Saturday, January 31, 2015

Najaiz Karobar Ko Baandhne Ka Amal ناجائز کاروبار کو باندھنے کا عمل (To Block Unlawful Business)

NAJAIZ KAROBAR BANDHNE KA AMAL
Agar koi shakhsh najaiz karobar ke zarye paise kama kar muashre ke liye nasoor ban chuka ho to us ke kaam ko band karne ke liye as amal ko taale dalu men jabke qamar ka qiraan zohal ke saath ho baja laana chahiye tariqa nihayat sehal hai matlooba shakhsh ke naam me walida ke aadad abjad qamri se hasil karen aur uske dukan ke nam ke adad bhi shamil karen ya jis chiz ki dukan ho uske adad shamil kar sakte hain phir inme mazeed 2470 adad ka izafa bhi kijye aur musallas khaliulbatan ek tanbe ki loh par kanda kare.n aur shakhsh e mzkoor ki dukan men ya uske aas pas dafan kara den insha Allah chand aiyam na ghuzrenge uska kaam thap ho jayega aur bilaakhir band hojayega ,musallas khalialbatan ka qaida yun hai kul adad ko 12 se taqseem karen kharij qismat ko khana e awal me rakh kar naqsh bharna shuru karen khana e doem me utne hi adad ka izafa karen jitna adad khana e awal me tha isi tarha har khane me adad barha kar naqsh pur karte jayen aur naqsh mukammal kar len agar taqseem barabar na ho balke kuch kasar aajaye to chhate khane me baqi bache hue adad ko barha kar shamil kar len aur hasb e qaida naqsh mukammal kar len isko ek misal se samjhaya jata hai ism Allah ka naqsh khali albatan ho to pehle allah ke adad nikalenge jo ke 66 hai ab 66 ko 12 se taqseem kardenge kharij qismat 5 aur kasar 6 waaqeh hua lihaza naqsh ism Allah ka yeh hua,

Tuesday, January 27, 2015

Rooh Ko Haazir Karne Ka Amal o Naqsh روح کو حاضر کرنے کا عمل و نقش (Process To Present Of Soul)


ROOH KO HAAZIR KARNE KA AMAL
Agar koi shakhsh is bat ka khwaha ho ke sayeed roohon se talluq paida kare jis ki badaulat who apne kaamon me unki madad hasil kar sake jaise apni zindagi me khushhaali ka talab gar ho aur chahta ho ke ghaib se ussey rozi hasil ho jaya kare to usko chahiye ke uska kam sirf Allah ki raa joi ki khatir ho warna halakat e jaan ka khatra hai aise saalik ko chahiye ke saat din roza rakhe aur roza rakhne ka aaghaz yakshanba ke din se kare aur hafta tak jaari rakhen aur mukammal khilwat ikhtyar kare kisi aise goshe me baithe jahan kisi ki madakhilat na ho aur batamam o kamal yaksoi meassar ho apne gird ek khat khinche aur is khat ke kharij  کھیعص حمعسقlikhe aur khat ke andar سلام قولا من رب الرحیم قل ھو الرحمن امنا بہ وعلیہ توکلنا aur isi daire me baithe saath hi oud o zafraan ki dhoni bhi ho aur ab chandi ya sone ke patre par jadwal ko kanda kare aur ussey apne jaye nama ke niche rakhe aur char hazar martaba  ayat
حسبنا اللہ و نعم الوکیل
ko padhhe aur har namaz ke bad ek hazar martaba padhhe aur …. 118 martaba har namaz ke bad jari rakhen aur zaafran o uod ki in aiyaam me barabar lete rahen ghiza wahi istemal karen jo tark e jalali o jamali me istemal kar sakte hain jau ki roti injeer munaqqah khaye agar is sab baton ki riyayat ki gai to who sab dekhega jo aankhon ne kabhi na dekha hoga ja kabhi kanon ne suna na hoga na kabhi in baton ka khatra dil me guzra hoga siwaye us shakhs ke jisne aise aamal baja laye hon is amal me aamil ki rooh aala illiyeen ki paak roohon se apna talluq paida kar leti hai phir insan siwaye Khuda e Qadeer ke kisi ka mohtaj nahi rahta aise aamal bakasrat mashaaikh e keram se manqool hain .

