Wednesday, December 10, 2014

Faal Lene Ka Islami Tasauwor فال لینے کا اسلامی تصور फ़ाल लेने के इस्लामी अवधारणा






Faal Lene Ka Islami Tasuwor
Chand maah qabal main ne istekhara ke talluq se ek jame mazmoon apne blog me shaya kia tha jis ke akheer me maine faal aur tashkhis ke mutalliq aainda wazahat karne ki baat kahi thi lihaza is silsile me tahreer pesh e khidmat hai yeh mukhtasar mazmoon faal ki sharai haisiyat ko wazeh karne ki gharaz se likha gaya hai aksar log faal aur istekhara aur tashkhis ko khalat malat kar dete hain awam to khair apni jagah rahi amil kehlane wale hazraat bhi is baka me giraftar hain tashkhis ki tareef ko phir aainda ke liye moakkhar karta hun feal haal faale hasan aur bad faali ka islamintasuwor mulahiza kijye.
Faal ka jahilana tasuwor yeh raha hai ke kankariya.n phenk kar lakeer khinch kar daane aur ghutliyan juft taaq gin kar aur qara andazi karke kisi kaam ke karne ya na karne ki ijazat o mumaneat ya anjaam e khair aur anjam e bad ko maloom karne ki koshish ki jati hai jo ke tiflana tasalli aur ahmaqana fel ke siwa kuch nahi aur is bar akas faal aur tafaul ka islami tasuwor yeh hai ke azkhud koi koshish na ki jaye balke dafatan kisi achi baat ya ache naam ke sunne ka ittefaq ho jaye to isey nek shagun par mehmool kar lia jaye aur admi khuda ki rahmat se pur ummid hojaye ,jahili faal aur me nek o bad dono qisam ke shagun maujood hain jabke islami faal ka aksar o beshtar talluq shagun ke ache aur rajai pehlu se hota hai.
Hazrat abuhuraira raziallaho anho kehte hain maine Rasoolullahi salallaho alai wasallam ko farmate hue suna ke bad faali koi chiz nahi aur faal  Achi chiz hai farmaya acha kalama jo kisi se sune yani kahin jate waqt ya kisi kaam ka irada karte waqt kisi ki zuban se acha kalma nikal gaya yeh faal e hasan hai (Bukhari o Muslim)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ne farmaya teer yani bad faali shirk hai yani mushrikeen ka tariqa hai (Bukhari o Muslim) isko teen martaba farmaya ek doosri hadis me farmaya jo koi hum me se ho yani musalman ho woh Allah par tawakkal karke chala jaye (Abudaud o Tirmizi)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ke samne bad shagun ka zikar hua to Huzoor ne farmaya faal achi chiz hai aur bad shagun kisi musalman ko wapas na kare yani kahin jaraha tha aur bura shagun ho to wapas na aaye chala jaye aur jab koi shakhsh aisi chiz dekhe jo usey napasand ho yani bura shagun paye to kahe.
 اللہم لا یاتی بالحسنات الاانت ولاید فع السیئات الا انت ولاحول ولا قوۃ الا با للہ 
Faale hasan ki wazahat karte hue kehte hain ke yeh ek aisa kalama hai ke jisse kisi momin ko manpasand maani samajh me aate hon tahum iski shart yeh hai ke isko maloom karne ke liye azkhud koi justujoo na ki jaye balke woh achanak ittefaqan sunne me aajaye  ( haashiyah siraj e muneer)
Sharah shareef me faal lena yeh hai ke insaan azkhud koi faal lene ka qasad na kare achanak hi koi bat uske kaan me aapade agar qasad aur irade se aisa karega to yeh faal na hogi jika jawaz shariyat me hai. (Almudkhal)
Faal ki kisal yeh hogi ke farz kijye kisi shakhsh ki koi chiz gum ho gaibaur woh ussey dhoond raha ho itne me woh sunta hai ke koi shakhsh wajid ali ka naam lekar kisi ko aawaz de raha hai ab dhoondne Wala wajid ke lafz se chiz ke mil janr ka faal lesakta hai kiyonke wajid maane hain pane wale ke lekin isme shart yeh hai ke dhoondne wala shakhsh khud kisi ko tyar karke na bheje isi tarha agar koi lashkar kisi mohim par agar rawana ho raha ho aur ahle lashkar ko fateh ,nusrat,mansoor,zafar waghairah ke alfaaz sunne ka ittefaq ho to yeh faal e hasan hogi kiyonke inme kamyabi ki taraf ishara hai .
Kehte hain khuda ki taraf se bheji gai faal yeh hai ke jab koi shakhsh aazim e safar ho to woh kis shaksh ko ae salaam ae salamat keh kar pukarte hue sune ya koi koi bimar ho woh ya shafi ya kaafi kahte hue sune  ( hashiyah siraj e muneer)
Shaikh Abdul Haque muhaddis dehelvi kehte hain ke Rasool e Paak sallallaho alaihi wasallam nek faal lia karte they chunancha jab koi shakhsh samne aata to uska naam daryaft karte they agar uska naam rashid ,kamraan, zafaryab waghairah ho to khush ho jaya karte aur isse rushd o hidayat aur kamrani o kamyabi ki faal lia karte they.Huzoor salallaho alaihi wasallam bilumoom naamo.n hi se faal lia karte they jis kisi jagah ka kisi ko amil bana kar bhejna hota to pehle uska naam daryaft karte agr uska naam acha hota to khush hote aur bura naam hota to nagawari ke aasaar chehra e mubarak se zagir hojate isi tarha gaun bastiyon aur manzilo.n ke namo.n se faal lia karte they.(sharah safarussadat)
Kutub e ahaadis ki roshni me yeh bhi wazeh hota hai ke Huzoor sallalaho alaihi wasallam ne kai logo.n ke naam unke qabool e islam ke bad badal diye they naam Badalne ki youn to aur bhi wajoohat thi.n lekin aham waja yehi tafaul e hasan tha .
Imam Jalaluddin Seuti ne ek waqeya likha hai aur woh yeh hai ke mahmood halbi ka bayan hai ke qazi ibnulkhawi aur main ne ikhatte hajj kia jab hum maqam e arfaat me they to huamre mabain hadees
 من ذکرنی فی نفسہka tazkira chal nikla qazi sahab kahne lage kash yeh maloom hojata humne to khuda ko yaad kia bhala hume bhi mala e aala me yaad farmaya gaya hai ya nahi achanak ek kitab ka munadi karne wala guzra hume maloom nahintha ke uske paas konsi kitab hai maine qazi sahab se arz kia zara is kitab me dekhe.n aur isse faal le.n chunancha usse kitab lekat pehla safa hi khola tha ke uske daye,n taraf ibnulfaraz ka yeh sher nazar para لک البشارت فاخلع ما علیک فقد
ذکرت ثم علی مافیک من عوجqazi sahab ne apne ehram ke kapde utare aur us shakhs ko de dia jiske pas woh kitab thi aur bojat khush hue .
Istekhara masnoona ke baad is tarha faal lena baaz bizurgho.n se manqool hai lekin yeh unka mamool nahi tha balke kabhi kabui woh aisa kar lia karte they maslan abu mohammad abdullah jahbi ke bare me ek riwayat milti hai woh bayan karte hain ke ek bar ba amr majboori bahri safar ke liye namaz istekhara ada karne aur dua e istekhara mangne ke bad barkat ke liye quran pak khol kar dekha to achanak mera hath is ayat par para ..
واترک البحر رھوا انھم جندمغرقون .bad me pata chala woh sab ke sab dauran e safar gharq ho gaye.
Faal e hasan ki misal dekhiye jang e qadsiya me musalmanon ke hath ek jhanda laga tha jis par irani tilism saazo.n ne das hazar khano wala naqsh
(
Musalman hukama ne riyazat e Shaqqa se iski zakat ,qurbaniyon,aur kam lene ke tariqe maloom kiye aur apne shaghal o amal se har shakhs ko faiz pohchaya aur isko nihayat poshida raka is azeem naqsh ka tariqa aur iski khususiyat bohat jald shaya kia jayega ) auza e falki ki saat e sayeed me sone ke taro.n se kadha tha iran ke in tlism tyar karne walon ka khayal tha ke jis taraf 10000 ka naqsh hoga woh hamesha apne dushmano par ghalib hoga lihaza yeh faal e hasan dekhye ke musalmano ke hamle ke waqt bahukm e khudahawa ne  hamesha uska rukh musalmano ki janib rakha irani foj ko shikasht e faas hui aur sipaah salar rustam zillat ki maut  mara gaya to kehna yeh hai ke jhande ka rukh barabar musalmano ki taraf hona yeh faal e hasan tha lekin agar is tilismi jhande ka rukh kafiro,n ki taraf hota jab bhi woh harghiz iman walon par ghalib nahi aasakte they kiyonke Ashaab e Rasool aur iman wale apni batini roohani qowaton se aise tilism par fateh paa sakte hain unke quloob aur nazar kafiron ki tyar karda hazaron tilism par hawi hote hain jaisa ke firaun ke darbar me Hazrat e Musa alaihissalam ke samne jadugaro,n ki na chali lihaza aaj bhi agar hum un aashiqane mustafa ki kamil pairwi karen to koi jadu  sehar acha ya bura hum par asar andaz nahi ho sakta.
Is mukhtasar si wazahat aap itna to samajh gaye honge ke faal kahte kise hain aur isko kaise le lia jata hai fal e hasan koi nikalne ki hiz nahi balke nikal jati hai aur bad faali musalman ko harghiz na lena chahiye ,musalmano ke liye sab chizen saad hain aur hasan hain jabke mushrikon aur kafiron ke liye koi chez saad nahi iske saath hi yeh bhi malom hua ke log jo aamilin ke pas jakar kahte hain zara hamara faal khol dijye aur dekhye hum par kisi ne jadu tona to nahi kardia hai humara kaam nahi chalta, biwi se jhagda rahta hai, bahe bat nahi sunte,paise hathnme nahi rukte waghairah zalik ....kia yeh jihalat nahi arey bhai aamil ka kaam faal kholna nahi uska kaam to tashkhis karna hai jise aaj kal istekhara aur faal ke naam se mosum karne ki jihalat awam o khwas dono kar rahe hain.
Insha Allah ainda tashkish par ek mazmoon shaya karunga
Mohammad Imran Razvee Al Quadri
                                                                   (Spiritual Healer)

