Saturday, January 10, 2015

Hamzad Ki Makhfi Taskheer Ka Ek Naadir Amal. ہمزاد کی مخفی تسخیر کا ایک نادرعمل (Hidden Captivation Of Hamzad)

Hamzad Ki Makhfi Taskheer Ka Ek Naadir Amal

Jo shakhsh apne hamzad ko makhfi taur par taskheer karna chahta ho to usko chahiye is amal ko urooj maah ke kisi bhi nauchandi din se shuru kareaur zeil ke kalemat ko 25 ro tak har roz 700 martaba padhe to uska hamzad makhfi taur par uske liye masakhar ho jayega
 یا ھیو اھقور را ھیو قا ھیو ما ھز ھا شا ھر قا شا شا قو ھا شا ھز ھا ما یو ھا قا یو ھا راقو ھا یا یوا ھا احسنا اموسا جنوھا اجیبو ا یا ھمذاد ا ھیا ا ھیا ۔
Tarkib e amal ke mutabiq is amal ke liye alaahidgi ke kisi ek aise pur sukoon makaan ki zaroorat hai jahan aamil ke elawa kisi bhi ghair shakhsh ki mudakhilat ka ehsaas tak bhi mumkin na ho sake amal ko kisi bhi mahine ki kisi bhi nauchande din se shuru kia ja sakta hai aamil apne swabdeed aur sahulat ke mutabiq raat ke elawa din ke waqt bhi jab chahe is amal ko baja la sakta hai is silsile me kisi qisam ki koi pabandi maujood nahi hai ,aamil chahiye ke amal se pehle amal ke makaan me raughan kunjad ka chiragh jalayen amal ke waqt qibla ki taraf munh karke baithe aur chiragh ki rashni se paida hone wale apne saaye par nazar jama kar apne hamzad ki makhfi taskheer ke kaamil yaqeen o irada ke saath kalimaat e amal ko padhna shuru kare ,rasaail e hilaaliyah me is amal ki tafseel ke mutalliq mastoor hai ke jab aamil amal ki muqarrarah miyad ke mutabiq amal ke akhri roz amal ka waifa khatam kar leta hai to aamil ka charagh ki roshni me nazar aane wala apna saaya uski nazron se ghaib ho jata hai aur uske saath hi aamil ka hamzad apne makhfi aur roohani jism ke saath aamil ke huzoor mutee o farmanbardaar ban kar haazir ho jayega  aur nihayat sheeree.n aawaz ke saath aamil ki khidmat me salaam o aadab pesh karega ,is waqt aamil ke liye zaroori hai ke who apne makhfi hamzad se muhaaidah jaat ki takmeel kare jab tak hamzaad apne batini wajood ke saath aamil ke saamne haazir rahta hai is waqt tak iska saaya ghaib rahta hai aur jab hamzaad amil se ijazat lekar wapas chala jata hai to uske jaate hi aamil ka aojhal ho kaane wala saaya dobara zaahir ho jata hai ,taskheer ke is amal ka makhfi hamzad agarcha zahiri taur par nahi aata lekin yeh hamzad quwat o taqat me kisi taur par bhi zahiri hamzad se kam tar nahi hota  makhfi hamzaad apni khususiyat ke aetbar se zahiri taur par masakhar hone wale hamzad ki tarah na to har waqt aamil ke pas haazir rahta hai aur na hi aamil ko kisi qisam ka koi nuqsaan pohchane ki koshish karta hai balke amil ke talab karne par hi haazir hota hai aur aamil ko pesh aane wale tamam tar muamlaat se qabal az waqt khabar daar karta rahta hai makhfi hamzaad aamil ke liye wabaal e jaan sabit nahi hota ,balke aamil ka behtareen saathi haqeeqi dost aur qaabil e aetemad ghulam ban kar rahta hai ,is hamzaad ki ek sab se badi khubi yeh bayan ki gayi hai ke iska aamil amal ke baad jalali o jamaali har qisam ki pabandiyon se hamesha ke liye aazad ho jata hai.
NOTE
Mere paas aksar ahbaab hamzaad aur jinnat ko taabe banana ke mutalliq amal daryaft karte rahte hain jin me ziada tar log amaliyat ki bunyadi riyazat se hi nabalad hote hain phir usko agar kisi mujarrab amal e hamzad ki ijazat di jaye to yeh bilkul aisa hoga jaise kisi andhe kuen me Dhakka dena liahaza agar kisi sahib ko is qisam ke aamal ka shauq ho to usko chahiye ke kisi kaamil ustaad ki shagirdi ikhtyar kare jis ki saheeh rahbari aur kaamil roohani tawajjo kamyabi ki asal kunji ssabit ho.