Friday, January 23, 2015

LOHE TASKHEER E MATLOOB لوح تسخیر مطلوب ( Talisman For Attraction )


LOHE TASKHEER E MATLOOB
Makhsoos jagah shadi karne ke liye Lohe taskheer e Matloob ka aasan  tareeqa e kaar
Jaisa ke amaliyat ki dunya me yeh baat mashhoor hai ke ism budooh talib o matloob me kashish aur taskheer o mohabbat ke kiye bohat muassar hai is ism shareef ki ek taskheeri Loh ka tariqa e kaar darj kia jata hai, chahiye ke do adad musallas tyar kare asm talib ko wast e loh me likhe aur isi tarah ism matloob ko dusre  musallas ki wast par likhe lazim hai ke dono lohen ek hi kaghaz par ek hi shakal me yaksaaniyat se bani ho ke khane ek dusre ke bararbar ho na kam na ziada isko talib apne baazu par bandh le phir dusri martaba do adad lohe zoji tyar kare dono lohen talib o matloob ki ek dusre ke oopar muhn dar muhn rakh kar el kooza e gili me band kar ke aag ke nazdeek dafan kare ko hararat pohachti rahe ab teesri bar do aur zoji lohen tyar karen aur saabiqa tariqe sy ek ko doosre par rakhen aur kisi pak saaf jagah saat sayeed me dafan kare is taur par kul 8 adad lohen tyar ki jayengi aur in ko mandarja bala tariqa e kaar ke bamutabiq ansar ke thikany lagaye ,aamal e mohabbat ke liye jitne lawazmat darkaar hain saat sayeed , bakhoor waghaira ke saath asmaaye barhiya bhi padhe take maqsad jald haasil ho jaye ,

Saturday, January 17, 2015

Dast e Ghaib Jaari hone Ka Amal دست غیب جاری ہونے کا عمل (To get supernatural financial help)

Dast e Ghaib Jaari hone Ka Amal
Taalibeen dast e ghaib ki khidmat me ek mal dast ghaib ka haazir hai jis bandaye Khuda ki qismat me isse hissa muqarrar hoga who faida uthayega ,rozana raat ko sone se qabal tanhaai me char rikat namaz nafl ada karen is taur par ke pehli rket me surah fateha ke bad 10 bar surah ikhlas doosri rikat me 20 bar surah ikhlas teesri rikat me 30 bar surah ikhlas chothi rikat me 40 bar surah ikhlas goya char rikat me majmooi taur par 100 bar surah surah ikhlas padha jayega phir salaam pherne ke bad 100 bar koi sa astaghfaar 100 bar durood shareef padhkar 1000 ek hazar martaba hasbunallahu wa nemal wakeel padhe ywh amal musalsal 14 dino tak jaari rakhen yeh amal nauchandi budh se shuru karenaur jis dn raat me is amal ko baja laana ho ussi din yani nachandi budh ko bad namaz fajr tulu aaftab ke bad ek saat ke anadr is naqsh azeemulqadar ko taanbe ya chandi ki loh par kanda kia jaye yeh naqsh apne anadr asraar e ajeeb rakhta hai is naqsh ko safed reshmi kapde me lapet kar dauraan e mal apne musalle ke niche rakha karen aur baad khatam chillah is loh e muazzam lo usi kapde me sil kar hamesha apne paas rakhen jab tak yeh loh pas rahegi rupai paise ghaib se milte rahenge aur kabhi jeb khali na rahega yeh amal koi shakhsh apne bete ya dost ahbab ke liye bhi kar sakta hai.

