAM ARWAHE ALAM KA MO’AINA KAREGA –HAR ROZ 590 BAAR YA 18 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREF 18 BAAR –
(H’AA)
اَجِبْ یا تنکفیل بحق حا یا حَیُّ حِیْنَ لاَ حَیَّ فیِْ دیَمُْوْ مَتہِ مُْلْکِہٖ وَبَقاَءِہٖ یاَحَیُّ
ISKA AAMIL PAAK BATIN AUR BUGHZ O KEENA,HASAD,ZULM JOR AUR GUNAHE KABEERA SAGEERA SE MEHFUZ REHTA HAI-NA KISI BAD BATIN BAD KIRDAR SE KABHI SADMA PAHUNCHE AUR JISKO NAZAR BHAR KAR DEKHLE TAA’BE HOKAR PARHEZGAR BAN JAYEGA AUR KABHI USKI ITA’AT SE MUNH NA PHEREGA HAR ROZ 215 BAAR YA 143 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWAL O AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR
(TUA)
اَجِبْ یاَاِسْمَا ءِیْلَ بَحَقِّ طاَیاَ طاَھِرُ اَلْمُطَہِّرُالنُّفُوْسَ مِنَ الرِّجْسِ وَالذَّنْبِ وَاْلجَوَارِ وَاْلکُرْ بَتہٖ وَاْلاٰ فَتہٖ وَاْلبَلَا ءِ یاَ طاَھِرُ ۔
ISKA AAMIL PAAK BATIN BUGHZ O HASAD O KINA ,ZULM O JOR O TASHADDUD AUR HAR SAGHIRA KABEERA GUNAHO SE MEHFOOZ RAHTA HAI NA KISI BAD BAATIN BAD KIRDAAR SE KABHI SADMA PONCHE AUR JISKO NAZAR BHAR DEKH LE WHO TAABE HOKAR FARMA BARDAAR BAN JAYE AUR KABHI ISKI ITA’AT SE MUNH NA PHERE ROZANA 215 YA 143 YA 7 BAR WIRD ME RAKHE AWAL O AAKHIR DURUD SHAREEF 7 BAR
(YAA)
اَجِبْ یاَسر کیتا ءِیل بَحَقِّ یاَ یُحْیِ وَیُمِیْتُ وَھُوَ حَیٌّ لاَےَمُوْتُ اَبَدًا اَبَدًا ذُوالْجَلَال
وَالْاِکْرَامِ بِیَدِہِ الْخَیْرُوَھُوَعَلیٰ کُلِّ شَیْءٍ قَدِیْرٌ
ISKE AAMIL KI AANKH ME TASKHEER O JALAAL PAIDA HO CHEHRE PAR AZMATO BUZURGI AUR HAIBATE HAQ ZAHIR HO JISKO BANAZRE GAZAB DEKHLE  MURDA NAZAR AYE AUR MURDA DIL AUR BIMAR KO BANAZRE SHAFQAT O REHMAT DEKHE SHIFAYAAB HO-MURDA QALB ZINDA HO AUR NEK A’MAAL KI TARAF MAYEL HO-HAR ROZ 732 BAAR YA 38 BAAR BAMAJBURI 9 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 9 BAAR –
(KAAF)
 اَجِبْ یاَ حَرُوْذَ اءِیْلُ بَحَقِّ کاَفْ یاَکاَفی اَلْمُوْسِعُ لِماَ خُلِقَ لَہُ مِنْ عَطاَیاَ فَضْلِہٖ یاَ کاَفیِْ۔