Friday, January 9, 2015

Zaban Bandi ka Aasaan Amal زبان بندی کا آسان عمل (Talisman for shutting the tongue)


Zaban Bandi ka Aasaan Amal


agar kisi fard ki zaban band karna maqsood ho to chahiye ke ibarat e zeil ko atarad ya zohal ki saat me jabke tala e waqt sabat ho likh kar apne pas rakhe insha Allah us ki zaban band ho jayegi aapke haq me aur ek lafz bhi mukhalifat ka aapke khilaf na bol payega bohat aasaan aur nihayat mujarrab hai

Saturday, January 3, 2015

Mohabbat Me Dil Be Qarar Ho محبت میں دل بے قرار ہو ( To Restless The Heart In Love)


Mohabbat Me Dil Beqarar Ho
Agar mard ki taskheer karna ho to bakre ka dil hasil kare aur agar aurat ki taskheer matloob ho to bakri ka salim dil hasil kare phir bawaqt taslees qamar o zohra is dil me paak saaf naye chaku se shgaaf de aur isme ye ibarat tanbe ki takhti par kanda kare aur phir dil me pewast kar de iske bad talib ke qad ke naap ke barabar peshani se paaon ke angoothe tak hare rang ke saat dore nap le awr hard ore par ia wadood ya budooh ya lateef ek martaba padh kar dam kar den phirin saat doron ko is dil par lappet den take naqsh bahar na nikle iske bad is dil ko kisi kachhci zamin me daba den aur 40 din tak talib wahan bila nagha aag jalaye ia to fajar ke baad ia isha ke baad jalaye aur aag jalane ke baad 11 bar durood shareef parh kar surah yaseen ki tilawat kare surah yaseen me 7 mubeen hai 5 mubeen par talib yeh kahe Ya Allah fulan bint fulan meri mohabbat me be qarar ho lekin do mubeen yani aduommubeen aur khasimumubeen par kuch na kahe baqi 5 mubeen par yeh jumla kahe is amal ko 40 dinon tak bila naagha karna hai nagha na hone paye kisi phal dar darakht ki lakdi jalaye io kisi ke dil me apni mohabbat paida karne ke liye nihayat hi ajeeb o ghareeb hai chill eke dauran hi matloob beqarar ho jayega uske dil me talib ki mohabbat ki aag aise jale gi jiska bujhna aasan na hoga ,is amal ki ek khasiyat yeh bhi hai ke agar kisi ne mehboob ko juda karne ke liye koi jadoo sehar karaya hoga to us ki kaat bhi ho jayegi lekin zaroor hai ke maqsad paak o taahir ho warna shaded nuqsaan hoga.


Friday, January 2, 2015

Kaala Jaadu Paltane Ka Tilismi Amal کالا جادو پلٹانے کا طلسمی عمل ( A Remedy To Reverse The Black Magic)


