Showing posts sorted by relevance for query Parhez. Sort by date Show all posts
Showing posts sorted by relevance for query Parhez. Sort by date Show all posts

Thursday, January 15, 2015

Ism Budooh Ke Moakkil Se Kaam Lene Ka Amal اسم بدوح کے موکل سے کام لینے کا عمل (The process of taking work from angel of Budooh)

Ism Budooh Ke Moakkil Se Kaam Lene Ka Amal
Budooh ke moakkil  bade jalali hua karte hain inse kaam lena ka ek tariqa darj kia jata hai khayal rahe ke tarkeeb amal jalali hai lihaza 15 adad naqsh musallas khaki chal se rozana pur kia karte raho ke jalal me kuch kami waaqe ho awr amal bhi zordar ho jaye lekin agar aap se kuch bad parhezi ho gai to nuqsaan zaroor hoga haan naqsh ki waja se nuqsaan me kami ho jayegi amal youn hai ke isha ke bad raat 12 baje tak kisi waqt e muqarrara par dw zaanu baithe aur zeil ke amal ko 360 martaba padha jaaye …
Amal ke dauran apko khwab me bisharaten honi shuru ho jayengi aur pakiza shaklen ,haseen soorten nazar aayengi kabhi dauran amal bhi yeh shakle bilkul saamne aa jaya karengi usse darne ki zaroorat nahi bas amal ki ibarat ko zor zor se padhte jana hai insha Allah 40 din ke andar jis maqsad e khaas ke waaste padha gaya who zaroor bizzaroor pura hoga haan agar khuda nakhwasta dar gaya to pagal ho jayega phir kuch ilaj kaargar na hoga ,is amal ke dauran parhez laazmi hai har qisam ke ghusht, kachcha lahsun, kachcha piaz ,doodh dahi, ghee, goya parhez jalali o jamali kare khana khud pakaye agar aisa karna mushkil maloom ho to kisi khadim parhegaar ko rakh le pani daria ka istemal kare ia kam az kam kuyen ka ,amal ke dauraan looban ki dhooni bhi amal ke sharait me se hain naqsh musallas maghrib ke baad likha jaaye baad khatam chilla sab ko aate me lapet kar darya me daale is amal se har jaaiz maqsad pura kia ja sakta hai is amal ke taabe muakkil sirf ek baar hi kisi kaam ko anjaam dene ke paband hote hain who hamesha ke liye khadim nahi bante iske liye tareeq e amal juda hai.

Wednesday, July 8, 2015

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal Nasooti حب کے لئے حروف الف لام را کا عملِ ناسوتی (Nasooti Spell Of Letters Alif Lam Ra For Love)

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal  Nasooti

Yeh amal hub o taskheer ke liye behad mufid hai iska tareeqa yeh hai ke amil lagatar alif lam ra rozana 9 hazar martaba parhe aur ek kaghaz par alif lam ra mota mota likh kar parhte waqt isko dekhta rahe chalis don pure hone par amil 9 gharibo.n ko khana khilaye aur unko rukhsat karte waqt har ek se musafaha kare aur dua ki darkhwast kare .chais din ke bad jab amil ko ksi ke liye parhna chahiye to 231 bar parh kar khuda se dua mange ke fulan ka maqsad pura ho jaye agar naqsh banana ho to atishi chal se isko murattab kare ,aur yeh amal kisi najaiz kam ke liye harghiz na kare warna gunahgar bhi hoga aur amal salab bhi ho jayega ,yeh amal khane pine ki chizon par 231 martaba parh kar dam kar dia jaye aur jab yeh chiz talib matloob ko khilaye ga to la muhala asar hoga aur Allah ke fazl o karam se woh talib ki mohabbat me mubtala hoga kahne pine ki chiz par 231 bar amal parhne ke bad amil akhir me ek martaba yeh bhi keh de .......fulan bin fulan ki jagah pehle matloob ka aur uski ma ka nam le aur dusri jagah talib aur uski ma ka nam le ,amil ko yeh yad rakhna chahiye ke alif lam ra ke majmui adad 231 hai isliye jab bhi amal kare isi tadad me kare kam ziada na kare amil ko chahiye ke apne amal ko muassar banane ke liye alif lam ra humar bhar rozana 231 parhta rahe lekin chille ke bad alif lam ra likh kar samne rakhne ki zarurat nahi hai, yeh amal chistiyah khanadn ke buzurghon se manqool hain aur apne andar hairat anghez taseer rakhte hain lekin dunya me aise nadir amaliyat se wahi log faida utha sakte hain jin me iman o yaqeen maujood ho jo log


iman se mahroom aur yaqeen se kore hain unke liye in amaliyat me kashish nahi hai aur humari dua hai ke Allah Tala kisi na ahal aur ksi na qadre ko in amaliyat ko parhne ki taufeeq na de, yeh amal jo aj ki majlis me pesh kia ja raha hai hub aur taskheer ke liye teer ba hidaf ki haisiyat rakhta hai jo amilin is bat ke khwahish mand ho ke muhabbat aur taskheer ke muamlat me unhe nakami ka muhn dekhna na pade woh khas taur se is amal ki taraf dhiyan den aur isko tohfa e ghaibi tasuwor kare
Zakat Ka Tareeqa
 iska tariqa zakat yeh hai ke nauchandi jumerat ko bad namaz fajar ke huroof e mutatteat alif lam ra ke naqsh e hurfi ko 360 martaba zafran se kaghaz par tahreer kare aur alif lam ra ek safed kaghaz par kali siyahi se likh kar kisi diwar par laga le aur khud 3 ghaz ke fasle par baith kar alif lam ra 9 hazar martaba parhe aur nigah ko alif lam ra par jamaye rakhe ke isse amil ki nazar me quwat e kashish paida ho jayegi aur is trah chalis din tak lagatar parhe naqsh e hurfi 360 adad roz likhna hai agar ek waqt me likhne parhne ka kam dushwar maloom ho to amil ko chahiye ke fajar ke bad naqsh likhne ka aur isha ke bad amal parhne ka mamool rakhe kisi bhi tarha ka koi parhez is amal me nahi hai albatta jagah aur waqt ki pabandi is amal me zaroori hai agar amil ek din bhi nagha karega aur ek din bhi jagah badle ga to amal bekar ho jayega ,gali gloch jhoot aur gheebat aur nafrat o tohmat ki baton se zuban ko puri trah mahfooz rakhe ga iske ilawa koi parhez karne ki zaroorat nahi chalis din me zkat ada ho jayegi ,iske bad amil jab kisi ke liye amal kare to 231 martaba parh kar dua kare fulan bin fulan ko fulan bint fulan se mohabbat ho jaye aur sirf is amal se talib o matloob ke darmiyan insha Allah mohabbat paida ho jayegi aur talib o matloob ek dusre ko diwane ki tarah chahenge matloob ka nam pehle lena aur talib ka nnam bad me 


