Tuesday, March 28, 2023

Lauh e Sharaf e Shams Ka Tariqa لوح شرف شمس کا طریقہ (The Sun Glory Talisman)

Lauh e Shams Ki Mushtasar Khasiyat (2019)

  • Taskheer e Khalaiq
  • Taraqqi Darajat o Mansab
  • Farawani e Rizq
  • Taskheer e Hukkam o Afsaran
  • Nazdeeki Umara o Salateen
  • Kamyabi Muqablajati Imtehanat
  • Be Panah Shohrat
  • Maqbooliyat Awam o Khawas
  • Taskheer e Quloob
  • Husool e Shan o Shaukat
  • Roab o Dabdaba waghaira ...aur bhi bahut sare fawaid is Lauh e Mukarram ke hai'n

Do qisam ki Lauh hadiya e nazreen o membran e Idara hai ek naqsh e Musaddas hai joke Aftab ka mansoobi Naqsh hai isey sirf Amileen hi pur kare'n awam ke bas ka nahi aur dusra Naqsh e Murabbah hai jise awam joke mamooli faham naqoosh ka rakhte hai'n khud apne liye bana sakte hai'n...ain sharaf e aftab ke waqt joke 8 april rat ke 9 baje se shuru hokar 9 april rat ke 9  baje tak rahega is darmiyan 4 sa'te'n shams ki milengi unme sab se ba quwat pehli sa'at hogi phir dusri isi tarah teesri aur chauthi...ek aisa kaghaz jis ka ek rukh sunehra ho aur dusra safed , safedi ki taraf naqsh murabbah mudauwar banaye'n aur dusri taraf yani sunehre rukh ki taraf tilism aftab banaye naqsh taiyar hai phir pile ya zafrani kapde me momjama kar ke hasbe mamool istemal me rakhe'n har shakhsh khud apne liye bana sakta hai meri dua sab ke liye hai.
Bakhoor: Sandal Surkh Ya Oud ka Kare ya luban agarbatti waghaira sulgaye'n.
Uske ilawa yeh naqsh Murabbah Aur Naqsh e Musaddas dono humare yeha'n kaghaz aur dhat par ziada se ziada tyar ki jayegi ap chahe'n to hadia bhej kar naqoish manga sakte hai'n.
Sufi Muhammad Imran Razvee Al Quadri 



Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668