Kaala Jaadu Paltane Ka Tilismi Amal
Rujatssehar ka jo amal is waqt hamara mauzoo hai iski tafseel yeh hai ke aamil sab se pehle apnea mal ki quwat se yeh maloom kare ke jaadu karne aur karwane wala kaun hai neez asar andaz jadu kis noiyat o kaifiyat ka hai yeh janne ke liye aamil jis bhi tariqa se chahe mukammal haalat jaan le phir jab ussey tamam tar maloomat ka ilm ho jaye to phir Khuda ka naam lekar rujatussehar ke is amal ki zeil ki tarkeeb se kaam ley dushman ke kiye sehar jaadu ko usi ki taraf palta den eke amal ka aaghaz kare tarkeeb e amal ke mutabiq aamil qamar zaidunnoor ke dino me shab panjshunba ko zohra aur atarad ki taslees ke auqaat me amal ke liye muntakhab karda makan me ood o ambar ka khushbu dar dukhna jalaye ,amal ki baja aawari ke liye shaitani o jinnati quwaton aur balaaon se mehfooz rahne ke liye sadqaat o khairaat kare  amal baja lane se qabal ghusul karke paak o paakiza libas pehne jism o libaas ko khushbuyat se moattar kare hisaar bandhe aur ek faulaadi chhuri apne daahine haath me lekar shumal ki taraf muhn karke khada ho jaye apne dushmano ka pukhta khayal kare aur aur uske kiye hue jaadu ko unhi ki taraf palta den eke pukhta azm o irada ke saath zeil ki ibarat e amal ko 707 martaba pardh kar hisaar ke andr aur bahr apne charo taraf phonke  is amal ke bad apni aankhon ko band karle aur intezar kare to kuch hi lahme me aamil mehsoos kare ga ke mukhtalif qisam ki chizen jaise kaghzaat, haddiyan, gosht saiyaal ashia.n jaise Khoon pani ,khak aur masaan waghairah khud ba khud uske dono haatho.n me kisi ghaibi quwat ke zarye di ja rahi hai ,jab yeh soorat e haal zahir hone lage to aamil ko chahiye ke kisi qisam ke ghabrahat ka koi muzaahira na kare aankho ko band hi rakhe aur jab uske haathon me koi cheez lage to sehar jaadu ki mutallaqa ashiya khayal karte hue is shai ko apne amal o irada ki quwat se dushman ki taraf wapas palat den eke irada ke saath fiza me phenk de is tarah jab tak aamil ke haathon me makhfi taur par mukhtalif chizen aati rahe aamil inko apnea mal ke irada ke saath phenkta rahe aur khabar daar aankh na khole warna nuqsaan uthaye ga,phir jab aamil yeh maloom kare kea b uske haath me koi chee nahi arahi hai to uske baad apnea mal ko khatam karde ,sab se pehle aankh khole phir hisaar ko khatam kar de aur hisaar se nikalte waqt khudaye buzurgh o bartar ke asmaaye jamila o jaleela ko parh kar apne jism o libas me dam kare aur khamoshi ke saath wapas chala jaye,is amal ke natija me rujatussehar kea mal ki ibarat ke makhfi  o roohani moakkilat dushman ke sehar o jaadu ko uske shaitani o jinnati quwat ke saath sehar karne wale ya karwane wale ki taraf palat dete hain jisse dushman khud apne kiye ka shikar hokar mubtalaye masaaib o aalam ho jata hai amal rujatussehar ki ibarat yeh hai,
یاتا ھشنا ئیل یا شرطا ھو تائیل یا طیھیتا ئیل ثو ھو طو نا یا لیلغا ئیل مقو شطائیل ایاھر شمخطا ئیل ھر سو قسا یا ابر عاز لز لا مو نو طسا وافعلو ایا ایھا المو کلمون المو کلون من الاروح المطھرات برد السحرالی اھلھہ فی ھذا السا عتہ طحق حقکمہ و یحر مت اسما یکم یا میططر ونا یا ھمکفا رو ونا یا صمکفا سونا کفا ئیل ھمائیل اجیبو ایا ملا یکت الکرام بحق کھیعص و بحمعسق فسیکفیکھمہ اللہ وھو السمیع العلیم یا بیطر وقشا بطھیو قشا قد اسا قدر سا الوحا العجل بز مھو لا یر مھو لا ھو لا حولا مستعا نا۔
Rujattusehar ki is amal ki taskheer ka tariqa yeh hai ke aamil urooj maah ke nauchande itwaar se amal ko rozana 1200 martaba ki muqarrara o muaiyena tadad ke mutabiq ek chillah kaamil tak parh kar khatam kare aamil ho jaayega amal ke baad amal ki quwat o taaseer ko barqarar rakhne ke liye amal par mudawamat karna zaruri qarar dia gaya hai ,rujatussehar ka yeh jalilulqadr amal apne haqaaiq ke etbaar se har qisam ke sehar jaadu ko dushman o saahir ki taraf wapas palat dene ki zabardast quwat ka haamil hai aisa sehar jaadu ka aamil jisme dushman ko hilaak karne ke liye shaitani quwaton ke zarye dushman par handiya ke aatishi gola ko dushman ki taraf uda de aur us waqt agar rujatussehar ka amil us khabees saahir ke us shaitani amal se waaqif ho jaye to who mehaz is amal ko wapas palat den eke irada ke saath fizaaye aasman par parwaaz karti hui handia ki taraf ek nazar hi kare to khuda tala ke hukm se who aatishi gola saahir ke matlooba nishane par girne ke bajaye khud us par aur use jadu karwane wale par jaa padega .goya rujatussehar ka yeh amal ek roohani mojeza hai jo majloom ka hisaar bhi hai aur zaalim ko saza den eke liye zabardast qisam ki sifli amaliyat se badh kar ek roohani amal hai yeh ek aisa amal hai jiski nazeer milna muhaal hai jaanna chahiye ke jaadu sehar ki beshumar qisme hain jinme sab se ziada khatar naak sehar dushman ki hilakat ka hota hai ke akhir kisi se dushmani ki inteha yehi hai ke usko jaan se mar dala jaye iske liye saahir mukhtalif andaaz ke jaadu karta hai yani jiska jo tariqa ho usi par amal paira hota hai lihaaza saahir ke jaadu ko jane baghair uske paltane ka amal baaz auqaat kamyab nahi hota aur matlab hasil hone me diqqat pesh aati hai is liye zaruri hai ke sab se pehle jaadu ki noiyat ka saheeh andaza lagaya jaye aur phir mazkoora bala amal ki baja aawari ka qasad o irada kia jaye haan yeh zaroor hai ke baaz auqaat mareez ke aqraba jaadu karaane wale ka naam poochhte hain to is silsile me ehteyat chahiye ke aksar fitna o fasad ki surat ban jati hai.ehteyat chahiye ke aksar fitna o fasad ki surat ban jati hai.


