Thursday, March 23, 2017

Amal Ki Zakaat Kiyou.n Ada Ki Jati Hai عمل کی زکات کیوں ادا کی جاتی ہے (Why Is the Process Of Zakah In Spiritual Remedy)

Amaliyat me ek bunyadi mas'ala zakat ka hai aksar aamileen isko nazar andaz kar dete hain natije ke taur par unhe jagah jagah nakami ka samna karna parta hai peshawar aamileen to nakam hone par bhi jhoot sach bol  kar kaam chala lete hain lekin pareshani aur mayoosi moahqqiqeen aur  un awamunnas ko gher leti hai jo apni masaail ke liye aamileen ke pas aate hain isliye un tamam hazraat ke liye zakat ki adayegi zaroori hai jo is raah me qadam rakhne ka irada rakhte hain akabireen ki tahqeeq ke mutabiq zakat ki haqiqat yeh hai ke Haq ta'ala ne apni qudrat e kamila se har har urf par Qur'an ki har har ayat par aur apne tamam asma par malaika ko musallat kar dia hai aur har har hurf ka talluq kisi na kisi firishte se wabista hai phir har woh firishta jo kisi ayat ya hurf par nigran ho woh haisiyat bamanzila sardar ke hota hai phir uske matahat aur bhi firishte hua karte hain jo  Allah ke banaye hue qanoon aur zabte ke mutabiq apne sardar ke hukm ki tamil karne par majboor hain  aur har hukm baja laate hain yeh bat bilkul aam faham hai ke humare hukm ki taamil wahi shakhsh karega jisse koi talluq ya ta'ruf hoga be talluq aur bila ta'ruf agar koi kam aajaye to yeh mahaz ek ittefaqi amar hai warna is dunya me kam usi ka kia jata hai jisse koi shanasai ho aur kisi tarah ka uns bhi is haqiqat ke pesh e nazar zara sochen jin muakkileen ya malaika se humara kisi bhi tarah ka koi ta'ruf ya talluq na ho aur hum us ayat ka amal karne chalen jis ayat par woh bataur e nigehban ya hukmara.n musallat hai to bhla yeh kaise mumkin hai ke amal me taseer paida ho jaye yeh chiz apni jagah atal hai ke har chiz marziyat e khudawandi hai lekin yeh bat bhi apni jagah musallam hai ke asbab o alal ki is dunya me jab kisi afsar ki safarish se humara kam banta hai tab bhi 
marzi e maula ko isme dakhal hota hai malik e haqiqi ki marzi ke baghair na kabhi kuch hua hai na kabhi kuch hoga isi tarah amaliyat ki rah me firishton aur moakkilat ke zarye koi kam banta ho ya ban jaye tab bhi usme marzi e maula o izn ka usme dakhal hoga lekin jis tarah asbab ki is dunya me yeh aqidah rakhte hue ke Allah hi ki marzi se sab kuch hota hai hum balai logon se safarish karate hain aur afsaran ki khusamad karte hain isi tarah amaliyat me taseer paida karne ke liye malaika aur muakkileen se shanasai paida karna aur unke zarye kam karane ki jiddo johad karna tauheed ke manafi nahi yaqeen baharhaal dil me yeh hona chahiye ke karne wali zaat Haq Ta'ala ki hai han usne apne muqarrab bandon ko quwat bakhshi hai beiznillah woh bhi mutasarrif hain ap ne dekha hoga beshumar log is dunya me amal karte hain lekin aksar log apne amal me nakam ho jate hain aur matlooba taseer samne nahi aati to iska saf matlab yeh hai ke amal me kahin na kahin koi kami baqi rah jati hai jis ki waja se amal be taseer hokar rah jata hai warna is dunya me koi bhi chiz aisi nahi hai jo beiznillah moassar na ho lekin har chiz apna asar usi waqt dikhati hai jab usey qaide aur tareeqe se istemal me laya jaye kisi chiz se faida uthane ke liye neki aur badi bhi koi mufeed ya maane nahi banti agar tareeqe se kaam kia jaye to bura aadmi bhi kuch na kuch le udega aur agar be qaida kam kia jaye to nek aur parsa admi bhi kamyabi se mehroom rahega islye asbab ki is dunya me kamyabi se hamkanar hone ke liye manzil ki taraf saheeh qadam uthana zaroori hai zahar ka piyala nek admi piye ya badkaar admi zahar apna asar dikha kar rahe ga aur isi tarah taryaaq ka istemal bura admi kare ya bhala admi .uska asar bhi zahir hokar rahega sheerni sab ke liye mithi hoti hai namak sab ke liye namkeen hota hai neem sab ke liye kadwa hota hai aisa nahi hai ke neem nek admi ke munh me ja kar apna zaiqa badal de aur mithi ho jaye aur aisa bhi nahi ke koi meethi chiz bad kirdar admi ke munh me jakar apna maza badal de aur talkh ho jaye bahar hal asbab o alal ki is dunia me agar hum apne maqasid me kamyabi chahte hain to mehnat ,lagan aur saheeh raaste ko ikhtyar karna zaroori hai warna masiwa nakami aur waqti kamyabi ke siwa kuch bhi hath na lagega 
amaliyat me zakaat ki adayegi usi trah zaroori hai jis tarah nama me wozu shart hai bahair wozu ke jo namaz ada ki jayegi woh bazahir to namaz ho gi lekin aisi namaz be rooh hogi aur iska koi natija deen o dunya me zahir nahi hoga aisi namaz humare af'al o kirdar par koi asar nahi chhodegi aur akhirat me bhi uspar koi ajar murattab nahi hoga isi tarah amaliyat jo zakat bina tajurbe me laye.n jayenge woh be rooh rahenge inka koi musbat asar zahir nahi hoga aur agar zahir hoga to sirf ittefaqi jis tarah is dunya me insan zahar pi kar bhi nahi marta halanke zahar kaam bhi mat dalna hai kabhi kabhi Allah ki marzi nahi hoti to chhuri aur aag bhi apna kaam nahi karti lekin yeh koi qaida kulliya nahi  bahar haal jo log amil banne ke aarzumand hain woh yeh bat apne dil me utar le.n ke amaliyat se puri tarah mustafeez hone ke liye zakat ki adayegi nihayat zaroori hai zakat ki adayegi ka mashhoor o maroof tariqa to yeh hai ke murshid e kamil ya ustad ki ijazat aur nigrani me jis isme bari tala ya jis ayat ya azeemat ki zakat nikalni ho usey sawa lakh martaba ek waqt muqarrar karke parha jaye kam se kam ek chillah yani 40 dino me aur ziada se ziada 120 dino me sawa lakh ki tadad poori ki jaye lekin aamileen kamileen ne zakat ki mukhtalif qismen batai hain hum un par insha Allah tafseel se roshni dalenge yeh bat yad rakhni chahiye ke yeh akat jo amal ke liye ada ki jati hai iski shari koi haisiyat nahi hai yeh amal ko mazboot karne ke liye hai aur arbab e tajarba ne isey ijad kia hai aamileen kamileen ne zakat kimukhtalif qisme bayan ki hai aur iske alag alag asarat bhi bataye hain maslan zakat ki ek qisam yeh bhi hai ke amil apne nam ke adaad nikale aur Quran kareem ki koi ayat ko jiske zarye koi amal karna chahta hai apne nam ke adad ke mutabiq ek rat parhe isi tarah 40 rat parhne se zakat ada ho jayegi lekin yeh zakat sirf ek hi bar amal ke liye kaar amad sabit hogi aur ek hi bar amal karne se batil ho jayegi ab isme asar baqi nahi rahega.