Saturday, November 29, 2014

Nazar e bad Maloom Karne Ka Muhaiyeruluqool Tariqa نظر بد معلوم کرنے کامحیر العقول طریقہ (An Amazing Method To find Evil Eye )

Nazar e bad Maloom Karne Ka Muhaiyeruluqool Tariqa
Yeh bat aksar dekhne me aai hai ke baaz auqat insan aise maraz ka shikar ho jata hai jis ki na to tashkhis hi mumkin hoti hai aur na is maraz ka izala mumkin hota hai roohaniyat se dilchaspi rakhne wale ahbab ke nazdeek aise maraz ka sabab na hi to jismani hota hai aur na asebi o sifli balke aisa mariz nazar e bad ka shikar hojata hai jis ka jald aur saheeh ilaj na hone ke bais maraz ilaj mualja karne ke bawajood shiddat ikhtiyar kar jata hai ,is maraz ka shikar har shaks hosakta hai khususan bachche aur aurat is maraz ka asar fauran qabool kar leti hai, nazar bad maloom karne ka ek sau fisad kamyab tariqa zail me darj kia jata hai jise aazma kar ajaibaat e khuda wandi ka mushahida kare.n
Ek adad baiza e murgh lekar is par zail ki ibarat tahreer kare.n iske bad baza e murgh ko khusk dhania ki dhuni de de.n aur sat martaba surah ikhlas parh kar ande ko tor dale.n amal ki barkat se ande me zardi o safedi ke bajaye taaza khun nazar aayega is khoon se mariz ki peshani par nishan laga de.n nazat e bad ka asar fauran zail hokar mariz tandurust hojayega ibarat yeh hai.
لمشخ مھعلش معلشلخ بجمھلمش معلشلخ بجمتملش مجصلمش ملکثخ مصطثبلخ مصطھلیصح معلعصلص معلصط سطتو ا ایتھو اھیال العجل یکعلھو نیثا الخیر ھبال العجل الو حاالسا عتہ اللعنتہ الشیطان الرجیم بمادالنظرر والعین العامل۔
Nazar e bad se tahaffuz ke liye humare yehan mukhtalif qisam ke taeezat aur chandi tanbe ki takhtiyan tyar ki jati hain apne ahbab ,ghar ,kaarkhane,office factory. Machine ,gari waghaira ki hifazat ke liye hadiatan hasil kijye



Sunday, November 23, 2014

Yadullahi Yaaseen Ka Amal e Nasooti ید اللہ یسین کا عمل ناسوتی (Spiritual Practice of Yadullahi yaseen)


