Saturday, June 24, 2017

Lohe Adaye Qarz कर्ज का भुगतान होने के ताबीज Taweez For Debt لوح اداے قرض


Adaye Qarz Aur Khair o Barkat Ka Ek Mujarrab 
Lohe Adaye Qarz jo ke Khas Jumatulwida ke din bad namaz Juma tyar ki jati hai maine chand naqoosh hasb e mamool tyar kia hai is Loh ka hadiya mahaz 500/- INR hai agar kisi ko ashad zaroorat hai aur 500 ki bhi isteta'at na rakhta ho to mahaz courier charge ada karke free hasil kar sakte hai'n. 
فقیر قادری           
صوفی محمد عمران رضوی

Saturday, June 17, 2017

Nad e Ali Ek Suryani Tilism ناد علی ایک سرےانی طلسم नाद अली एक सरियानी मंत्र Nad e Ali A Syriac Spell

Ap ko yeh jan kar hairat ho gi ke Nad e Ali Sharif bazuban e suryani das hazar saal qabal maseeh se aatish parast saahiro'n ke mujarrabat me shamil tha aur unke aqeede ke mutabiq is tilismi ibarat se har kam lia ja sakta tha, janna chahiye ke Nad e Ali Shareef Jang e Ohad me'n Nabi Kareem Sallallah alaihi wasallam ki zuban e aqdas par jari hua kehte hai'n jibreil ameen ne Saiyed e Alam Sallallahu alaihi wasallam ko yeh alfaz sikhaye 

ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی

to iske jawab me'n Aaaqaye do jaha'n salallaho alaihi wasallam ne yeh irshad farmaya
بعظمتک یا اللہ یا اللہ یا اللہ و بنبوتک یا محمدیامحمدیامحمد و بولایتک یا علی یا علی یا علی
Hazrat Muhammad Ghaus Gawalyari rahmatullahi alaih musannif e Jawahir e Khamsa isey Jang e Khaiber se mansoob batate hai'n bahar kaif is bat par to sabhi muttafiq hai'n ke Nad e Ali sharif ek azeemulmartabat isteghasa hai Khudaye Qadeer ki bargah e quds me'n bawaseela Janab e Muhammadur Rasoolullah Sallallaho alaihi wasallam w Maula e kainat Hazrat e Ali Sher Khuda karramallahu wajhahul kareem,aur in mutabarrak kalemat ki ijazat ki sanade'n bhi bahut Aala o arfa hai'n maslan barre sagheer ki maya naaz ilmi o roohani shakshiyat jinhe dunya Shah Waliuallah Muhaddis Dehelvi ke naam se janti hai aur jinhe lagh bhag tamam makatibe e fikr ko log tasleem bhi karte hai'n , aisi hasti ne apni marakatul aara tasaneef ke andar Nad e Ali shareef ki ijazat ke mutalliq tahreer farmaya hai lihaza in jaisi shakhshiyat ka Nad e Ali sharif ka ijazat lena aur dena hi barre sagheer hind o pak ke shakki mizaj aur wehmi afrad ke liye dawa aur ahle mohabbat ke liye taskeen e khatir ka saaman hai ,yeh bate'n zimnan arz kar di kehna yeh hai ke jis tarah bismillahir rahmanirraheem ke talluq se warid hua ke yeh har daur me'n nazil hota raha aur phir utha lia jata


Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam se qabal Hazrat e Eisa alaihissalam par nazil hua lekin utha lia gaya phir jab Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam par nazil hua to ta qayamat yeh Qur'an ke andar baqi rahe ga iske zarye se mushkilen aasan hoti rahengi hatta ke dozakh se chhutkara bhi isi bismillah ki barkat se mile gi ,yeh bat to mutahaqqaq hai ke bismillah shareef ka har daur me nuzool hota raha to kia bayeed hai ke Nad e Ali shareef ki jis suryani tilism ki bat main kar rara hu'n woh bhi kabhi nazil hua ho agarcha iska nuzool baarha na hua ho aur is par koi tahqeeq bhi nahi ke yaqeen ke sath kuch kaha ja sake, bat samajhne ki sirf itni hai ke Qudrat e Khudawandi ka karishma dekhye ke jo waqeyah das hazar saal ke bad wakoo pazeer hone wala hai aur us musibat ke waqt Khuda e Ta'ala ki janib se jis Nad e Ali shareef ke alfaz nazil hone they thik usi mazmoon ki ek dua suryani zuban me'n nazil ho chuki thi aur na sirf yeh ke nazil hui balke itni mashhhor o maroof aur mujarrab dua thi hai ke tauheed paraston ke sath sath imtedad e zamana ke bad bhi atish parast qaum ke sahiro'n ne is dua se khoob faida uthaya lihaza Ibn e hallaj apni kitab me likhte hai'n ke in suryani asma o kalemat ka agar arbi me tarjama kia jaye to yeh Nad e Ali shareef ban jata hai aur yeh tilism das hazar saal qabal maseeh ke daur ke  aatish parast sahiro'n ke zer amal ane wali aur us qadeem daur se lekar aj tak ke daur ke ulama o aamileen ke amal o tajurba me'n ek moassar tareen amal sabit ho rahi hai , ab aaiye kuch is suryani tilism ki khasiyat bhi bayan ki jaye Ibne hallaj apni kitab me tahreer karte hain ke wasil ibne ata baghdadi se manqool hai ke jo shakhsh is tilism suryani ko kisi dhat par basa'at sayeed kanda kare aur khushboo ki dhooni dekar apne pas rakh le to uski har khwahish jald ya bader puri ho jaya karegi @Khuda e Ta'ala uske tamam kamo ka zamin hoga @usko koi makhlooq kisi qisam ka zarar na pohncha sakegi @uske dushman usko dekh kar aise bhagenge jaise sher ko dekh kar gidar bhagta hai @logo'n ke dilo'n me'n uski izzat qaim rahegi @har qisam ki aafat o balliyat door se apna rasta badal lenge @kisi qisam ka jadu sehar ka is par asar na hoga 