agar kisi ko mohabbat ke liye naqsh dena ho to nashq ke niche yeh ibarat likh de ....yeh amal khane pine ki chizo par 231 martaba parh kar dena chahiye jiski mohabbat hasil karni ho talib usko khila de to be fazle rabbul alamin uska dil naram ho jayega aur woh talib par farefta ho jayega iske ilawa taskheer am ke liye alif lam ra ka naqsh karamad sabit hoga aur amil is naqsh ko likhne ke bad 231 martaba alif lam ra parh kar dam karde aur hare kapde me pack kara kar talib ke sidhe bazu par bandhwa de insha Allah talib ko taskheer ki daulat nasib hogi naqsh ke niche yeh ibarat likhe ....is amal ke amil ke liye zaroori hai ke is trah ke amal najaiz umoor me na kare warna woh gunahgar ho ga aur dunya me bhi ruswai hogi yeh amaal nasooti jo apne andar had se ziada asar rakhte hain sufiyon aur waliyon ki yadgar hai in amaliyat ko man mane tareeqe par istemal karna aur inki sharait ki pabandi na karne se yeh amal bhi zaya ho sakta hai aur sath hi amil kisi musibat ka shikar ho sakta hai is amal ka amil banne ke liye ijazat lena zaruri hai warna mehnat zaya ho jayegi. 

Monday, June 8, 2015

Amal Ba Muakkil Habshi Bachcha عمل با موکل حبشی بچہ (Angelic Spell Negro Child)


Amal Ba Muakkil Habshi Bachcha 

amal ba muakkil ke shaiqeen ke liye yeh amal ek tohfa hai,nihayat ajeeb o ghareeb aur sau fisad saheeh amal hai jisme muakkil ek habshi bachche ki shakal o surat me zahir hota hai ,goya is amal ka muakkil ek habshi bachcha hai isi waja kar is amal ko Amal habshi Bachcha bhi kaha jata hai , jisne tajarba kia sau fisad durust paya ,banisbat degar amal ba muakkil ke yeh amal kuch asan aur be khatar hai isme nuqsan ka koi khas imkan nahi hota albatta parhez jamali kam az kam zaroor karna chahiye taake amal ki quwat me mazid izafa ho ,tarkeeb youn hai baroz hafta ek mendak pakad kar zibah kare aur iske khoon ko aise kapde me tar kare.n jo ke hath ka bana hua ho ,is kapde ke 11 oalite banaye.n rozana ek palita tanbe ke chiragh me raughan chnabeli dal kar raushan kare.n chiragh ke anadr sura kausar ka hurfi naqsh 42 khano me pur karen,amal ke liye ek kamra bilkul alag chahiye taake ghalati se bhi koi wahan dauran e amal dakhal andaz na ho ,raat ke taqriban 11 baje mal shuru kare roo baqibla musalle par baithe aur chiragh ko apne samne kisi stool par raushan kare taake apke sine ke muqabil ho phir apna hisar karke 1781 martaba surah kausar ko ek nashisht me parhe aur dauran e qirat chiragh barabar jalta rahe ,sirf ek din ke bad parhai ke dauran kamre me charo taraf jugnoo nazar aayenge aur satwen din habshi bacha hazir hokar ajeeb o ghareeb harkat karega aur pure kamre me daurta phire ga lekin dar aur khauf bilkul nahi hoga ,giarween din woh apke samne aise khamoshi ke sath adab se baithe jayega jaise shagird apne ustaz ke samne zanuye talammu tai karta hai ,jab tak apka wazifa mukammal na ho harghiz klam na karen bad khatam tadad 1781 ke is muakkil se apni madri zuban me bat kare aur isse qaul o qarar le.n khabar dar uski koi shart na mane

 ,woh apne hazir hone ka tariqa khud bataye ga ,is muakkil se ap bugh o adawat aur tabahi dushmana ke sath mohabbat o taskheer ke kam khas taur se le sakte hain iske elawa yeh muakkil dusre umoor me utna kaam nahi karta ,taskheer e muakkileen ke amileen par yeh bat makhfi nahi ke mukhtalif kamo ke liye alag alag sifli aur alwi muakkil muqarrar hain jin ko taabe banane ke sainkdo nahi balke hazzaro tareeq buzurgan e deen aur aamileen o kamileen ne ijad farmaye hain,amal habshi bacha unhi aamal e mujarraba me se ek nayab amal hai jiski qismat me iska muakkil hoga uske liye yeh amal asan se asan tar ho jayega,habshi bacha tabe karne ke bad ap mandarja zeil kamo me uski khidmat hasil kar skte hain aur hazir karne ki azimat yeh hai

(1) najaiz talluqat ka khatma 
(2) do dushmani ke darmiyan judai dalwane ke liye
(3) bad kirdar mard o aurat ko saza dene ke liye 
(4) dushmano ki neend bandhne ke liye
(5) kisi zani ko na mard banane ke liye 
(6) najaiz muhabbat ko khatam krane ke liye
(7) do dilo me ek dusre ki mohabbat dalne ke liye 
(8) mia biwi ke darmiyan misali mohabbat paida karne ke liye
(9) kisi jagah rishta manzoor karane ke liye
gharz ke is qisam ke sainkdon kamo me yeh muakkil kam karta hai bashart ke is kam ka talluq bughz o adawat aur ishq o mohabbat se hona chahiye karobari taraqqi ya daulat ke husool ya imtehan me kamyabi waghairah me kam nahi karta amal ki ijazat bhi zaroori hai aur humare yehan chiragh hadiyatan hasil kar sakte hain ,chiragh ke sath amal se mutalliq izafi malumat bhi faraham ki jayenge.