Yadullahi Yaaseen Ka Amal e Nasooti
Yeh amal bhi 40 din parha jayega iska tariqa yeh hai ke rozana suraj tulu hote waqt aamil ehram bandhe aur suraj ki taraf rukh kar ke baith jaye aur apni ankh band karke ek hazar martaba yeh amal parhe YADULLAHI YAASEEN aur jab ek hazar ki tadad puri hojaye to amil suraj ki taraf pusht karke baith jaye aur apne hath apas me ek bar male aur 100 martaba yadullahi yaaseen parh kar apne hatho.n ko apne chehre par male is tarha khuli chhat par baith kar jahan suraj ko dekhna aasan ho yeh amal lagatar 40 din karen aur nauchandi itwar se is amal ki shuruat kare
Ilaj ka tariqa
Iska amil gareebon ke ek din ke 25 rupai aur maldaron se 100 rupai hadia le sakta hai isse se ziada wasool karna thik nahi amal ek mariz par lagatar 9 din tak jari rakhe.n ,amal ke waqt bimar ka chehra mashriq  ki taraf ho aur amil ka chehra maghrib ki taraf ho  aur amil agar amal karte waqt bhi ehraam me ho to afzal hai ,amil pehle dil hi dil me 12 martaba yadullahi yaaseen parhe aur phir apne dono haath 12 martaba mal kar ragde aur mariz ke sar par dono hath ek bar rakhe iske baad dono haath ragad kar mareez ke dil par masas kare iske bad phir 12 martaba apne dono hathon ko ragde aur mariz ke dono hathon ki hatelyon par masas kare phir 12 martaba apne haath ragde aur mariz ke dono pair ke talwon par masas kare phir paon ki taraf khade hokar ek martaba aahista se kahe yadullahi yaaseen ki barkat se yeh bimari door hui aur tandurusti wapas aagai, insha Allah bimar pehke din
Se acha hona shuru hojayega aur 9 din me mukammal tandurust hojayega agar darmiyan me mareez thik ho jaye to amal ko 9ndin jari rakhne ki zarurat nahi agar khuda nakhwasta thik na ho to 9 din se ziada amal na kare aur allah ki marzi samajh kar amal 9 din me khatam karde.jolog amail ko apne ghar bula kar amal karayen amil ghareeb se ek din hazri ke 45 rupai le sakta hai aur maldaar se 200 ripai se ziada lena durust nahi yadullahi yaaseen ka amil agar apne dono haath achi tarha dho kar aur dil hi dil me yadullahi yaaseen parh kar ragde phir dono haath ko kisi pani bhare tasht me rakh de aur ek minute tak inhe pani me duboye rakhe to yeh pani jis mareez ko pilaya jaye insha Allah usko zabardst faida hoga iska hadia amil ghareeb se 20 rupai aur maldar se 90 rupai wasool kar sakta hai ,rozana is pani ko subah dopahar sham pina zaruri hai waazeh rahe is pani ka isse ziada hadia wasool karna amil ke liye harghiz jaiz nahi,
Salab e Marz Aur Yadullahi Yaaseen
Yeh aisa pur taaseer amal hai ke iska amil har mariz ki bimari is amal ke zarye salab kar sakta hai agar amil kanwara ho to jaldi taseer zahir ho sakti hai islye akabireen ki raye yeh hai ke is tarha ke aamal shadi se pehle kar liye jayen lekin shadi shuda hazraat par bhi koi pabandi nahi woh bhi isse istefada kar sakte hain aur faida utha sakte hain agar insan khud ko ibadat o riyazat ka paband banaye rakhe aur gunaho se khud ko mehfooz rakhe to yadullahi yaaseen ke amal se usko aisi roohani taaqate.n hasil hojayengi jiska woh
Tasuwor bhi nahi kar sakta baaz buzurghon ne yehan tak farmaya hai ke agar amil muttaqi aur parhezgar hai aur yadullahi yaaseen ka ka amil hai to iska mariz ko sif ek hath laga dena hi kafi hai amil ke chhute hi mariz acha hojayega isi tarha yadullahi yaaseen ka amil agar sahib e taqwa hai to iske ek bar chhu lene se pani me shifa pohchane ki zabardst taseer paida hojayegi phir jo bhi mariz is pani ko ek bar hi pi lega to usko usi waqt befazle Rabbe Kareem sehat mil jayegi ,lekin aisi sifat un amilon me paida hoti hai jo maidan e amaliayt ki bunyadi riyazaton ko kisi kohna mashq ustad ki shagirdi me anjam de chuka hota hai ,janna chahiye ke salab e marz koi asan kam nahi yeh nihayat khatarnak tareeqa hai jisse mariz ke jumla amraaz ko aamil apne jism me muntaqil karta hai aur phir fauran bahar nikal deta hai ke agar zara der hui to amil khud isi maraz me giraftar hokar rah jayega beharhaal yadullagi yaseen kamail agar bunyadi riazaton se khali ho jab bhi taseer me kuch kami waqeh na hogi lekin salab e marz ki niyat harghiz na kare ,insha Allah salab e maraz ki tareef aur iske mukhtalif hairat anghez aamal faqeer shaaiqeen e amaliyat ke liye shaya karega ek bat note kar len agar mariz na mehram aurat ya ladki ho to amil ka unko hath lagana jaiz nahi iske liye mazkoorah tariqe se ishare se masas kare aur dam kare.



Tuesday, November 18, 2014

حروف الف لام میم کا عمل ناسوتی Huroof Alif Laam Meem Ka Amal e Nasooti (Spiritual Practice of Letter Alif Laam Meem)



Huroof Alif Laam Meem Ka Amal Nasooti
Sufiyo.n Aur Darwesho.n Ke Who Aamal Jo Sina Basina Chale Aarahe Hain
Yeh who huroof hain jin se kalamullah ki shuruat hoti hai Allah tala ki bheji hui aakhri kitab ka sab se pehla hurf alif hai huroof e muqatteaat me alif aur ya ka bohat bada darja hai kiyon ke alif huroof e tahajji ka sab se pehla aur ya sab me aakhir hurf hai ye dono huroof nida me jama hokar apni ahmiyat ko zahir karte hain jab insaan Allah ko pukarta hai to hurfe nida yak e saath pukarta hai lafze ya me huroof e tahajji ka pehla aur aakhri hurf maujood hai
Buzugho.n ne farmaya hai ke Alif Lam Meem ka amal tamam maddi zaroorto.n aur jismani bimaryo.n ke liye teer bahidaf ki haisiyat rakhta hai aur kaisa bhi khatarnaak aur mohlak maraz ho alif laam meem ka amil is maraz se mareez ko nijat dilane me kaamyab hojata hai .
Alif Laam Meem ka amil banne ke liye alif laam meem arbi rasmul khat me qadre mota kar k eek gate pe likhwaya jaye ya safed kaghaz par likhwa kar ia computer se kisi achche font me print out karwakar isko gate par chaspa kardia jaye phir is gate ko kisi diwar par laga dia jaye aur teen ghaz ke faasle par do zaanu baith kar alif laam meem 5000 martaba parhe parhne ki jagah aur waqt muqarrar ho aur lagatar is amal ko 40 din tak jari rakhen.
Is amal me kisi bhi tarha ka koi parhez karni ki koi hajat nahi albatta jagah ,waqt aur tadad ki pabandi zaruri hai ,paak saaf kapdo.n me amal karna bhi shart ki haisiyat rakhta hai iske elawa kisi bhi tarha ki shart aur pabandi ki zarurat nahi ,agar 40 din me ek din bhi nagha hojaye gay a jagah aur waqt ki pabandi ek din bhi barqarar nahi rahegi to amal bekar hokar rah jayega .
Agar 39 din tak parha aur ek din kisi waja se chhot gaya to 39 din ki mehnat bekar hojayegi ,is liye amal ki shruat us waqt kare.n jab 40 din me ek din bhi nagha hone ka andesha na ho albatta is amal ko karne ke baad agar kisi wajah se chhod dia to amil ki taraf kisi tarha ki rajat nahi hoti  tahum baghair kisi uzr kea mal ko paya e takmeel tak pohchaye baghair chhodna kam himmati aur namuradi ki dalil hai .
40 din pure hone ke baad amail ki nighah aur zaban me zabardast taseer aur roohani quwat  paida hogi  is ke baad aamil agar kisi mareez par 3 minut nazar jama kar dekh kar dil hi dil me alif laam meem parh lega to mareez befazle Khuda acha hojayega kitna bhi khatarnak maraz ho agar amil mareez ko 11 din tak jhaad de aur alif laam meem parh kar dam karde to mareez tandurust hojayega .
Jhaadne ka tareeqa yeh hai ,mareez ko bilkul chit lita de aura mil apne chehre ko maghrib ki taraf kar le aur mareez ke ghutno ke pas baithe iske bad 30 bar alif laam meem parh kar sar se par ki taraf dam kare sirf ek martaba dam kardena kaafi hai isi tarha lagatar 11 din dam kare.
Is amal ki niaz yeh hai kea mil mareez se rozana 90 rupai wasool kare is me se 70 rupai apne sarfe me laaye aur 20 rupai kisi majboor ko khairat karde isse ziada agar amil wasool karega to amal bekar hojayega  muhaida ki khilaf warzi ki wajah se .
Chillah ki takmeel ke bad amil apne haath se alif laam meem ka naqsh likh kar mareez ko de sakta hai ek naqsh gulab o zafran se likhe is naqsh ko botal me dal kar pani bhar de aur 11 din subh o sham iska pani mareez ko pine ki takeed karde aur rozana waqt muqarrar kar ke mareez par mazkoora tareeqe se dam karta rahe insha Allah bohat tezi ke saath mareez sehat ki taraf palte ga.
Gale me dalne wala naqsh kale kapde me silne ki takeed ki jaye yeh naqsh aur yeh amal tanan bimaryou.n me befazle Rabbul aalameen teer ki tarha kaam karta hai aur mareez ko hairat nak taur par shifa hojati hai lekin amileen ke liye zaroori hai ke who pehle iski zakaat ada kare aur niyaz marizo.n se utni wasool kare jitni humne takeed ki hai aur isme se bhi gharibon ka haq zaroor nikale .
Note:
Agar mareez kisi dusre mulk ya shahar me ho to is amal se faida na hoga kiyonke is amal me mareez ka qareeb hona zaroori hai dam karne ke liye is ke liye ek doosra Nasooti Amal hai jo aainda mazkoor hoga.

