Saturday, June 17, 2017

Nad e Ali Ek Suryani Tilism ناد علی ایک سرےانی طلسم नाद अली एक सरियानी मंत्र Nad e Ali A Syriac Spell

Ap ko yeh jan kar hairat ho gi ke Nad e Ali Sharif bazuban e suryani das hazar saal qabal maseeh se aatish parast saahiro'n ke mujarrabat me shamil tha aur unke aqeede ke mutabiq is tilismi ibarat se har kam lia ja sakta tha, janna chahiye ke Nad e Ali Shareef Jang e Ohad me'n Nabi Kareem Sallallah alaihi wasallam ki zuban e aqdas par jari hua kehte hai'n jibreil ameen ne Saiyed e Alam Sallallahu alaihi wasallam ko yeh alfaz sikhaye 

ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی

to iske jawab me'n Aaaqaye do jaha'n salallaho alaihi wasallam ne yeh irshad farmaya
بعظمتک یا اللہ یا اللہ یا اللہ و بنبوتک یا محمدیامحمدیامحمد و بولایتک یا علی یا علی یا علی
Hazrat Muhammad Ghaus Gawalyari rahmatullahi alaih musannif e Jawahir e Khamsa isey Jang e Khaiber se mansoob batate hai'n bahar kaif is bat par to sabhi muttafiq hai'n ke Nad e Ali sharif ek azeemulmartabat isteghasa hai Khudaye Qadeer ki bargah e quds me'n bawaseela Janab e Muhammadur Rasoolullah Sallallaho alaihi wasallam w Maula e kainat Hazrat e Ali Sher Khuda karramallahu wajhahul kareem,aur in mutabarrak kalemat ki ijazat ki sanade'n bhi bahut Aala o arfa hai'n maslan barre sagheer ki maya naaz ilmi o roohani shakshiyat jinhe dunya Shah Waliuallah Muhaddis Dehelvi ke naam se janti hai aur jinhe lagh bhag tamam makatibe e fikr ko log tasleem bhi karte hai'n , aisi hasti ne apni marakatul aara tasaneef ke andar Nad e Ali shareef ki ijazat ke mutalliq tahreer farmaya hai lihaza in jaisi shakhshiyat ka Nad e Ali sharif ka ijazat lena aur dena hi barre sagheer hind o pak ke shakki mizaj aur wehmi afrad ke liye dawa aur ahle mohabbat ke liye taskeen e khatir ka saaman hai ,yeh bate'n zimnan arz kar di kehna yeh hai ke jis tarah bismillahir rahmanirraheem ke talluq se warid hua ke yeh har daur me'n nazil hota raha aur phir utha lia jata


Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam se qabal Hazrat e Eisa alaihissalam par nazil hua lekin utha lia gaya phir jab Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam par nazil hua to ta qayamat yeh Qur'an ke andar baqi rahe ga iske zarye se mushkilen aasan hoti rahengi hatta ke dozakh se chhutkara bhi isi bismillah ki barkat se mile gi ,yeh bat to mutahaqqaq hai ke bismillah shareef ka har daur me nuzool hota raha to kia bayeed hai ke Nad e Ali shareef ki jis suryani tilism ki bat main kar rara hu'n woh bhi kabhi nazil hua ho agarcha iska nuzool baarha na hua ho aur is par koi tahqeeq bhi nahi ke yaqeen ke sath kuch kaha ja sake, bat samajhne ki sirf itni hai ke Qudrat e Khudawandi ka karishma dekhye ke jo waqeyah das hazar saal ke bad wakoo pazeer hone wala hai aur us musibat ke waqt Khuda e Ta'ala ki janib se jis Nad e Ali shareef ke alfaz nazil hone they thik usi mazmoon ki ek dua suryani zuban me'n nazil ho chuki thi aur na sirf yeh ke nazil hui balke itni mashhhor o maroof aur mujarrab dua thi hai ke tauheed paraston ke sath sath imtedad e zamana ke bad bhi atish parast qaum ke sahiro'n ne is dua se khoob faida uthaya lihaza Ibn e hallaj apni kitab me likhte hai'n ke in suryani asma o kalemat ka agar arbi me tarjama kia jaye to yeh Nad e Ali shareef ban jata hai aur yeh tilism das hazar saal qabal maseeh ke daur ke  aatish parast sahiro'n ke zer amal ane wali aur us qadeem daur se lekar aj tak ke daur ke ulama o aamileen ke amal o tajurba me'n ek moassar tareen amal sabit ho rahi hai , ab aaiye kuch is suryani tilism ki khasiyat bhi bayan ki jaye Ibne hallaj apni kitab me tahreer karte hain ke wasil ibne ata baghdadi se manqool hai ke jo shakhsh is tilism suryani ko kisi dhat par basa'at sayeed kanda kare aur khushboo ki dhooni dekar apne pas rakh le to uski har khwahish jald ya bader puri ho jaya karegi @Khuda e Ta'ala uske tamam kamo ka zamin hoga @usko koi makhlooq kisi qisam ka zarar na pohncha sakegi @uske dushman usko dekh kar aise bhagenge jaise sher ko dekh kar gidar bhagta hai @logo'n ke dilo'n me'n uski izzat qaim rahegi @har qisam ki aafat o balliyat door se apna rasta badal lenge @kisi qisam ka jadu sehar ka is par asar na hoga 

@purane se purane sehar ka khatma ho jayega aur isi par bas nahi iski khasiyat bahut ziada hai ,das hazar saal qabal maseeh ke is suryani tilism ki ibarat mulahiza farmaye'n ghaur karne par maloom ho jayega ke alfaz Nad e Ali ke is suryani tilism se kaise hu bahu mel khate hai'n suryani tilism yeh hai
یو ھو تیا رکنیا بای صیفا تکیلس یا ایلیا ھی دو جو میامی تفشا کمرفا صحاکملسا میلا ھینا نو قتہا میا نھن رکزا ققا دو قھاقی یا ربا یھا کط ھکیا یا محماد ایا لا معالع مجما جناج سدار ما یا علیا ھا یا علیا ھا یا علیا ھا
aur Nad e Ali shareef mashhoor o maroof yeh hai 
ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی بنبوتک یا رسول اللہ وبولایتک یا علی یا علی یا علی
akheer me arz karu'n ke is mazmoon ko likhne ka khyal kai dino'n se tha husn e ittefaq se ramazan ki ikeeswe'n shab me iski taufeeq mili aur dauran e tahreer khayal aya ke yeh to shab ikeeswe.n hai Maula e kainat Hazrta e Ali Sher khuda karramallahu wajhahul kareem ki shahadat ki tareekh pas maine samjha yeh sadqa aur tawajjoh hai Babul Ilm Abu Turab Haidar e Karrar Mahbbob e Kirdigar karramallahu wajhahul kareem ka jo is faqeer e Quadri Imran Razvee ko hasil hui.

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668