SHARAF E ZOHARA AUR LOH E TASKHEER E KHALQ
Is saal zohra saiyara ko 17 february 2015 sham 7 baje
se lekar 18 february 2015 din ke 2 baje tak sharaf hoga is waqt yeh saiyara burj e haut ke
athaaisween darje par hogi jo ke iska sharafi darja hai ,jab koi bhi saiyara
apne sharafi darajat par pohach jata hai to goya who apni tamam tar khubyon aur
aur saad roohani qoowat ki inteha ko pohanch chuka hota hai Khuda e Qadeer ne
har saiyaare ke mukhtalif darajat me jab ke who apne mehwar par gardish karta
hua pohachta hai ek khaas qisam ki taaseer wedeyat ki hai aur yeh us Qaadir e
Mutlaq ki nishaaniyan hain jisey ahle ilm bakhubi jaante hain aur mustafeed
hote hai amaliyat ki roohani dunya ka talluq barahe raast saba saiyaargaan ki
raftar isteqamat o rajat aur bara burjon
ke mukhtalif darjat sy hai, is par sharah o basat se likhne ki feal haal yehan
haajat nahi kiyonke yeh ek alag mustaqil mozu hai albatta hubb o taskheer ke
talluq se itna arz karna zaroori hoga ke siyara zohra chunke saad asghar hai
aur husn o shohrat ki numainda saiyara hai islye iske sharaf me taskheer e
khalq ka ek mujarrab jafri Loh ka tariqa e kaar mutarif karaya jaraha hai
agarcha yeh loh digar saad saiyargan ki sharaf aur unke saad nazraat me bhi
tyar kiye ja sakte hain chunke sharaf e zohra iske liye munasib tar hai is lye
iske sharaf me Lohe taskheer e khalq ka tareeqa e kar aur iske loh ki mukhtasar
khaasiyat darj ki jati hai.
Is Loh ko pas rakh kar jis mehfil me jaayen logon ki
tawajja ka marka bane
Is Loh ke haamil ke liye har mard o aurat ke dil me be
panah izzat qaaim ho
Loh e mazkoor ko apne paas rakhne wala kisi se kuch
talab kare to usey zaroor mil jaye
Agar kisi hakim ya leader se apni baat manwani ho to who
zaroor mane ga
Muqaddme me kamyabi ke court me is Loh ko pas rakh kar
jaye to faisla haq me ho
Kisi jaani dushman ka saamna karna pare to is loh ko
apne paas rakhen koi nuqsaan harghiz na ho
Agar kisi par rupai nikal raha ho to is loh ki barkat
se uska dil paise dene par aamada ho jayega
Koi shakhsh bank se qarz lena chahta ho to is Loh ke
wasile se rukawat door ho jayengi
Apne pasand ki jagah shadi karne ke liye is Loh ko
apne pas rakhen
Agar ladki ya ladke ke baaz rishtedaar shadi me rukawat
bante ho to iska hall nikal jaye
Susraal me jin bahuwon ko izzat nahi milti yeh Loh
unke liye bepanah izzat aur hifazat ka sabab banta hai
Doctor ,wakeel , samaji leader dokandar waghaira aise log jinki aamdan ka
madaar logon ki aamad o raft par ho yeh Loh unke liye ek nemat hai
Is Loh ka haamil khwah mard ho ya aurat uske chehre me
ek ajeeb si kashish paida ho jati hai
Khubsoorti me mazeed izafe ki khatir is loh ka istemal
nihayat mujarrab hai
Jisne purani dushmani ho unke dil bhi is loh ke rakhne
wale ke liye pighal jate hain
Is loh ko istemal me laane wale ki aisi shohrat ho ke
har shanasa hairaan o shasisdr rah jaye
Gharaz yeh ke taskheer e makhlooq ka ek ajeeb tilism
hai jiske khwas bohat ziada hain aqalmand ke liye mahaz ishara kafi hota hai ab
aaiye is loh ke banane ka tareeqa mufassal darj kia jata hai jo youn hai aayat
taskheer me se kisi aayat ka intekhab kia jaye joke aapke nam ke huroof se
mutabiqat rakhta ho iske adad me apne naam ma walida ke adad shamil karlen aur
phir 41 tafreeq kar dalen aur jo bar aamad ho unko huroof bana kar aage kalma
ael lagaayen jisse moakkil ban jayega phir ek takseeri satar is taur par tyar
karen ke pehle nam ma walida ke huroof likhen iske baad aayat taskheer ke
huroof e mufarradah ab is takseer ko sadr moakkhir karen iske bad is ke bad is
takseer ke pehlooye raast aur pehlooye chap ke huroof utha len aur inko alahida
alahida sutoor me likhen aur huroof ko shumar karte jaayen agar ek satar me
juft huroof hon to char char kalme aur taaq huroof hon to teen ya panch kalme
bana len jis qadar jumle hon unke aage kalma yosh lagayen is tarah aewanul amal
bar aamad ho jayega iske bad takseer ke jumla huroof ke aadad abjad qamri sy
nikal kar inme se 319 adad tafreeq karen aur baqaaya adad ke huroof bana kar
isme kalma taesh lagaden yeh jinnatul amal ka naam bar aamad hua ab chahiye ke
kul takseer ke aadad qamri ko naqsh e mukhammas me pur karen aur naqsh ke har
chahar janib aewanul amal ke asmaa ko likhen aur naqsh ki doosri janib ek farzi
taswer banayen jisme shakal o surat waazeh na ho ke yeh shariyat me mamnoo
balke haraam hai bas aisi ke lage han kuch mabham si baghair naak ankh ke ho
,ek mard kursi nasheen aur iske saamne
khilqat ka hujoom ho ab mard ke sar par moakkil ka naam likhen aur makhlooq ke
saron par jinnatul amal ka naam tahreer
karen aur is mabham tasweer ke ird gird oopar niche daayen baayen aewanul amal
ke asmaa ko likh dijye bas yeh LOHE TASKHEER KHALQ tyar hai is tarah teen lohen
banayen ek ko taalib apne pas rakhe doosre ko apne makan me kisi oonchi jagah
kapde me sil kar latka den teesre ko kanch ke frame me jarwa kar aisi jagah
office ya ghar me aawizan kare ke har aane wale ki nazar us par pare agar frame
lagana dushwar ho to phir teesry ko tanbe ya chamre ki taweez me band karke
kisi bhari saman ke niche daba den asar me kuch kami waaqe na hogi jaisa ke
tajurba hai is loh ki tyari me aksar ghalati waaqe ho jaya karti hai kyonke
isme takseeri amal hai jis me zara si bhi ujlat ya laprwahi se sari mehnat
akarat jati hai lihaza iska khas khyal rakhna hai Allah hume ilm naafe ata
farmaye.
|