Thursday, February 23, 2017

Lohe Mohabbat Ka Mukhtasar Ta'aruf لوح محبت کا مختصر تعارف (An Introduction Of Love Talisman)


 Yeh Loh har us masale ka hal hai jo Mohabbat, Moaddat , Jazb e Qalb aur Hub waghaira se mutalliq hai yeh Loh Taskheer o Mohabbat ke un chuninda ayaat ke aazmuda naqoosh par mushtamil hai jin se hukama e ilm o funn ne bade bade kam liye hain ,Lohe Mohabbat Mukhtalif Maqasid Ke Liye tyar ki jati hai iski mukhtasar khasiyat hasb e zeil hai.

  1. Makhsoos jagah rishta aur pasand ki shadi me kamyabi ke liye 
  2. Mia biwi ke darmiyan be inteha piar aur misali mohabbat ke liye
  3. Mia biwi ke jhagde khatam hone aur talaq se hifazat ke liye
  4. Mehboob ko apni mohabbat me be qarar karne ke liye
  5. Bhai behan ma bap aur ahl e khana me aapsi piyar o mohabbat me izafa keliye
  6. Chahe jitni purani dushmani ho muashrati ya khandani sab khatam hojaye  
  7. Gharelu nachaki khatam ho kar aapsi mel mohabbat ka mahol khar me qaim ho
  8. Naukro.n aur karindo.n ko qabu me rakhne aur farmanbardar banaye rakhne keliye
  9. Nafarman biwi ko taabe aur kaneez banaye rakhne keliye
  10. Ghar khandan aur muashre me hardil aziz banne ke liye
  11. Dulhan ko sasural me izzat mile aur har qisam ke shar se mehfooz rahe
  12. Chahre me kashish aur jazbiyat ke liye
  13. Khoya hua waqar aur izzat ki baahali ke liye

Monday, February 13, 2017

Namaz e Chast Se Tangdasti Ka Khatima نماز چاشت سے تنگدستی کا خاتمہ (Ending Of poverty And Namaz e Chast)