Friday, November 7, 2014

Dawat Surah Ikhlas Ba Moakkil Baraye Futooh o Usat e Rizq. دعوت سورہ اخلاص با موکل برائے فتوح و وسعت رزق (Spiritual Practice Of Surah Ikhlas For Wealth)


Dawat Surah Ikhlas Ba Moakkil Baraye  Futooh o Usat e Rizq.
Nauchandi jumerat ko roza rakhe.n aur bad nmaz fajar naha kar kisi se kalaam na kare.n aur khilwat me paak kapde pahan kar khusboo sulgaye.n arw aur do rikat tahiyatulwozu parh kar is etesam ko 300 martaba parhe.n ۔بسم اللہ الرحمن الرحیم اللھم اجعلنی من المخلصین بحر متہ سورتہ الاخلاص ویسرلی مایلیف بھا بین الخواص الشریفتہ والمواھباتہ الا لھیتہ وصلی اللہ تعالی علی سید نا محمد والہ اجمعین برحمتک یا ارحم الراحمین
Iske baad 1000 martaba surah ikhlas is tariqa se parhe.n بسم اللہ الرحمن الرحیم قل ھو اللہ احد اجب یا جبرئیل اللہ الصمد اجب یا میکائیل لم یلد ولم یولد اجب یا اسرافیل ولم یکن لہ کفوااحد اجب یاعزرائیل
Aur parhne ke waqt qul huallah ka naqsh zanu par rakhe.n iske baad 100 martaba is ikhtetam ko parhe.n  یاحنان انت الذی وسعت کل شئی رحمتہ وعلمایاحنان 
iske baad 100 bar is dua ko parhe.n
 اللھم انی اسلک سخرلی خد ام ھذا السورتہ بحق لاالہ الااللہ محمد رسول اللہ
Isi tarha baad namaz zohar,asar maghrib,isha aur tahajjud k eke k hazar ma etesam o ikhtetam ke parhe.n majmua 6000 martaba rozana ka hua aur kul 14 din parhe is tarha 84 hazar marta hua phir pandhravi din jumerat ko bad namaz fajar hazar bar parhe isi din bedari ya khwab me 3 farishte hazir honge unka naam Abdullah, Abdulahad,Abdussamad  hai who salaam karke kahenge aye abdussaleh tum hamare bhai hogaye kisi musalman ki burai na karna aur har jumerat ko qaboor e muslimeen ki ziarat kw jana aur hamesha surah ikhlas parhte rahna humlog tumhari hajato.n ke kafeel hain aur behtar yeh hai ke dawat ke zamane me 15 roza rakhe aur iftar siah angoor se kare agar siah angoor na mile to munaqqah ia kishmish ,maghaz badam khaye aur khane me chawal o shkar khaye namak bilkul na khaye aur khilwat me rahe agarbatti o khushbu ka istemal rakhe phir chilla ke baad rozana 111 bar parhta rahe naqsh yeh hai
Note-
Is amal ko har shakhs nahi kar sakta siwaye uske jis ne mukhtalif amal ke chille baandhe ho aur is silsile me khoob waqfiyat rakhta ho ,yeh amal lajawab hai aur baaz auqaat riyazat ke dauran muakkil ki mauoodgi ka ehsaas aise hota hai ke haibat taari hojati hai lekin yeh moakkilan bohat raham dil aur meharban hote hain zarar nahi pohchate lekin khud se dar gaye to pagal hojane ka andehsa qawee hota hai behtar hai ustad ya peer e kamil ki ijazat aur unki negehdasht me mal kare.n insha Allah 100 fisadi kaamyabi naseeb hogi zindagi me kabhi bhi tangdast na hoga aur jisko bhi naqsh likh kar dega uska rizq bhi kushada hoga aur behtar hai ke jumla maqasid ke liye Lohe Surah ikhlas tanbe par kanda karke dia kare ke asar iska saalon qaim rahta hai.


Thursday, October 16, 2014

Bachcha Na Hone Ke Asbab بچہ نا ہونے کے اسباب (Reason Of Pregnancy Disorder)



         BAHCHCA NA HONE KE ASBAB
Yeh amal faqeer ko buzurghan e deen se dast ba dast mila hai tajurba se saheeh sabit hua yeh amal Hazrat Sulaiman alaihissalam ko pariyon ne bataya tha ke aulad se mehroom rahne ki saat illate.n hoti hain yeh sab ma alamaat o ilaj darj hain.

1. Pehli illat yeh hai ke aurat ki raham yani bachha dani ulat jati hai.
Alaamat.
Bad sohbat aurat ke sar me dard hota hai
Ilaj.
Maghaz banola murgh ki bet apas me hal kar ke haiz se farigh hokar teen roz roi tar kar ke shiyafa le bad teen yom ke jama kare.

2. Doosri illat yeh hai ke aurat ke raham ka munh band hojata hai.
Alaamat,
Bad jama andaam nihani ke saath sara badan dard karta hai ,chehra zard hojata hai.

3. Teesri illat yeh hai ke raham ke munh me waram ya gosht aajane se hamal qarar nahi pata.
Alaamat,
bad sohbat kamar me dard hota hai.
Ilaj,
Zira saf3d aur hathi ka nakhun bareek pees kar gaye ke ghee me mal kar shiyafa le ,bad teen yom sohbat kare.

4. Chothi illat yeh hai ke raham ke sar par keeda paida hojata hain jo nutfe ko lha jata hai 
Alaamat,
Haddiyo.n me dard hota hai.
Ilaj,
Sabun,saji khar qadre pani me hamwazan hal kar ke bad haiz teen yom shiyafa le badahu jama kare.

5. Panchhwi illat yeh hai ke etedal se ziada raham me garmi paida hojaana.
Alaamat,
Dil ka dharakna aur dil ke maqam par dard hona 
Ilaj,
Gaye ke ghee me maghaz neeb ,gule gulab pees kar shiyafa le bad teen yom sohbat kare

6. Chhati illat yeh hai ke etedal se ziada sardi jama ho jaye.
Alaamat,
Bad jama chhati me dard hota hai .
Ilaj,
Kilonji zira siyah hamwazan paoser tili ke tel me pakaye.n jab nisf rah jaye roi tar kar ke teen yom shiyafa le badahu jama kare.

