Thursday, September 24, 2015

LOHE ZOHAL لوح زحل ( The Saturn Talisman)



                        زحل کے ناقص اثرات کے خاتمے کے لیے یہ لوح خاص طور پر تیار کی جاتی ہے۔ساڑھ ستی کے لیے بھی مفید۔جب چلتے کام رکنے لگیں اور کام ہوتے ہوتے رہ جاءیں  تو سمجھ لیں کہ آ پ کو اس لوح کی ضرورت ہے۔ بہت سے لوگ ایک کے بعد دوسرے مسئلہ کا شکار رہتے ہیں۔ ایک مصیبت سے جان چھوٹی تو دوسری میں گرفتار ہو گئے۔ مسائل اور پریشانیوں کا انبار کاموں کا نہ ہونا۔ ہر مسئلہ میں رکاوٹ اور التواءاور اِن دیکھے ہاتھوں کا ہوتے کاموں کو روک دینا جیسے مسائل کے لیے اس لوح کا استعمال مفید اور موثر ثابت ہو گا۔مختلف قسم کی ناکامیوں اور پریشانیوں سے تحفظ کے لیے حد درجہ موثر ہے۔ اس کے علاوہ وہ لوگ جوبڑے پیمانے پر کاروبار کرتے ہیں’ بڑے پلازے اور عمارتیں بناتے ہیں یا وہ لوگ جو اپنے کاروبار اور کاموں کو استحکام دینے کے خواہش مند ہوں اور ایک طویل عرصہ کے لیے کامیابی کے خواہاں ہوں اِن کے لیے بھی یہ لوح حد درجہ موثر ہے۔ غرضیکہ ہر وہ کام جس میں آپ غیر معمولی اور طویل عرصہ تک کامیابی چاہتے ہوں کے لیے بھی یہ لوح حاصل کر سکتے ہیں۔
Lohe Zohal
zohal ke naqis asarat ke khatme ke liye yeh loh khas taur se tyar ki jati hai ,sadh satti ke liye bhi mufeed hai , jab chalte kam rukne lage.n aur kam hote hote rah jayen to samjh len ke apko is loh ki zarurat hai bahut se log ek ke bad dusre ,masla ka shikar rahte hain ek musibat se jaan chooti to dusre me giraftar ho gaye ,masail aur pareshanyo ka anmbar , kamoka na hona har masla me rukawat aur altawa aur un dekhe hatho.n ka hote kamo ko rok dena jaise masail ke liye is loh ka istemal mufeed aur moassar sabit ho ga ,mukhtalif qisam ki nakamiyon aur pareshaniyon se tahaffuz ke liye had darja mufeed hai , iske ilawa jo log bade paimane par karobar karte hai bade plaze aur imarte.n banate hai.n ya woh log jo apne karobar aur kamo.n ko istehkam dene ke khwahish mand ho.n aur ek taweel arsa ke liye kamyabi ke khwaha ho.n inke liye bhi yeh LOH had darja moassar hai gharaz yeh ke har woh kam jisme ap ghair mamooli aur taweel arsa tak kamyabi chahte hai.n iske liye yeh LOH hasil kar skte hai.

Tuesday, September 22, 2015

Zaban Daraz Biwi Ki Zaban Band Karne Ka Amal زبان دراز بیوی کی زبان بند کرنے کا عمل (Spell to keeping quiet the impudent wife)

Zaban Daraz Biwi Ki Zaban Band Karne Ka Amal

agar kisi ki biwi zaban daraz ho jis ki waja se ghar me aksar jhagda fasad barpa rahta ho aur ghar ka sukoon is waja se khatam ho chuka ho to aisi zaban daraz biwi ke liye chahiye ke is ki zaban bandi ka amal iske sar ke balo.n par kia jaye tariqa iska yeh hai, sar ke sat adad bal le.n in balo.n ko yakja kar le.n aur in par 7 girah lagaye.n aur har girah par amal ko 72 martaba parh kar phoonk mare phir balo.n ko kachche mom me band karke behte pani me.n dale chand hi ghante me is amal ka asar shuru ho jata hai insha Allah aurat ki zaban qabu me rahegi aur woh zaban darazi se baaz jayegi amal yeh hai یا ودود یا حافظ یا بدوح ,is silsile me Loh Zaban Bandi bhi humare yeha.n se tyar kara skte hain jiska asar salo.n qaim rahta hai. 

