Showing posts sorted by date for query Saifi. Sort by relevance Show all posts
Showing posts sorted by date for query Saifi. Sort by relevance Show all posts

Sunday, December 12, 2021

Naqsh Kamil Dua e Saifi نقش کامل دعائے سیفی


Yeh naqsh Dua e Saifi Ka Ba Moakkil Naqsh Hai ,bade se bade dushmano ko zer karne ke liye aur unpar hamesha ghalib rahne ke liye , sifli jadu tone se hifazat aur sarkash jinnat o shiyateen se mahfoozi ke liye humare yaha'n makhsoos auqaat me taiyar kia jata hai, banwane ke liye WhatsApp kare'n.


 

Sunday, December 5, 2021

Dua e Saifi Aur Hizbulbahr Shareef Ki Ijazat دعائے سیفی اور حزب البحر شریف کی اجازت

الاوفاق۱۱؎

شیخ عبد الحق محدث دہلوی رحمہ اللہ فرماتے ہیں جس سال میں مکہ معظمہ سے دہلی واپس ہونے والا تھا ،ایک دن اپنے حجرے میں بیٹھا حزب البحر شریف کی نقل کر رہا تھا کہ مکہ مکرمہ کے ایک زبردست عالم ،صالح و مشہور بزرگ شیخ علاوالدین  رحمہ اللہ تشریف لائے اور پوچھنے لگے یہ کیا لکھ رہے ہومیں نے جواب دیا حزب البحر لکھ رہا ہوں تاکہ سمندری سفر میں اس کو پڑھ سکوں ،پھر انہوں نے دریافت کیا کسی سے اجازت بھی لی ہے میں نے کہا ہاں شیخ عبد الوھاب متقی رحمہ اللہ سے اجازت حاصل کی ہے انہوں پوچھا کیا تم شیخ کو جانتے ہو میں نے کہا جی ہاں تقریباً دو سال تک ان کی خدمت میں رہا ہوں تو انہوں نے کہا مبارک ہو تمہارے حج مقبول ہوئے اور تمہارے اعمال منظور ہوئےمیں نے پوچھا کس طرح جواب دیا کہ میرے یمن کے سفر میں وہاں کے مشائخ فقراء نے مشترکہ طور پر کہا کہ شیخ عبدا لوھاب متقی مکہ معظمہ میں اپنے وقت کے قطب ہیں

سبحان اللہ جب شیخِ محقق جیسے اکابرِ امت مکہ مکرمہ میں اپنے شیخ عبد الوھاب متقی رحمہ اللہ سے  دعائے حزب البحر شریف کی اجازت حاصل کریں اور اسے پڑھنے کے لئے خود نقل فرمائیں تو یہ سمجھنا کچھ مشکل نہیں کہ یہ دعاء کیسی عظیم الشان ہے اور کیوں کر بر صغیر میں اس کے پڑھنے کا معمول تقریباً تمام سلاسل حقہ میں آج بھی جاری و ساری ہے اوردعائے سیفی شریف کے تعلق سے شیخ محقق رحمہ اللہ نے فرمایا مجھے ایک جگہ سے دعائے سیفی پڑھنے کی اجازت ملی جس کی سند بہت بڑی ہے چونکہ پیر و مرشد کو دعائے سیفی کی اجازت نہ تھی اس لئے انہوں نے مجھے علوم شریعت وطریقت کی اجازت دی تو دعائے سیفی پڑھنے کی اجازت  مجھ سے لی ،اس کے بعد دعائے سیفی پڑھنے کی اجازت مجھ کو دے دی تاکہ میں ان کی جانب سے مجازِمطلق اور پورا خلیفہ ہو جاوں

دیکھئے اجازت کیسی مفید شئے ہے کہ وقتِ ضرورت  شیخ اپنے مرید سے حاصل کرتے ہیں اور پھر واپس اسی مرید کو عطاء فرمادیتے ہیں اس طرح مرید کے لئے وہ اجازت پہلے سے کہیں زیادہ بلند پایہ اور نفع بخش ہو جاتی ہے

فقیرِ قادری اپنے روحانیات ومشاہدات و مطالعات و تجربات کی روشنی میں  عرض کرتا ہے کہ دعائے سیفی اور دعائے حزب البحر جیسی بڑی علوی دعاوں کو اجازت ِ صحیحہ کے ساتھ پڑھنے کے ثمرات و برکات بے انتہا و لا محدود ہیں ،ہزارہا ہزار روحانیین و ملائکہ مقربین ہر لمحہ  ان دعاوں کے فقرات پر آمین کہنے کے منتظر  رہتے ہیں ،اللہ تبارک و تعالیٰ مجھے اور میرے تمام احباب کو علم نافع عطاء فرمائے آمین

 


 Naqsh Dua Hizbul Bahar نقش دعائے حزب البحر


Naqsh Kamil Dua e Saifi نقش کامل دعائے سیفی




Log into PositivUS to start using it. Click in the toolbar button
Log into PositivUS to start using it. Click in the toolbar button
Log into PositivUS to start using it. Click in the toolbar button
Log into PositivUS to start using it. Click in the toolbar button

Sunday, April 24, 2016

Amal Saifi Baraye Mohabbat عمل سیفی برائے محبت


Amal Saifi Baraye Mohabbat

Dunya e amaliyat me aamal o ashghal sainkdon hazaro nahi balke lakhon ki tadad me hai ke sab ka tajurba karna insan ke liye mumkin nahi lekin han jab woh is wadi me qadam rakhta hai mashiat e ezdi uski dast geer hoti hai aur unhi aamal ki taraf bande ka rujhan hota chala jata hai jisme kamyabi milna azal se muqaddar ho chuka hota hai main yeha jis amal ka tazkira karne ja raha hu yeh amal bhi kuch aisa hi hai ke agar kisi hajatmand ko is amal se faida pahuchna muqddar hoga to woh is amal se zaroor mustafeed hoga aur mahaz tin dino me uska mehboob uske qadmo me hoga jabke uska mal karna sharan durust ho agar najaiz taur par karega to is amal ke muakkilan se jan chhidana mushkil ho jayega, amal yeh hai

is amal e saifi ko rozana khana e matloob ki janib muhn karke 360 martaba parhe parhte waqt matloob o mehboob  ka tasawoor e kamil rakhe ke woh aaraha hai , aur tin din na guzrenge ke usko ana parega aksar biwi rooth kar maike waghaira chali jati hai ya shohar naraz hokar kahin bahar chala jata hai unke liye is amal ko naja layen elawa iske mukhtalif mawaqe se is amal ka jaiz istemal kia ja skta hai isko karne se qabal ijazat hasil karen taake mehnat zaya na ho aur koi is amal ka amil banna chahta ho to is ki zakat ada kare amil ho jayega phir ksi dusre ke liy bhi is amal ko baja layega to kam ho jayega .