7. Satwi.n illat yeh hai ke deo pari ummussabiyan ka asar hona 
Alaamqt,
Bad sohbat ke kisi qisam ka dard na hona.
Ilaj,
Nek saat ,e naqsh isteqrar e hamal mushk o zafran se likh kar bad taharqt haiz kamar me bandhe aur hambistar ho.

Note.,
Bachcha na hone ka sabab unki alamat aur unka ilaj jo upar darj kia gaya hai yehi woh asbab hain jin ki waja se hamal ka isteqrar nahi ho pata hai ,wajoohaat aur alamaat musallam hain jabke ilaj mukhtalif tariqe se kia ja sakta hai lihaza jin hazraat o khwateen ko upar diye gaye tibbi mualje me uljhan mehsoos ho to woh apne doctor se rabta kare.n yeh un 6 alamaat ke liye hain aur akhir ka ek waja adam isteqrar e hamal ka roohani hai is silsile me aamileen se elaj kar waye.n kabhi asarat e shaitani aur bandish e hamal bhi ek aham waja hoti hai iski alamt yeh hai ke mard aurat ka sara medical test saheeh hota hai aur dono tandurust hone ke bawajood aulad ki khushi se meroom rahte hain ,agar surat e haal yeh hai to is faqeer ka mashwara yeh hai ke kisi bhi amil se rohani ilaj karwane ke saath doctors ke diye hue dawaon ko bhi band na kare.n ke baaz auqat sehar bandish ki waja se dawaon ka sar nahi hota ,behamdillah mera roz ka tajurba hai aur sinkdo jodo.n ko Allah ke fazal se aulad ki nemat hasil hui hai.


Sunday, August 24, 2014

Lohe Atarad Ba Moakkil لوح عطارد با موکل (Angelic Mercury Talisman )

LOHE ATARD BA MOAKKIL
Khuda ke fazal se is ssal sharaf e atard me humne ek aisi pur taseer Lohe Atard ba moakkil tyar ki hai jis ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai yeh baat to funne amaliyat wattaweezat ke waqif karo.n se poshida nahi ke kisi bhi saiyare ki sharaf ya auj me ya saad nazraat ba deegar saiyargaan me jo naqoosh ,taweez ya talism lkhy jate hain khwah yeh nihayat sada tareek par pur kiye gaye ho.n ,waqte makhsoos me banaye jane ke sabab taseer e kulli rakhte hain jab in sada naqoosh o talismat ka yeh haal hai to woh ba moakkil naqoosh o talismat jo Almalaaikah Walawaan jaise maya naaz jafri qwaid ke tehat tyar kiye jaye.n jin me Miftaah, Mughlaaq, Adal , Waqf , Masahat , Zabta , Ghayat aur Asal ke istekhraj se 8 moakkil Alwi aur 8 Awaan ya jin baramad karke naqsh ya talism ko harkat karne par majboor kia jata hai ,aise naqoosh kis qadar taseer ke hamil honge aise naqoosh o talismat ki qarar waqai quat ka andaza karna ek mshkil amar hai ,humare yehan aise makhsoos waqto.n me maslan Zohara , Shams , Marrikh , Qamar , Zohal , Mushtari ke sharfaat aur deegar saad nazraat me bamoakkil naqoosh hi ziada tar tyar kiye jate hain ab raqimussutoor Imran Razvee Lohe Atarad ba moakkil ki mukhtasar khasiyat qalamband karte hue mazmoon ka ikhtetam karta hai , 
Lohe Atard ba moakkil ki khasiyat mandarja zeil hain.
@Har qisam ke imtehan me kamyaabi
@Tahreeri fun me maharat
@Taqreeri salahiyat me izafa
@Uloom ke husool me asani
@Ulama aur Peeran e Ezaam ki taskheer
@Band kaam ka jaari hona
@Husool e rizq me aasani
@Kund zahni ka ilaj
@ Nisyaan yani bhulne ki bimari ka khatma
@Dimaghi har qisam ke amraaz ka shafi ilaj
@Zahni istedad me khwatir khwa izafa
@Quwat e Hafiza me ghair mamuli taraqqi
@ Bachcho.n ka taleem me dilchaspi lena
@ Mulazimat naukri me taraqqi
@Kisi deeni dunyawi safar me kaam yabi
@ Malikholia aur pagal pan ka ilaj
@ Bank me kam karne wale afrad ke liye khususi talism hai
@ Padhne likhne wale chhote bachho.n aur muqabla jaati imtehan me baithne wale bade bachhon ke liye ek nemat e ghair mutaraqqaba hai.





Thursday, August 14, 2014

IMAM FAKHRUDDIN RAAZI AUR ILMUTTALISMAT امام فخرالدین رازی اور علم الطلسمات (The Knowledge Of Making Talisman And Imam Fakhruddin Razi )
