ISKE AAMIL KO SAANP,BICHCHU DARINDA KOI BHI NUQSAN NA POHNCHA SAKE SAKE AUR INME SE KISI JANWAR KO DEKHE AUR USKE HAMLA KA ANDESHA HO YA SAANP BICHCHU KISI KO KAATLE  TO ISKE AAMIL KA NAAM LEKAR QASAM DENE SE ZEHER KHATAM HOJAYE AUR HAMLA KARNE WALA PALAT KAR BHAAG JAYE-AGAR (ALMOOSAU)SEEN KO FATAH SE PADHE TO KHUDA TAALA USKO GAIB SE RIZQ ATA FARMAYE AUR DIL KO GANI KARE-AUR KABHI MAKHLUQ KA MOHTAJ NAHO-HAR ROZ 263 BAAR YA 111 BAAR BAMAJBURI 8 BAAR AWWALI AAKHIR DARUD SHAREEF 11 BAAR –
(LAAM)
اَجِبْ یاَطاَطاَءِیْلُ بَحَقِّ لَامْ یاَلطِیْفُ بِاَوْصاَفِ کَمَا لِہٖ باِالَّطاَ فَتہٖ وَالَّطاَ فَتہُ فِیْ لَطاَ فَتہٖ لَطاَ فَتِکَ یاَلَطِیْفُ
SAAT HAZAAR BAAR SAAT YAUM BAAD 129 BAAR-ISKI ROZANA KI ZINDAGI HAMESHA KHUDA KE LUTF O KARAM ME BASAR HOJO BHI AAMIL KE PAAS AYE USKE QALB KA HAAL IS TARAH DEKHE JAISE AAINA ME APNE AKS DEKHTA HAI-JISKI QABR PAR JAYE AANKH BAND KARKE TAWAJJA KARE-CHAND BAAR HI PADHE SAHIBE QABR KA HAAL DEKHE AUR BAAT KARE AUR AHLE QABR KE DOST AUR RISHTEDAR KE MUTALLIQ JO KAHE WO USKO ANJAM DE AGAR AHLE QABR WALI ALLAH HAI TO KISI BHI MUSALMAN KE LAYE SAWAAL KARE PURA HO-HAR ROZ 129 BAAR YA 61 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR –
(MEE)
اَجِِبْ رُوْیاَءِیْلَ بَحَقِّ مِیْم یاَمَنَّانُ ذُوالِْحْسانِِ قَدْعَمَّ کُلَّ اْلخَلَاءِقِ مَنُّہُ یاَمَنَّانُ۔
ISKA AAMIL KHUD AKSEER BAN JATA HAI ASKE AMIL KEPAAS EK MARD AALAM E  GHAIB SE ATA HAI AUR WHO ILM SIKHATA HAI JIS PATHAR PAR NAZAR DALE WHO SONA BAN JAYE AGAR MANNUHU MEEM PAR DHAMMAH PARHE AUR KHALIS ALLAH KE ZIKR KE LIYE IS ME MASHGHOOL HO TO EK SHAKS AALAM E KEEMIYAH SE ZAAHIR HO AUR USKI SIRF EK NAZAR FAIZ E ASAR SE ISKA AAMIL SAAHIBE IRFAAN O IQAAN HO HAR ROZ 208 BAR YA 141 BAR BAMAJBOORI 7 BAR AWAL O AAKHI DUROOD SHAREEF 7 BAR
(NOON)
 اَجِبْ یاَ حَوْ لاَ ءِیْلُ بَحَقِّ نُوْن یاَ نَقِیُّ مِنْ کُلِّ جَوْ رٍ لَمْ ےَرْ ضَہْ وَلَمْ یُخاَ لِطْہُ فِعاَ لُہُ یاَ نَقِیُّ۔
ISKE ZAKIR KO ALAM ME TASARRUF KI QUDRAT HASIL HO JISKE LIYE JO CHAHE WOHI HO-AGAR(FI’AALUHU YA NAQIYYAA) YANI FATAH KE SAATH PADHE TO AAMIL JIS KISI KO KISI AMAL KI IJAZAT DE WOHI TASEER HASIL HO AUR AAMIL KE SAMNE JISKA NAAM LIYA JAYE USKI HAQEEQAT KI TASWEER BANKAR SAMNE DIKHAIDE-AUR AGAR (FA’AALAHU TA NAQIYYA) YANI FA KO KASRA KE SAATH AUR LAAM KO FATAH KE SAATH AUR NAQIYYA KI YA KO BAGAIR TASHDEED KE