Saturday, March 19, 2016

Parinda Hud Hud ke Khawas o Tilismat پرندہ ھدھد کے خواص و طلسمات (One Hundred Spells and Properties Of Hudhud)














Hairat Angez Tilismati Parinda HudHud Ke Ek Sau Mujarrab Tilismat

Hudhud ek mashhhor parinda hai jis ke badan par muktalif rangon ki dharian hoti hain ,iske sar par taaj hota hai iski kunniyat Abul Akhbar,Abu Samama, Aburrabeeh, Abu Rooh , Abu Sajjad , Abu Ubbad hai isko had hid bhi kehte hain yeh fitratan badboo dar parinda hai ,yeh ghonsla gandi jaghon par banata hai aur yeh adat iski tamam jinson ki hai ahle arab ka iske mutalliq kehna hai key eh zamin ke niche pani ko is trah dekhta hai jaise insane glass ke andar pani ko dekhta leta hai ,neez yeh parinda Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka pani ke silisle me khadim tha ulamaye tilismat ne is poarinde ki har azwo ki khasiyat apne tajurrubat ki bunyad par qalam band farmai hai faqeer e razvee raqimul huroof ne inme se chand ek ko azmaya to hairat angezh aur zood asar paya lihaza qaraeen ke ilm me izafe aur dilchaspi ke liye is tilismati parinde ki ziadah se ziadah tilismat ko naqal karke ifada e aam ki gharaz se shaya karta hun ,jo hazraat o khawateen in tilismat se faid uthana chahen unke liye zaroori hai ke is parinde se talluq rakhne wali azimat ki zakat ada karke amal me le aayen take is tilismati parinde ke hare k azwo se talluq rakhne wali roohaniyat  aap se maanoos hokar aapka hukm fauran baja laye ibarat amal aur zakat ki tarkeeb naqle tilismat ke bad darj ki jayegi