Friday, January 16, 2015

Ghaibi Madad Haasil karne Ka Ajeeb Jafri Amal غیبی مدد حاصیل کرنے کا عجیب جفری طلسم ( A terrific Jafri Talisman to get unseen help)


Ghaibi Madad Haasil karne Ka Ajeeb Jafri Amal

Har maqsad me kaamyabi ke liye is jafri amal se mustafeed ho sakte hai tareeqa nihayat sehal hai apne naam ke huroof ko mufarrad kar ke likhe ab inko shumar kar lijye phir nam bari tala me se koi aisa ism ya dw asma nikaale jinke huroof ki taadad apke naam ke huroof ke mutabiq ho phir ism ilahi ko bhi ek satar me mufarrad likh lijye ab dono satoor e mufarrad ko aapas me imtezaaj de len phir teen teen huroof ke aage kalam eil laga kar moakkil banayen aur satoor e mumazzaja ke aadad  bahisaab abjad qamri ke haasil karke ek musallas baadi chal se khaalis taanbe ki takhti par kanadah karen aur musallas ke chaaro goshon par asmaaye moakkilaat tahreer kare bas ek laa jawab jafri  tilism tyar hai isko looban buraada surkh o safed aur kaafoor waghaira ka bakhoor de kar sabz reshmi kapde ke taweez me band karke hamesha apne paas rakhen  ab asmmaye moakkilat se ek ibarat e amal tyar karen jis ka qaida yeh hoga ke pehle lafz Ajeeboo phir asmaaye muakkilaat phir ism ilaahi is ibarat e amal ko rozaana ek waqt e muqarrah aur jagah ki pabandi ke saath shuru kare din peer , jumeraat , juma ya budh ho saa at mushtari ya shamsh ki behtar hai yeh amal satar e mamzooja ke aadad e qamri ke mutabiq  padhna hai aur jitne huroof satar me hain utne hi dino ka amal hoga , ibarat e amal ki misaal lijye , Hamid ko agar mufarrad me likha jaye to yuon likha jayega
Haa meem yaa daal  char huroof hue khudaye tala ke asmaa me se mughni lia aur hamid me imtezaj de dia to satar bani

Inke asmaa e muakkilaat  yeh bane
محغائیل  ،  انمائیل   ،   یدائیل
Is satar ke aadad 1153 hain aur huroof 8 hain liahaza aath dino ka amal hai jise saat mazkoora me pabandi ke saath padhna hai bahukme Rab aath dinon me is amal ke muakkil ghaibi taur par aamil ke dost ban jaayenge aur jis maqsad ki khatir aamil ne padhna shuru kia uske hussol me madad karenge iske elaawa is tilism ki khaasiyat yeh bhi hai ke isko paas rakhne wala hardil azeez hojata hai aur izzat o khushi ghaib se milti hai aur sab kaamo me ek ghaibi madad shamil haal rahti hai ,amal ki ibarat yeh bani
اجیبوا یا محغائِل یا انمائیل یا یدائیل بحق یا مغنی
Aur misali musallas baadi yeh hai
786
381
387
385
389
384
380
383
382
388
اجیبوا یا محغائِل یا انمائیل یا یدائیل بحق یا مغنی


Musallas ko bewat e naqsh ke andar pur karna hai jis ke charo taraf firishton ke sardaaron ke asmaa honge aur zila ……قولہ الحق ولہ الملک ke banaye baaqi qaida wahi hai jo kisi bhi musbat aur saad amal ki tyari me darkaar hua karte hain.
Allah tala humen ilm e naafe ata farmaaye aamin.

Thursday, January 15, 2015

Ism Budooh Ke Moakkil Se Kaam Lene Ka Amal اسم بدوح کے موکل سے کام لینے کا عمل (The process of taking work from angel of Budooh)