Thursday, December 21, 2017

Kashful Quboor Ka Asan Amal 🇮🇳

Yeh Amal Kashful Quboor ka Hai parhez isme'n kuch nahi albatta ijazar zaruri hai
Sufi Muhammad Imran Razvee Al Quadri 

Wednesday, June 4, 2014

ISTKHARA KA SAHI TAREEQA AUR ADAAB O AHKAAM استخارہ کا صحیح طریقہ اور آداب و احکام Compliments Of Omen And Their Method )










  
  ISTKHARA KA SAHI TAREEQA AUR ADAAB O AHKAAM
AABO GUL KA YE KHAMEER JISE ALLAH RABB UL IZZAT NE ADAM KI SHAKL ME TASHKEEL DIYA AUR ILM O DANAI,AQL O FARAASAT KI BINA PAR MAKHLUQAAT ME ASHRAF AUR APNA NA’EB MUQARAR KIYA JO AAJ CHAND O MAREEKH PAR KAMANDIE.N DALNE AUR USE ADAM KA NASHEMAN BANANE AUR APNE ILM O TAKHLEEQ KI BUNYAD PAR MAKHLUQAAT KE HAQA’EQ SE WAQIF HONE AUR UN KO APNE CONTROL ME KARNE KE LIYE KUSHA O SARGARDA HAI - BAAZ DAFA MALUMAT KI WUS’AT AUR WASAYEL KI BOHTAT KE BAWAJUD US KE AISE AMOOR,WAQEAT O HAADSAT KA SAMNA HOTA HAI JISSE USE APNI ILMI,KAM MAYEGI O  AUR AQL W DANAI KE MAHDUDIAT KA EHSAAS HONE LAGTA HAI-AUR YE APNI TAMAM SALAHIATON AUR ISTEDADO KE BAWAJUD DUSRO KI MADAD AUR REHNUMAI KA MOHTAJ AUR MUNTAZIR HOTA HAI-EK AISE WAQT ME JAB KE INSAAN TAZBAZB KA SHIKAR AUR REHBARI KA TALABGAAR HOTA HAI AUR KISI CHEEZ KE IKHTIYAAR W ANTEKHAAB ME PASO PESH ME PAD JATA HAI TO SHARI’AT USE WAAHI TABAHI AMOOR SE BACHATE HUE MAQOOL AUR PASANDIDA AMR‘ISTKHARA, KI REHNUMAI KARTI HAI MUSNADULHIND HAZRAT SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHELVI RAHMATULLAH ALAIH APNI KITAB‘HUJJATULLAHILBAALIGHAH , ME ISKI MASHRUIAT KI HIKMAT W MASLEHAT BAYAAN KARTE HUE FARMATE HAI KE:‘‘ZAMANA JAHLIYAT ME JAB KISI KO SAFAR,NIKAH AUR KHARIDO FAROKHT JAISE AHEM AMOOR PESH AATE TO WO‘ISTIQSAAM BILAZLAAM,KARTE- YE ARAB ME RAYIJ EK TAREEQA THA KE JAB KOI SHAKHS KISI AHEM KAAM KA IRADAH KARTA AUR MUSTAQBIL ME USSE MUTALLIQ BEHTARI YA KHISARAH KO MALUM KARNA CHAHTA TO WO KHANAE KAABA KE ZIMEDAAR KE PAAS JATA USKE PAAS KUCH TEER HOTE-WO ZIMEDARAN TEERO.N KI MADAD SE US SHAKHS KO US AMAL KE KARNE YA NAKARNE KI TAKEED KARTA-IS TARAH KE KUCH AUR TAREEQE BHI KHAIRO SHAR KE MALUM KARNE KE UNKE DARMIYAN RAYIJ THI-NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE US JAHILANA RASM SE MANA FARMAYA KYUNKE ISKI NA TO KOI ASAL  HAI AUR NA KOI BUNYAD,BALKE USME KUCH BHALAAI NIKAL BHI JATI TO WO BHI ITEFAAQ HOTI BHI AUR CHUNKE US KE BAAD YE LOG US KO KHUDAI HUKM AUR FAISLA SAMAJH KAR AMAL KARTE YA TARK KARTE THE JISME EK TAUR PAR ALLAH RABBULIZZAT PAR BOHTAN BHI THA TO SHARIAT NE INSAAN KI FITRI ZARURAT AUR TABEE MILAAN O KHALJAAN KO MALHUZ RAKHTE HUE RAB E KAENAT SY REHNUMAI AUR ISTEFADA KA ZARIA ISTEKHARA KI SHAKL ME USE ATA KIYA
·       ISTEKHARA KI HIKMAT
ISTEKHARA KI HAQEEQAT AUR USKI RUH YE HAI KE JAB BANDA KISI AMR ME MATAHAIYER AUR MUTARDUD HOTA HAI AUR KOI SAAF AUR WAAZE PEHLU SHARAEE AUR AQLI,MA’ASHI AUR DEENI TAUR PAR NAZAR NAHIN AATA AUR USKA ILM REHNUMAI SE QAASIR AUR AQL BEHTAR AUR SAHI KE INTEKHAB SE AAJIZ HO JATI HAI TO YE BANDA APNI DARMAANDGI AUR BE ILMI KA EHSAAS O  ETRAAF KARTE HUE APNE ALEEM KUL AUR QADIR MUTLAQ MALIK SE REHNUMAI AUR NUSRAT KA KHWAHISHTGAAR HOTA HAI AUR APNE MAAMLE KO RAHEEM W KAREEM ZAAT KE HAWALA KAR DETA HAI KE JO TERE NAZ-DEEK BEHTAR HO BAS ISI FAISLA AUR INTEKHAAB KAR DE.
·       ISTEKHARA KI FAZILAT