Hudhud ke mukhtalif aaza ke tilismati khwas

(1)  Agar kisi ghar me hudhud ke paron ki dhoni di jaye to waha se sare kide makode bhag jayenge.
(2)  Hudhud ki aankh agar koi bhoolne wala apni garden me latka le to usey bhooli hui chi yad aajaye.
(3)  Quwat e hafiza ke liye hudhud ka dil bhoon kar sendab me mila kar kha le nihayat mufeed sabit ho.
(4)  Nisyan door karne ke liye hudhud ke dil ko bhoon kar kha le to nisyan ka maraz door ho jaye zehan o dimagh tez karne wali dawaon me sab se umdah hai aur isme koi nuqsan ka bhi khatra nahi.
(5)  Das adad hudhud pakad kar unke bal o par noch kar kisi makan ya dukan me dal den to woh makan ya dukan hamesha ke liye wiran ho jaye aur kabhi abad na ho yeh amal ohal o qamar ke muqabla me karni chahiye
(6)  Agar hudhud ki anten lekar kisi nakseer wale par latka di jaye to uska jari khoon band ho jaye.
(7)  Hudhud ki chonch jo koi apne rakhe to uski koi chiz zaya nahi ho sakti aur agar usko apne rakh kar kisi badhsha ya hakim ke pas pohanch jaye to uski tazim kare aur uski zaroorton ko pura kare.
(8)  Agar koi hudhud ke ghonsla ki mitti lekar qaid khane me dale to qaidi azad ho jaye.
(9)  Agar hudhud ka koi ek panja lekar bacho ke garden me batur e tawiz latkaye to usey kabhi nazar na lage.
(10)                     Agar hudhud ked um par zara sa khoon lagakar kisi darakht me latka den to darakht kabhi baar aawar na ho.
(11)                     Agar isi dum ko ksi anda dene wali murghi le gale me latka de to woh anda dena band karde.
(12)                     Agar koi shaksh hudhud ki uban lekar roghan kunjad me dal de aur phir usko apni zuban ke niche rakh kar jis kisi se bhi apni zaroorat ka mutalba kare to woh fauran zaroorat poori karde.
(13)                     Agar hudhud ke dahine apr ko koi apne pas rakhe to apne fareeq e mukhalif par ghalib ho , aur uski tamam zaroorten puri ho ,hark am me usko kamyabi ho.
(14)                     Hudhud ka gosht paka kar khana dard e kolenj me mufeed hai.
(15)                     Hudhud ka dimagh nikal kar aate me mila kar usey gond lia jaye aur ussey roti bana kar saye me sukha kar jis kisi insane mard aurta ko khila di jaye aur khilane wala yeh kahe aye fulan bin fulan maine tujhe hudhud khilaya hai aur tujhe apni bat sunne wala aur farmanbardar bana lia hai take tu mere pas usi trah hazir bash rahe jis trah Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka hudhud unke pas hazir bash raha karta tha to is amal ke asar se khane wala khilane wale se be panah mohabbat karne lagega.
(16)                     Agar koi hudhud ki chonch ko hiran ki khal me lappet kar usye surkh ya kale ya surmageen rang ke dhage me bandh kar apne dahine bazu par bandh le to jisse  mohabbat ka irada rakhta hai woh beqarar hojaye hiran ki khal me asmaye muakkilat tahreer kiye jayenge.
(17)                     Hudhud ka khoon agar kisi seepi me lekar us aankh me tapka dia jaye jisme baal jam gaya ho to woh bal door ho jayega.
(18)                     Saad nazraat me hudhud zibah karke uska dimagh nikal kar sukha lia jaye aur usey bareek pees kar pisi hui mustagi roomi me mila kar 21 adad hudhud waraq aas koot chan kar usme mil alia jaye yeh safoof e mohabbat tayar hai jise bhi sungha dia jaye woh mohabbat me diwana ho jaye.
(19)                     Hudhud ke dahine aankh ko kisi naye kapde me lappet kar koi shaksh usko apne dahine bazu par bandh le to jiske pas bhi jaye woh ussey mohabbat karne lage ga aur jo dekhe fida ho.
(20)                     Jis kisi ko apne bal siyah rakhne ho to chahiye ke hudhud ki aanten lekar unko sukhaye phir roghan kunjad me mila kar darhi ya sar ke bal me teen din tak male bal siyah rahenge.
(21)                     Agar hudhud zibah karke pure ka pura hiran ki khal me lappet kar kisi makan me latka dia jaye to wahan maujood sifli alwi jadoo hamesha ke liye khatam ho jaye aur ainda hifazat rahe post aahu pa r aayat radde sehar ma saifi tahreer karna hoga.
(22)                     Hudhud ke jabde ka nichla hissa apne upar latkaye to log ussey mohabbat karne lagen.
(23)                     Agar kisi pagal ko hudhud ke taj ki dhooni di jaye to uska pagal pan jata rahe.
(24)                     Agar koi namard ho ya sehar zada ho to hudhud ki dhooni se faida pohnche.
(25)                     Hudhud ka dil bhoon kar sandab ke hamrah khana quwat e hafiza ke liye ikseer hai.
(26)                     Hudhud ke bayen bazu ke tin par lekar kisi ke ghar ke darwaze par tin din suraj nikalne se qabal jhadu de aur jhadu dene wala yeh kahe ke jis trah is darwae se dhool aur gard o ghubar door ho gaya isis trah is ghar se fulan bin fulan hamesha ke liye door ho jaye is amal ke asar se woh shaksh jiska nam lia gaya is makan se door chala jayega aur kabhi bhi wapas na ayega.
(27)                     Agar hudhud ke bayen bazu ko jala kar uski rakh ko apne mahboob ke raaste me chhidak de to us par pair rakhne ke bad matloob talib ban jayega.
(28)                     Agar hudhud ka dahina ek par aur chonch post aahu me band karke apne gale me latkaye aur latkate waqt apna mehboob ka aur uski ma ka nam le to kamyab ho.
(29)                     Hudhud ke dahine bazu ka sab se bada par maqbooliyat aur taskheer khalq ke liye hota hai.
(30)                     Agar koi khoon e hudhud se kaghaz Hariri par tilismat likhe aur apne bazu par bandhe ,badsha ya kisi ameer ya hakim ke pas jaye to nihayat izzat o martaba paye aur koi dushman ghalib na aye.