IMAM FAKHRUDDIN RAZI AUR ILMUTTALISMAAT
 By IMAM FAKHRUDDIN RAAZI  Rahmatullah Alaih
TLISM BARAYE IZAT O MANSAB
AGAR JAAHO JALAL AUR IZZAT O MANSAB KI KHATIR TILISM BANANA MAQSOOD HO TO US KE LIYE BEHTAR HAI KE AFTAB BURJ HAMAL KE PEHLE YA CHAUTHE YA PANCHVI YA CHAUDHVI YA PANDRAVI YA ATHARVI DARJA ME HO YA BURJ SOOR KE AATHVI DARJE ME HO YA BURJ JUZA KE PANCHVI YA CHATTHI YA GYARHAVI DARJA ME HO YA BURJ SARTAN PANDRAVI DARJE ME HO YA BURJ ASAD KE ATTHARVI YA SATTAISVI DARJA ME HO YA MIZAAN KE PEHLE YA DUSRE YA UNNISVE YA BAISVE DARJA ME HO YA BURJ AQRAB KE PEHLE DARJA ME HO YA BURJ HOOT KE PANCHVI YA TEESVI DARJA ME HO AUR MARIKH AFTAB KE NAVI YA DASVI DARJA ME HO  AUR ZOHAL UN BURJO ME SE EK ME BURJE AFTAB SE SAQIT HO AUR AFTAB MASHRIQI KINARA ME HO LOHE CHINI KA EK NAGINA LE KAR US PE ADMI SURAT US TARAH KANDA KARE KE WO TAJ SAR PAR RAKHE KE KURSI PAR BAITHA HAI AUR EK ASDAHA NE USE HAR TARAF SE USE GHER RAKHA HAI US KE DAEN HAATH ME KHANJAR AUR BAYEN HAATH KI SIYAAH UNGLI(SHAHADAT KI UNGLI )MUH ME DABAYE BAITHA HAI YE AMAL US BURJ KE TULOO HONE KE ARSE ME KE JIS KE AFTAB KHATAM HOJANA CHAHIYE JAB YE SHAKL ACHI TARAH TAYYAR HOJAYE TO QADRE KHALIS SONA AUR ANGUTHI KA SANCHA APNE PAAS MAUJOOD RAKHE YA AFTAB APNI PEHLI SURAT PAR PAHUNCHE TO ANGUTHI SANCHA ME DAAL KAR YE NAGINA USME JAD DE AUR USE JALADE KAR SHISHE KE SAAF GLAAS JO SAFED YA ZARD HO US ME RAKH DEAUR US GLAAS KA MUH SAAF KAPDE SE MAZBOOT BAANDH DE PHIR USE BARABAR SAAT RATIEN BURJ JOOZA KE SAMNE LATKAYE JAB BURJ JOOZA GUROOB HO JAYA KARIEN TO GLAAS UTHA KAR MAHFOOZ JAGAH PAR RAKH DIYA KARIEN JO SHAKHS YE ANGUTHI APNE PAAS RAKHIEN GA LOGON KI NIGAH ME ROB AUR SAHIBE IZZAT HOGA LADAYI ME JAYEGA TO FATAH HASIL KARE GA ALFARZ US KE QAYDE BE SHUMAR HAI AUR TAJURBA UN KI SACHAI KI MAZBOOT DALEEL HAI
DARINDON KA TILISM
JIS WAQT MARIKH BURJ SOOR KE CHAUTHE DARJA YA BURJ JOOZA JE CHAUBISVE DARJA YA BURJ ASAD KE ATHVE DARJA YA BURJ JADEE KE UNISVEE DARJA YA BURJ DALOO KE NAVI DARJA ME HO AUR AFTAB MARIKH KE QAREEB HO AGAR QAREEB NA HO TO AFTAB MARIKH KE NAVI YA DASVI YA GYARHAVI DARJA ME HO QADRE SAAF SARKH TANBA LE KAR EK AISE ADMI KI SURAT DHALE JO SHAR PAR SAWAR HO US KE SAR PAR TAJ HO AUR US KE TEEN SEENG HO US KE DAYEN HAATH ME LOHE KA GARZ AUR BAYEN HAATH ME MURGA HO AGAR YE TEENO YANI ADMI MURGA AUR SHER IKATHE NA BANA SAKE TO ALHADA ALHADA BANAKAR UNHE JOD LE PHIR US AADMI KI DONO RANO ME US ANDAZ SE SURAKH KARIEN KE WO SURAKH ME SHAR KE SHIKAM ME AKAR CHAAR HO JAYEN PHIR LOHE KI MEEKH LE KAR US SURAKH ME DE DE MEEKH KE DONO SARE US ANDAZE ME GADHE KE MEEKH ANDAR DHANSI HUI MALOOM NA HO PHIR LOHE YA TAMBE KA EK DEGCHA LE KAR YE PUTLA US ME RAKH DE AUR ITNA ROGAN ZAITOON DALE KE TEEN UNGLI KE QAREEB ROGAN UPAR RAHE BAAD ME DHIMI AANCH SHURU KAR DE EK UBAAL AJAYE TO AAG JALANA CHOD DE KUCH DER BAAD PHIR AAG ROSHAN KARIEN ALGARZ SAAT DAFA JOSH DE PHIR PUTLE KO SAAF KAR KE SAAT RATIEN BURJ ASAD KE SAMNE LATKAYE BURJ ASAD GUROOB HOTO PUTLE KO MAHFOOZ JAGAH PAR RAKH DE JIS WAQT BURJ ASAD KE SAMNE LATKAYE US WAQT       AUR IKLEELILMULK KI DHUNI DE MAHFOOZ RAHEGA AGAR DARINDON ME CHALA JAYEGA USE KUCH NA KAHENGE AGAR YE TILISM UNKE SAMNE KAREGA TO WO US KI TAWAZA KARENGE
 MAAL O RIZK KA TILISM
MUSHTARI BURJ HAMAL KE SATTARHAVI DARJA YA BURJ ASAD KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ MIZAAN PACHISVI YA UNTEESVI DARJA YA BURJ JADI KE ATHARVI DARJA ME HO MUSHTARI AFAQ PAR HO ZOHRA AUR AFTAB USKE MUNAZIR AUR       USSE SAQIT HO AGAR YE SARI BATIEN NA HO TO                     USSE ZAROOR SAQIT HO ZOHRA NAZIR FAUQULARZ HO US WAQT EK KHALIS SONE KI PATRI DHAAL LE AYE ACHI TARAH SAAF KARE MUSHTARI APNI PEHLI HALAT PAR LAUTE TO PATRI EK TARAF MUSHTARI KI TASWEER KHINCHYE AUR DUSRI TARAF GOYA MIMBAR PAR BAITHA HUA EK MARD HAI JIS KE BAYEN HAATH ME TARAZU DAYEN HAATH ME RASSI LE RAKHA HAI YSE MUSHTARI KE SAMNE SAAT RATIEN LATKAYE PHIR US PATRI KE SAR PAR SURAKH KAR KE US ME RESHAM KE DHAGA DAAL KAR GALE ME LATKALE US KA HAATH FARAKH RAHEGA WAQT BAHUT ACHA GUZREGA MAAL BAKASRAT HAATH ME AYEGA AUR BESHUMAR FAYEDA HASIL KAREGA
PANI AUR BARISH KA TILISM
JAB AFTAB KA CHAND KE SAATH BURJ SOOR YA BURJ JOOZA KE PEHLE YA PANDRHAVI DARJA YA BURJ SARTAAN KE TERVI DARJA YA BURJ AQRAB KE PANDRHAVI DARJA YA PACHISVI DARJA YA BURJ DALU KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ HOOT KE CHAUBISVI YA CHAUTHE YA ATHVI YA DASVI YA SATAISVI YA CHAUBEESVI DARJA ME IJTAMA HO EK BADA MOTA SA SISHA LE KAR US PAR US TARAH TASWEER KHINCHEN NANGA JISM SIRF TAHBAND BANDHE HUE KAMAAN PAR TEK LAGAYE ANKHEN UPAR AUR HAATH DUA MANGNE WALON KI TARAH UTHAYE KHADA HAI US KE SAMNE HIRAN CHAR RAHA HAI AUR EK HIRAN KI SHAKL KA MURG AUR KACHUA ABHI MAUJOOD HAI AGAR YE TASWEER EK WAQT ME KHATM NA HO SAKE TO AFTAB KKI DOBARA US HALAT ME MUKAMMAL KARE BAAD ME OOD ZAFRAN KUNDAR MUSTAGI