Fi zamana har shaksh aflas o tangdasti me mubtala hai aur dunyawi jiddo johad me subh se sham tak apna wqt zaya karte hain magar maqsad barari nahi hoti jo log musibat me mubtala hai main unse guzarish karta hun ke woh dunyawi sa'ee o koshish ke sath roohaniyat ki taraf bhi mutawajjo ho.n aur dekhe.n ke bargahe khudawandi se unhe kia inam milta hai aur unka maqsad kitna jald pura hota hai hadees saheeha me warid hua hai ke farmaya Rasool e kareem sallallahu alaihi wasallam ne jo shakhsh namaz e chasht ki 12 rak'ate.n parhta hai to Allah ta'ala uske aflas o tandasti ko door farma kar usey har tarah khush o khurram bana deta hai is hadees e motabar ki ro se har hajatmand ko apni tangdasti door karne ke liye namaz e chast ada karni chahiye namaz chast ki char rakate.n bhi hoti hain magar 12 rakate.n batareeq e amal hain do rakat parh kar 6 salam se 12 rakat poori kare.n ya char char rakat 3 salam se parhe.n koi surat khas parhne ki nahi hai bad namaz Baari ta'ala ki janab me moaddibana apni ilteja pesh kare insha Allah ta'la chand din me iska asar hoga aur ghaib se imdad hogi chast ke mana dopahar ke hain din ke 10 baje aur kahin 11 baje namaz e chast shuru kar dia kare.n aur itni takheer bhi na kare.n ke waqt e makrooh nisfunnahar shuru ho jaye 
Tarkeeb e Deegar
ek doosri tarkeeb Mashaikh se youn manqool hai ke chast ke waqt 4 rakat ek salam se parhe aur pehli rakat me sura balad dusri rakat me sura washshams teesri rakat me surah walllail chauthi rakat me surah wadduha parhe rozi me barkat aur aflas o tangdasti ke khatma ke liye yeh tareeqa mujarrab hai aur mashaikh e kibar ke mamoolat me raha hai.

Saturday, October 15, 2016

Chirag e Dafa Aaseb O Jinnat چراغِ دفع آسیب و جنات (Chirag For Protection & Cure Form All Kind Of Evil Spirit)



Chiragh e Dafa Aaseb
Shaitani aur aasebi quwaton ka safaya aur unse hamesha hamesh ke liye nijat paane ky waaste yeh chiragh tyar kia jata hai , is chiragh me Quran e Muqaddas ki tamam aaseb shikan aayat ko jama kia gaya hai aur is ke elawa chahal kaaf ba muakkil,duaye haidri,naad e ali saghir o kabir bataur khas shamil hai,is chiragh se hazzaron kam liye jate hain , jis ghar me yeh chiragh raushan hoga wahan kabhi kisi qisam ka koi shaitani aur aasebi khalal nahi ho skta aur na hi kisi fard ko jinnati ya aasebi asarat se pala parh skta hai kiyon ke jis chhat ke niche yeh chiragh raushan hoga uske ird gird chalis qadam tak aisi shaitani quwaten jo zarar rasani par qudrat rakhti hain tahar nahi sakti ,chiragh e dafa aaseb un lailaj marizon ke lye muzda e jan faza hai jin par khabis jinnat nar ya mada ka tasallut ek arsa daraz se hai behamdillah humare yeha iska mukammal ilaj maujood hai, yeh chiragh un aaseb zadon ke liye shifaye kaamil hai jin par hazriyan to nhi hoti lekin shaitani quwaton ne inhe nidhal kar rakha hai, woh aaseb zada aurat jiska hamal ya to qaim nahi hota ya hokar ghaib ho jata hai uske liye yeh chiragh ek khush khabri hai , aisi kanwari ladki jispar jinnat aashiq ho aur uska rishta lakh koshish ke bawajood nahi hopata aisi ladki ke liye yeh chiragh ek nawed hai , aisa shakhsh jiski dukan ya factory me aaseb aur shaitani asarata ne nahusat phaila rakhi hai uske liye yeh chiragh sa'adat aur barkat ka sabab bane ga , woh afrad jinke gharon me bad roohon ,jinnaton aur khabis shaitanon ne aafat macha rakhi hai jis waja se ghar ke afrad bimar rahte hon ya aapas me tanao rahta ho aur ghar me barkat naam ki koi chiz nahi dikhti unke liye yeh chiragh roohani quwat aur mukammal hifazat ka zamin hai , gharaz yeh ke shaitani aur aasebi asarat w quwat ka jahan bhi amal dakhal hoga wahan yeh chiragh aur iske muakkilan ki karamat ka zuhoor lazmi hai.

Monday, October 10, 2016

Lohe Auj e Zohal لوح اوج زحل ﴾SATURN GLORY TALISMAN﴿









LOH-E-ZUHAL
(Saturn Talisman)
SPIRITUALISM FOR CREATING SOLIDARITY FOR THE CAPTIVATION AND PROMINENT VICTORIES AND MAINTENANCE OF STAUS.
Detail 
The Saturn is dedicated for the climax and decline. When it is auspicious, it awards powers and authority and in case of inauspiciousness, it creates problems and sufferings. It is a fact that every man is affected by the misfortune created by Saturn at any time in life. Remember: this is the world of sources. You must search such a source that may escape you from your problems, make your status stable and award you dignity; when one is disappointed from every where, he gets support and assistance from the spiritual sciences. Such talismanic tablets are prepared in a particular association and mixture that bring sources and causes. In this way, the misfortune is turned into good fortune. Saturn talismanic tablet is one of these. It has following characteristics:

  • The misfortune created by Saturn, though it is only at present or since birth, will cease.
  • This talisman is highly effective for creating quick sources to stop the misfortune.
  • It will maintain your control over the public so that you may not be the victim of decline.
  • It is highly useful for the acquisition of prosperity or for its stability and for those property owners who wish the enhancement of their prestige and honour and the stability of their honour and property.
  • If this talisman is placed in the foundations of a house at the time construction, it will bring peace and prosperity for the persons living in that hose.
  • It is tremendously useful for getting success in elections.
  • This talisman is also beneficial for the businesspersons and factory owners.
Its occult power will change your life. You will observe its effects yourself sooner of later and consequently you will find yourself more prosperous than others.