(31)                     Agar kisi shaksh ki mardana quwat bandh di gai ho to itwar ki shab ko maghaz e hudhud par asmaye tilismat parhe aur qusaib par tila kare fauran hi khul jaye.
(32)                     Agar kisi shaksh ki zuban band karni maqsood ho hudhud ke paron par itwar ke din asmaye tilismat parhe aur tanawor me dal de zuban us shaksh ki band ho jayegi.
(33)                     Agar kisi ki uban kund ho to zuban e hudhud par woh tilism malooma parhe aur apne bazu par bandh le nihayat faseeh balke fasahat o balaghat me mashhoor ho jaye.
(34)                     Kisi shaksh ki zuban band karne ke liye ninqar e hudhud par itwar ke din tilism parh kar degdan ke niche dafan kare.
(35)                     Agar koi chahe ke mera darja buland ho aur chashm e khalaiq me aziz ho hudhud ke taj par asmaye tilismat parh kar us taj ko apne kalah me poshida rakhe in sha Allah zi izzat aur jaleelulqadr hoga martaba buland hoga.
(36)                     Agar kisi shaksh ko shab kori ho aur kisi trah aram na aata ho to chahiye ke dahine ankh hudhud par wahi ism dam kare aur dahine bau par bismullah parh kar bandh le zaroor shifa hogi.
(37)                     Mahboob ko apne upar diwana karne ke liye chasm e chap hudhud ko apne garden me latkaye tilism bhi tilawat karta rahe aur jumah ke din yeh amal kare jabke qamar zaidunnor me ho.
(38)                     Agar kisi ko bad e kham ho jaye to paye rast hudhud par tilism ek bar parh kar apne bazu par bandhe khuda chahe to bad kham dafa ho.
(39)                     Dushman ki zuban bandi ke liye paye chap hudhud par niyat dushman ki kare aur ek bar tilism parhe to dushman ki zuban band ho jayegi.
(40)                     Agar chahe ke kisi aurat ki shehwat bandhe to charm e hudhud par ek bar tilism parhe fauran aurat basta ho jaye.
(41)                     Phir agar chahe ke aisi aurat ko khol de to nakhun e hudhud par ek bar parhe aur aurat ko bandhe filfaur kushada hogi.
(42)                     Kisi se dosti karne ke waste teen par dahine bazu ke laye aur ek bar tilism parh kar masjid me dafan kare in sha Allah zaroor dosti hogi.
(43)                     Agar chahe ke do shaksh ke darmiyan judai ho jaye to teen par hudhud ke bayen bazu ke laye aur tilism ek bar parh kar kisi ek band eke mkan me daba de dono me judai waaqe ho jayegi.
(44)                     Agar kisi mard ya aurat ka bazu shakista ho to hudhud ke bayen bazu par tilism ek bar parh kar bandh len Khuda chahe to fauran bau thik ho jaye.
(45)                     Agar koi aurat banjh ho to hudhud ke dahine bazu ka gosht laye aur aurat aqima ke kamar me bandhe to in sha Allah hamal tahar jaye aur aulad ki khushi naseeb ho.
(46)                     Agar kisi ko bao lag gai ho to istekhwan e hudhud par ism dam karke bazu par bandhe shifa yab ho.
(47)                     Agar kisi ko susti aur kasal ho to chahe ke hudhud ko zibah karke khaye susti aur kasal jati rahegi.
(48)                     Kisi ko bad sor ho gaya ho to post hudhud par ek bar tilism parhe aur bandh le shifa yab ho.
(49)                     Agar chahe ke do tan me judai ho to nok zereen hudhud aur usko kisi mithi mashroob me hall karke dono ko khilaye fauran judai ho jaye.
(50)                     Agar kisi ne zahar khala lia ho to lawe hudhud ko aur khushk karke zahar khorda ko khilaye in sha Allah zahar kaargar na hoga.
(51)                     Istekhwan e paye hudhud ko jo koi apne ghar me rakhe ga us ghar se tamam balliyat door ho jayenge aur koi dushman uspar zafaryab na ho sake.
(52)                     Hudhud ki garden ko baryan karke khaye mariz sehat yab ho aur quwat paye.
(53)                     Istekhwan e hudhud ko ghise aur apne chehre par male phir kisi sardar ya hakim ke samne jaye to martaba ziada ho.
(54)                     Hudhud ki ankhon ko ghis kar apne ankho me lagaye to paryan nazar aayen aur masakhkhar ho.
(55)                     Hudhud ke khaba ko kahne wale har chand mujameat kare kabhi maandah na ho.
(56)                     Jo koi dahine taraf par hudhud ko apne pas ma tilism ke rakhe chasme khalaiq me aziz ho aur kisi trah ka jadu tona ka asar na ho dushman dost ban jaye.
(57)                     Zuban e hudhud ko saya me khushk karke ladke ke gale me daalen jo sune gay ad rakhega aur fasahat ho balaghat me mashhoor hoga.
(58)                     Jo shakhsh hudhud ke tamam paron ko apne ghar me rakhega tamam khawesh o aqrabah me aziz o mukarram hoga.
(59)                     Khoon e hudhud ko gulab me milaye aur jisko apne ishq me diwana karna ho uske ghar me dalwa de .
(60)                     Hudhud ki zuban ko nauchandi jumerat ko naye roi me lappet kar charagh e mohabbat me chanbeli ka tel dal kar kajal upare jab tak charagh jalta rahe amal parhta rahe jab kam mukammal ho jaye,ab us kajal me rozana isha ke 303 martaba amal parh kar dam karta rahe 21 din tak kare bad iske kajal tyar hai jab bhi kajal lagana ho is bat ka khayal rakhe ke aaina dekh kar kajal na lagaye jiske samne jayega woh piche piche khincha chala aayega.
(61)                     Hdud ke dahine par se hub ka naqsh likhne se asar dobala ho jata hai
(62)                     Khoon e hudhud ko mushk o zafran me mila kar apne muhn par male aur niyat uski kare jisey musakhkhar karna hai.
(63)                     Maghaz hudhud ka khane me mila kar jisko khilaye woh farmanbardar ho jaye.