YE TAMAM CHIZEIN HUM WAZAN LE KAR HUM KHUB PEES LE AUR MIA ME GUND KAR CHANE KE BARABAR GOLIYAN BANA LE RAAT KE WAQT WO TASWEER ALAG GOLI BURJ HOOT KE SAMNE RAKH DE HOOT GUROOB HO JAYE TO CHUPA DE SAAT RATIEN YAHI AMAL KARIEN PHIR SONE CHANDI EK BAALSHAT LAMBI SILAI LE KAR BADAN SE TAMAM KAPDE AUR DASTAAR KE SHAMLE SE BADAN DHANPE SHEESHA BAYEN HAATH ME AUR SILAI DAYEN HAATH ME PAKAD LE AUR SILAI PAYE DAR PE SHEESHA MARTE AUR GOLIYON KI DHOONI DE BARISH SHURU HO JAYE GI JAB TAK SHEESHA KO NA CHUPAYEGA BARISH KHATAM NA HOGI
MUHABBAT KA TILISM
JAB ZOHRA BURJ HAMAL KE PACHISVI DARJA YA BURJ SOOR KE DUSRE YA CHAUTHE DARJA YA BURJ ASAD KE NAVI DARJA YA SANMBLA KE NAVI DARJA YA CHAUDHVI DARJA YA MIZAAN KE CHAUDHVI  DARJA YA AQRAB KE SOLHAVE DARJA YA BURJ DALU KE ATHARVI YA UNISVI DARJA YA BURJ HOOT KE TEESRE DARJA ME WAQE HO AUR CHAND US KE SAATH MOHASDA ME HO YA CHAND AFTAB KE SAATH MAQARAN HO YA CHAND ZOHRA KE TEESRE YA CHATE DARJA PAR WAQE HO AUR MARIKH YS SE SAQIT HO US WAQT EK BADA LAJURWAHI NAGINA LE AGAR US NAGINA ME SUNHERI NISHANAT HO TO AUR BHI UMDA HAI US NAGINA PAR DO LADKIYON KI SHAKL IS BTARAH BANAYE KE UNHONE EK DUSRE KI GARDAN ME BAHIEN DAAL RAKHI HO AUR KABUTAR KI SHAKL JO APNE BACHE KO CHUG (GIZA)DE RAHA HO US PAR GUL REHAN KI TEHNI KI SHAKL BHI KUNDA KARIEN JAB KUREDNA SHURU KARIEN USE US WAQT ZOHRA AFAQ MASHRIQ ME HONA CHAHIYE NEZ YA AMAL ZOHRA JIS BURJ ME SE US KE PURE TULOO KARNE SE PEHLE KHATAM HONA CHAHIYE AGAR US WAQT TAK AMAL KHATAM HO TO THAIR JAYE PHIR JAB ZOHRA APNI USI HALAT PAAR LOHE TUBAQI AMAL PURA KARIEN US BAAD NAGINA KE CHARON GOSHON ME US TARAH SURAKH KARIEN KE EK SURAKH DUSRE ME PAHUNCH JAYE UN SURAKHON ME SONE KI MINTHI JOD DE JAB ZOHRA APNI ASLI HALAT PAR WAPAS AYE TO KUCH SONA AUR CHANDI HUM WAZAN LE KAR BAHAM MILA LE AUR US SE ANGUTHI BANAKAR US ME NAGINA JAD DE USE CHAMKA KAR RAAT KE WAQT SHEESHE KE PYALE ME RAKH KAR USE DHAK DE SAAT RATIEN BARABAR SITARA ZOHRA KE NICHE USE RAKHTA RAHE ZOHRA GUROOB HO TO USE CHUPA DIYA KARE US KE NICHE QADRE MUSHK ZAFRAN AUR KAFUR KI DHUNI DETE RAHE SAAT RATIEN GUZAR CHUKE TO ANGUSHTARI KO APNE PAAS RAKH LE JIS KE PAAS IS QISM KI ANGUTHI HOGI TAMAM LOGON BILKHUSUS AURTON KO USSE ZYADA MUHABBAT HOGI YAHAN TAK KE AGAR RASTE ME KISI AURAT SE KISI KAAM KI TALAB KARE GA TO WO WAHI USE PURA KAR DEGI (WALLAHO ALAM) 
IS ILM KI HAQIQAT
KHAYAL RAHE KE FLASFA KE NAZDEEK ALLAH TA’ ALA NE ASMANO AUR SITARON ME KHAAS QISM KE ASARAT RAKHE HAI YE ASARAT UN KI MUKHTALIF HARKAAT SE ALIM DUNIYA ME NAMUDAR HOTE HAI BALKE DUNITA KE TAMAM WAQEAT AUR HADSAT APNI ALVI IJRAM KI HARKATON KE TABE HAI HAR SIATARA KISI NA KISI WAQAE SE MUNASBAT RAKHTA HAI HAR BURJ KI ALHADA TASEER BALKE BURJ KE HAR EK DARJA KI KUCH ALHADA TABIYAT HAI YE CHIZIEN UNHE ZAMANA KE TAWEEL TAJURBAT KE BAAD HASIL HOTI HAI ZAHIR HAI KE FAAL MAUJOOD HO AUR FAAL KA QUBOOL KARNE WALA MAUJOOD NAHO TO FAAL KA IZHAR ACHI TARAH NAHIN HO SAKTA HUKMA NE SITARON KE FAAL KI TAVAH KI TO WO US MUQAAM TAK PAHUCHE MAKHSUS ASARAT AUR KHAWAAS SE AZAD HAI INHONE UNHE ALAG KAR DIYA AUR ALIM SIFLI KI ALIYATON SE TALLUQ RAKHNE WALE KAWAKIB KO ALHADA KAR DIYA CHUNANCHA QISM QISM KE KHANO AUR KHUSHBUON AUR RANGON W SHAKLON ME JO CHIZIEN UN KE MUNASIB THI UNHE BAYAN KIYAB JO SHAKHS SITARON KE AFAAL AUR HARKAAT MALUM KARTA HAI WO QAVI ETEQAD AUR YAQEEN RASAKH KE SAATH UN ME GAURO FIKR KARTA JO SHAKHS TILISMAT KO ISTEMAL ME LANA CHAHE USE PEHLE ILM HIKMAT AUR ASRAR TABIYAT SE BAKHUBI WAQIF HONA CHAHIYE NEZ ILM NAJUM SE BHI WAQFIYAT HO AUR TAJURBA BHI HO CHUNKE YE CHIZ BAHUT KAM PAYI JATI HAI LEHAZA IS ILM KI HAQEEQAT BHI LAKHJFI HO GAYI
SITARON KI SURATIEN
ZOHAL EK MARD KI SURAT HAI JIS KA SAR BANDAR KA AUR BADAN ADMI KA HAI US KI DUM KHINZEER KI SI HAI US KE SAR PAR TAJ DAYEN HAATH ME CHALNI AUR BAYEN HAATH ME SAANP HAI MUSHTARI KA CHEHRA GIDH KA AUR BAQI SURAT ADMI KI HAI US KE SAR PAR TAJ HAI AUR TAJ PAR MURGE AUR SAANP KA SAR HAI IS KE DAYEN HAATH ME DASTAAR AUR BAYEN HAATH ME SHAHAD KA LOTA HAI MARIKH EK MARD KI SURAT HAI JIS KE SAR PAR SURKH RANG KA TAJ HAI WO DAYAN HAATH NICHIEN KIYE HUE AUR BAYAN UPAR UTHAYE HUE HAI DAYEN HAATH ME KHUN ALOOD NANGI TALWAAR AUR BAYEN HAATH ME LOHE KA KODA HAI AFTAB EK AISE MARD KI SHAKL HAI JIS KE DO SAR HAI HAR SAR PAR TAJ HAI AUR HAR TAJ KE SAAT PHANDE HAI AUR WO GHODE PAR SAWAAR HAI US KA CHEHRA ADMI KA HAI AUR SAANP KI DUM HAI DAYEN HAATH ME SONE KI CHADI AUR GALE ME JAWAHARAT KA HAAR HAI ZOHRA US KI SHAKL ADMI KI RANG SURKH SAR PAR TAJ JIS KE SAAT PHANDE HAI DAYEN HAATH ME TEL KI BOTAL AUR BAYEN HAATH ME KANGI HAI ATAARWAN KA BADAN MACHLI KA AUR CHEHRA KHINZEER KA HAI US KA EK HAATH SIYAH AUR DUSRA SAFED HAI SAR PAR TAJ HAI AUR US KI DUM MACHLI KI HAI DAYEN HAATH ME QALAM AUR BAYEN ME DAWAT HAI QAMAR KI SHAKLI EK MARD KI HAI JO SAFED GAI PAR SAWAR HAI US KE SAR PAR TAJ HAI JIS KE TEEN PHANDE HAI DONO HAATHON ME KANGAN AUR GARDAN ME SABZ TOOQ HAI DAYEN HAATH ME YAQOOT KI CHADI AUR BAYEN HAATH ME REHAAN KI TEHNI HAI ALBUZATEES BABLI NE IS TARAH BAYAN KIYA HAI AGARCHE NAJUMIYON IS BARE ME IKHTELAF HAI AQL KO IS KOI DAKHL NAHIN HAI