SPIRITUALISM FOR CREATING SOLIDARITY FOR THE CAPTIVATION AND PROMINENT VICTORIES AND MAINTENANCE OF STAUS.
Detail 
The Saturn is dedicated for the climax and decline. When it is auspicious, it awards powers and authority and in case of inauspiciousness, it creates problems and sufferings. It is a fact that every man is affected by the misfortune created by Saturn at any time in life. Remember: this is the world of sources. You must search such a source that may escape you from your problems, make your status stable and award you dignity; when one is disappointed from every where, he gets support and assistance from the spiritual sciences. Such talismanic tablets are prepared in a particular association and mixture that bring sources and causes. In this way, the misfortune is turned into good fortune. Saturn talismanic tablet is one of these. It has following characteristics:

  • The misfortune created by Saturn, though it is only at present or since birth, will cease.
  • This talisman is highly effective for creating quick sources to stop the misfortune.
  • It will maintain your control over the public so that you may not be the victim of decline.
  • It is highly useful for the acquisition of prosperity or for its stability and for those property owners who wish the enhancement of their prestige and honour and the stability of their honour and property.
  • If this talisman is placed in the foundations of a house at the time construction, it will bring peace and prosperity for the persons living in that hose.
  • It is tremendously useful for getting success in elections.
  • This talisman is also beneficial for the businesspersons and factory owners.
Its occult power will change your life. You will observe its effects yourself sooner of later and consequently you will find yourself more prosperous than others.
sufiimranrazvee@yahoo.com    smirazvee@gmail.com

Wednesday, September 28, 2016

Tlismi Mombatti Baraye Mohabbat طلسمی موم بتی براٴے محبت (Angelic Candle For Love)


Tlismi Mombatti Baraye Mohabbat
Shamai Tilism Sazi ka Ta'aruf
Ibrani zaban ke woh hairat angez tilism jo ishq o mohabbat aur taskheer e quloob me jadu asar sifat se muttasif hain un tilismati hurrof o aadad ko zohra aur mushtari ki qawi nazraat mein aur behtareen sa'ato.n  mein makhsoos mombatti par khas qalam se naqsh kia jata hai uske bad in mombattiyon ko bakhoorat e sadain se muattar karte hue Tanjeemi Amal se guzara jata hai jisse inki quwat kai guna badh jati hai mukhtalif rango me yeh mobattiyan alag alag maqasid ke liye tyar ki jati hain maslan kahir o barkat , sehat o salamti,husool e daulat, wapsi mafroor , dafa aseb o sehar , hisar e makan , hazirat e arwaah , takhseer e muakkilat , taskheer e hamzad waghairah waghaira in mukhtalif maqasid ke liye alag alag tilism aur huroof o aadad ki jadui tarteeb hain.
yeh mombatti jo khas mohabbat o ulfat ke liye tyar ki gai hai isse taskheer e qalb ,hazri e matloob,ehzaar e mehboob taskheer e hukkam,gharelu mohabbat o bhaichargi , mian biwi me mohabbat, taskheer e khalq , taskheer e fard e khas waghairah umoor me ummeed se kai ziada kamyabi milti hai.
yeh mom batti aur is qisam ki dusri mombattiyan jin ka zikr upar guzra agar amil hazraat khud se tyar karna chahen to is faqeer se iski ijazat aur mukammal tarkeeb ma talasim ke hadiyatan hasil kar sakte hain wazeh rahe ke isse qabal is tilismi khazane ko mere ilm ke mutabiq koi bhi manzar e aam par nahi la saka kiyon ke yeh tariqa sadri hai aur aam taur par kitabon me draj nahi.


Monday, September 26, 2016

Saba Saiyargan Ki Lohe.n Aur Awami Confusion سبع سیارگان کی لوحیں اور عوامی کنفیوزن (Public Confusion And Talisman Of Seven Planets)