Monday, September 14, 2015

Mehboob Ko Bulane Ka Tasuwarati Amal (محبوب کو بلانے کا تصوراتی عمل) Process To Presence Beloved Through Mesmerism

Mehboob Ko Bulane Ka Tasauwrati Amal
yeh amal sainkron bar ka azmaya hua hai

kaha jata hai amal se ziada tasuwor aur yaksoi ki quwat hoti hai jab amal aur tasuwor dono milte hain to iska natija fauran samne ata hai jin logo ka tasuwor kaml hoga unke liye kamyabi yaqini bat hogi nauchandi jumerat bad namaz isha is amal ko shuru karna hai mal yeh hai
Ya Latifu Ya Wadoodu
talib w matloob ma madar ke adad nikale jo tadad bane utni hi martaba is amal ko parhna hai amal ke liye kamra pur sukoon ho roshni kam ho agar batti bhi sulgaye rukh khana e matloob ki taraf ho pehle 11 martaba durood sharif parhen phir is amal ko parhna shuru karen jab tadad das bandra tak ho jaye to to ye tasuwor kare ke matloob apne kamre me pur sukoon nind so raha hai (zuban na ruke) kuch der bad yeh tasuwor kare amal ka pura asar matloob par ho raha hai aur woh nind me be his hokar karwat badal raha hai kuch der ke bad be his hokar bedar ho jata hai junhi jagta hai use yap yad aajate hain woh thodi der apke mutalliq sochta hai phir sone ki koshish karta hai phir beqarar hokar uth baithta hai aur apke mutalliq sochta hai phir apne aap se kehta hai ke kal jaunga phir sone ki koshish karta hai magar phir uske samne apki shakal ajati hai phir woh uth kat baith jata hai gharaz ke isi tarah tin char bar tasuwor Karen phir akhir me yeh dekhen ke akhir woh apki mohabbat me bechain ho kar nange paun apne kamre se nikal bahar ata hai (jis zarye se woh askta hai woh tasuwor Karen) cycle ,motor cycle ya paidal tezi balke puri 

rafter se woh bhagta hua apki ghar ki traf rawana hota hai na logo ki parwa karta hai na traffic ki bas ek hi dhun hai jal az jald ap tak pohachna hai ab tamam raaste se hota hua apke ghar par apke kamre me ajata hai ,aur apna sar apke qadmo me rakhta hai phi rap apna hath uske sar par rakhte hain aur woh khamosh hokar sidha baith jata hai kuch der bad ape k tez chaku lekar uske dil maqam par shagaf dalte hain aur uska dil nikal lete hain aur usi chaku se dil ke do tukre karte hain phir dono tukron ko pani se achi tarah dho len dhote waqt yeh tasuwor kare ke uske dil se meri nafrat kudurat khatam hoti ja rahi hai ,phir ane sine me dil ke maqam par shagaf karke apna dil nikal len aur usko usi tarah uske dono tukro ke darmiyan rakh kar achi tariqe se see de kuch der bad phir sina chak kare dil nikale do tukre kare dhoe.n apna dil  darmyan me rakhen phir fit kar de.n ta ikhtetam is amal ko kare uske ghar se apne ghar tak ka tasuwo ek bar baqi dil par jab taka mal khatam na ho karte rahe  akhir me durood shareef 11 bar parh kar amal ki kamyabi ki dua kare aura mal ke maqam par so jaye.n insha Allah pehli rat matloob khwa kitna hi sang dil q na ho fauran be qarar ho kar apna sar apke qadmo me rakh dega warna 3 ya 7 din me zaroor matlab mil jayega

Note: is mal ko karne se qabal ijaat lenis hart hai warana amal kam nahi dega iske ilawa aisa shakhsh jiski quwat e iradi kamzor ho is amal se faida nahi utha skta 


Tuesday, August 25, 2015

Amal Benazeer Baraye Hifazat Jan o Mal o Asbab o Dukan o Makan عمل بے نظیر برائے حفاظت جان و مال واسباب و دکان و مکان (Amal Benazir For Protect Life ,Property,Shop and Home)

Note- Amal Benazeer Huzoor e Mufti e Azam e Hind ka ata karda woh lajwab eml hai jiska wird ek martaba subh o sham jan mal o asbab dukan o makan ki hifazat ka zamin hai sath hi khush khat likh kar makan ya dukan me frame kara kar lagaye lihaza IDARA ROOHANI IMDAD ki janib se braderan e islam ko yeh tohfa hai print nikal kar istemal me laye aur ijazat bhi hasil kar len.

Thursday, August 13, 2015

Sehar Jadu Ki Tabah Kaariyan Aur Uski Pehchan سحر جادو کی تباہ کاریاں اور اس کی پہچان (The Sign Of Black Magic )

Sehar Jadu Ki Tabah Kaariyan Aur Uski Pehchan

Mukhtasar pehchan sehar ki bayan karta hu taake shaiqeen amaliyat ko baja e dushwari ke asani ho aur amileen hazraat ke ilm aur tajurbe me khasa izafa ho jaye 

Awal Alamat
yeh hai ke do mia biwi apas me mohabbat o ulfat se zindagi guzar rahe hain yakayak mard w aurat me tanazo ki shakal khadi ho jaye aur ek dusre ki shakal se bezar ho jaye.