Thursday, January 1, 2015

Mohhabat Me.n Giraftar karne ka Amal o Naqsh محبت میں گرفتار کرنے کا عمل (A Talisman To Arrest In Love)

Mohhabat Me.n Giraftar karne ka Amal o Naqsh
Agar kisi ko jaiz taur par apni mohabbat me giraftar karna ho to is amal ko naye chand ki pehli jumerat se amal shuru kare aur 41 roz tak musalsal jari rakhe.n tariqa amal ka yeh hai ke har roz bad manaz isha ke bad kisi khilwat ke maqam par baith kar 100 naqsh likhe aur agle din suraj nikalne se qabal inhe ate me golya.n bana kar behte pani me dal de.n yeh amal jari rahe hatta ke aktaliswi.n din ek naqsh ziadah likhe 100 naqsh hasb e mamool darya me baha de aur aakhri naqsh apne pas mehfooz rakhe gale me dale ya sidhe bazu par bandh le mehboob ke dil me aapki mohabbat sabat ho jayegi naqsh yeh hai.


Wednesday, December 31, 2014

Taweez Dafa Nazar e Bad تعویذ دفع نظر بد(Talisman For Evil Eyes.)

Taweez Dafa Nazar e Bad 

aksar chhote bachhon ko jo khubsurat hua karte hain jinn ya insan ki nazar bad lag jaya karti hai jisse bacha doodh pina tark kar deta hai rota rahta hai aur walidain pareshan ho jate hain chahiye ke is naqsh ko kaali siyahi se likh kar bache ke gale me dale siyahi jo ke paak ho istemal kare.


Tuesday, December 30, 2014

Ohdey Par Barqarar Rahne Ka Amal aur Naqsh عہدے پر برقرار رہنے کا عمل اءر نقش (Method of talisman to Stay At Any Position )

Ohdey Par Barqarar Rahne Ka Amal aur Naqsh
Jo shakhsh yeh chahta ho ke who apne ohde par ziada arsa tak bar qarar rahe jaisa iqtedar ussey Hasil hai hamesha usme rahe khwah who kisi bhi bade se bade ohde ya mansab ka malik ho to usey chahiye ke ism ya kabeer aur apne naam ma walida kea dad ka naqsh e murabbah naye chand me chahar shunba ke din saat e sayedd me zafran o amber sy likhe aur jumla qawaid ko malhooz rakhe phir ism ya kabeer ko rozana 5000 martaba padhe aur naqsh par dam karta jaye yeh amal musalsal 21 din tak jari rakhe nagha na ho warna mehnat zaya ho jayegi bad khatam chillah ky gharibon me kuch rupai taqseem karde aur naqsh ko apne pas hifazat se rakh le phir rozana ism e mazkoor ka wird 500 martaba jari rakhe insha Allah apne ohde par izzat o aabru ke saath qaim rahega agar koi dauran ohda pareshani pesh aa bhi jaye to is ism aur naqsh ki barkat se fauran door ho jaye. Aise hi agar koi shakhsh mulazmat aur ohde se mazool ho gaya ho to roza rakh kar ism mazkoor ko 11 hazar bar 11 din tak parhe insha Allah usi ohde par bahal hojayega naqsh ism kabeer ki missal yeh hai
Adad ism kabeer 232
Adad ism talib ma walida 502 ( farzi)
Kul adad 734 sy 30 tafreeq kia 704 bache isko 4 se taqseem kia 176 bar aamad hua kasar kuch nahi lihaza naqsh e misali yeh hai
786
183
186
189
176
188
177
182
187
178
191
184
181
185
180
179
190