ISTEKHARA KI FAZILAT O AHMIYAT AUR BANDO KO USKI HAAJAT W ZARURAT KE PESH NAZAR,HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM ISTEKHARA KI TALEEM,USI EHTEMAM SE FARMATE THE JIS EHTEMAM SE KE AAP SALLALLA-HO ALAIHE WASALLAM UN KO QURAN KAREEM KI SURATON KI TALQEEN FARMAYA KARTE THE-HAZRAT JABIR RAZI ALLAHO TA’ALA ANHU SE MANQOOL HAI,FARMATE HAI KE RASOOLALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM HAMIEN APNE MAMLAT ME ISTEKHARA ISI EHTEMAM SE SIKHATE THE JIS EHTEMAM SE QURAN KAREEM KI SURATON KI TALEEM FARMATE THE-(BUKHARI)- EK DUSRI HADEES ME HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA IRSHAD HAI KE‘ISTEKHARA KARNE WALA KABHI NA KAAM W NA MURAAD NAHIN HOTA THA,(MAJMA’ALZAWA’ED) KYUNKE US NE APNE MAAMLE KO AISI ZAAT KE SUPURD KIYA HAI JO MAA SE ZYADA SHAFEEQ W MEHERBAN AURBAAP SE ZYADA MASLEHATO.N AUR HIKMATO.N PAR NAZAR RAKHNE WALA AUR KHAIR KHWAH HAI-AGAR AISI RAHEEM W KAREEM ZAAT SE BHI JIS KI JUDO SAKHA AUR SHAFQAT W MUHABBAT KI NA TO KOI ADEEL HAI AUR NA KOI MISL,KOI ISTEFADAH NA KARE TO USKI HIRMA.N NASEEBI ME KYA SHUBA BAAQIREH JATA HAI?(TIRMIZI)-AADMI KI BAD BAKHTI KE LIYE YE BAAT KAAFI HAI KE WO ALLAH SE ISTEKHARA KARNA CHODH DE-
·       ISTEKHARA KA MASNOON TAREEQA
ISTEKHARA KA TAREEQA JO HADEES SHARIF ME WAARID HUA HAI JO SUNNAT KI BARKATON AUR AAP SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI TALIMAT KI NURANIYON SE MA’MUR HAI HADYAE QAARYEN KYA JATA HAI SUNAN W MUSTAHIBAAT KI RIYAYAT KARTE HUE ACHI TARAH WAZU KARKE DO RIK’AT NAFL ISTEKHARA KI NIYAT SE PADHE PHIR KHUB ALLAH RABBUL IZZAT KI TAAREEF W TAMHEED KARE USKE BAAD ISTEKHARA KI YE DUA PADHE(TARJUMA)YA ALLAH MAIN TERE ILM KE ZARYE TUJHSE KHAIR MANGTA HU.N AUR TERI QUDRAT KE ZARYE TUJHSE QUDRAT TALAB KARTA HU.N AUR TERE BADE FAZL KA TUJHSE SAWAL KARTA HU.N KE BILA SHUBAH TUJHE QUDRAT HIA AUR MUJHE QUDRAT NAHI AUR TU JAANTA HAI AUR MAIN NAHI JAANTA AUR TU GHAIBO.N KO KHUB JANNE WALA HAI AYE ALLA AGAR TERE ILM ME YEH KAAM MERI DUNYA O AAKHIRAT ME BEHTAR HAI TO ISKO MERE LIYE MUQADDAR FARMA AUR AASAN FARMA PHIR MERE LIYE ISME BARKAT FARMA AGAR TERE ILM ME MERE LIYE YEH KAAM DUNYA O AAKHIRAT ME SHAR YA BURA HAI  TO ISKO MUJHSE AUR MUJHKO ISSE DOOR FARMA AUR MERE LIYE KHIAR MUQADDAR FARMA JAHAN KAHIN BHI HO PHIR MUJHKO USPAR RAAZI FARMA DE (BUKHARI SHAREEF) FUQHA O MUHA-DDISEEN FARMATE HAIN KE ISTEKHARA KI DUA PURI KARNE KE BAAD QIBLA RUKH HO KAR BAWAZU SOJAYE(SHAAMI)ALLAMA NAWWI REHMATULLAH ALAIHE AUR IMAM GHAZAALI REHMATULLAH ALAIHE NE PEHLI RIK’AT ME SURAH KAFIROON AUR DUSRI RIK’AT ME SURAH IKHLAAS PADHNE KI BAAT BHI KAHI HAI-(UMDATUL QAARI SHARAH BUKHARI)MULLA ALI QAARI REHMAT ULLAH ALAIHE NE US KE ILAWA PEHLI RIK’AT ME(AAYAT 86 SURAH QASAS) AUR DUSRI RIK’AT ME( AYAT 36 SURAH AHZAAB) PADHNE KA MAMUL BHI NAQL KYA HAI-(MIRQAATULMAFATEEH)-AGAR KISI SHAKHS KO KOI KAAM ACHANAK PESH AAJAYE AUR USE ITNI MOHLAT NAHO KE WO MAZKURA BALA TAREEQA PAR ISTEKHARA KAR SAKE TO WO SIRF DUA PAR BHI IKTIFA KAR SAKTA HAI.
·       ISTEKHARA KA NATIJA
YE EK AHEM MASLA HAI-IS SILSILE ME AAM LOG UMUMAN PARESHANI AUR ULJHAN KA SHIKAR REHTE HAI KE ISTEKHARA TO KAR LIYA LEKIN UN PEHLUON ME SE KIS PEHLU KA INTEKHAAB HAMARE HAQ ME NAAF’E AUR KAMYABI KA ZAAMIN HOGA US KO KAISE PEHCHANA AUR JANA JAYE AUR KIN ALAMAT KO PESHE NAZAR RAKHTE HUE INTEKHAAB AUR AMAL DAR AAMAD KIYA JAYE?IS SILSILE ME DO TARAH KI RAI MILTI HAI:(1)EK YE HAI KE NAFS ISTEKHARA KAAFI HAI AUR ISIPAR ETEMAAD KARTE HUE AADMI JIS KISI PEHLU KO IKHTIYAAR KAREGA INSHA ALLAH KHAIR USI ME HOGA KYUNKE ISTEKHARA EK DUA HAI-BANDA APNE PARWARDEGAR SE ISTEKHARA KE ZARYE DARKHWAST KARTA HAI KE ALLAH US KE HAQ ME KHAIR AUR BHALAI KO MUQADDAR FARMAYE TO ZARUR ALLAH USKE HAQ ME BEHTARI AUR USKE HAAL KE MUNASIB AMR KO USKE LIYE MUNTAKHAB AUR SAHAL FARMA DETA HAIN-(2) DUSRI BAAT YE HAI KE ISTEKHARA KARNE KE BAAD DIL KA MILAAN AUR RUJHAAN KIS PEHLU PAR HO USI KO IKHTIYAAR KARNA CHAHIYE IS RAI KI TA’EED  EK HADEES SE BHI HOTI HAI JIS KO IBNUSSANI NE HAZRAT ANAS RAZI ALLAHO TA’ALA ANHU SE RIWAYAT KIYA HAI HAZRAT ANAS RAZI ALLAHO TA’ALA ANHU FARMATE HAIN KE RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA KE JAB TUM KISI KAAM KA IRADA KARLO TO APNE RAB SE SAAT DAFA ISTEKHARA KARLO PHIR JIS CHEEZ KI TARAF TUMHARA ZEHEN MUTAWAJJA HO USI KI TARAF TAWAJJA KARLO KYUNKE KHAIR ISI ME HAI-ULAMA KI EK BADI TA’DAAD KA RUJHAAN BHI ISI RAI KI TARAF MALUM HOTA HAI AUR INHONE IS RAI KO IKHTIYAAR KIYA HAI-DEKHIYE(UMDATUL QAARI/MIRQATUL MAFATEEH) ISTEKHARA ME KHWAB DEKHNA ZARURI NAHIN HAI AGAR KISI KO KHWAB AJAYE TO YE USKE QALBI RUJHAAN KE LIYE MADADGAAR SABIT HOGA CHUNANCHA MASHAEKH IS SILSILE ME KEHTE HAIN AGAR KOI KHWAB ME SAFED YA SABZ RANG KI CHEEZ DEKHLIEN TO USKE LIYE MUNASIB YE HAI KE US KAAM SE IJTINAAB AUR PARHEZ KARE.