Dusri Alamat
yeh hai ke aurat apne shohar ki mohabbat me farefta ho aur sehar karke usko bargasta kardia jata hai aur woh shohar ki shakal dekh kar aag bagola ho jati hai.

Teesri Alamat
tessri alamat yeh hai ke aurat apne shohar ke ausaaf bayan karte karte nahi thakti balke rat din shohar ki mohabbat ka dam bharti hai magar sifli sehar ke zarye usko badzan aur mutanaffir kar dia jata hai aur uske shohar ki shakal misl kutte aur khinjeer ke nazar ane lagti hai.

Chauthi Alamat
yeh hai ke naujawan khubsoorat haseen ladki hone ke bawajood rishta wale ladki dekh kar uchat ho jate hain aur rishta se inkar kar dete hain is tarah arsa daraz guzar jata hai,


Panchwi Alamat
yeh hai ke ladkiyon ke rishta aana band ho jate hain yani baghair dekhe hi log bad zan ho jate hain uske zikr se dil me nafrat aur uchat pan hone lagta hai.

Chhati Alamat
Mard apni biwi bacho par mohabbat me jan deta hai magar sehar zada hone ke bad nafrat karne lagta hai aur samjhane wala bhi dushman lagta hai.

Saatween Alamat
yeh hai ke bhed bakriyan gaye bhains yani doodh dene wale janwaron par kia jata hai uske rasta me dal dete hain in janwaron ka doodh sookh jata hai bacha mar jata hai doodh pine wale bimar ho jate hai 

Aathwin Alamat
yeh hai ke jo ke chaupayon ke liye makhsoss hai is sehar ke karne se janwar ke jodo me dard hota hai aur janwar ghas khana chhor dete hain aur barwaqt unka ilaj na hua to mar jate hain.

Nawin Alamat
yeh hai ke yeh sehar doodh dene wale janwar aur bacha janne wali maaon par kia jata hai khwah janwar ho ya aurten iske karne ke bad bacha pet se be waqt zaya ho jata hai.

Daswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye khas kar aulad ko nishana banay jata hai yani nau molood aur sheer khwar bache par yeh sehar kia jata hai aur bache sookh kar mar jate hain.

Giyarweeh Alamat
yeh hai ke taale sunbla me baroz mangal ya juma ek putla atarad ka raaste me dal dete hain woh putla jis aurta ke pairon me aayega us aurat ke yehan ladkian hi paida hongi ladka na hoga.


Barhwin Alamat
yeh hai ke mard ko basta katdia jata hai yani woh mard humbistari ke qabil nahi rahta.

Terhwin Alamat 
yeh hai ke dulhan ko apne shohar se ya jisse basta kia hai uske sath hum bistari se nafrat hojati hai.

Chodhwin Alamat
yeh hai ke mard ke jodo me dard paida kardia jata hai aur mard bekar ho jata hai

Pndhrawin Alamat
yeh hai ke aurat ke pet me ya sar me pani paida kia jata hai.

Solhwin Alamat
yeh hai ke sehar zada hone ke bad aurat rang badalne lagti hai thodi der ke bad tabdeeli ronuma hoti hai aur shakal bhayanak ho jati hai.

Satrahwin Alamat
yeh hai ke aurat ko bandh dia jata hai aur aurat aqeema yani banjh honjati hai mahwaari bhi hoti rahti hai magar isteqrar e hamal nahi hopata

Atharwin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye kisi bhi shakhsh ke rozgar ko band dia jata hai aur sehar zada ka mal o asbab talf ho jata hai maweshi mar jate hain aaye din nuqsan ka samna rahta hai.


Uniswin Alamat
yeh hai ke rishta e azdwaji munqata kardia jata hai aur mard o aurat juda juda ho jate hain.

Biswin Alamat
yeh hai ke is qisam ke sehar ke zarye kisi ghar ko wiran o barbad kar dia jata hai us ghar ki khair o barkat ud jati hai mohabbat o ulfat jati rahti hai ek dusre ko log dushman samjhte hain rat din jhagda rahta hai.

Ikeeswin Alamat
yeh hai ke matlooba shakhsh ko khwah mard ho ya aurat shadeed qisam ki bimari me mubtala kardia jata hai aur kisi surta bhi sehat yab nahi ho pate.

Baiswin Alamat
yeh hai ke is sehar ke zarye mard ho ya aurta usko zalil o khwar kar dia jata har koi unse bila waja nafrat karne lagta hai aur koi aetbar nahi karta.

Teiswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye kisi afsar ya hakim ya mulazim ko nokri se ya afsar ko ohde se hata dia jata hai sehar zada hone par nokri o ohde se muattal ho jata hai.