Saba Saiyargan Ki Lohe.n Aur Awami Confusion

Jab kisi saiyare ka sharaf aata hai to aam taur par iski tashheer saare aamileen khwah asli ho ya naqli sab karte hain pichhle kai salo.n se main yeh mushahida karta aaraha hun ke am logo.n ke zehan o fikr me in tashheeri karwai se mukhtalif qisam ke sawalat aur funne Loh sazi ko lekar ghalat salat tasawor qaim ho rahe hain is waaste maine zaroozi jana ke is mauzoo par  kuch aham maloomat faraham kar du.n taake awam o  kaawas dono mustafeed ho.n is mauzoo ko samajhne ke liye saiyaro.n ki mutalliqa dhat aur mansooba naqoosh ka janna zaroori hai ab aaiye main tarteeb war saba saiyargan se muatlliqa naqoosh aur dhat ka zikr karta hu.n 
saiyara Zohal ki mansooba Loh Naqsh e Mutah hai yeh 81 khano.n par mushtamil hai ur iski mutalliqa dhat sikka hai,saiyara Mushtari ki mansooba Loh naqsh e Saman hai yeh 64 khano par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Tin hai,saiyara Mirreekh ki mansooba Loh Naqsh e Musabbah hai yeh 49 kahno.n par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Loha hai ,saiyara Shams ki mansooba Loh Naqsh e musaddas hai yeh 36 khano par mushtamil hai aur uski mutalliqa dhat Sona hai ,siayara zohara ki mansooba Loh Naqsh e Mukhammas hai yeh 25 kahno.n par mushtamil hai aur iski mutallliqa dhat Tanba hai siyara Atarad ki mansooba Loh Naqsh e Murabbah hai yeh 16 khano.n par mushtamil hai aur iski mutallliqa dhat Platinum hai ,saiyara Qamar ki mansooba Loh Naqsh e Musallas hai yeh 9 khano.n par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Chandi hai .......kawakib ki mansooba dhaton aur naqoosh ka asar apni jagah musallam hai lekin mai yeh baatata chalu.n ke naqoosh aur dhaton ka tayun saba saiyargan ke lehaz se qatai nahi ke jis dhat ka talluq jis saiyare se hai iski loh sirf usi waqt me tyar ho skti hai ya jis naqsh ka talluq jis saiyare se hai uske sharaf me sirf wahi naqsh kam dega aisa kuch nahi hai aur naahi yeh koi qaida kulliyah hai,khaghaz to kisi saiyare se mansoob nahi ( agarcha hai lekin log nahi jante ) lekin sab se ziada naqoosh ya loh ya tilism kaghaz par hi likhe jate hai aur rozana agar dekha jaye to puri dunya me aamileen kaghaz par hi naqsh likh rahe hote hain kabhi apne dekha ya suna ke fula.n sahab kaghaz par kabhi naqsh nahi likhte aur mansooba dhato.n ka istemal karte hai kiyon ke kaghaz kisi saiyare se mansoob nahi ,acha aapne hiran ki jhilli aur bhoj patr par naqsh likhe jane ki bat suni hogi yeh kis saiyare ki mansooba dhat hai ? shifa yabi ke liye baaz auqat chini mitti ki plate par surah fateha waghaira likh kar pilate hain is chini mitti ke plate ko kis sitare ke palle bandhyega ? isi trah hiran ka chmda aur sher ki khal ko kis saiyare ke zer e asar manye ga ? younhi momi kaghaz aur kachche mom par beshumar naqoosh o tilism tyar kiye jate hain to mom ko kis saiyare ke khane me dalye ga? isi taur par Naqoosh jo saiyaron se mansoob hain agar usko qatai mana jaye to funni aetbar se bohat sari kharabiyan lazim aayengi maslan auj e mushtari me agar apne naqsh e murabbah se loh tyar ki hai to is Loh ko be asar aur mafrooza funni kharabiyon ka mazhar mana jayega kiyonke naqsh e murabbah atarad se talluq rakhta hai aur atarad mushtari ka dushman siyara hai ya sharafe aftab me apne tanbe par Loh tyar ki aur sharaf e zohra me chandi par ,to yeh alwaah kia bekar jaane jayenge ? kiyonke tanba zohra ki dhat hai aur shams zohara ko dushman rakhta hai, chandi qamar ki dhat hai aur zohra o qamar me dushmani ........kia sochne lage aap kia waqai aapki Lohe Mushtari ,Lohe Zohra aur Lohe Shams bekar ho gai ? ji nahi aisa kuch nahi agar apne muqarrara waqt par sahee chal aur digar amaliyati lawazimat ke sath kisi bhi sayare ki sa'at me kisi bhi dhat par naqsh tarteeb de dia hai to ap kamyab hain.