·       ISTEKHARA KIN UMOOR ME KIYA JAYE
ISTEKHARA AISE MAMLO.N ME KIYA JAYE JISKE MUFEED AUR DURUST PEHLU SE INSAAN WAQIF NA HO AGAR WO MAMLA AISA HO JIS KI BHALAI SE INS-AAN WAQIF HO JAISE IBADAT AUR DEGAR EHKAME SHARA YA PHIR USKI BURAI ME US PAR WAAZE HO MASLAN GUNAH KE KAAM AUR MUNKIRAAT TO UN AMOOR ME ISTEKHARA KI KOI HAAJAT HAI HI NAHIN KYUNKE SAHI AUR GALAT TO WAAZE AUR ZAHIR HAI-ISTEKHARA JAYEZ AUR MUBAAH CHEEZON ME KIYA JAYEGA NEZ AISE WAJIBAT ME BHI KIYA JASAKTA HAI JIS ME WAQT AUR KAIFIYAT KI KOI QAID NA HO TO UN KE WAQT AUR KAIFIYAT KE SILSILE ME ISTEKHARA KIYA JASAKTA HAI (HASHIYA TEHTAWI)-DUSRI BAAT YE HAI KE HAR JAYEZ AUR MUBAH KAAM ME BHI ISTEKHARA NAHIN KIYA JAYEGA BALKE AISE UMOOR ME ISTEKHARA KIYA JAYEGA JO KABHI KABHAR PESH AATE HAIN AUR JISKE LIYE EHTEMAM BHI KIYA JATA HO JAISE SAFAR,TAMEER,NIKAH WAGAIRA-LEKIN AISE UMOOR KA JO HAMESHA LAHAQ REHTE HO AUR UNKE LIYE KOI EHTEMAM BHI NA KIYA JATA HO MASLAN ADATAN KHAYE AUR PIYE JANE WALI CHEEZIEN TO UN UMOOR ME ISTEKHARA NAHIN KIYA JAYEGA-(SHARAH ABI DAWOOD) HADEES SHARIF ME NAMAZ ISTEKHARA KE LIYE KOI KHAAS WAQT WARID NAHIN HUA LEHAZA NAMAZ ISTEKHARA UN AUQAAT KE ILAVA JIN ME NAMAZ PADHNA MAKRUH HAI KISI BHI WAQT ADA KI JASAKTI HAI-(MIRQAATUL MAFAATEEH) ALBATTA ALLAMA IBNE ABIDEEN SHAMI REHMAT ULLAH ALAIH ‘SHARAUSHARIAH, KE HAWALE SE MASHAEKH SE SUNI HUI YE BAAT NAQL KI HAI KE USKE PADHNE KE BAAD BAWAZU SO JAYE USSE YE BAAT MALUM HOTI HAI KE NAMAZ ISTEKHARA SONE SE QABL ADA KARNA MUJARRAB AUR NAAFE HAI-(SHAMI)
·       ISTEKHARA ME TAKRAAR
AGAR KISI KO EK DAFA ISTEKHARA KARNE SE KISI EK PEHLU PAR DILI RUJHAAN HASIL HONE TAK ISTEKHARA KARTA RAHE CHUNANCHA ALLAMA AINI REHMAT ULLAH ALIH NE IMAM NAVVI REHMAT ULLAH ALIAHE KI‘KITAB ALAZKAAR,SE UNKA YE QAUL NAQL KIYA HAI KE INSAAN TEEN TEEN DAFA ISTEKHARA KARE KYUNKE HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE TEEN DAFA DUAIEN KARNA SABIT HAI-(UMDATULQAARI)-BAAZ HAZRAAT E ULMA NE HAZRAT ANAS SE MARVI RIWAYAT KI BUNYAD PAR SAAT DAFA ISTEKHARA KARNE KO PASAND KIYA HAI LEHAZA AGAR KISI KO DILI MILAAN HASIL NAHO TO WO TEEN DAFA ISTEKHARA KARE AGAR PHIR BHI HASIL NAHO TO SAAT DAFA KARLE AUR SAAT DAFA KARNA BHI BEHTAR HAI KYUNKE SAAT ME TEEN DAKHIL HAI LEKIN AGAR KOI TEEN HI DAFA KARE TO USKO SAAT TO NAHIN MIL SAKTA LEHAZA AISE ANDAZ PAR AMAL KARNA JISME DONO SURATIEN MIL JAYIEN AUR DONO TARAH KI AARA PAR AMAL HO JAYE ZYADA MUNASIB HAI –BALKE BEHTAR YE HAI KE AGAR IS KAAM ME TAKHEER KI GUNJAISH HOTO JAB DIL KA JHUKAU KISI EK PEHLU NA HO JAYE ISTEKHARA KARTA RAHE –(UMDAT ULQARI)
·       NATIJA E ISTEKHARA KA SHARAEE HUKM
ISTEKHARA KARNE KE BAAD JO NATIJA HASIL HOTA HAI US PAR AMAL KARNA NA TO WAJIB HAI AUR NA HI SUNNAT LEKIN AGAR KISI EK JANIB PURA RUJHAAN HO JAYE AUR USME APNI ZAATI KHWAHISH KA KOI DAKHL NA HO TO US SURAT ME US CHEEZ KO IKHTIYAR KARLE KYUNKE ALLAH NE HAMARE HAQ ME JO CHEEZ MUTAIYAN  O MUQADDAR KI HOGI WO HAMARE HAQ ME ZARUR BEHTAR HOGI
·       KISI SHAKHS KA DUSRE KE KIYE ISTEKHARA KARNA