PADHE AUR USKI 70 KHILWATE KAREHAR HAFTA ME EK NAYA ASRAAR ZAHIR HO AUR 21 HAFTO.N KE BAAD AALAM HEEMYA KA ZAHOOR HO KAR USKE TAHTO  TASARRUF ME AYE-SARAE BATIN BHI AISE HI MA’MOOR O AABAD HO JAISE SARAE ZAHIRI MAGAR SARAE BATIN ME ARWAAHE  ANMBIYA ALAIHIS SALAAM SIDDIQEEN SHOHDA SALEHEEN JALWA FARMAYE JIN KI ZIYARAT SE MUSHARRAF HO AUR JISE CHAHE DEKH SAKEGA-HAR ROZ 160 BAAR YA 86 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR SARUD SHAREEF 7 BAAR –
(SEEN)
 اجب یا ھمواکیل بحق سین سُبْحانَکَ یاَ اِلٰہَ اٰلاٰ لِھَتہِ الرَّضِیْعُ جَلَا لَتہَ یاَ اِلٰہُ
IS KE AAMIL PAR MAARFAT KA DARWAZA KHUL JAYEGA AUR SAABIT QADMI MEYASSAR HOGI AGAR(ARRAAFEEA JALAALAHU)YANI AIN KO KASRA AUR LAHU KE LAAM KO DHAMMAH  KE SAATH PADHE TO USKA SAMR BAYAN KARNE KI TAAQAT ZUBANO QALAM ME NAHIN AAMIL KHUD DEKHEGA-AGAR AAIN KO FATAH  AUR LIHI KE LAAM AUR HA KO KASRA KE SAATH PADHE TO AAMIL JISKE LIYE CHAND BAAR PADHE HILAAK O BARBAAD HO –MAGAR MU-SALMAN KE WASTE BARBADI YA NUQSAN KA AMAL JAYEZ NAHIN ALBATTA BAD MAZHAB KO NUQSAN PAHUNCHA SAKTA HAI HAR ROZ 141 BAAR YA 112 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWAL O AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR –
(A’IN)
 اجب یا لوما ئیل بحق عین یا عَلَّامِ اْلغُیُبِْ فَلاَ یَفُوْتُ شَئٌ مِنْ حِفْظِہٖ یاَعَلَّامُ 
ISKA AAMIL TAMAM ULOOME ZAHIRI KA HAFIZ HO AUR ULOOME BATIN YANI LOHE MEHFUZ ISMAE AZAM KI BARKAT SE IS PAR MUNKASHIF HO AUR AAMIL APNI NAZAR SE DEKHE-HAR ROZ 141 BAAR YA 128 BAAR YA 7 BAAR AWWALO AAKHIR DURUD SHAREEF 7 BAAR –
(FA)
 اَجِبْ یاَسَرْ حَماَ کِیْلُ بَحقِّ فاَیاَ فَتاَّحُ اْفتَحْ لِیْ اَبْوَابَ رَحْمَتِکَ یاَرَحِیْمُ وَ رِزْ قِکَ یاَ رَزَّاقُ وَکَرْمِکَ یاَکَرِیْمُ وَنِعْمَتِکَ یاَ مُنْعِمُ اَسْءَلُکَ یاَفَتاَّحُ
ISKA AAMIL KITNA HI LACHAR MAJBOOR,HALAAL ROZI SE MAYOUS HO JAB APNE BEGANO SE MUNH MOD LIYA HO KAMZOR BIMAR HO-KOI SAHARA NA HO MAGAR ALLAH TA’ALA APNE KHAWANE KARAM KA EK HISSA USEY ATA FARMAYE-JAB KE USKE KHAWANE KARAM KA EK ZARRAH SAARI DUNIYA KI NEMATE HAIN BUS APNE SEENE KO HASAD SE MEHFUZ RAKHE AUR ALLAH KI NEMAT O LUTF ANDOZ HO HAR ROZ 489 BAAR YA 369 BAAR BA-MAJBURI 8 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 41 BAAR-