kia saiyargan ki Lohe makhsoos hoti hain aur unko sirf sharaf ke auqat me tyar kia ja skta hai ?
ji han saiyargan ki lohen makhsoos zaroor hoti hain kiyon ke har saiyare ka Tilism ,Alamati Nishan ,Mohar e Kaukab aur Roohani Mohar mukhtalif hua karta hai lekin usme yeh pabandi lagana yeh manna ke fula.n Loh hi Lohe Shams hai yeh sarasar ghalat hai jis saiyare ko sharaf ho us waqt me jo naqsh jis chiz par likha jaye usey us saiyare ki Loh qarar dia jana chahiye , maslan ap sharaf e shams me Naqsh Moheetul Asrar tyar karte hain to us naqsh ko Loh e Muheetul Asrar kahiye ya Lohe shams bat ek hi hai aisa sirf sharafi auqat ki waja se hua aur agar sharf nahi hai aur Lohe shams tyar karni hai to uske shamsi Tilism ,Mohar e Shams, Mohar e Roohani aur Alamati nishan wali Loh ko hi Lohe shams kaha jayega kisi bhi dusre naqsh ko Lohe shams kehna munasib nahi usme aam o khas wali nisbat hui ke kisi bhi naqsh ko sharafi auqat me likhe jane ki waja se usi saiyare ki Loh mana jayega aur ghair e sharaf me khas mutalliqa makhsoos Tilismi Loh ko hi Lohe Shams ya Lohe mushtari waghaira gardana jayega yeh qaida zehan nasheen rahe take awam dhoka na khaye aur aamileen jane anjane me ghalati ya ghalat rawi ka shikar na ho uske liye yeh zaroori hai ke banaye gaye Loh ko sahee nam se mausoom kia jaye agar sharaf me tyar kia gaya hai to usey Lohe Sharaf e Mushtari ya Lohe Sharaf e Zohara kaha ya likha jaye aur agar ghair sharaf me Lohe Mushatri ya Lohe Mirreekh Tilism Almat aur Mohro.n ke sath bani hai to usey sirf Lohe Mushtari hi likha jaye ,Lohe Sharaf e Mushtari waghaira likhne se gurez kia jaye , aam awam ka hal yeh hai ke mukhtalif mazameen aur ishteharaat sharfaat e kawakib ki Loho.n ka dekh kar kuch ka kuch samjh lete hain in becharon ko Alwah  e Saiyargan ke ishteharat ne confuse kar rakha tha in sha Allah is mazmoon se kuch maloomat me izafa ke sath confusion me kami waaqe hogi 

ek swal yeh bhi log karte hain ke mere liye kaun si Loh munasib hogi to iska jwab yeh hai ke apko saton saiyaron ki Lohe.n darkar hai q ke Khuda ke hukm se insani zindagi par in sath saiyaron ke ache bure asarat murattab hote rahte hain jab koi saiyara urooj me hoga to apko is muamle me faida hoga jis par woh saiyara apke zaiche me hakim hai aur jab woh pasti shikar hoga to woh apne mahkoom burjon ke khano ki mansoobat ko tabah kardega lihaza unke bure asarat se tahaffuz aur nek shoaau.n ko jazb karne ke liye in saba kwakib ki Lohen darkar hain agr ap sirf apne sitare ke hisab ke koi loh banwana chahte hai to uska aasan tariqa yeh hai ke ap apni paidaishi zaiche me yeh dekhe ke apka taale kaunsa hai aur uska hakim saiyara kaun hai maslan aapka taale burj e saur hai uska hakim saiyara zohara hai lihaza apko Lohe Zohra Ya Lohe Sharaf e Zohara Mufeed hoga agar zaiche banakar taale maloom karna dushwar ho to ap angrezi mahine ke aetbar se jo burj maloom kia jata us tariqa se maloom karle.n maslan ap 22 march se 20 april ke darmiyan paida huae hain to apka burj Hamal hai aur uska saiyara Mirreekh .

Nahusat e saiyargan ko door karne ke liye kia in saiyaron ki Lohe hi wahid zarya hai.?
ji nahi Lohe Kawkib hi wahid zarya nahi balke mukhtalif hama jahti khasiyat wali Jafri aur Sadri Lohe.n maslan Lohe Takseer e Jinnah,Lohe Muheetul Asrar,Naqsh e Tohfa e Noori ,Naqsh Fatehnama,naqsh Jame Al Matloob waghairha Naqoosh o Alwaah apne andar yeh khasiyat rakhti hain ke saiyaron ki nahoosat ko sa'adat me badal de kion ke yeh naqoosh un Nufoos e Qudsiya ne tarteeb diye hain jinke isharo.n par saiyare chala karte they tafseel ka yehan mauqa nahi algharaz dafa nahoosat ke waaste mukhtalif duayen bhi marqoom hain jin me sab se ziada tajurba shuda dua Dua e Jame Al Matloob wa Daafe Al Kuroob hai uska parhne wala najoomiyo ke chhakke chhura deta hai aur jumla maqasid ko kafi hai phir Sadqa o Khairat bhi dafa nahoosat e saiyargan hai Hadees me Sadqa ke mutalliq warid hua hai ke Dua balaye asmani ko rok deti hai aur sadqa usey khatam hi kar dalta hai is waaste aamileen ne sabah saiyargan ke sadqaat inki mansoobat ke lihaz se muqarrar kiye in muqarrarah sadqat ki asal bhi wahi hai jo pichhle auraaq me aapne naqoosh aur dhato.n ke talluq se parha isliye ahadees me mutlaq sadqe ka zikr hua ap kisi bhi nahusat musibat aur pareshani se bachne ke liye kisi bhi qisam ka sadqa kar sakte hain  
ek aham swal yeh bhi hai ke kia har shaksh saiyargan ki loh banane ki ahliyat rakhta hai (mazmoon jari hai)

Thursday, September 22, 2016

Mohabbat Ke Tilismi Huroof محبت کے طلسمی حروف (Magical Alphabet of Love )