BANDA APNI NAQIS TALAASH O JUSTUJU KE BAAD LIKHTA HAI KE HADEES ME KISI AUR SE ISTEKHARA KARWANE KA KAHIN ZIKR NAHIN MILTA-IS SILSILE ME BANDA NE JIN AKABEER ULAMA  KI KITAABO.N SE RUJU KIYA UN  HAZRAAT NE BHI KISI KITAB ME IS MASLE KE MAUJOOD HONE MUTALLIQ KUCH NAHI LIKHA ALBATTA BAAZ HAZRAAT ULAMA KA KHAYAL YE HAI KE ISKI IJAZAT HONI CHAHIYE-DALEEL YE HAI KE ISTEKHARA ME BANDA ALLAH RABBUL IZZAT SE KHAIR AUR BHALAI KA KHWASTGAAR HOTA HAI JOKE EK DUA HAI AUR DUA KI DARKHWAST KISI SE BHI KI JASAKTI HAI DAR HAQEEAT ISTEKHARA TALB KHAIR HI KA NAAM HAI AUR JIS TARAH KHUD KAR SAKTA HAI USI TARAH DUSRO SE BHI KARWA SAKTA HAI-LEKIN JAB HUM ISTEKHARA SE MUTALLIQ HADEES PAR NAZAR DALTA HAI TO NABI KAREEM SALLALLHO ALAIHE WASALLAM KHUD ISTEKHARA KE ZARURAT MAND KO US BAAT KA HUKM FARMA RAHE HAI KE WO ISTEKHARA KARE CHUNANCHE HAZRAT AYYUB ANSARI KO NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE BAZAAT E KHUD ISTEKHARA KARNE KI BAAT KAHI HAI-(MASNAD AHMED)NEZ HAZRAAT SAHABA RAZI AL-LAHO TA’ALA ANHUM SE KISI NE HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE YE KAHA HO KE AAP HAMARE LIYE ISTEKHARA FARMADIEN ISKA BHI BANDA KO KOI SABOOT NAHI MIL SAKA AUR NA FUQHA HI NE IS TARAH KI BAAT KI KE KOI GAIR KISI KE LIYE ISTEKHARA KAR RAHA HO TO US WAQT WO MUTAKALLIM KE SEYGHO KI JAGAH KYA KAHE-ISSE KAM AZ KAM YE MALUM HOTA HAI KE ISTEKHARA ANILGHAIR(KISI DUSRE KA ISTEKHARA KARNE)KA ASLAAF ME KOI WAJOOD NA THA-YA YE KE WO KISI NA KISI ETBAAR SE IS MAMLE SE MUTALLIQ HOTE THE US SURAT ME DAR HAQEEQAT YE ISTEKHARA AN ULGAIR(KISI DUSRE KA ISTEKHARA KARNA)NAHIN BALKE ISTEKHARA ANINNAFS (KHUD ZARURAT MAND KA ISTEKHARA KARNA)HO JAYEGA LE HAZA BAAZ HAZRAAT ULMA NE YE NUQTAYE NAZAR BHI BAYAN
KIYA HAI KE‘ISTEKHARA  ANILGHAIR,DAR HAQEEQAT‘ ISTEKHARA ANINNAFS,HAI KYUNKE WO SHAKHS IS MAMLE KO KISI NA KISI ETBAAR SE APNE SE JOD KAR HI ISTEKHARA KARTA HAI LEHAZA WO USI KI ZAAT KE LIYE ISTEKHARA HUA,MASLAN WALDAIN JAB APNI AULAAD KI SHAADI KE SILSILE ME ISTEKHARA KARENGE TO UN KE ZEHEN ME YE HOTA HAI KE MADD E MUQABIL HAMARI AULAAD KE LIYE MUNASIB HOGA KE NAHIN HAMIEN US MAMLE ME KYA RAWAYYAA IKHTIYAAR KARNA CHAHIYE US KO QUBOOL KARNA HAMARE HAQ ME BEHTAR HOGA YA RADKARNA,IS MAMLE KHUD UN KI ZAAT TARADDUD KA SHIKAR HAI AUR ISTEKHARA RAFA TARADDUD KA KE LIYE HAI DUSRE NUQTAYE NAZAR KE AITBAAR SE ISTEKHARA KARNE WALA KISI NA KISIDARJA ME BAZAAT KHUD US MAMLE SE MUTALLIQ AUR US ME MUTRADDUD HO AISA NA HO KE KISI AISE SHAKHS KE JIS KA US MAMLE SE KOI TALLUQ HI NA HUA ISTEKHARA KARWAYE-MAUJUDA HALAAT KE TANAZUR ME IS SILSILE ME EK MASLA BAHUT AHMIYAT KA HAMIL HO GAYA HAI WO YE KE LOG PHONE YA DEGAR MAWASALATI ZARAE SE KISI BUZURG YA MAZHABI SHA-KHSIYAT SE APNE KAAM KE MUTALLIQ ISTEKHARA KI DARKHWAST KARTE HAIN AUR WO BUZURG YA SAHEB US MASLE AUR US KAAM KO SUNNE KE FAURAN BAAD HI APNA JAWAB MARHAMAT FARMA DETE HAIN ISKI DO KAIFIYATIEN HO SAKTI HAI(1)EK TO YE KE BAGAIR KISI TALAB KHAIR KI DUA AUR TAWAJJUH ILALLAH  FAURAN HI JAWAB DE DIYA JAYE TO US SURAT KO ISTEKHARA NAHIN KAHA JAYEGA KYUNKE ISTEKHARA ALLAH SE APNE HAQ ME BHALAI AUR KHAIR KE MUQADDAR KARNE KO MANGNE KA NAAM HAI AUR YAHAN ALLAH SE MANGNA PAYA HI NAHIN GAYA TO US KO ISTEKHARA KAISE KAHA JAYEGA?BALKE AGAR KOI SHAKHS US AMAL KE BAAD YE AQEEDA AUR ETQAAD RAKHE KE MERE MAMLE ME INTEKHAB AUR FAISLA ALLAH NE KIYA HAI TO YE IFTARA ALALLAH(ALLAH PAR BOHTAN BANDHNA) HONE KI WAJAH SE NAJAYEZ AUR HARAM HOGA-CHUNANCHA ZAMANA JAHLIYAT ME AHLE ARAB ALLAH RAB UL IZZAT SE KHAIR AUR BHALAI MANGE BAGAIR APNE AABA W AJDAAD KE MUTAIYAN KARDA KHAIR AUR SHAR KE CHAND MEYARAAT KI BUNYAD PAR IS MAMLE KA FAISLA KAR LETE AUR US KO ALLAH KI TARAF MANSUB KAR DETE KE MUJHE MERE RAB NE YE KARNE YA NA KARNE KA HUKM DIYA HAI-(HUJJAT ULLAHIL BAALIGHAH) DUSRI KAIFIYAT YE HO SAKTI HAI KE JAWAB TO FAURAN HI DIYA JATA HO LEKIN SAYIL KO KISI EK MUTAYYANA SURAT KE MUNTAKHAB KARNE KE MUTALLIQ JAWAB DENE SE QABL ALLAH SE KHAIR AUR