Sunday, December 28, 2014

Taskheer e Haazirat Ke Tilismati Amaliyat تسخیر حاضرات کے طلسماتی عملیات(Spells To Presence Of The Spirits)




Taskheer e Haazirat Ke Tilismati Amaliyat
Haazirat ki taskheer ke in amaliyat me kisi qisam ki koi pabandi nahi balke har shakhsh apni zauq e taba ke mutabiq kamyab ho sakta hai

Hazirat ka Tilismati Aaina
Taskheer e haazirat o roohaniyat ke tilismati aina ki madad se aamil har qisam ke sawalat ka qabal az waqt mukammal jawab hasil kar sakta hai amal ke liye ksi saaf shisha par khusboo dar itar laga kar zail ki ibarat kw sat martaba tilawat kare aur aaina par dam kare tilismati aaina ka amal yeh haiبسم اللہ لما مطیثا رحیم برحمۃ العالی انوخ الوھاخ طیبوا بھا ما فو خادا اللہم یسر و سھل ولا تعسر والھم لنا بروح القدس یا کن لہ لا الہ الا ہو ولا معبود سوا ہء یا شکوت علیٰ ذالک النوت بحق حقک العظیم و برحمۃ اسمائک الکرام الرحمن علم القرآن
Amal ke liye das bara sal ke khubsoorat ladke ya ladki ko kisi saaf aur umdah maqam par baitha den aur aaina ko uske samne karke bache ko aina me dekhne ka hukm den chand lamhe bad bache ko aaina me ek maidan nazar aayega jab maidan nazar aaye to bache ko kahe ke khakaroob ko bulaye aisa kehne par bache ko maloom hoga ke khakaroob maidan saaf kar raha hai iske bad bache ko maidan me farsh bichhta nazar aayega jab farsh par takht aarasta kar dia jaye to bache ko kahe ke badshah e jinnat ko hazir hone ka hukm de bache ke hukm karne par ek buzurgh aur roohani shakhsh ki rooh hazir hoti hai is wqt zaroori hai bacha is buzurgh ko nihayat saliqa se salaam w aadab pesh kare aur jo sawal karna hai is hazir buzurgh se bache kea rye daryaft kare .

Ek Doosra Tilismati Aaina
Zeil ke tilismati amal ko chand ek bar tilawat karke ek aaina par dam kare.n  aur kisi na baligh umar ke bache ko aaina me dekhne ky liye kahe aaina me haazirat maujoood honge unse jo chahe daryaft kare haziraat apke har qisam ke sawalaat ka tasalli bakhsh jawab denge ibarat e amal youn haiبسم اللہ عاماطہ ما لنا علیک بسم اللہ عاسفۃ ما سعۃ اللہ بسم اللہ ھو خالق السماء و ننزل من القرآن بسم اللہ من وراءھم محیط بل ھو قرآن مجید فی لوح محفوظ یا رفیق بسم اللہ حضارا مجیدا۔
Maroof Haazirat
Das bara sal tak ki umar ke kisi saaf suthre ladke ya ladki ke dayen nakhun par siyahi lagayen aur khushk hone par tel laga kar zeil kea mal ko tilawat karke bache par phoonke aur naakhun me dekhne ka hukm de nakhun me haazirat ka nuzool hoga jin se aap gumshuda insaan ,chori ,tashkhis maraz aur iske ilawa job hi sawalat daryaft karne ho bache ke zarye haazirat se pooch sakte hai jin ke bilkul durust aur mukammal jawab maloom honge alam ki ibarat yeh hai عزمت علیکم یا معشر الروحانیون ان تنزلوا نھق لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ و بحق سلیمان ابن داود علیہما السلام و بھق کھیعص و بحق حم عسق و بحق یسین و بحق فسیکفیکھم اللہ و ھو السمیع العلیم و بحق یا حی یا قیوم برحمتک یا ار حم الراحمین