(SAAD)
اَجِبْ یاَاَھْجَماَ ءِیْلُ بِحَقِّ صاَد یاَصَمَدُ مِنْ غَیْرِ شِبْہٍ فَلاَ شَیْءَ کَمِثْلِہٖ یاَصَمَدُ
ISKA AAMIL HAR SHAKHS KE MAFIZZAMEER SE WAQIF HO JATA HAI-KHWA WO KISI BHI ZUBAN ME BAAT KARE AUR TAMAM  JANWARON KI BOLIYO.N SE AAGAH HO AUR TAMAM ASMAE SIFAAT PAR TASARRUF HASIL HO AGAR(KAMISLUHU)KE LAAM  AUR HA KO DHAMMAH KE SAATH PADHE TO APNI SURAT ME TAMAM ALAM KO DEKHE TAJALLIYE ZAAT IS PAR ZAHIR HO-HAR ROZ  134 BAAR YA 91 BAAR BAMAJBURI 8 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 9 BAAR –
(QAAF)
اَجِبْ یاَعِطْرَاءِیْلُ بحق ق یاَقَاھِرُ ذُالْبَطَشِ الشَّدِیْدِ اَنْتَ الَّذیْ لَا یُطاَقُ اِنْتِقاَ مُہُ یاَقاَھِرُ
ISKE AAMIL KO DEENI W DUNYAVI TAMAM KAAMO.N ME TARAQQI HOGI-HAR MUSHKIL KAAM QUDRATE KHUDA SE ANJAAM PAYEGA JISKO SHAFQAT O RAHMAT KI NAZAR SE DEKHEGA WO BHI INAYAT  E RAB SE NAWAZA JAYEGA-AGAR(QAAHIRO)ALIF KO HA SE MUTASSIL PADHE TO JISKO CHAHE ZER O ZABAR KARDE AGAR EK HAFTA  KO DO PURANI QABRON KE DARMIYAN EHRAAM BANDH KAR NANGE SAR 306 BAAR PADHE JIS KE LIYE PADHE AGAR USKO ZARD TASAWUR KARE TO BIMAR HO AUR SURKH TASAWUR KARE TO HALAK HO-HAR ROZ 321 BAAR YA 306 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 21 BAAR-
(RAA)
 اَجِبْ یاَاَمْوَاکِیْلُ بِحَقِّ را یاَرَحِیْمُ کُلِّ صَرِیْخٍ وَمَکْرُوْبٍ غِیاَ ثُہُ وَمَعاَذُہُ یاَرَحِیْمُ
ISKA AAMIL ISHQE ILAHI SE SARSHAR HO HAR SHAY ME HAQ SUBHANA TA’ALA KE JALWE DEKHE-AGAR (GIYASUHU)FATAH KE  SAATH RAHEEMA MEEM FATAH SE PADHE TO DUNIYA W UQBA ME KOI AISI BAAT NA PESH AYE JO RANJO GUM TAKLEEFO MUSIBAT KA SABAB BANE BALKE JAB YE GUMAN HO KE FALAA MUSIBAT AANE WALI HAI YA FALAA TIJARAT ME NUQSAN HONE WALA HAI IS DUA KO PADHE ISSE MEHFUZ RAHE BALKE WAHM O GUMAN  SE ZYADA NAFA HO-ROZANA 258  BAAR YA 108 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF11BAR-
(SHEEN)
اَجِبْ یَاھَمْزَائیِل بَحَقِّ شِینْ یَا شَافی یَا شَافیَ الْاَمْراضِ وَنُنَزِّ لُ مِنَ الْقّرآنِ مَا ھُوَ شِفَاء وَ رَحْمَۃُالّلموء منین صَدَقْتَ یاَ شَا فی