BHALAI KI DUA MANGLI JATI HO YE SURAT PEHLI SURAT KE MUQAABLE ME KISI HAD TAK DURUST TO HAI LEKIN USME DO TARAH KI KHARABIYAN HAIN EK TO AAP KE DIL KA NAFSANI DABAO SE BACHTE HUE KISI EK TARAF MAYIL HONA,JAWAB DENE KE LIYE ZARURI HAI AUR AISA HAR DAFA AUR HAR SAWAL KE JAWAB ME HONA ZARURI NAHIN WARNA TEEN DAFA AUR SAAT DAFA ISTEKHARA KI BAAT KYUN AATI JAB KE KOI BHI MAMLA ISTEKHARA KE BAAD EK HI LAMHA ME HAL HO JATA DUSRI BAAT YE HAI KE YE HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI TALIMAAT AUR AAP SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE MANQUL ISTEKHARA KE TAREEQA KE MUTABIQ NAHIN HAI IS RIWAAJ KE AAM HONE KI WAJAH SE EK KHARABI YE BHI PAIDA HO GAYI HAI KE LOG BAZAAT E KHUD ISTEKHARA KARNE KE BAJAYE DUSRO SE ISTEKHARA KARWANE KO HI SHARAYEE TAREEQA SAMJHNE LAGE HAIN JAB KE HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM AUR SEHABA RAZI ALLAHU TA’ALA ANHUM KA MAMUL KHUD ZARURAT MAND SHAKHS KA ISTEKHARA THA BEHR HAAL MUNASIB AUR MASNOON AMAL YE HAI INSAAN KHUD ISTEKHARA KARE AGAR KOI MAMLA BAHUT AHEM HO AUR KISI PEHLU MILAAN BHI NA HO RAHA HO YA PHIR NAFSANI KHWAHISHAAT KA GALBA HO TO PHIR AISE LOGON SE JO US MAMLE SE KISI NA KISI HAD TAK TALLUQ HO AUR UNKI BUZURGI O SHARAFAT BHI MUSALLAM HO,ISTEKHARA KARWAYA JA SAKTA HAI AUR UN HAZRAAT KO BHI CHAHIYE KE ISTEKHARA US TAREEQA PAR KARIEN JIS KI NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE UMMAT KO TALEEM DI HAI-
·       ISTEKHARA AUR TASHKEESH ME FARQ
AAM TAUR PAR JO GHALAT FAHMI ISTEKHARA KE SILSILE ME PAAYI JATI HAI WHO TASHKHEES AUR ISTEKHARA KO KHALAT MALAT KARNE KI WAJA KAR HAI  YEH BAAT PEHLE ZEHAN NASHI.N KARLE.N  KE ROOHANI ULOOM MASLAN ILM E JAFAR ILM RAMAL ILME NAJOOM ILMULAADAD ILMULKHWAB ILM E MURAAQBAH WAGHAIRA SE SAAIL KE KISI SWAAL KA JAWAB DIA JAYE  YA KISI ROOHANI YA JISMANI MARAZ KA ANDAZA LAGAYA JAYE TO ISEY ASTEKHARA KA NAAM NA DIA JAYE BALKE YEH TO EK ILMI ANDAZA AUR TASHKHEES KAHLAAYEGA JAB KE ISTEKHARA KI TAREEF AAP PICHHLE SAFHAAT ME PADH CHUKE HAIN MERE PAAS SAINKDO.N E MAILS AATE HAI.N JIN ME LOG YEH SAWAL LIKHTE HAI.N KE ZARA ISTEKHARA KARKE BATAYE.N HUMARE UPAR AUR HUMARE KROBAR KE UPAR KISI NE JAADU TONA TO NAHI KARWA DIA HAI ,KHABI KABHI MAIN SOCHTA HU.N  KE AAKHIR IN BECHARO.N KO KISNE BATAYA KE AISE SAWAALO.N KE JAWABAT ISTEKHARA KE ZARYE MALOOM KIA JATA HAI DAR ASAL IS GHALAT FEHMI ME MAINE AWAAM TO AWAAM MAINE KHWAAS KO MUBTALA PAYA HAI ,ISTEKHARA MUSTAQBIL QAREEB YA MUSTAQBIL BAYEED ME KISI KAAM KE KIYE JAANE YA NA KIYE JAANE KE SILSILE ME ALLAH RABBUL IZZAT SE MASHWARA KARNE KA NAAM HAI JABKE SEHAR JADU AASEB ,JISMANI O ROOHANI MARAZ,KAROBAR NA CHALNE KA SABAB ,MAALI NUQSANAT KI WAJAH,LADKIYO.N KE RISHTA NA HONE KI WAJAH, ZAN O SHOHAR ME NACHAQI KA SABAB,DOCTORS KE SAMAJH ME NA AANE WALE AMRAAZ KI TASHKHIS WAGHAIRA WAGHAIRA SAWALAAT KE JAWABAT ME JO BAAT KAHI JAYEGI USEY TASHKHIS KAHA JAYE GA YEH AM SAWALAAT HAI.N JO AWAM AAMILO.N AALIMO.N AUR ROOHANI PESHWAAO.N SE KARTI HAI SAWAL KARTE WAQT AAM LOGO.N KE ZEHAN ME ITNI BAAT TO ZAROOR HOTI HAI KE MAIN JIN SE SAWAAL KAR RAHA HUN UNKE PAAS KOI ROOHANI ILM MASLAN JAFAR WAGHAIRA ZAROOR HAI JISKI MADAD SE WHO MERE SAWALAAT KA TASHFFI BAKHSH JAWAB INAYAT KARENGE  ,MAIN SAMJHTA HU.N YEHA.N AWAAM KA KOI QASOOR NAHI ALBATTA UNKI GHALAT FEHMI KO DOOR KARNA CHAHIYE KE JO BHI JAWAB DIA JATA HAI USEY ISTEKHARA YA ISTEKHARA KA NATIJA KAHNA HARGHIZ DURUST NAHI BALKE ISEY EK ILMI ANDAZA AUR TASHKEESH KA NAAM DIA JAYE ,MUJHE UMMED HAI QARAEEN MERI IS MUKHTASAR GUFTUGHU SE ISTEKHARA AUR TASHKHEESH KA WAAZEH FARQ SAMAJH GAYE HONGE AB AISE HI KUCH GHALAT FEHMI FAAL AUR TASHKHISH KE MUTALLIQ BHI KAAFI MASHHOOR HAI INSHA ALLAH KISI NAHSISHT ME IS GHALAT FEHMI KA BHI IZALA KIA JAYEGA…