@purane se purane sehar ka khatma ho jayega aur isi par bas nahi iski khasiyat bahut ziada hai ,das hazar saal qabal maseeh ke is suryani tilism ki ibarat mulahiza farmaye'n ghaur karne par maloom ho jayega ke alfaz Nad e Ali ke is suryani tilism se kaise hu bahu mel khate hai'n suryani tilism yeh hai
یو ھو تیا رکنیا بای صیفا تکیلس یا ایلیا ھی دو جو میامی تفشا کمرفا صحاکملسا میلا ھینا نو قتہا میا نھن رکزا ققا دو قھاقی یا ربا یھا کط ھکیا یا محماد ایا لا معالع مجما جناج سدار ما یا علیا ھا یا علیا ھا یا علیا ھا
aur Nad e Ali shareef mashhoor o maroof yeh hai 
ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی بنبوتک یا رسول اللہ وبولایتک یا علی یا علی یا علی
akheer me arz karu'n ke is mazmoon ko likhne ka khyal kai dino'n se tha husn e ittefaq se ramazan ki ikeeswe'n shab me iski taufeeq mili aur dauran e tahreer khayal aya ke yeh to shab ikeeswe.n hai Maula e kainat Hazrta e Ali Sher khuda karramallahu wajhahul kareem ki shahadat ki tareekh pas maine samjha yeh sadqa aur tawajjoh hai Babul Ilm Abu Turab Haidar e Karrar Mahbbob e Kirdigar karramallahu wajhahul kareem ka jo is faqeer e Quadri Imran Razvee ko hasil hui.

Friday, June 16, 2017

Taweez Quwat e Hafiza Ke Liye तावीज़ शक्ति मेमोरी का تعویز قوت حافظہ کا Amulet For Power Of Memory

Jin bacho'n ka hafiza kamzor ho sabaq yad na hota ho to chahiye ke surah taha ki mashoor o maroof ayat rabbi zidni ilma ko rozana 414 martaba parhne ke liye bache ko takeed kare'n agar 414 martaba na parh sake kam az kam 100 bar hi parhaya jaaye aur maa bap ya koi rishtedar rozana 414 martaba parh kar bache ko pani me'n dam kar ke dia kare sath is naqsh ko budh ke din awal sa't me'n zafran se likh kar bache ko usi din gale me'n pehnaye in sha Allah hafiza qawi hoga ilm me'n izafa hoga aur parhai me'n bhi dil lagega

Wednesday, June 14, 2017

Taweez Do Bhaiyon Me.n Sulah Ho Jaye ताबीज दो भायों में सुलह हो تعویذ دو بھاءوں میں صلح ہو جاءے

Jab do bhaiyon ya do doston me apsi ranjish paida ho jaye to unki sulah karane ke waaste surah yousuf ki ayat number 92 ko 3371 martaba parh kar naqsh par dam kare.n aur dono me.n se kisi ek ko yeh taweez bandh de.n agar kisi ko bhi taweez dena mushkil ho to kisi phal dar darakht ya ghar me.n latka de.n taake hawa se hilta rahe ,yeh tariqa do giroh ya do jama't me.n bhi sulah karane ke liye behad asan aur mujarrab hai.