Chobiswin Alamat
yeh hai ke ameer ko , raees ko , tejjar ko , wazeer ko, ohde se gira dia jata hai aur faqeer o kangal bana di jata hai .

Pachiswin Alamat
yeh hai ke is sehar me aurto ko ujad dia jata hai yani talaq dila di jati hai jab tak is sehar ka dafiyah na hoga to kitne hi nikah karti jaye sab munqata hote rahte hain.

Chhabbiswin Alamat
yeh hai ke is sehar ke arye hakim ya afsar ko tabadle par pohcha dia jata hai aur shahar se door kar dia jata hai.

Sataiswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye khubsoorat haseen aurat ke husn o jamal ko kharab kardia jata hai jis ki waja se woh apne paraye ki nigah me zalil o khwar ho jati hai.

Athaiswin Alamat
yeh hai is sehar ke zarye har taraqii ko masdood katdia jata hai yehan tak ke tameer shuda makan ujad dia jata hai us ghar me koi abad nahi ho pata balke wiran rahta hai jo bhi makan me ata hai jald hi chhod kar bhag jata hai.

sehar ki aur bhi bahut qisme hainitni hi alamto par iktefa karta hun taake mazmoon ziada taweel na ho jaye aamileen ko chahiye ke har woh amal noori ho ya sifli makhlooq e khuda ko zarar pohchane ke liye na karen ,aamileen jahan makhlooq e Khuda ki hiofazat aur behtari o falah o bahboodi ke liye koshish karta hai awal apni hifazat karn abhi zaruri hai yani ikl e halal sidq e maqal aur pabandi e shariyat  som o salat ka ehtemam rakhna az had zaruri hai tabhi makhlooq e khuda ki saheeh mano me khidmat anjam de sakta hai aur swab e darain hasil kar skta hai ,wehmmiyat aur laghwiyat se darogh goi se aur khurafat o wahiyat se door rahna chahiye imraz ka ilaj aur aqaid i islah karni chahiye taake apna aur dusro ka bhi iman mehfooz salamt rahe.


Wednesday, July 8, 2015

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal Nasooti حب کے لئے حروف الف لام را کا عملِ ناسوتی (Nasooti Spell Of Letters Alif Lam Ra For Love)

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal  Nasooti

Yeh amal hub o taskheer ke liye behad mufid hai iska tareeqa yeh hai ke amil lagatar alif lam ra rozana 9 hazar martaba parhe aur ek kaghaz par alif lam ra mota mota likh kar parhte waqt isko dekhta rahe chalis don pure hone par amil 9 gharibo.n ko khana khilaye aur unko rukhsat karte waqt har ek se musafaha kare aur dua ki darkhwast kare .chais din ke bad jab amil ko ksi ke liye parhna chahiye to 231 bar parh kar khuda se dua mange ke fulan ka maqsad pura ho jaye agar naqsh banana ho to atishi chal se isko murattab kare ,aur yeh amal kisi najaiz kam ke liye harghiz na kare warna gunahgar bhi hoga aur amal salab bhi ho jayega ,yeh amal khane pine ki chizon par 231 martaba parh kar dam kar dia jaye aur jab yeh chiz talib matloob ko khilaye ga to la muhala asar hoga aur Allah ke fazl o karam se woh talib ki mohabbat me mubtala hoga kahne pine ki chiz par 231 bar amal parhne ke bad amil akhir me ek martaba yeh bhi keh de .......fulan bin fulan ki jagah pehle matloob ka aur uski ma ka nam le aur dusri jagah talib aur uski ma ka nam le ,amil ko yeh yad rakhna chahiye ke alif lam ra ke majmui adad 231 hai isliye jab bhi amal kare isi tadad me kare kam ziada na kare amil ko chahiye ke apne amal ko muassar banane ke liye alif lam ra humar bhar rozana 231 parhta rahe lekin chille ke bad alif lam ra likh kar samne rakhne ki zarurat nahi hai, yeh amal chistiyah khanadn ke buzurghon se manqool hain aur apne andar hairat anghez taseer rakhte hain lekin dunya me aise nadir amaliyat se wahi log faida utha sakte hain jin me iman o yaqeen maujood ho jo log


