Saturday, November 7, 2015

Lohe Taraqqi e Rizq Ka Tariqa e Kaar لوح ترقی رزق کا طریقہ کار(The Method Of Taweez For Increment In Wealth)

Lohe Taraqqi e Rizq Ka Tariqa e Kaar



Quran e Muqaddas ki baz ayaat taraqqi e rizq aur khair o barkat ke liye mashhoor hai in hi me se ek ayat
ولقد مکنا کم فی الارض وجعلنا لکم فیھا معایش
hai jise amileen ne apne tajurbat se nihayat zood asar aur teer bahidaf paya is ayat sharifa ko naqsh e mukuammas ya murabba ya musallas me zulkitabat pur karna chahiye tariqa wahi rahega jo amileen sad amaal ke liye muqarrar karte hain yani saad saiyaron ke qawi nazrat e taslees ya tasdees waghaira din juma ya jumerat behtar hai albatta mangal aur sanichar ke ilawa kabhi bhi likh sakte hain waqt bad fajar ka afzal hai lekin nazrat agar chasht ke waqt ban rahe hain to isi waqt ko tarjeeh di jayegi ek amal ya naqsh ke liye saheeh wqt ka intekhab ek mushkil amar hai lihaza agar koi iski istedad nahi rakhta to juma ya jumerat ke din awal saat me likh le ,zafran aur mushk o ambar se likhen ya sirf zafran istemal karen qalam naya ho hiran ke khal par is naqsh ki taseer sau guna badh jati hai albatta kaghaz par bhi had darja taseer ka hamil hoga tanbe ki takhti par bhi kanda kar sakte hain yeh kaghaz aur khale hiran ke darmiyan asar rakhta hai aur humare Idare ka mamool hai bakhoor mushtari ka raushan kare rajalulghaib ko janib e chap ya pusht ke piche rakhen qabal tayrai naqsh ke kuch sheerni pas rakh len bad khatam fateha dekar ghar walon me taqseem kar de do lohe tyar karni hai ek ko tijarti mal o mataa me mahfoo rakhna hai chahe frame karwa len ya chahe to safed ya hare reshmi kapde me sil kar onchi jagah muallaq karen aur dusra apne bazu e rast par bandhe phir chand dino ke bad khudaye tala ki qudrat e kamila ka zuhoor apni ankho se dekhe ga sal guzarte is loh ka hamil sahib e nisab o zakat ho jayega aur muashi tang haali ka aise khatima hoga jaise kabhi tha hi nahi ,tijarat pesha afrad,dukandar.qarazdar,be barkat ghar wale ko aur mulazimat ke talib ko is loh ki zaroorat hai fil waqe nihayat mujarrabul mujarrab loh hai ,is loh ki tyari me jo sharte ya chize batai gai hai agar inme se kuch miyassar na ho to koi haraj nahi kisi bhi tariqa se likhe kuch to asar zaroor hoga Allah kisi ki mehnat zaya nahi karta naqsh ki shakal yeh hai.


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668