Haazirat Takht e Sulaimani
Ek paak o saaf makan ko muattar karke amal ke waqt looban sandal aur kaafoor ka bakhoor raushan kare aur bara sal se kam umar ladke ya ladki ko jo burai se mehfooz ho pak o saaf libas pahna kar sabz rang k eek naye chiragh me chambeli ka tel dal kar raushan kare aur bache ko chiragh ke saamne bitha kar raushan fateela ke darmiyan ghaur se dekhne ko kahe aur khud asmaye roohaniyat ki tilawat karke bache par dam karte jayen asamaye roohaniyah yeh hainحا قا ماقفا حاقفا ساقفا فقات معاتقا ما فقات بھرمتہ سلیمان ابن داود علیھما السلام اھیا و بحق لہ ما سکن فی اللیل والنھار و ھو السمیع العلیم قل اغیر اللہ اتتخذو نا فاطر السمٰوٰت والارض و ھو یطعم ویطعمaura mal ke saath bache ko kahe koi nazar aata hia ya nahi jab bache ko batti me koi surat nazar aaye to pehle safai wale ko bulaye phir Takht e Sulaimani talab kare takht aane par bimar par jaadu ya aaseb karne wale gumshuda insane ka pata chalaye ,dafeena ki jagah ka taiyun karane aur chori shuda maal o asbab ke churane wale ka naam jagah milne ya na milne ke bare me har sawal ka saheeh aur tasalli baksh jawab milega.

Haazirat ki Angoothi
Raughan e kunjad me gandum ka saf aata mila kar khoob bareek karlen aur khushk hone par ek angoothi me angina ki jagah par lagaye aur upar se shisha rakh kar daba den take iski satah hamwaar ho jaye yeh tilismati angoothi hai jiske zarye aap har qisam ke sawalat aur hal talab masail ke bare me saheeh jawab maloom kar sakte hain amal ke liye ibarat e zeil tilawat karke angina ki jagah ko kisi khusboodar itar se moattar Karen aur bache ke zarye apne hal talab masail ke bare me maloomat hasil kar len ibarat e amal hasb zeil haiبسم اللہ الرحمن الرحیم نزل بہ الروح الامین علی قلبک لتکون من المنذرین بلسان عربی مبین یا حی یا حین لا حی فی دیمومتہ ملکہ و بقآۂ یا حی
Haazirat Aalam e Khwab
Haazirat o roohaniyat se aalam e khwab me mulaqat ke liye zeil ki roohani aayat ko chandi ke waraq par hudhud ke khoon se namaz e maghrib ke waqt jabke qamar banazar e taslees zohra ko naazir ho lakdi ke qalam se tahreer karle.n raat ko sote waqt is waraq ko hareer safed ke parcha me lappet kar sarhane rakh le khwab me haazirat o roohaniyat ka mushahida hoga  aayat darj zeil hai
یا بنی انھا ان تک مثقال حبتہ من خر دل فتکن فی صخرۃ او فی السموت او فی الارض یا ت بھا ء اللہ یا معشر الاعوان الاما امر تم من یقضی حاجتی و ینصرف فی رضائی الا تعلوم علی و اتونی فی نومی بحق ما تلوتہ علیکم و طاعتھا الدیکم
Note:
Haazirat ki yeh Loh bohat hi ajeeb o gharib hai isse bohat saare muamme sulajh sakte hain aur qabal az waqt muamlaat se aagahi mil jaya karti hai agar kisi hazraat ko banwana ho to rabta kare.n

Saturday, December 27, 2014

Khazana Aur dafeena Ka Mushahida خزانہ اور دفینہ کا مشاہدہ (To Acquire Hidden Treasure)