iman se mahroom aur yaqeen se kore hain unke liye in amaliyat me kashish nahi hai aur humari dua hai ke Allah Tala kisi na ahal aur ksi na qadre ko in amaliyat ko parhne ki taufeeq na de, yeh amal jo aj ki majlis me pesh kia ja raha hai hub aur taskheer ke liye teer ba hidaf ki haisiyat rakhta hai jo amilin is bat ke khwahish mand ho ke muhabbat aur taskheer ke muamlat me unhe nakami ka muhn dekhna na pade woh khas taur se is amal ki taraf dhiyan den aur isko tohfa e ghaibi tasuwor kare
Zakat Ka Tareeqa
 iska tariqa zakat yeh hai ke nauchandi jumerat ko bad namaz fajar ke huroof e mutatteat alif lam ra ke naqsh e hurfi ko 360 martaba zafran se kaghaz par tahreer kare aur alif lam ra ek safed kaghaz par kali siyahi se likh kar kisi diwar par laga le aur khud 3 ghaz ke fasle par baith kar alif lam ra 9 hazar martaba parhe aur nigah ko alif lam ra par jamaye rakhe ke isse amil ki nazar me quwat e kashish paida ho jayegi aur is trah chalis din tak lagatar parhe naqsh e hurfi 360 adad roz likhna hai agar ek waqt me likhne parhne ka kam dushwar maloom ho to amil ko chahiye ke fajar ke bad naqsh likhne ka aur isha ke bad amal parhne ka mamool rakhe kisi bhi tarha ka koi parhez is amal me nahi hai albatta jagah aur waqt ki pabandi is amal me zaroori hai agar amil ek din bhi nagha karega aur ek din bhi jagah badle ga to amal bekar ho jayega ,gali gloch jhoot aur gheebat aur nafrat o tohmat ki baton se zuban ko puri trah mahfooz rakhe ga iske ilawa koi parhez karne ki zaroorat nahi chalis din me zkat ada ho jayegi ,iske bad amil jab kisi ke liye amal kare to 231 martaba parh kar dua kare fulan bin fulan ko fulan bint fulan se mohabbat ho jaye aur sirf is amal se talib o matloob ke darmiyan insha Allah mohabbat paida ho jayegi aur talib o matloob ek dusre ko diwane ki tarah chahenge matloob ka nam pehle lena aur talib ka nnam bad me 


agar kisi ko mohabbat ke liye naqsh dena ho to nashq ke niche yeh ibarat likh de ....yeh amal khane pine ki chizo par 231 martaba parh kar dena chahiye jiski mohabbat hasil karni ho talib usko khila de to be fazle rabbul alamin uska dil naram ho jayega aur woh talib par farefta ho jayega iske ilawa taskheer am ke liye alif lam ra ka naqsh karamad sabit hoga aur amil is naqsh ko likhne ke bad 231 martaba alif lam ra parh kar dam karde aur hare kapde me pack kara kar talib ke sidhe bazu par bandhwa de insha Allah talib ko taskheer ki daulat nasib hogi naqsh ke niche yeh ibarat likhe ....is amal ke amil ke liye zaroori hai ke is trah ke amal najaiz umoor me na kare warna woh gunahgar ho ga aur dunya me bhi ruswai hogi yeh amaal nasooti jo apne andar had se ziada asar rakhte hain sufiyon aur waliyon ki yadgar hai in amaliyat ko man mane tareeqe par istemal karna aur inki sharait ki pabandi na karne se yeh amal bhi zaya ho sakta hai aur sath hi amil kisi musibat ka shikar ho sakta hai is amal ka amil banne ke liye ijazat lena zaruri hai warna mehnat zaya ho jayegi. 

Tuesday, July 7, 2015

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR اہل بابل اور کالدانیوں کے سحر (The Black Magic Of Babylonians and kaldanyun)

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR

Sehar ke mani lughat me amar e makhfi o poshida chiz ke hain aur ilmi istelah me aise ajeeb o ghareeb umoor ka nam hai jin ke wajood me ane ke asbab o alal nazar se poshida ho.n
Imam Razi alahirrahmah ke baqaul lafz e sehar istelahe shariyat me aise amar ke liye makhsoos hai jis ke sabab makhfi ho.n aur woh asal haqiqat ke khilaf nazar o khyal me ate hain Ulama e Ahle Sunnat ki raye me sehar waqai haqiqat hai aur muzrat rasa.n bhi hai Haq tala ne hikmat aur maslehat e kamila ke peshe nazar is me trah trah ke muzir asarat paida kar diye hain jais edusri chize.n maslan zehar aur nuqsan rasa.n adwiyat me maujood hain yeh bat nahi ke sehar jadu bazat e khud qudrat e ilahi se be niyaz ho karmuassar bizzat hai aisa samajhna kufr e khalis hai.
Allama Amadududin ibn e kaseer alahirraham ne farmaya hai ke fuqaha e islam ne sehar ke mutalliq tasreeh ki hai jin amaal me shiyateen aur arwah e khabisa waghaira se isteanat talab ki jae aur unko hajat rawa qarar dekar mantaron ke zarye uski taskheer ki jaye aur unse kam lia jaye to shirk ke mutaradif hai aur iska amil kafir hai aur jab amaal me inke elawa dusre tariqe ikhtyar kare aur inse makhlooq e khuda ko nuqsan pohchaya jaye aur trah tarah ki musibaton me dala jaye is qisam ke umoor ka murtakib haram aur gunah e kabira ka murtakib hai.
aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam ne irshad farmaya hai ke ......... (Bukhari Sharif) muhlak bato.n se bacho yani shirk aur jadu.
Allama ibne hajar asqalani likhte hain ke amal e sehar haram hai aur bil ijma gunahe kabira hai aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam  ne sehar ko sat muhlak chizo.n me shumar kia hai.