Ism Budooh Ke Moakkil Se Kaam Lene Ka Amal
Budooh ke moakkil  bade jalali hua karte hain inse kaam lena ka ek tariqa darj kia jata hai khayal rahe ke tarkeeb amal jalali hai lihaza 15 adad naqsh musallas khaki chal se rozana pur kia karte raho ke jalal me kuch kami waaqe ho awr amal bhi zordar ho jaye lekin agar aap se kuch bad parhezi ho gai to nuqsaan zaroor hoga haan naqsh ki waja se nuqsaan me kami ho jayegi amal youn hai ke isha ke bad raat 12 baje tak kisi waqt e muqarrara par dw zaanu baithe aur zeil ke amal ko 360 martaba padha jaaye …
Amal ke dauran apko khwab me bisharaten honi shuru ho jayengi aur pakiza shaklen ,haseen soorten nazar aayengi kabhi dauran amal bhi yeh shakle bilkul saamne aa jaya karengi usse darne ki zaroorat nahi bas amal ki ibarat ko zor zor se padhte jana hai insha Allah 40 din ke andar jis maqsad e khaas ke waaste padha gaya who zaroor bizzaroor pura hoga haan agar khuda nakhwasta dar gaya to pagal ho jayega phir kuch ilaj kaargar na hoga ,is amal ke dauran parhez laazmi hai har qisam ke ghusht, kachcha lahsun, kachcha piaz ,doodh dahi, ghee, goya parhez jalali o jamali kare khana khud pakaye agar aisa karna mushkil maloom ho to kisi khadim parhegaar ko rakh le pani daria ka istemal kare ia kam az kam kuyen ka ,amal ke dauraan looban ki dhooni bhi amal ke sharait me se hain naqsh musallas maghrib ke baad likha jaaye baad khatam chilla sab ko aate me lapet kar darya me daale is amal se har jaaiz maqsad pura kia ja sakta hai is amal ke taabe muakkil sirf ek baar hi kisi kaam ko anjaam dene ke paband hote hain who hamesha ke liye khadim nahi bante iske liye tareeq e amal juda hai.

Tuesday, January 13, 2015

Aulaad e Nareena Ke Husool Ka Aasan Amal اولادنرینہ کے حصول کاآسان عمل (An Easy Remedy To Achievement Of Male Baby)

Aulaad e Nareena Ke Husool Ka Aasan Amal
Agar kisi ko sirf ladkiyan hi paida hoti hon aur ladka paida na hota ho ya phir sarey se aulaad ki khushi se hi mehroom ho to aise jodon ke liye yeh amal baarha ka aazmuda hai chahiye ke farzand e saaleh ki niyat se in asmaa ko rozana 94 martaba padhe ..... is taur par ke 10 martaba asma padh k eek martaba ayat ......phir das martaba asmaa ka wird kare jab akhir me 4 martaba parhne se rah jaye to chahiye k eek martaba asmaa ko parh kar ek martaba ayat parhe charo martaba asmaa ke saath ayat ko mila kar padhna hai yeh amal mukammal hua ab fauran ek glass doodh par dam kare awr phir is doodh me shakkar mila le ya pehle hi doodh sheerin karke rakh lia Karen ab is doodh ka ziada hissa khud piye aur thoda hissa apni ahliyah ko pilaye insha Allah tabarak o taala chand dino me asar hamal ka zaahir ho ga aur daaman e muraad khushiyon se bhar jaaye ga is amal ko baad ghusul e haiz ke fauran shuru karna chahiye aur do aiyaam e haiz tak jaari rakhe nihaayat asan aur mujarrab hai ,lekin ek baat zehan nasheen rah eke agar baazabta kisi ne koi sehar bandish kara kar kokh baandh dia hai ya aaseb musallat karaya hai ya raham e madar me shiyateen bilkhud musallat hain to is amal se faaida nahi hoga phir nihayat zaroori hai ke in chizon ka ilaj karaya jaye kisi motebar aamil ki khidmaat hasil ki jaye ,humare yehan behamdillah isteqraar e hamal ka bohat kaamyab ilaaj zafraani taweezat ke course ke hawale se maujood hai zarooratmand hazraat o khwateen rabta kare ,aur is qisam ki koi baat nahi to mazkoora bala amal zaroor kare is ki hare k musalmaan bhai behan ko ijazat hai aur dua bhi ke Allah Musawwir e Mutlaq apne Habeeb Salallaho alaihi wasallam ke sadqe hajatmandon ke daaman ko gohar e muraaf se bhar de.