Mohabbat Ke Tilismi Huroof

Agar kisi shakhsh ko ap jaiz surat me apni taraf mail karna chahte hain maslan jahan ap kam karte hainwahan ke hukkam ya boss ap par tawajja nahi deta ya apko usse koio zaroori kam darpesh ho to is hawale se ek nihayat asan aur tajarba shuda tariqa darj karta hun lekin isme ek qaid hai ke jin 11 huroof ko likha jayega ga sirf unhi huroof ke sar e ism se mutalliq afrad ki waqti taskheer ho sakegi elawa iske kam na dega woh huroof yeh hain
ک، ع،ل،ہ،ا،و،س،ط،ض،ح،م
ab jis shaksh ki taskheer maqsood ho uskhla hurf bich ke khane me likh de.n baqi huroof das khano.n me likhe.n phir is taweez ko kisi bhari pathar ke niche daba den insha Allah woh shakhsh meharban hoga.

Saturday, September 17, 2016

Alwaah O Tilism Saazi الواح و طلسم سازی (The Amulet And Talisman Making)



Alwaah O Tilism Saazi

Allah Azza Wa Jall jo Qadir e Mutlaq hai usne in saiyargan me apni mashiyat aur hikmat se aise asarat rake hain jiska inkar koi zee aql insan nahi kar skta ,ha yeh bhi zaroor hai ke in saiyaron ko kisi amr ka mudabbir na jana jaye balke Khudaye ta'la ke hukm ka paband jane aur mane ke saiyargan ke chahne se kuch nahi hota ,hota wahi hai jo Alla tabar wa Ta'la chahe,usi Khudaye Azza Wa Jall ne is kayenat me kuch aadaten jari ki hain ke fulan siyara fulan darje ya burj me hoga to uski waja se zamin par aise asaratat zahir honge , lihaza isi adat e jaria se faida uthana bilkul fitrat aur aqal me muafiq hai isme sharai taur par koi qabahat nahi ,saiyargan ke auj o sharaf ya degar saiyaron se sad nazrat maslan taslees o tasdees ya nazraat e bad maslan tarbeeh o muqabla aur qamri manazil sad o nahas me mukhtalif qisam ke taweezat , naqoosh aur tilismat tyar karke usne faida uthana Tauheed ke manafi nahi balke asbab o alal ki dunia me apne maqasid ko pane ke liye ek jaiz sabab ikhtyar karn hai ,han yeh zaroor hai ke baz tilismat aise hua karte hain jiki ijazat islami shariyat nahi deti dunya ki mukhtalif ghair muslim qaume.n tilism saazi ke is funn me maharat rakh ti hain aur unki yeh riwayaat sadyo.n purani hai iski tafseel ka yeha mauqa nahi arz yeh karna hai ke muslim hukama aur aamileen ne tilism saazi ke is fun ko sharai nuqa e nazar se durust kia aur Huroof o Aadad ,Asmaaye Ilahiyah o Aayat e Qur'ani aur inke Muakkilan e Alwi o Sifli w aewan o khuddam ke istekhraj se aise aise maya naz talasim tyar kiye jin ki nazeer kisi dusri qaumo.n ke banaye gaye tilism me nahi milti......,(mazmoon jari hai.)

Sunday, September 11, 2016

Auj e Mushtari Ke Alwaah O Tilismaat اوج مشتری کے الواح و طلسمات (Jupiter Talismans And Amulets In Glory Of Jupiter)







Auj e Mushtari Ke Alwaah o Tilismaat
september 2013 me sad akbar saiyarah Mushtari ko 12 salon ke bad burj e sartan ke pandrawin darje par sharaf hua tha is mauqe se ek nahi balke anek alwah o nuqoosh o tilismat o chiragh tyar kiye gaye the jin ki qismat me inse mustafeed hona tha unho ne hasil kia ,yeh saare roohani tohfe is qadar tezi se khatam hue ke mujhe apne khas ahbab ke liye bhi bachane ka mauqa na mila ,alwaah o nuqoosh jo tyar kiye jate hain is me  aisi roohaniyat hoti hai jo zaroorat mando.n ko apni janib kashish karti hai ,har kohna mashq aamil yeh bat ba khoobi janta hai ke jab woh koi Loh tyar karta hai to iske talluq se kaise ghaibi taur par hajat mand rabte me aate hain , ab chunke sharf ka waqt to hath se jata raha lekin Auj e Mushtari apne qawi tar asaraat ke saath burj e mizaan ke dusre darje par qayam pazeer hone wala hai ,jab koi saiyara kisi khas burj ke makhsoos darje par aata hai to usey Sharaf,Huboot,Auj,Wabal ya Hasees ki kaifiyat se wasta parhta hai aur in mukhtalif kaifiyat ka asar la mohala alam e bala se alam e asfal par hota hai jiski waja se in saiyaron ke mansoobat manfi ya musbat tariqe se mutassir hote hain,misal ke taur par aap saiyara mushtari ko hi le lijye abhi yeh burj e mizan me jane se qabal burj e sunbla me qayam pazeer tha aur yeh burj is saiyaare ki wabal ka burj hai matlab yeh ke Mushtari is burj me apni musbat quwat kho baithta hai aur jab koi saiyaara manfi taur par asar pazeer ho raha hota hai to us waqt ke mansoobat ke talluq se manfi aamal , naqoosh ,tilismat aur chiragh tyar kiye jate hain ,thik aise hi Mushtari burj e mizan ke dusre darje par apni mansooba shaiy yani husool e daulat par zabardast musbat asar dalta hai aur is waqt aalam e bala se aane wali roohani shoaao.n ko amaliyati usool o qawaid ke mutabiq Huroof o Aadad , Asmaaye ilahi aur Ayat e Qur'ani ki madad se ba moakkil Jafri Loh,Taweez,Tilism ya Chiragh me jazb kar lia jata hai ,jiske istemal se insan par husool e zar aur maal o daulat ki aamdan ke mukhtalif zaraye khul jaate hain saalo.n ka purana qarz ada hone ki soorat paida ho jati hai aur kam waqt me ziada kamyabi meyassar aati hai lihaza aise mubarak waqt me ziada se ziada Roohani Tohfe tyar kiye jayenge jin ki fehrist hasb e zeil hai.