ISKA AAMIL SIWAYE MAUT KE HAR MARZ KI SHIFA BAN JAYE-JIS PAR TEEN BAAR PADHKAR DUM KARDE MARZ DAFA HO-USKE PAAS MARIZON KA HUJOOM RAHE AUR KOI MAYUS NA PHIRE
AGAR HAMESHA DEKHKAR PADHE NIGAAH ME YE TASEER PAIDA HO JAYE KE SIRF NAZAR BHARKE DEKHNE HI SE MARZ JATA RAHE –AGAR 7 BAAR ROZANA LIKHTA RAHE TO QALAM ME YE ASAR PAIDA HO JAYE KE JISKO BHI JO NUSKHA LIKHDE  TEER BAHIDAF SABIT HO JISKO YE ISM YA SHEEN LIKHKAR DE DE MAREEZ SHIFAYAB HO-HAR ROZ 391 BAAR YA SIRF 94 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 7 BAAR –
(TAA)
 اَجِبْ یاَھَمْزاءِیْلُ بَحَقِّ تاَیاَ تاَمُّ فَلاَ تَصِف الُالسنُ کُلُّ کُنْہِ جَلاَلِمُلْکِہٖ وَعِذِّہٖ یاَ تاَمُّ
ISKA AAMIL MAQBULE AWAM O KHWAAS HO JATA HAI-AMRA O SALATEEN USKE TABE AUR FARMABARDAR HO AUR WO MAQAAM MILE JO US MULK KE BADSHAH YA SADAR YA WAZIRE AZAM KO MAQAAM HASIL HOTA HAI AGAR TAAM KE MEEM AUR SANA KE NUN W SEEN KO FATAH SE PADHE TO WO AISA BADSHAH YA SADAR MIMLIKAT HO KE NA JISKI HUKUMAT NA SIRF INSANON KE ZUBAN PAR HO BALKE DILON PAR BHI HUKUMAT KARE USKI AQLEEM KI ZAHIRI W BATINI DAULAT KI KASRAT HO KE JISKO CHAHE ATA KARE-HAR ROZ 441 BAAR BAMAJBURI 56 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 11 BAAR –
(THAA)
اَجِبْ یاَ مِیْکاَ ءِیْلُ بَحَقِّ ثاَیاَ ثاَبِتُ رَبَّناَ اَفَرِغْ عَلَیْناَصَبْرًاوَّ ثَبِّتْ اَقْدَا مَناَوَالنْصُرْناَ عَلیَ اْلقَوْ مِ اْلکٰفِرِیْنَ یاَ ثاَبِتُ

ISKA AAMIL AISI RUHANI QUWAT APNE ANDAR PATA HAI-JISSE WO KHUD HAIRAN HOTA HAI KE AISA KYUN HUA KAISE HO GAYA-KISI DOOR KI CHEEZ KO UTHANA CHAHTA HO TO WO QAREEB HOJATI HAI DOOR JANA HO TO RAASTA SIMAT KAR QAREEB HO JATA HAI-GHANTON KA RAASTA MINTON ME TAE HO JATA HAI HUMRAHI BHI HAIRAN HOTE HAI AUR KHUD BHI TAJJUB ME REHTA HAI-JISMANI AITBAAR SE WO KITNA HI KAMZOR HO US ME RUHANI QUWAT ITNI HOTI HAI KE USKE KAAM KO DEKH KAR DUNIYA HAIRAN HOTI HAI-ISKA AAMIL MUSTAKIL MIZAAJ DARGUZAR KARNE WALA HOTA HAI MAGAR WAQT ZARURAT SAINKDON KE MUQABLE SE NA DARTA HAI NA BHAAGTA HAI NA DUSHMAN KE WAAR US PAR ASAR KARTE HAI-ROZ BAAD NAMAZ ZOHAR YA BAAD MAGRIB 903 BAAR BAMAJBURI 80 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 21 BAAR YA 3 BAAR-