Sunday, January 11, 2015

Ishq Baandhne Ka Amalعشق باندھنے کا عمل (A Remedy To Shut The Love)

Ishq Baandhne Ka Amal

agar kisi ladke ya ladki ki ishq baazi ki waja se khaandan ki izzat daao par lagi ho aur bad nami o ruswaai ka qawi andesha ho to is amal se faaida uthaye tariqa youn hai ke dono ke naam ma waalida haasil kare inke aadad nikale aur phir inme 1242 ka izaafa kare aur majmooi aadad ke do musallas pur kare ek aatishi dusra aabi ab dono naqoosh ko alag alag pack karle.n aur kisi taalab ya nadi ke do kinaro par dono ko dafan kar den dono ke talluqaat rafta rafta sard pad jaayenge aur ek doosre ko bhool jayenge is ke saath yeh bhi karen ke mazid 45 adad naqoosh likhen jinhe rozana aik pani me ghol kar pilana hai yeh amal muqabla qamar ba marrikh me kare aur naajaiz maqsad harghiz na ho warna kuch asar na hoga.


Saturday, January 10, 2015

Dushman Ki Halakat Ka Amal دشمن کی ہلاکت کا عمل (A Spell For The Death Of Enemy)


Dushman Ki Halakat Ka Amal

Nihayat majboori kea lam me aise aamal ki ijazat ho sakti hai warna hattal imkaan dar guzar sy hi kaam lena chahiye kiyonke shariyat kisi ko jaan se maarne kiijazat nahi deti sirf us waqt jab ke dusman kafir ya faasiq hone ke saath saath had darja zalim o jaabir bhi ho aur uska zulm apni inteha ko ponhcha hua ho aur Allah ki makhlooq use muttafiqa taur par bad zan ho mazeed yeh ke aisa zaalim shakhsh kisi tarha bhi qaanoon ke shikanje me na aaraha ho to aisi surat e haal me is amal ki ijazat ho sakti hai lekin phir bhi behtar hai ke kisi motebar aalim e deen se maqshwara lelia jaye behar haal amal ka tariqa yeh hai key a qaahir aur ya qaabidh ke aadad me us shakhsh ke naam aur uski walida ke naam ke aadad shamil Karen aur hafta ke din qabristan me baith kar 7 adad musallas naqoosh banaye iske bad 900 martaba ya qabidh aur 305 martaba ia qahir padh kar naqoosh par dam kare.n is amal se qabal apna hesaar zaroor kar len phir ghar waapas laut aayen awr ghar aane ky bad do naqsh alag kar le.n baqiyah 5 naqoosh ko eke k karke kainchi se kaat le.n aur har naqsh ke 3 tukre kare.n naqsh ko haath se na pharen balke kainchi se hi kaate,n aur naqoosh ko kaatte waqt zehan me yeh tasuwor samayen ke goya dushman ko kaat rahe hain is ke baad aate ke do putle banaye ya pehle se hi tyar rakhen ab ek putle ke pet me.n ek naqsh rakh de,n aur saath hi ya qabidh ka naqsh rakhe,n is putle ko qabar me dafan karna hai aur asi qabar se thodi si mitti utha kar le aaye,n dosra naqsh doosre putle ke pet me rakh den saath hi ya qaahir ka naqsh bhi rakhe,n is putle ko qabar se haasil karda mitti ke saath dushman ke ghar me.n ia uski guzargaah me dafan kar de,n Khuda ki qudrat ka zuhoor hoga aur dushman chand hi aiyaam me apne anjaam ko pohanch chukka hoga

Hamzad Ki Makhfi Taskheer Ka Ek Naadir Amal. ہمزاد کی مخفی تسخیر کا ایک نادرعمل (Hidden Captivation Of Hamzad)