Mushtari ki tamam tar sa'adato.n ke husool ke waaste
LOHE AUJ E MUSHTARI 
(Ba a'waan o muakkilan)

Husool maal o daulat ke liye 
LOHE TASKHEER E DAULAT

Taraqqi Rizq o Rozgar ke liye
LOHE RIZQ E KHAS

Taraqqi maraatib aur taskheer e khalq ke liye
LOHE TASKHEER E HAJAAT

Be andaza daulat jama karne ke liye 
TILISMI CHIRAGH BARAYE DAULATMANDI

Aamdan ke mukhtalif zaraaye paida karne ke liye 
LOHE SA'ADAT E MUSHTARI

Qarz ki adaayegi ke waaste 
LOHE ADAAYE QARZ

Inami schemes se faida uthane ke liye
LOHE KHUSH QISMATI

Karobari Nuqsaan se bachao aur maal o daulat me izafa ke liye 
LOHE SURAH IKHLAS

Ruke hue paise aur qarz ki usooli ke liye 
LOHE DUA E YONUS BA MUAKKIL

Dimaghi amraz jaise junoon o pagalpan ke liye mushtari ke auj me KHAS LOHE SHIFA tyar ki jayegi,

Kahir o barkat aur hifazat ke liye ghar,dukan,makan,factory,office me frame kara kar lagane ke waaste ek nihayat khubsoorat TUGHRA AUJ E MUSHTARI tyar kia jayega ,yeh TUGHRA IDARA ROOHANI IMDAD ke membran aur Idare se munsalik Mulk o Bairoon e Mulk ke haajatmando.n ko bila qimat irsaal kia jayega. 

Wednesday, August 31, 2016

Makan Khali Karane Ka Amal مکان خالی کرانے کا عمل (Remedy For The House Evacuation)


Makan Khali Karane Ka Amal
 agar kisi malik makan ne apna makan kisi hakhsh ko kiraye par dia hua tha ab woh shakhsh makan wapas karne se inkar kar raha ho aur kiraye ke makan par apna najaiz qabza jamaye ho to aisi soorat me chahiye ke baroz itwar tulu e aftab ke bad mandraja zaeil naqsh ko ek aise safed kaghaz par likhe jis ke ek janib sufedi aur dusra rukh nila ho sufedi ki taraf nili siyahi se yeh naqsh khamoshi se likh len aur phir 11 bar durood sharif parh kar 40 martaba surah Kausar phir 11 bar durood sharif  parh kar naqsh par dam kare.n aur phur naqsh e mazkoor ko usi makan ke andar ksi jagah daba den ia bahari diwar me koi surakh ho to uske andar dal den an sha Allah chand hafton me woh ghasib shakhsh makan chhor kar vhala jayega.

Saturday, July 9, 2016

Murda Se Mulaqat Ka Amal مردہ سے ملاقات کا عمل


agar koi shaksh kisi murda se khwab me mulaqat ka aarzu mand ho to yeh amal teen din karne se kisi bhi raat khwab me deedar ho jata hai tariqa yeh hai ke budh jumerat jumah teen raat tak amal karna hai amil ko chahiye ke tanhai me soye koi dusra shaksh wahan na ho ,bistar aur kamra ka jumla saaman pakiza ho khushboo bhi pas rakhe sone se qabal is naqsh ko sarhaane rakhe aur khud baith kar teen martaba durood sharif phir saat martaba surah takasur phir saat martaba surah wadhuha phir teen martaba durood sharif parh kar so rahe jab tak neend na aye durood sharif bila tadad parhta rahe naqsh roz ka roz hi likhna hai aur niche naam ma walida likhe jisse mulaqat manzoor ho insha Allah teen din raaton me se kisi raat ko khwab me mulaqat hogi yeh amal in teen dino yani budh jumerat aur jumah ko kare jo chand ki 15 tareekh ke nazdeek ho .

Hisaar o Hifazat Ka Aamil Banye حصار و حفاظت کا عامل بنیئے (Become a Spiritual Healer Of Protection)


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668