(64)                     Hudhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mehboob ki taskheer ka kare beshak musakhkhar ho.
(65)                     Dahini ankh hudhud ko saya me khushk karke surma ke sath ghis kar ankh me lagaye jo dekhe dost rakhe.
(66)                     Agar bayen aankh hudhud ki nagina angushtari me rakhe jiske names karna chahe meharban hoga
(67)                     Jisko diwangi kamal ki ho sar e hudhud ko mushk o afran me mila kar khilaye to diwangi jati rahe.
(68)                     Agar kisi ko kam dikhai deta ho to lawe charbi hudhud ki aur aur ankhon me lagaye Khuda cahahe to shufa yab ho.
(69)                     Istekhwan e sina e hudhud ko apne pas rakhe chashm e khalaiq me aziz ho har koi izat kare.
(70)                     Gosht paye hudhud ka dushman ke ghar me jaleye to bilkul wiran ho jaye.
(71)                     Jo shaksh hudhud ke pair ko apne pas rakhe chashme khalaiq me izzat paye
(72)                     Istekhwane paye chap huduhd ko apne pas rakhe raaste me kabhi na thake aur chalne me thakaan na ho.
(73)                     Jo koi zuban hudhud ko apne pas rakhe aur aurat se mujameat kare kabhi na thake.
(74)                     Jo koi hudhud ka dil soti hui aurat ke dil par rakhe jo kam usne kiye honge sab bata degi.
(75)                     Maghaz hudhud ko taam me mila kar kisi ko khila de to woh khate hi uska diwana ho jaye.
(76)                     Jo koi huhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mahboob kare beshak aashiq ho.
(77)                     Dahni aankh hudhud ki saya me khushk kare aur surma ke sath ghis kar aankho me lagaye jo dekhe fida ho.
(78)                     Agar bayen aankh hudhud ki tawiz bana kar bazu par bandhe ya gale dale phir matloob ke pas jaye izat se pesh aaye aura z khud mohabbat kare.
(79)                     Hudhud ke nakhun aur apne bayen paon ke nakhun mitti ke bartan me jalaye aur pees kar sharbat ka kisi sheerin chiz me mila kar ji kisi shaksh ko pilaye to woh shaksh pilane wale ka mutee ho jaye.
(80)                     Baroz yakshanba bad namaz zohar ba wozu ho kar hudhud ki choti kaate aur qand siyaah me ya kisi sherni me mila kar mahboob ko khilaye ta hayat juda na ho.
(81)                     Itwar ya mangal ko ek hudhd nar jwan lekar zibah kare aur uski zuban hasil kare jab zuban mil jaye uspar 21 martaba kalemat e zeil parh kar dam kare phir usey gosht ke sath pakaye jab pak jaye to apne pas rakh le jab jisko bhi woh zubna khila di jayegi woh musakhkhar ho jayega woh kaelmat yeh hai .....
(82)                     jo shakhsh hudhud ke nakhun aur apne nakhun jalakar kisi aisi aurat ko khilaye ya pani me  jisse woh mohabbat klarna chahhta hai to woh aurat uski taraf aisi mail hogi ke uske baghair ek saat bhi na rah sake
(83)                     agar koi shakhsh hudhud aur ababeel ki ankh apne pas bataur e tawiz rakhe to jo use mas karega fil faur use mohabbat karega,aur jo ussey ladega maghloob hoga.
(84)                     Agar insane aur hudhud ke dayen pasli ki haddi soye huye admi ya aurat ke sar ke niche rakhi jaye to woh apne dil ka tamam hal bayan karde.
(85)                     Jis aurat ko hamal na teharta ho to haiz se pak hone ke bad chand roz tak hudhud ke gosht ka shorba nihar mohn pina chahye faida hoga.
(86)                     Huduhd ka taj lekar aag me jalaye aur tel me mila kar sar me lagaye jowon ka khatema hoga
(87)                     Hudhud paka ka rkhana marz e qaulenj ke dafiya ke liye ikseer hai .
(88)                     Hudhud ke khoon me jahan aur ausaf hain wahan yeh khasiyat bhi hai hudhd ke khoon kko bataur e surma ankho me lagaya jaye to woh shakhsh rat ko baghair roshni ke parhe .
(89)                     Mohabbat ke liye hudhud ka dil e muzakkar aurta ko to farefta ho aur agar uannas mard ka dil mard ko khilaye to mutee o farma bardar ho.
(90)                     Sehar ke zarye bandhe hue mard aurat ko kholne ke liye ........ sat andon par likhe aur tin tin ande dono khaye akhri ko chhuri se kat kar adha mard khaye adha aurat  insha allah dono khul jayenge .
(91)                     Agar gaye apne bache se nafrat karti ho to hudhud ki chonch uske gale me latka di jaye woh bache se mohabbat karne lage.
(92)                     Agar bacha neend me jhatke leta ho hudhud ke dayen paon ko bache ke gale me dale jab yeh gale me latka rahe gfa yeh maraz na hoga.
(93)                     Hudhud ke dayen pair ko gale me bandhe to gehri neend ayegi aur bayan pai bandhe to qatan nind nahi ayegi.
(94)                     Logon ke nazron se poshida hone ke liye hudhd ke pitte aur ankh ko baham mila kar pure jism me malish kare aur uske khal ko do hiss akare dahine hissa ko apne pas rakhe koi na dekh sake ga jahan chahe jaye.
(95)                     Huduhd ki ankh aur uske pitte ko baham mila kar surma bana len aur ankho me lagaye to khufia makhlooq nazar aye.
(96)                     Agar kisi majma ko mutashar karna ho to us jagah hudhud ka pitta chhidak de waha jama tamam afrad bhag jayenge.
(97)                     Purani khansi ke liye hudhu ke par aur gosht ko jala kar isye shehad me mila le nihar muhn chate khansi khatam ho jayegi aur jima ke liye bhi mufid hai .
(98)                     Jiski nazar kamor ho hudhd ka sar pareek pees kar ankh me lagaye nazar tez hogi.