Hamzad Ki Makhfi Taskheer Ka Ek Naadir Amal

Jo shakhsh apne hamzad ko makhfi taur par taskheer karna chahta ho to usko chahiye is amal ko urooj maah ke kisi bhi nauchandi din se shuru kareaur zeil ke kalemat ko 25 ro tak har roz 700 martaba padhe to uska hamzad makhfi taur par uske liye masakhar ho jayega
 یا ھیو اھقور را ھیو قا ھیو ما ھز ھا شا ھر قا شا شا قو ھا شا ھز ھا ما یو ھا قا یو ھا راقو ھا یا یوا ھا احسنا اموسا جنوھا اجیبو ا یا ھمذاد ا ھیا ا ھیا ۔
Tarkib e amal ke mutabiq is amal ke liye alaahidgi ke kisi ek aise pur sukoon makaan ki zaroorat hai jahan aamil ke elawa kisi bhi ghair shakhsh ki mudakhilat ka ehsaas tak bhi mumkin na ho sake amal ko kisi bhi mahine ki kisi bhi nauchande din se shuru kia ja sakta hai aamil apne swabdeed aur sahulat ke mutabiq raat ke elawa din ke waqt bhi jab chahe is amal ko baja la sakta hai is silsile me kisi qisam ki koi pabandi maujood nahi hai ,aamil chahiye ke amal se pehle amal ke makaan me raughan kunjad ka chiragh jalayen amal ke waqt qibla ki taraf munh karke baithe aur chiragh ki rashni se paida hone wale apne saaye par nazar jama kar apne hamzad ki makhfi taskheer ke kaamil yaqeen o irada ke saath kalimaat e amal ko padhna shuru kare ,rasaail e hilaaliyah me is amal ki tafseel ke mutalliq mastoor hai ke jab aamil amal ki muqarrarah miyad ke mutabiq amal ke akhri roz amal ka waifa khatam kar leta hai to aamil ka charagh ki roshni me nazar aane wala apna saaya uski nazron se ghaib ho jata hai aur uske saath hi aamil ka hamzad apne makhfi aur roohani jism ke saath aamil ke huzoor mutee o farmanbardaar ban kar haazir ho jayega  aur nihayat sheeree.n aawaz ke saath aamil ki khidmat me salaam o aadab pesh karega ,is waqt aamil ke liye zaroori hai ke who apne makhfi hamzad se muhaaidah jaat ki takmeel kare jab tak hamzaad apne batini wajood ke saath aamil ke saamne haazir rahta hai is waqt tak iska saaya ghaib rahta hai aur jab hamzaad amil se ijazat lekar wapas chala jata hai to uske jaate hi aamil ka aojhal ho kaane wala saaya dobara zaahir ho jata hai ,taskheer ke is amal ka makhfi hamzad agarcha zahiri taur par nahi aata lekin yeh hamzad quwat o taqat me kisi taur par bhi zahiri hamzad se kam tar nahi hota  makhfi hamzaad apni khususiyat ke aetbar se zahiri taur par masakhar hone wale hamzad ki tarah na to har waqt aamil ke pas haazir rahta hai aur na hi aamil ko kisi qisam ka koi nuqsaan pohchane ki koshish karta hai balke amil ke talab karne par hi haazir hota hai aur aamil ko pesh aane wale tamam tar muamlaat se qabal az waqt khabar daar karta rahta hai makhfi hamzaad aamil ke liye wabaal e jaan sabit nahi hota ,balke aamil ka behtareen saathi haqeeqi dost aur qaabil e aetemad ghulam ban kar rahta hai ,is hamzaad ki ek sab se badi khubi yeh bayan ki gayi hai ke iska aamil amal ke baad jalali o jamaali har qisam ki pabandiyon se hamesha ke liye aazad ho jata hai.
NOTE
Mere paas aksar ahbaab hamzaad aur jinnat ko taabe banana ke mutalliq amal daryaft karte rahte hain jin me ziada tar log amaliyat ki bunyadi riyazat se hi nabalad hote hain phir usko agar kisi mujarrab amal e hamzad ki ijazat di jaye to yeh bilkul aisa hoga jaise kisi andhe kuen me Dhakka dena liahaza agar kisi sahib ko is qisam ke aamal ka shauq ho to usko chahiye ke kisi kaamil ustaad ki shagirdi ikhtyar kare jis ki saheeh rahbari aur kaamil roohani tawajjo kamyabi ki asal kunji ssabit ho.


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668