Surah Ikhlas Ba Mawakkil Ka Amil Banye सूरा इखलास बा मौक्किइल का अमीन बनिये سورہ اخلاص با موکل کا عامل بنے


Tuesday, June 13, 2017

Taweez Garmi Ki Shiddat Aur Loo Se Bachne Ke Liye تعویذ گرمی کی شدت اور لو سے بچنے کے لے तावीज़ गर्मी तीव्रता और लो से बचने के लिए


Mausame garma me bahut sare afraad loo lagne se ja.n bahaq ho jate hain aur hazaro.n log bimar par jate hai.n is mausam ki garam hawaon se ped paude bhi jhulasne lagte hain aur mukhtalif bimariyon ka daur shuru ho jata hai in sab se mehfooz rahne ke liye is ayat e qurani ko rozana 11 bar parh kar khud par dam kare.n aur bacho.n par bhi 11-11 bar parh kar dam kare.n aur isi ka naqsh gale me dale.n

Saturday, June 10, 2017

Taweez Kaam Kiyoun Nahi Karta تعویذ کام کیوں نہیں کرتا ताबीज काम क्यों नहीं करता Why Amulet Doesn't Work




Taweez Kaam Kiyoun Nahi Karta 
Alwah Sazi Aur Naqsh Nawesi ka Ek Gosha

Naqsh bharna bazabta ek funn hai aisa nahi ke qalam uthaya aur kaghaz par lakeer khench khench kar koi taweez nawes ban jata hai balke iske liye husool e ijazat ke bad  zakat e naqoosh ki jin dushwar guzar aur sabar aazma marhalon se guzarna parta hai yeh ek kohna maqsh Amil hi bata payega ,naqoosh aur alwaah ki tyari me kis qadar ehtyat barta jata hai aur kaisi hazir dimagi darkaar hoti hai yeh fun se waqif afrad bakhoobi jante hain ,behamdihi tala main apni 17 sala roohani safar me naqsh nawesi ke talluq se be shumar poshida haqaiq aur ma'auarif se ashna hua hun jisey ahata e tahreer me lane ke liye mujhe ek lambi tateel aur fursat ke lamhat chahiye fil waqt main ap hazraat ko sirf itna batana chahta hun ke jab ap taweez likh rahe hote hain to us waqt apke qalam par do qisam ki qoowaten mtasarrif hona chahti hain ek roohani quwat aur dusri shaitani quwat har do quat apne kam me lagi rahti hai jab roohani quwat ke zer e asar apka qalam chalta hai to apko  farhat o anbisat aur suroor hasil hota hai aur naqsh ke aadad ya huroof bilkul sahee sahee tahreer ho rahe hote hain aur jab qalam par shaitani quwat apna tasurruf jama leti hai to na chah kar bhi qalam se laghzish hona shuru ho jati hai ap likhna chahenge 6 likha jayega 5 ayat kuch likh rahe honge beech me izafi lafz jud jayega,aur sath hi mizaj me uljhan paida ho jati hai phir aap jab chahenge ke is ghalat likhe ko saheeh kar lia jaye to isse mazeed roohani bechaini me izafa hojata hai kiyon ke jaise hi ap naqsh par overwrite karenge woh naqsh bejan o be asar hokar rah jayega ek aham nukte ki taraf ishara kar dun kabhi aisa hota hai ke apne koi adad ghalat likh dia maslan 2 likha use 3 hona tha to agar baghair overwrite ke yeh 3 ban jata hai to khair warna Loh ya naqsh bekar samjhen isi par huroof ko bhi qayas kijye ,Loh sazi aur naqsh nawesi ke dauran yeh kashmakash aur ankh micholi ka khel sarkash jinnat aur naqsh ya loh ke taabe noori mawakkilan ke darmiyan jari rahta hai ,baharhaal agar khuda nkhwasta naqsh overwrite hogaya to samjhe ke mehnat akarat ho gai phir se dobara likhna hoga ,mai bade bade naqoosh banata hu aur mujhe aksar aisi surat e haal se do char hona pada hai natijatan 4 ghante ki mehnat 4 minute me khatam ho jati hai humare yeha kisi bhi naqsh ya loh ki taiyari me in jaisi baton ka  khas khayal rakha jata hai yeh to ek jhalak thi naqsh nawesi aur alwah sazi ke talluq se jo ke ek aam insan ko bhi ghaur karne par dikhta hai lekin is tarah ke sainkdon asraar aise hain jin se likhne ke waqt sabqa parta hai jin ka bayan karu to mustaqil ek kitab ban jaye..yaad rakhe.n Naqsh Nawesi aur Alwaah sazi ka fun aur iske asrar baghair kamil ustad ke kisi ko meassar nahi aaskta chahe jitni naqal karta phire.


Tilism Charm e Aahu طلسم چرم آہو Gazelle Skin Talisman हिरण के चमडे का तावीज़


Tilism Charm e Aahu
Ek Lajwab Tilism
Hiran ke chamde me likha jane wala naqsh ya tilism apni roohani quwat ke etbar se ek lajwab aur lasani tilism ya naqsh hota hai Khudaye ta'la ne hiran janwar ke chamde me aisi roohani qoowat wadiyat ki hai jisse insan ki jumla khwahishat ki takmeel me ghaibi madad milti hai jiske pas yeh Tilism Charm e Aahu hoga woh ek khush  qismat insan tasauor kia jayega uski har khwaish ghaib se puri ho jaya karegi is Tilism ki khasiyat ka mukhtasar ta'ruf bas ek jumle me yeh hai ke yeh tilism jumla maqasid ke liye kafi hai




Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668