(99)                     hudhud ka khoon supari me mila kar koot le phir jisko bhi ek ratti usme se khilayenge woh apka wala o shaid aho jayega.

Note : tilismat e hudud ke talluq se jitney tibbi fwaid likhen hai unko baghair kisi hakeem ya doctor ke mashwara ke na apnaye .wese in amal me koi shuba nahi lekin fi zamana log utni feham nahi rakhte isliye ehtiyat se kam le.

Isme mukarram jiska upar barha zirk aya hai woh ism e mukarram yeh hai iska pehle amil banna chhaiye aura mil banne ke liye zakat deni shart hai lihaza challis dino tadad swa lakh ki puri kare phir jisko jo karke dega fdauran asar zahir hoga aur hudud se mutalliqa tamam roohaniyat musakkhar hogi.

Sunday, June 1, 2014

BARA BURJO.N KI KHASIYAT SIRF AURTO.N KE LIYE بارہ برجوں کی خاصیت صرف عورتوں کے لئے (Peculiarity Of Zodiac Sign For Women )

 BARA BURJO.N KI KHASIYAT SIRF AURTO.N KE LIYE
JIS AURAT KE WASTE DEKHNA HO USKA USKI MAA KE NAAM KE A’DAAD JODH JOD KAR BARA SE TAQSEEM KARE.N AGAR 1 BACHE TO HAMAL 2 BACHE TO SAUR 3 BACHE TO JOOZA 4 BACHE TO SARTAAN 5 BACHE TO ASAD 6 BACHE TO SUNBLA 7 BACHE TO MIZAAN 8 BACHE TO AQRAB 9 BACHE QAUS 10 BACHE TO JADDI 11 BACHE TODALU AUR AGAR PURA TAQSEEM HOJAYE TO HAUT JO ADAD HASIL HO USKA SAMRA DEKH LE.N
·        BURJ E HAMAL
SITARA USKA MAREEKH HAI-IS TAA’LA KI SURAT KHUSHRAFTAR,KHUSH GUFTAR, AQALMAND AUR HOSHIYAR HOGI-SEENA,GARDAN YA BAAZU PAR TIL HOGA JO NEK BAKHTI KA NISHAN HAI-JHOOT BOLNA AUR AMANAT ME KHAYANAT KARNA USKO SAAZGAAR NAHIN- JAB GAZABNAAK HONA AUR JALD HI GUSSA KA FARO HONA USKI AADAT ME DAKHIL HOGA-PADOS ME EK SHAKHS USKA DUSHMAN HAI USSE HOSHIYAR RAHE-AWWAL UMR ME BAHUT RANJO MUSIBAT UTHAYEGI-AAKHIR UMR ARAAM SE GUZRE GI WALDAIN SE RAHAT PAYEGI-SHOHAR AKSAR MEHERBAN RAHEGA  AULAAD HOGI MAGAR JIYEGI KAM-UMME SABYAAN(MASA-AN)KA FASAAD RAHEGA-DUA DAWA KARNE SE INSHAH ALLAH JATA RAHEGA-APNE DIL KA BHED KISISE NA KAHE WARNA NUQSAN UTHAYEGI-TEESRI AUR CHAUTHI SAAL KHAIRIYAT SE GUZAR GAYI TO 70 BARAS KI UMR TASAWUR KARNA CHAHIYE-SABZ  LIBAAS USKE LIYE MUBARAK O BEHTAR HAI-TAKSEER JINNA MAMUHITUL ASRAAR  EK TARAF AUR DUSRI  TARAF KHATIME HAMAL  GALE ME PADA REHNA AUR USI KA PAANI DHO DHO KAR PEENA NIHAYAT MUFEED RAHEGA-WALLAHO TA’ALA ALAM.
·        BURJ E SOOR
 SITARA ISKA ZOHRA HAI IS TAA’LA KI AURAT KHUSH KHALQ,NEK SEERAT,AQALMAND,KHUSH SUKHAN,DASTKAAR HOGI-CHAHIYE KISI KE SAATH KITNA HI SULOOK KYUN NA KARE-BADLA BURAI SE PAYEGI-USKE HAQ ME YE BAAT ACHI NAHIN KE JO KUCH DIL ME ATA HAI BE  SOCHE SAMJHE ZUBAN PAR LE ATI HAI-CHAHIYE KE APNA BHED  KISISE NA KAHE-EK SHAKHS NEELI AANKHON WALA-KUTAH QAD USSE DUSHMANI RAKHTA HAI LEKIN GALIB NA HOGA-KISI  KO QARZ DENA PASAND KAREGI MAGAR LENA PASAND NA KAREGI-KABHI KABHI MISL  AATISH KE GARAM AUR GUSSA ME APE SE BAHAR HO JANA LEKIN JALD HI THANDA PADH JANA AADAT  ME DAKHIL HOGA-MAA BAAP SE ITNI RAHAT PAYEGI KE DEGAR  BHAI BEHEN USE DEKH DEKH KAR KHAAR KHAENGE-SHOHAR MEHERBANI KAREGA KAHI.N AZRDA  KHATIR BHI HOGI THODI DER KE LIYE DARMIYANI UMR ME KUCH NISTI CHAND ROZ KE  LIYE AYEGI-UMR KA AAKHIR HISSA BEHTAR GUZREGA-KABHI KABHI KAMAR ME SHIDDAT KA DARD AUR SHANA KA KANPNA  AUR YE SHIKAYAT RAHM KI  KHARABI KE SABAB HOGI-AULAAD  BAHUT HOGI MAGAR JIYEGI NAHIN-USKO CHAHIYE KE USKE  SAR KI KANGHI KISI KO NA DE-APNE KHAAS BADAN KA KAPDA  KISI KO NA - 2 AUR 6 BARAS KI UMR KHAIR SE GUZAR JAYE TO UMR 60 BARAS KI TASAWUR KARNE CHAHIYE-SHABAN KA MAHINA JUMERAT KA DIN HAR KAAM KE LIYE MUBARAK HAI-EK TARAF NAQSH SURAH  IKHLAAS AUR DUSRI TARAF AKSEERE AZAM  MA KHATIM E SAUR USKE LIYE INSHAH  ALLAH TA’ALA BAHUT MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-
·        BURJ E JUZA
SITARA ISKA ATARAD  IS TAA’LA KI AURAT GUNDAM GO,BULAND QAD,NEK ZUBAN,REHEM DIL,KHUSH GUFTAAR,AUR HAR DIL AZEEZ HOGI-KISI AZU  ME EK TIL YA NISHAN RAKHTI HAI WO NEK BAKHTI KI NISHANI  HAI-APNO AUR PADOSIYON SE NEKI KAREGI-EWAZ  ME BADI PAYEGI-USE CHAHIYE KE APNE DIL KA BHED KISI KO NA DE-DUSHMAN BAKASRAT HAI-KHAAS KAR JISNE DO SHOHAR KIYE HAI KUTAH QAD SIYAAH CHASHM USSE BAHUT BUGZ RAKHTA HAI MAGAR YE DOST DUSHMAN KO NAHIN PEHCHANTI JOKUCH DIL ME ATA HAI KEH DALTI HAI-HAMESHA USKE KAAM ABTAR RAHENGE-CHAHIYE  KE KHUDA TA’ALA SE DUA MANGTI RAHE AUR  NAMAZ ME KAHELI NA KARE TAKE SITARE KI NAHUSAT DAFA  HO AUR APNI MURAD KO PAHUNCHE AKSAR SARDI AUR KHUSHKI KE SABAB ZAANO AUR PEDU EM DARD HONE KA IMKAAN  HAI-HAR KA MURABBA YAB GULQAND DO TOLA SOTE WAQT GARAM PAANI SE KHANA MUFEED HOGA-KISI SE ADAWAT PAIDA HO JAYEGI-12 AULADE QISMAT ME HAI MAGAR KAM JIYEGI AUR AASEB SE MUZARRAT PAHUNCHEGI-BUDH KE DIN SAR NA DHOYA KARE-NAYA CHAND DEKH KAR PAANI KO DEKHE-AGAR  2 BARAS YA 16 BARAS KI UMR KI BIMARI SE MEHFUZ RAHI TO  UMR 80 BARAS TASAWUR KI JAYE-TAKSEERE JINNA MA SAIFI  MA KHATIME JUZA  KE LIYE INSHA ALLAH NIHAYAT MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E SARTAAN