sehar baz surto.n me kufr hai aur baz surton me haram aur baz surto.n me gunahe kabira hai.behar hal sehar ka sikhna aur sikhana haram hai اللہم احفطنا bahut se johla sehar ko manind mojeza samajhte hain magar sulaha e keram aur buzurgan e deen ne is khayal e batil ko rad kia aur sehar mujeza ke farq ko saf saf bayan kia hai fuqaha ne iski tashreeh ki hai ke mojeza barahe raast khuda e tala ka feal hai jo baghair kisi asbab ke ek sadiq nabi ki sadaqat ke liye alam e wajood me ata hai aur iska koi asal qaida qanoon nahi hota hai balke jab khuda chahta hai ya uska nabi bargah e khuda wandi me rujoo karta hai tab mujeza ka zuhoor hota hai sehar aur jadu ek fun hai jisko uske muqarrara usool aur qawanin ki pabandi ke sath ustad fun sahir apne fun ka har waqt muzahira kar skta hai go ke iske asbab nazro.n se poshida hote hai.n lekin is fun ke waqif kar isse waqif hote hain aur khufia asbab o alal ke zarye khilaf e adat afal e ajeeba par qudrat ka nam sehar hai jisme shiyateen aur bad rooho.n se madad li jati hai dunya me mukhtaliful anwa o aqsam ke murawaja latadad tariqa hain khufia asbab jinke zarye umoor khirq adat zuhoor me ate hain kuch roohaniyat se mutalliqa hain jaise roohaniyat e kwakib ,aflak aur anasir ki roohaniyat e juziyah hain. misal ke taur par roohaniyat amraz ya jinnat o shiyateen , ya woh arwah jo jism se alag ho chuki hain aur usko musakhkhar aur taskheer karke inko mukhtalif kamo me istemal kia jata hai, ya taseerat e jismaniyah hai jo apni makhsoos trakeeb ya mukhtalif baqiyat ke ijtema ya surat e nuiyah ke khwas ki bina par amal me ati hai.
Is qisam ki roohaniyat se munasibat ya talluq paida karne ke mukhtalif tareeqe hain kabhi kabhi unka nam lekar muqarrara tariqe se ilteja faryad ki jati hai ayam e makhsoos surten tarkeeb dekar maklhsoos kalam parha jata hai 
do tariqo par sehar paya jata hai awal tareeqa kaldaniyo ka hai dusra tariqa ahle babul ka hai dusre tareeqe ka aghaz Haroot Maroot se hota hai 

,motebara tareekh ke mutala se pata chalta hai ke kalddni sehar ke bade mahir hote the aur namrood ke zamana me ulamaye babul ne 6 talism aise tyar kiye they jo aqal o faham se bahar they.
1.kaldaniyo ne tanbe ki batakh banai thi iski khususiyat yeh thi ke jab koi chor ya jasoos shehar ki char diwari me dakhil hota tha to yeh batakh khud bolne lagti thi to llog samjh jate the ke shehar me koi chor ya jasoos dakhil hua hai aur log uski talash me lag jate they aur usko giraftar kar li ajata tha 

2. Ek ajeeb naqara tyar kia gaya tha iski khususiyat yeh thi ke ke agar kisi ka mal o raqam aur koi shai gum hojati thi to woh shakhsh naqara bajata tha usse awaz ati thi ke tumhara mal aur raqam fulan jagah ya fulan ke fas hai.

3. Ek aisa hauz tarkeeb dia tha ke kisi jashn ke mauqe par log uske kinare jama ho jate they aur mukhtalif qisam ke sharbat usme dal dia karte they aur jis waqt unko zaroorat hoti wahi matlooba sharbat unko mil jata .

4. Ek aisa aina tha ke ghaib ka hal batata tha ke fulan shakhsh kahan hai aur kis hal me hai.

5. Ek aisa talab banaya tha jis me mukhtalif qisam ke masail hal kiye jate they maslan kisi ek chiz ke do shakhsh dawe dar hain ke meri dusra kehta hai meri hai to in dono ko talab me utara jata tha jo haq par hota tha to talab ka pani naf tak ata aur jo ghalat hota tha woh shakhsh is talab me gharq ho jata tha.