(KHAA)    
 اَجِبْ یاَمِھْکاَءِیْلُ بِحَقِّ خاَیاَ خاَلِقُ مَنْ فِیْ السَّمٰوَاتِ وَاْلارَْضِ کُلأ اِلَیہِ مَعاَدُہُ یاَخاَلِقُ  
IS KE AAMIL KO MAAFIL ARHAAM HASIL HO JATA HAI KE BACHCHA MAA KE PET ME KIS TARAH PARWARISH  PATA HAI-KIS TARAH GOSHT POSHT,HADDIYAN BANTI AUR SANWARTI HAI-KIS TARAH RUH JISM ME DAKHIL HOTI HAI-REHEM  ME NAR HAI YA MAADA AUR USKI SAKL O HEIYAT O HAQEEQAT KYA HAI UMR KYA HAI BADA HOKAR KYA KAREGA- AGAR KHAALIQ KE QAAF KO FATAH  KULLU KE LAAM KO DHAMMAH BAGAIR TANWEEN AUR MA’AADAHU KE DAL KO FATAH KE SAATH PADHE TAMAM JAMADAAT,MADNIYAAT KA ILM HASIL HO,KIS ZAMEEN ME KAUNSI ASHYAA ME-KITNI QEEMTI HAI-IS ZAMEEN SE KAUNSA DARAKHT PAIDA HOGA WO US DARAKHT KI MAHIYAT SE WAQIF HOGA JO BAGAIR BEEJ KE UGEGA-HAR ROZ BAAD NAMAZ TAHAJJUD YANI QABL FAJR BAMAJBURI BAAD NAMAZE FAJR 731 BAAR BAMAJBURI 57 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEFEK BAAR
(ZAAL)
 اَجِبْ یاَاھرا ئیلُ بحق ذال یا ذَاْلجَلَاوَاْل اِکْرامِ ذَالْبَطْشِ الشَّدِیْدِ اَنْتَ الَّذِیْ لاَ یُطاَقُ اِنْتِقاَمِہٖ یاَذَاْلجَلَالِ وَالْ اِکْرام
ISKA AAMIL IZZATO AZMAT BUZURGI ME WO MAQAM HASIL KAR LETA HAI JO AMEERO KABEER HAAKIM WAZIR JIS KE LIYE RAAT DIN SARGARDA.N REHTE HAI BALKE ISKE AAMIL KE HUZOOR ZAANUE ADAB KARTE NAZAR ATE HAI USKI HUKUMAT KA SIKKA JIN W INS,WAHUSHO TIYOOR,KE QULOOB PAR CHALTA HAI-HAR ROZ 731 BAAR YA 248 BAAR YA 85 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 41 BAAR –
(ZUAD)
اجب یا عطکا ئیلُ بحق ضا دیا ضارُّ لاَ ےَضُرُّ مَعَ اِسْمِہٖ شَیْ ءٌ فی اْل ارْضِ وَلاَ فی الْسَّمَآ ءِ وَھُوَالسَّمِیْعُ الْعَلِیْمُ یاَضَارُّ
ISKA AAMIL DUSRE KO NUQSAN PAHUNCHANE SE APNE KO BACHAYE RAKHE TO SHER USKI SAWARI ME RAHE-SAANP KO HAATH ME MISL KODE KE PAKDE-WHO ZEHRILE BICHCHU JINKE KATE SE MAUT WAQAE HO JAYE BEZARAR SHAY HO,GARZ ZEHREELI SHAI AUR HAR ZEHREELA JANWAR AUR HAR DARINDA SIFAT INSAAN KHWAAN WO AFSAR HO YA HAKIM WAGAIRA KABHI ZARAR W NUQSAN NA PAHUNCHA SAKE-HAR ROZ 110 BAAR YA 805 BAAR YA 141 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DURUD SHAREEF 7 BAAR –
(ZHO)