Khazana Aur dafeena Ka MushahidaAgar shak ke kisi maqam par koi khaana madfoon hai to iske maloom karne ka ek nihayat mujarrab tareeqa yeh hai ke mashkook maqam ko saaf suthra karke looban ka bakhur jalayen aur ibarat e amal ko tilawat karke ek safed rang ke murgh ke par o bal par dam karden aur uski aankh par sabz rang ka reshmi kapda mazbooti ke saath bandh den aur iske bad amal ki tilawat jari rakhte hue murghe ko aazad karde ,khuda ki qudrat ka zuhoor hoga murgh khazane aur dafine ki jagah ja khada ho jayega aur apne paun se us jagah ki mitti ko kurede ga aur buland awa ke sath us jagah par azane dene lage ga is nadir o naayab amal ka talluq hazirat o ruhaniyat ke azeem tareen aamal se hai aur is amal ki sab se badi khubi yeh hai ke isme kisi qisam ki chillah kasha aur zakat ki adayegi ki zaroorat nahi hai is amal se khazana aur dafeena ka suragh lagan eke saath saath uski haalat o waqoo ka saheeh andaza ho jata hai ,lekin yeh bawar rah eke dafeena waghairah nikalna harkas o nakas ka kaam nahi iske liye amil ke pas moakkileen e hisaar hona lazmi hai yak am az kam koi sa amal e hisaar iske roz ke mamool me ho take khazana par qabiz jinnati quwat amil ko koi nuqsan na pohcha sake amal ki ibarat is tarha hai,
ھلھطس بقرۃ طر طش علمط علمطی مطورش یا طلبش مطلیورش علھطیش سلططلع ثراھیا شمر شیثا ملوحج سملمیطش و ھو الذی یتو فکم با اللیل و یعلم ما جرحتم با النھار ثم یبعثکم فیہ لیقضیٰ اجل مسمی ثم الیہ مر جعکم ثم ینبئکم بما کنتم تعملون ھلمطیاش دوطرش علمطیثاغ قداح قدوح قدوس بطلیاس ثرا میاش طلبناش النود۔

Friday, December 26, 2014

Amal Surah Fateha Batareeq e Khaas عمل سورۃ فاتحہ بطریق خاص (Special Procedure For Surah Fatiha)

Amal Surah Fateha Batareeq e Khaas عمل سورۃ فاتحہ بطریق خاص


surah fateha is khas tarkeeb se mashaikh e qadriyah se manqool hai aur jumla maqasid ke husool ki khatir iska wird tamam buzugho.n ka mamool hai Hazrat Shaikh Ibn e Arbi aur Imam Mohammad Ghaali alaihirrahama is surat ko sabah masani kehte hain yani sat aayat aur farmaya har aayat ke liye do ism hai is tarha الحمد للہ رب العالمین یا حی یا قیوم الرحمن الرحیم یا رؤف یا عطوف مالک یوم الدین یا عالم السرائر یا مقلب القلوب والابصار ایاک نعبدو ایاک نستعین یا سریع یا قریب اھد نا الصراط المستقیم یا قادر یا مقتدرصراط الذین انعمت علیہم یا حکیم یا قدیرغیر المغضوب علیہم ولضالین یا قاھر یا عزیز hahiye ke har namaz ke bad 10 se 41 martaba is tarteeb se padhe ke har ayat aur har ism ko das das bar aur is qasam ko das bar padhe qasam yeh hai بسم اللہ الرحمن الرحیم اللہم انی اسئلک بحق سبع مثانی و بحق قرآن العظیم بسم اللہ الرحمن الرحیم و بحق کھیٰعص و بحق حٰمعسق وبحق دعاء نبیک و حبیبک سیدنا محمد و الجاء فی کھفک و استوطن فی حرزک ولم یثق الا بک اقسمت علیکمiske elawa ek tariqa padhne ka yeh hai ke bad namaz isha 110 bar surah fateha aur 10 bar qasam padhe auwal aakhir 11 bar durood shareef  kisi bhi jaiz maqsad ke husool ki khatir is amal ko karne wala kabhi nakam nahi hota chahiye ke naye chand me amal shuru kare ke jab qamar nahusat se pak ho amal ki muddat 41 yum hai khushboo ka istemal rakhe aur khilwat me bahuzoor e qalb padhe duran qira at guftagu karne se amal aya ho jayega har woh shakhs khwah amil ho ya na ho is amal se faida utha sakta hai han agar bazabta iski zakat ada karli jaye to amal qabu me aajayega  aur iska amil har kisi ka kam ahasan tariqe se kar sake ga zakat ka tariqa inda mazkoor hoga.
                Mohammad  Imran Razvee Al Quadri             


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668