6. Ek aisa darakht namrood ke mehal ke samne  darwaza par laga tha jis ka saya admiyo ki tadad ke mutabiq ghatta badhta tha .
yeh talismat namrood ke darussaltanat babul me maujood they.
funne sehar ke mahireen ka kehna hai ke yeh sehar kaldani bahut hi mushkil hai iske hasil karne me sakht se sakht mehnat o mushaqqat ka samna karna padta hai itna zaroor hai ke is ilm ka amil apne ilmi kamalat se woh kamalat aur khirq adaat logo ko dikhata hai jin ko samjhne se aqal o faham bhi qasir hain

 is jadu me tamam arwaah e khabisa ki taskheer ki jati hai is qisam ke sehar bila shuba kufr hain is sehar ki 15 sharten hai jin me chand sharte yeh hain ,arwah ko dilo ke halaat par muttale hone ka yaqeen ,arwah ke khilaf zara bhi bad aqeedgi paida ho gai to sara kam bana banay bigad jata hai.
ruhaniyat kwakib ki taskheer me sab se pehla tariqa o amal taskheer e qmar ka hai aur taskheer qamar ki dawat me jo kalam parha jata hai woh kufr hai is liye iska tajarba karna bhi munasib nahi qyunke usool e islam ke khilaf hai aur tauheed ke manafi hai (taskheer e qamar aur degar saiyargan ke alvi qaaide bhi hain)
ahle babul haroot o maroot ki talim ke mutabiq taskheer e roohaniyat alviyah sifliya jismaniyah waghairah karte they aur ahle unan taskheer e ruhaniyat e alviyah par iktefa karte they unka khayal tha ke ruhaniyat alviyah ki taskheer ke bad ruhaniyat sifliyah ki taskheer ki zaroorat nahi.
zamana e qadeem me bhi sehar ahle babul ka riwaj tha mutaqaddimin hindustani ruhaniyat par zor dia karte they.

Sehar ki dusri qisam jin aur shiyateen ko taskheer karne ki hai yeh pehli qisam se sehal aur asan hai hidustan me sehar ki dusri qisam bakasrat raij hai ,is dusri qisam ke sehar me bhawani , hanuman , kali, bhairu, luna chamari aur mukhtalif dewi dewtaun ki duhaiyah dekar unke jaye waqooa par bhent chadha kar khuxbu jala kar dhooni de kar kam lia jata hai aur lia jaraha hai yeh sehar ki dusri qisam hai yeh bhi haram o kufr hai.

Teesri qisam sehar ki taskheer e arwaah e khabisa hain isme qawi haikal deo shakhsh ki rooh ka kalam shiyateen parh kar taskheer karte hain aur apne tabe kar lete hain aur unse misl naukar ke kam lete hain is qisam ke sehar me aksar aam taur se arwaah e khabisa se hi kam lia jata is liye sharan yeh bhi mamnoo  haram hai, firaun ke jadugaro.n ne Hazrat Musa Alaihissalam ke muqable me isi qisam ke sehar se banaye hue sanp chhore they 

is qisam ke jadu ko samri jadu bhi kaha jata hai jo ke firaun ka sab se bada jadugar tha, is qisam me arwahe khabisa se madad li jati hai aur shaitan ke namo ki dohai di jati hai aur inki tazeem ki jati hai yeh bhi kufr hai.

Panchwi qisam sehar ki yeh hai ke isme ajeeb o ghareeb nazare logon ko dikhaye jate hain youn to sehar ki bahut sari qisme hain jin ka bayan ainda shay hone wale mukhtalif mazameen me kia jayega shaiqeen o aamileen ki maloomat me azafa ke liye is qadar kafi hai.
 is mauzoo par mazameen bahut ziada hai jo jald ji shaya kiye jayenge insha Allah


Thursday, July 2, 2015

Lohe Islahe Qalb لوح اصلاح قلب (Talisman For Heart Correction)