SITARON KI DAWAT
AJAM KE BADSHAH JINHONE NE NOOR YA NOORANI CHIZON KO APNI DUA KA QIBLA BANAYA HUA THA HAMESHA SUTARON KI PUJA KARTE THE BILKHUSUS JAB SITARA APNE KHANA YA SHARF ME HOTA AUR MANOOS NAZAR SE KHALI HOTA US JIN CHIZON KA TALLUQ US SITARA SE HOTA UN SAB KO JAMA KAR KE UN KI IBADAT ME MASHGUL HO JATE CHUNANCHA AGAR KOI SHAKHS AFTAB KI DAWAT KARNI CHAHTA ITLASI AUR ZARBAFTI KAPDE PEHEN LETA SONE KI CHIZON SE APNE APKO ARASTA KARTA APNE TAJ ME BAHUT SE YA QUAT AHMAR RAKH LETA BAAD ME KISI JAGAH BATH KAR TANHAI YA KHILWAT ME KAFI RIYAZAT KARTA US RIYAZAT SE FARIG HOTA TO QURBANI KARTA AUR YE JO KAHA JATA HAI KE AJAM KE BADSHAH HAMESHA TAJ PEHNE REHTE THE AUR ZARBAFTI LIBAS SE ARASTA AUR SAJE REHTE THE TO USKI WAJAH YAHI THI KE WO AFTAB PARAST THE AUR USI SE APNI HAJAT RAWAI KIYA KARTE THE MAGAR HAMARI SHARIYAT ME JO SHAKHS AISA KAAM KARE WO KAFIR HO JATA HAI MARIZON ME SHUMAR KIYA JATA HAI AGAR LOGO ME YE CHIZ NA HOTI TO HUM IS KITAB ME USKA ZIKR TAK NA KARTE MAGAR HUM KHABARDAR KARTE HAI KE AISE AMAL KE QAREEB BHI NA JAYE HO SAKTA HAI KE US SE DINVI MAQSOOD HASIL HO JAYE MAGAR DEEN TABAH HO JAYEGA AUR AQEBAT KE AITBAARSE YE GHATE KA SAUDA HAI
SITARON KE QABILE
AFTAB MARIKH AUR MUSHTARI EK DUSRE KE MAVIN AUR MADADGAR HAI USI TARAH ZOHAL ZOHRA AUR ATARU BHI EK DUSRE KE MADAD MAVIN HAI QAMAR MARIKH AUR MUSHTARI BHI APAS ME DOST HAI MAGAR AFTAB AUR ZOHAL QAMAR AUR ZOHAL MARIKH AUR ZOHRA AUR MUSHTARI AUR ATARU EK DUSRE KE DUSHMAN HAI
SITARON KE RANG
ZOHAL KA RANG SIYAH AUR MAZA KADVA HAI MUSHTARI KA RANG KHAKI AUR ZAIKA MEETHA HAI MARIKH KA RANG SURKH AUR MAZA TALKH HAI AFTAB KA RANG ZARD AUR MAZA TEZ HAI ZOHRA KA RANG SAFED AUR MAZA CHARB HAI ATARU KA RANG NEELA AUR MAZA TARSH HAI QAMAR KA RANG AUR MAZA KHARI HAI
HAR SITARA KI DHOONI AUR PATTHAR 
YAQOOT ALMAAS AQEEQ AFTAB KI MANSOOB HAI AFTAB KI DHUNI OOD HAI CHAND KA PATTHAR JAZA HAI JISE MAHRA SULEMANI KEHTE HAI DHUNI US KI KUNDAR HAI ZOHAL KA PATTHAR HAR SIYAH RANG KA PATTHAR HAI US KI DHUNI MANIA HAI MUSHTARI KA PATTHAR WO HAI JIS KA RANG KHAKI HAI US KI DHUNI SUNDARS HAI ZOHRA KA PATTHAR HAR SAFED RANG KA PATTHAR HAI US KI DHUNI ZAFRAN HAI ATARU KA PATTHAR NEELE RANG KA PATTHAR HAI WO UMR BHAR TAJURBAT ME MASHGUL REHTA HAI TAJURBAT KE DAURAN WO AISE ASAAR MUSHAHEDA KARTA HAI JO TAHREER ME NAHIN ASAKTE  Imam Fakhruddin Razi ka mazmoon yehan par khatam hua ...........,is mazmoon ko ifada e ilmi ke taur par shaya kia gaya hai aharcha isme baaz aise tilismat ka bhi zikar kia gaya hai jis ke jandar ki shakal waghaira banai jati hai ,aur az roye sharah yeh qatan jaiz nahi ,isse yeh na samajhna chahiye ke Imam Fakhruddin Razi aise tilismat banaya karte they ya iske banane ki targheeb de rahe hain balke unho ne Ilmuttalismat ki ifadiyat ke pesh e nazar falasfa aur huakama ke tariqaye tilism sazi ko naqal kia hai ,Amileen aur is fun ke mohaqqiqeen ke ke liye is ,azmoon me bohat kuvh poshida hai goya kooze me darya samo dia hai maslan Imam Razi ne izaat o shorat , rob o dabdaba, mohabbat o ulfat , taskheer mastoorat , taskheer khalq , hajat rawai aur mushkil kushai ke liye sitaro.n ke jin makhsoos darjat ka zikar kia hai wahi is shareef ilm ki bunyadi zarurat hai ab raha tilism sazi ka masla to is silsile me amil apne sawabdeed par aur apni tahqeeq o tajurbat ki raushni me aise tilism tyar kare jo jandar ki shakal o surat se pak ho  huroof , anasir , asmaye ilahi aur arwahe falki  ke imzajah se baaz aise hairat anghez tilism tyar kiye jate hain jin ki quat aur taseer ko delh kar aqal e insani warta e hairat me doob jati hai raqimusutoor Imran Razvee un aamileen hazrat ko dawat e amal deta hai jo tilismati qawaid o zawabit ko bala e taaq rakh kar mahaz apne qayas e fasida se amal ki tyari me lagte hain lehaza asar zahir na hone ki surat me khud bhi pareshan hote hain aur sail ko bhi  mayoos karte hai saheeh waqt ka istekhraaj hi is fun ki jaan hai goya saheeh waqt rooh ki tarha hai aur tilism badan ke mashaba jab rooh mutallaq bilbadan na hoga jism bejqn tasawor kia jayega isi raaz ko Imam Fakhruddin Razi ke mazmoon me talashna ek tajurba kaar aur kuhna mashq aamil ka kaam hai.

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668