SITARA ISKA QAMAR  HAI-IS TAA’LA KI AURAT MIYANA QAD,ABRU KASHEEDAH,CHALAAK HOGI,SEENA PAR YA AUR AAZA PAR NEK BAKHTI KA NISHAN HAI-JIS QADAR BUZURG HOGI KAAM BHI BUZURG HOGA- UMR BHAR ME DO MARATABA NAHAS SITARE KE SABAB PARE-SHANI ME MUBTALA HO JAYEGI-DUSHMAN AUR BADGO BAHUT HONGE-ZAHIR ME LOG DOSTI KARENGE BATIN ME DUSHMANI-BAD NAZAR SE MAAL AUR AULAAD KA NUQSAN UTHAYEGI- APNI BAAT ME SACHI HOGI,JHOOT KO DUSHMAN SAMJHEGI-KISI QISM KA HARAAM MAAL US KO SAZAWAAR NAHIN-EK BADI  BAHRI MUSIBAT  QISMAT ME HAI-DUSHMANI AUR BADGOI USKE HAQ ME PEHLE USKE APNO HI SE NIKLEGI-WALDAIN SE NAFA KAM PAYEGI-APNE DIL KA HAAL KISI SE NA KAHE-US PAR TOHMAT AUR IFTRA BAHUT HOGA-RANJ BAHUT UTHAYEGI-AULAAD HOGI MAGAR JIYEGI KAM BIMARI AKSAR SARDI KHUSHKI AUR DARDE KAMAR SE HOGI-CHHACH AUR KHATTAI SE PARHEZ  KARE-GUL SURKH SHEHED KE SAATH MAJUN KARKE KHAYE-EK  SHAKHS NEELI AANKH WALA USKE AUR USKE SHOHAR KE DARMIYAN DUSHMANI KARADEGA-KABHI KABHI SHOHAR KE SAATH  ZUBAN DARAZI BHI KAREGI-CHAHIYE KE USKO TARK KARE- NAMAZ ME KAHELI NA KARE-UMR 30BARAS YA 80 SAAL TAK-USKE LIYE SHAWAAL KA MAHINA MUNGLE KA DIN HAR KAAM KE LIYE MUBARAK HOGA-GAYE  BHAINS KA HONA AUR SABZ RANG  KE LIBAAS KE LIYE MUBARAK HOGA-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIME SARTAN INSHA ALLAH USKE LIYE BAHUT MUFEED HOGA-WALLAHO  TA’ALA ALAM –
·        BURJ E ASAD
SITARA ISKA SHAMSH HAI-IS TAA’LA KI AURAT BULAND QAAMAT,NEK KHU,KHUBSURAT, KHUSH KHALQ,FARAKH ROZI HOGI-ZINDAGI HANSI KHUSHI SE  GUZARE GI-MAGAR AWWAL ME RANJO MUSIBAT BAHUT UTHAYEGI-USKE HAATH ME GUN NAHIN HOGA-BADLA NEKI KA BADI PAYEGI-PEHLE KUCH TAKLEEF UTHAYEGI-BAAD ME SAB BIGDE KAAM BAN JAYENGE-AATISHE MIZAAJ HOGI-KABHI KABHI  ZUBAN DARAZI BHI KAREGI-NAMAZ ME KAHELI HARGIZ HARGIZ NA KARE-EK SHAKHS USKE MAAL ME KHAYANAT KAREGA-HOSHIYAR RAHE-WALDAIN SE AWSAT NAFA RAHEGA-AULAAD HOGI MAGAR SHAYAD KAM JIYEGI-DARDE KAMAR,KHUSHKI,DARO  ZAANO WAGAIRA SE BIMAR RAHEGI-QAND KHAYA KARE-CHARE HUE JANWAR MUBARAK HAI-NAYA CHAND DEKHKAR  SUNHERI RUPEHLI CHEEZ DEKHE-UMR TABA’EE HOGI-NAQSH  JAMIUL MATLOOB  MA KHATIM E ASAD APNE PAAS RAKHE INSHA ALLAH KAAR  AAMAD HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E SANMBLA
 SITARA ISKA ATARAD  HAI-IS TAA’LA KI AURAT,KHUSH SHAKL,ABRU KASHEEDAH,RANG SURKH YA SAFED,AAZA PAR EK TIL IZZAT O IQBAL KI NISHANI HAI- APNE BAAZ AZEEZO SE JUDA HO JAYEGI-DOST BAHUT HONGE EK SHAKHS BULAND QAD SANWLA RANG,SABZI MAEL USKA  DUSHMAN HAI USSE HOSHIYAR RAHE-JHOOT BOLNA USKO SAZAWAR NAHIN HOGA-US PAR BOHTAN BAHUT HOGA-LEKIN KOI KUCH BIGAD NA SAKEGA-JAHIL AADMIYAON KE PAAS NA BAITHE-KUCH DINO KISI AISI CHEEZ KI TAMANNA ME DIL BASTAGI RAHEGI JISKA TARK O HUSOOL DONO GAIR MUMKIN HONGE- BHED APNA KISISE NA KAHE TO MURADE.N  HASIL HONGI-WALDAIN NIHAYAT MUHABBAT KARENGE-BEHEN W BHAI AZIYAT  O TAKLEEF PAHUNCHAYENGE-ISKA QADAM SHOHAR KE LIYE MUBARAK HOGA-TAAK AULAAD QISMAT ME HAI-UMR TABA’EE  HAI-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIM SUNMBLA  INSHA ALLAH USKO BAHUT MUASSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E MIZAAN
 SITARA ISKA ZOHRAH  HAI-IS TAA’LA KI AURAT KE AAZA PAR EK TIL YA KOI NISHAN HOGA WO IQBAL KI NISHANI HAI-FARAKH ROZI HOGI-ZINDGANI AISH O SHADMANI SE GUZAREGI-EK ZAMANA SAKHTI KA US SAR  PAR GUZARNE WALA HAI-DUSHMAN AUR BADGU BAHUT HAI  LEKIN KOI GALIB NA HOGA-EK MUDDAT TAK KISI AISI CHEEZ KI  TAMANNA ME DIL BASTAGAI RAHEGI-JIS KA CHODNA AUR MILNA MUMKIN  NA HOGA-CHAHIYE KE IFFAT AUR PAAK DAMANI IKHTIYAR KARE TO BIGDE KAAM SAWAR JAYENGE-AWWAL MUSIBAT AKHIR KO AISH HAI-AATISH MIZAAJI KI WAJAH SE KUFR KE KALEMAT KEH BAITHTI HAITARK KARNA CHAHIYE-HARAAM CHEEZ SE BILKUL PARHEZ KARE-SHOHAR MEHERBAN RAHEGA-BIMARI AKSAR BALGHUM SAFRA  SE  HOGI-AANKHON KE NEECHE  ANDHERA SA MALUM HONE LAGEGA-AKSAR KUCH AISI  HAALAT  RAHEGI KE NA TO BIMAAR NA TANDURUST-DUA MANGNE  SE SAB MURADE HASIL HONGI-UMR 3 BARAS YA 90 BARAS YA TABA’EE HOGI-RANGEEN KAPDE MUBARAK HONGE-SURAH IKHLAAS MA SAIFI MA KHATIM E QAUS  INSHA ALLAH USKE LIYE BAHUT MUSAR HAI WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E AQRAB