                 Lohe Islahe Qalb Ki Mukhtasar Khasiyat
  • Na farman aulad farma bardari karne lage
  • Sharab noshi aur zina ki adat jad se khatam ho jaye
  • Har qisam ke nashe se mukammal chhutkara
  • Amraz e qalb ka tashaffi bakhsh ilaj
  • Bechaini aur ghabrahat khatam ho
  • Mard biwi ke ilawa kisi aurat se talluq harghiz na bana paye
  • Aurat siwaye apne khawand ke kisi ka khayal na layegi
  • Bache ghalat sohbat se bache rahen
  • Tabiyat me tahrao aur mustaqil mizagi paida ho.
  • is qisam ke mukhtalif umoor me yeh loh apna asar tamam rakhti hai.
  • do adad loh tyar ki jati hai ek tanbe ke patre par kanda (hand engraved) kia jata jabke dusra butter paper par zafran aur amber se naqsh kia jata hai iske sath 90 taweezat zafrani course ke diye jate hai,istemal ka tareeqa nihayat asan hai.
  • لوح اصلا ح قلب کی مختصر خاصیت
  • نا فرمان اءلاد فرماں برداری کر نے لگے
  • شراب نوشی اور زنا کی عادت جڑ سے ختم حہ جائے
  • ہر قسم کے نشے سے مکمل چھٹکارہ
  • امراض قلب کا تشفی بخش علاج
  • بے چینی اور گھبڑاہٹ ختم ہو
  • مرد بیوی کے علاوہ کسی اور سے تعلق نا بنا پائے
  • عورت اپنے خاوند کے سوا کسی کا خیال نا لائیگی
  • بچے غلط صحبت سے بچے رہیں
  • تبیعت میں ٹہراو اور مستقل مزاجی پیدا ہو
  • اس قسم کے مختلف امور میں یہ لوح اپنا اثر تمام رکھتی ہے
  • دو عدد لوح تیار کی جاتی ہےایک تانبے کے پترے پر کندہ کیا جاتا ہے جبکہ دوسرا بٹر پیپر پر زعفران و عنبر سے نقش کیا جاتا ہے اس کے ساتھ 90 تعویذات زعفرانی کورس کے دئے جاتے ہیں استعمال کا طریقہ نہایت آسان ہے۔



Monday, June 22, 2015

Lohe Taskheer E Daulat لوح تسخیر دولت (Talisman For Improving Wealth)


Lohe Taskheer e Daulat Ki 3 Aham Khususiyat
  1. Yeh Loh daulat Ko is tarah khinchti hai jaise lohe ko maqnatis khinchta hai.
  2. Business me had darja munafa ke sath maali nuqsanat se mukammal tahffuz.
  3. Mulazimat aur Job karne wale afrad ki tankhwah hasb e khwahish bad jati hai.
Saiyaro.n ke nihayat saad aur qawi nazrat me yeh Loh Husool e Daulat ki khatir tyar ki jati hai ,mushtari ke samne rakh kar tanjimi amal bhi kia jata hai jis se is ki quwat aur taseer kai gunah barh jati hai ,tanbe ke patre ke sath kaghaz par bhi dastyab hai.
لوح تسخیر دولت کی 3 اہم خصوصیت
  1. یہ لوح دولت کو اس طرح کھینچتی ہے جیسے لوہے کو مقناطیس کھنیچتا ہے
  2. کاروبار میں ھد درجہ منافع کے ساتھ مالی نقصانات سے مکمل تحفظ
  3. ملازمت اور نوکری پیشہ افراد کی تنخواہ حسب خواہش بڑھ جاتی ہے
سیاروں کے نہایت سعد اور قوی نظرات میں یہ لوح حصول ِدولت کی خاطر تیارکی جاتی ہے ،مشتری کے سامنے رکھ کر تنجیمی عمل بھی کیا جاتا ہے جس سے اس قوت اور تاثیر کئی گناہ بڑھ جاتی ہے ،تانبے کے پترے کے ساتھ کاغذ پر بھی دستیاب ہے



Wednesday, June 10, 2015

Har Bimari Ke Liye La Jawab Ganda ہر بیماری کے لئے لاجواب گنڈہ ( Knot For Each Disease)


Har Bimari Ke Liye La Jawab Ganda

Khwah kisi qisam ki bimari ho yeh ganda har ek maraz me tyar kar ke mariz ke gale me dal sakte hain ,chahiye ke nabligh ladki ke hath se sat tar kache soot ka kata le.n aur sab ko ykja karke surah alam nashrah sat martba is tarkeeb se parhen aur har ek bar parhne ke bad ek girah me phonk mar kar girah mazbooti se band kare.n ,badahu ganda mariz ke gale me dale.n nihayt mujarrab mal hai,
surah is tarkeeb se parhna hai

بسم اللہ الرحمن الرحیم

الم نشریا رسول صلی اللہ علیک وسلم لک صدرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم ووضعنا عنک وزرک الذی انقض ظہرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم ورفعنا لک ذکرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم فان مع العسریسرا یا رسول صلی اللہ علیک وسلم انا مع العسر یسرایا رسول صلی اللہ علیک وسلم فا ذا فرغت فانصب یا رسول صلی اللہ علیک وسلم والیٰ ربک فارغب یا رسول صلی اللہ علیک وسلم بخار فلاں بن فلاں دفع شود



bukhar ke elawa koi dusra maraz ho to uska nam le.n aur fulan bin fulan ki jagah mariz aur uski walida ka nam le.n agar mariza hai to bin ki jagah bint kahe bad shifa ke ganda behte pani me dal de.n aur nazar Sarkar Ghausul Azam raziallahu tala anho ki kisi sheerni par de kar bachon me taqseem karen. 

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668