اجب یا لو زائیل بحق ظایا ظاَھِرُ سُبْحانَکَ اَنْتَ اللّٰہُ لاَ اِلٰہَ اِلّاَ اَنْتَ الظّاھِرُ اْلمَظْھِرُ یاَظاَھِرُ
YA BEHTAREEN ISTEKHARA BHI HAI WAQTE ZARURAT IS KE ZARYE FARAR SHUDA KA HAAL MALUM KARNE BIMARI KI KUL KAIFIYAT AUR USKO DAWA SE  YA AMAL SE FAYEDA HOGA-YA CHORI KIYA HUA MAAL KAHA RAKHA HAI WAGAIRA WAGAIRA –FAURI TAUR PAR MALUM KARNE KE LIYE MUJARRAB HAI AUR ISKE AAMIL KO IN FAYOOZ KE SAATH ULOOME SAFINA YANI JO ULOOME KUTB ME MAUJUD NAHIN ZAHIR HOJATE HAI-KHAZANE AUR DAFINE MAMULI JIDDO JOHAD SE HASIL KAR LETA HAI HAR ROZ 1106 BAAR YA 75 BAAR BAMAJBURI 7 BAAR AWWALO AAKHIR DARUD SHAREEF 11 BAAR
(GHIN)
اجب یا لو فائیلُ بحق غین یا غِیاَثُ یاَغِیاَثِیْ عِنْدَ کُلُّ کُرْبَتہٍ وَمُجِیْبِیْ عِنْدَ کُلِّ دَعْوَتہٍ وَمُوْنِِسْیِیْ عِنْدَ کُلِّ وَحْشَتہٍ وَمَعاَذِیْ عِنْدَ کُلِّ شِدَّتہٍ وَرَجاَئیِْ حِیْنَ ےَنْقَطِعُ حِیْلَتِیْ یاَغِیاَثِیْ 
ISKE AAMIL KO ALLAH TA’ALA TAMAM MAKRUHAT PAR RANJO GUM SE NIJAAT DETA HAI-HAR KAAM AUR HAR HAJAT JO KHILAF E SHARAH NA HO JISME DUNIYA W AKHIRAT KA ZARAR NA HO PURA FARMATA HAI-RIZQE HASNA ATA FARMATA HAI KHAZANAE GAIB SE ZAHIRI W BATINI NEMATE DETA HAI AUR USKA DIL ALLAH KI BESHUMAR NEMATON KO DEKHKAR KHUSH HOTA HAI-HAR ROZ 178 BAAR MAGRIB AUR ISHA KE DARMIYAN AWWALO AAKHIR DURUD SHAREEF 5 BAAR JIS DIN WAQT NA MILE TO 41 BAAR INTEHAI MAJBURI AUR BIMARI ME SIRF EK  BAAR-
AGAR KOI SHAKHS ALIF SE GHAIN TAK KISI HURF KA AMIL BANNA AUR USKE MUAKKIL KO TA’BE KARNA CHAHE TO (125000) KI TA ‘DAAD KO 41 DIN YA 28 DIN ME PURA KARE AUR KHILWAT IKHTIYAAR KARE PARHEZ JAMALI W JALALI PAR KAAR BAND RAHE AMAL PURA HONE TAK KISI SE BAAT NA KARE AGAR ZARURAT PADE TO LIKH KARDE- AGAR IN PABANDIYON KE SAATH AMAL KAR LIYA TO PHIR LABHI KOI AMAL KARNE KI ZARURAT NA HOGI MUAKKIL JO HUKM DEGA WO ANJAM DEGA AUR JO CHAHEGA US PAR ZAHIR HOGA JIS KISI KO AMAL KI IJAZAT DEGA EK BAAR PADHNE SE USE WO SAB KUCH HASIL HO GA JO AAMIL KO HASIL HOGA-     
NOTE: AISEY BA MOAKKIL AMAAL BAGHAIR USTAD YA MURSHID KE HARGHIZ NA KARNA CHAHIYE WARNA RAJ’AT KA SHADEED KHTARA RAHTA HAI.
        
       

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668