 SITARA ISKKA MAREEKH  HAI-IS TAA’LA KI AURAT KHUSH MIZAAJ KHUSH RAFTAAR SEENE PAR EK TIL YA AUR KOI NISHAN RAKHTI HOGI  WOH  NEK BAKHTI KI  NISHANI HAI-ROZ BAROZ USKA SITARA TARAQQI PAR HAI-RANJO MEHNAT BAHUT UTHAYEGI-CHAHIYE KE BADO.N  KI NASIHAT QUBOOL KAR LIYA KARE-DIL KA BHED KISISE NA KAHE-EK MARTABA KUCH DHOKA KISISE UTHAYEGI-SABR KARE  AUR GUSSA KO TARK KARE-ZINDAGI HANSI KHUSHI GUZAREGI-  BADI AUR SARDI MADAH WAGAIRA KE SABAB AKSAR BIMARI  HOGI-DARDE SAR DARDE KAMAR AUR DIL KA KAANPNA BHI USKE SAATH HAI-DIL ME SANSANI AUR BOJH SA MALUM HONE KI SHIKAYAT KASRAT SE RAHEGI-WALDAIN SE FAIZ PAYEEGI-BEHEN BHAI SE WAFA KAM AULAADE KAI HAI-LEKIN EK SE ARAAM  PAYEGI-UMR 30 SAAL YA TABA’EE HOGI-ZEEL KA NAQSH INSHA ALLAH TA’ALA USKO MUSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM  NAQSH SURAH NASR  MA KHATIM E AQRAB
·        BURJ E QOOS
SITARA ISKA MUSHTARI  HAI- IS TAA’LA KI AURAT KI TEEN SURATIEN HAI-AWWAL SAFED RANG,FARAKH ROZI,DUSRE KHUSH KHALQ,TEESRE GAREEBDOST AUR MEHERBAN-PEHLU ME KOI TIL YA NISHAN HAI WO DAULAT KI NISHANI HAI WASEEULQALB AUR KHUDA KI TARAF  DIL KO RUJU KARNE WALI-BAAT KI SACHI-JHUTO KI DUSHMAN USKO EK NUQSAN PAHUNCHEGA MAGAR ALLAH TA’ALA  EWAZ  BHI ATA FARMAYEGA-KISI AISI JAGAH SE FAYEDA HOGA-JAHANSE  GUMAN BHI NAHO-KHAYANAT NA KARE-IBADATE KHUDA ME GHAFLAT NA BARTE-HAR MURAD ASAANI SE HASIL HOJAYA KAREGI-JISSE DOSTI KAREGI DUSHMANI PAYEGI-DUSHMAN BAHUT HAI-BAAZ WAQT BAHUT MAYOOS HO JAYA KARTI HAI-AUR APNI MAUJUDA ZINDAGI SE GHABRAKAR MAUT KO TARJEEH DENE LAGTI HAI-SABR KARNA CHAHIYE-SAARE KAAM BAN JAYENGE-WALDAIN SE MAMULI FAYEDA-BEHEN BHAI SE RAHATO KHUSHI HASIL HOGI-BIMARI AKSAR  RATUBATE  SAFRA MEDA AUR ANDRUNI SE HOGI-SONTH SHEHED MILAKAR KHAYA KARE-UMR 4 BARAS 7 BARAS YA 80 BARAS HAI-NAQSH MUKHAMMAS MA KHATIME QAUS  USKE LIYE INSHA  ALLAH TA’ALA MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E JADI
SITARA ISKA ZOHAL  HAI-IS TAA’LA KI AURAT BA MURAWWAT,HOSHIYAR FARAKH  ROZI HOGI-EK AZAAR SAKHT USKI QISMAT ME HAI-DILI BHED KISI KO NA BATAYE-KISI KE LIYE KITNA HI MUSIBAT JHELE MAGAR USKI QADR O MANZILAT KOI NA JANEGA-SACHAYI PASAND HAI-KUCH DINO KISI AISI SHAI KI MUHABBAT ME MUBATALA  RAHEGI KE NA TO WO SHAI MIL SAKTI HAI NA USE YE CHHOD HI SAKTI HAI-HAMESHA FIKRO ANDESHA ME REHTI HAI-AKSAR  MAYOOS HO JAYA KARTI HAI-THODE DINO BAAD MURAADE DIL  HASIL HOGI-PADOSIYON SE MUHABBAT KARKE BADI PAYEGI- KABHI KABHI SHOHAAR SE RANJISH HO JAYA KAREGI-AULAAD  ZYADA HAI MAGAR JIYEGI KAM AULAAD KE NA JEENE KI WAJAH  YE HAI KE SHOHAR USKA QABRISTAN GAYA THA WAHA KISI KO USSE NUQSAN PAHUNCHA THA-RAHAM KE ANDAR HAWA KA  KHALAL HAI AANKHON KE TALE ANDHERA SA CHANE LAGTA HAI AUR DIL ME RA’SHA SA PHAIL JATA HAI-BADAN ME SUSTI AUR  KAHELI REHTI HAI-KHATAI WAGAIRA SE PARHEZ KARE-SONTH, JOOZ,GULE KAASNI,SHEHED ME MILAKAR KHAYA KARE-UMR  TABAA’EE HAI-ZEL KA NAQSH INSHA ALLAH TA’ALA USKO BAHUT MUSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-YANI NAQSH SURAH  NASR MA SURAH IKHLAAS DO TARFA  MA KHATIM E JADI
·        BURJ E DALU
 SITARA ISKA ZOHAL  HAI-IS TAA’LA KI AURAT JAZIB NAZAR BA MURAWWAT W KAMRAN HOGI-US PAR TOHMATO BOHTAN BAHUT HOGA-LEKIN  IZZAT ME FARQ NA AYEGA-UMR ACHI TARAH KATEGI-ALBATTA  DARMIYAN ME KUCH DIN PARESHANI ME GUZRENGE-WALDAIN  SE NAFA AUSAT-BHAI BEHEN SE BHI WAFA KAM-SHOHAR MEHERBANI KAREGA UMR TABA’E HOGI-NQSH SURAH FATEHA EK TARAF AUR DUSRI TARAF AKSE- ERE AZAM  MA KHATIM E DALU GALE ME DAAL LE-INSHA ALLAH PANAH ME RAHEGI WALLAHO TA’ALA ALAM .
·        BURJ E HAUT
SITARA ISKA MUSHTARI  HAI- IS TAA’LA KI AURAT ABRU KASHEEDAH,HAR DIL AZEEZ HOGI-RANJO MAHAN BAHUT SAHEGI-AATISH MIZAAJ,HAATH  ME KOI KHAAS GUN NAHIN-JISSE NEKI KARTI HAI WOHI GEEBAT KARTA HAI-DUSHMAN BAHUT HAI-SHOHAR SE KABHI KHILAAF  NAHO-NAMAZ ME GAFLAT NA BARTE-SHOHAR KI FARMABARDAAR HAI-SAB BALAE RAD HO AUR MURADE DIL HASIL HO-DUSHMAN PAMAAL HO-USKI ZINDAGI AUSAT HAI-BIMARI AKSAR  DARDE SAR,AUR DARDE GARDAN SE RAHEGI-UMR 2 BARAS YA 90 BARAS YA TABA’EE-RAMZAN KA MAHINA JUM’AA KA DIN  HAR KAAM KE LIYE BEHTARO MUBARAK HAI-INSHA ALLAH ZEL KA NAQSH USKE LIYE NIHAYAT KAAR AMAD HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-AKSEERE AZAM MA SAIFI  MA KHATIM E HAUT                      














 
                   

 








Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668