 Mohammad Imran Razvee Al Qadri

(Numeroligist & Spiritual Healer)

Tuesday, November 18, 2014

حروف الف لام میم کا عمل ناسوتی Huroof Alif Laam Meem Ka Amal e Nasooti (Spiritual Practice of Letter Alif Laam Meem)



Huroof Alif Laam Meem Ka Amal Nasooti
Sufiyo.n Aur Darwesho.n Ke Who Aamal Jo Sina Basina Chale Aarahe Hain
Yeh who huroof hain jin se kalamullah ki shuruat hoti hai Allah tala ki bheji hui aakhri kitab ka sab se pehla hurf alif hai huroof e muqatteaat me alif aur ya ka bohat bada darja hai kiyon ke alif huroof e tahajji ka sab se pehla aur ya sab me aakhir hurf hai ye dono huroof nida me jama hokar apni ahmiyat ko zahir karte hain jab insaan Allah ko pukarta hai to hurfe nida yak e saath pukarta hai lafze ya me huroof e tahajji ka pehla aur aakhri hurf maujood hai
Buzugho.n ne farmaya hai ke Alif Lam Meem ka amal tamam maddi zaroorto.n aur jismani bimaryo.n ke liye teer bahidaf ki haisiyat rakhta hai aur kaisa bhi khatarnaak aur mohlak maraz ho alif laam meem ka amil is maraz se mareez ko nijat dilane me kaamyab hojata hai .
Alif Laam Meem ka amil banne ke liye alif laam meem arbi rasmul khat me qadre mota kar k eek gate pe likhwaya jaye ya safed kaghaz par likhwa kar ia computer se kisi achche font me print out karwakar isko gate par chaspa kardia jaye phir is gate ko kisi diwar par laga dia jaye aur teen ghaz ke faasle par do zaanu baith kar alif laam meem 5000 martaba parhe parhne ki jagah aur waqt muqarrar ho aur lagatar is amal ko 40 din tak jari rakhen.
Is amal me kisi bhi tarha ka koi parhez karni ki koi hajat nahi albatta jagah ,waqt aur tadad ki pabandi zaruri hai ,paak saaf kapdo.n me amal karna bhi shart ki haisiyat rakhta hai iske elawa kisi bhi tarha ki shart aur pabandi ki zarurat nahi ,agar 40 din me ek din bhi nagha hojaye gay a jagah aur waqt ki pabandi ek din bhi barqarar nahi rahegi to amal bekar hokar rah jayega .
Agar 39 din tak parha aur ek din kisi waja se chhot gaya to 39 din ki mehnat bekar hojayegi ,is liye amal ki shruat us waqt kare.n jab 40 din me ek din bhi nagha hone ka andesha na ho albatta is amal ko karne ke baad agar kisi wajah se chhod dia to amil ki taraf kisi tarha ki rajat nahi hoti  tahum baghair kisi uzr kea mal ko paya e takmeel tak pohchaye baghair chhodna kam himmati aur namuradi ki dalil hai .
40 din pure hone ke baad amail ki nighah aur zaban me zabardast taseer aur roohani quwat  paida hogi  is ke baad aamil agar kisi mareez par 3 minut nazar jama kar dekh kar dil hi dil me alif laam meem parh lega to mareez befazle Khuda acha hojayega kitna bhi khatarnak maraz ho agar amil mareez ko 11 din tak jhaad de aur alif laam meem parh kar dam karde to mareez tandurust hojayega .
Jhaadne ka tareeqa yeh hai ,mareez ko bilkul chit lita de aura mil apne chehre ko maghrib ki taraf kar le aur mareez ke ghutno ke pas baithe iske bad 30 bar alif laam meem parh kar sar se par ki taraf dam kare sirf ek martaba dam kardena kaafi hai isi tarha lagatar 11 din dam kare.
Is amal ki niaz yeh hai kea mil mareez se rozana 90 rupai wasool kare is me se 70 rupai apne sarfe me laaye aur 20 rupai kisi majboor ko khairat karde isse ziada agar amil wasool karega to amal bekar hojayega  muhaida ki khilaf warzi ki wajah se .
Chillah ki takmeel ke bad amil apne haath se alif laam meem ka naqsh likh kar mareez ko de sakta hai ek naqsh gulab o zafran se likhe is naqsh ko botal me dal kar pani bhar de aur 11 din subh o sham iska pani mareez ko pine ki takeed karde aur rozana waqt muqarrar kar ke mareez par mazkoora tareeqe se dam karta rahe insha Allah bohat tezi ke saath mareez sehat ki taraf palte ga.
Gale me dalne wala naqsh kale kapde me silne ki takeed ki jaye yeh naqsh aur yeh amal tanan bimaryou.n me befazle Rabbul aalameen teer ki tarha kaam karta hai aur mareez ko hairat nak taur par shifa hojati hai lekin amileen ke liye zaroori hai ke who pehle iski zakaat ada kare aur niyaz marizo.n se utni wasool kare jitni humne takeed ki hai aur isme se bhi gharibon ka haq zaroor nikale .
Note:
Agar mareez kisi dusre mulk ya shahar me ho to is amal se faida na hoga kiyonke is amal me mareez ka qareeb hona zaroori hai dam karne ke liye is ke liye ek doosra Nasooti Amal hai jo aainda mazkoor hoga.

Saturday, January 13, 2018

Jinnat Ko Dekhne Ka Tilismi Surma جنات کو دیکھنے کا طلسمی سرمہ

Yeh  jinnat ko dekhne ka nihayat asan Tilismi Amala jisey karne ke liye kisi chilla kashi ya parhez ki zaroorat nahi bas apko ek jangli kabootar ek 6 ya sat inch ki sanp ki kenchli darkar hogi 

Wednesday, May 28, 2014

BARA BURJO.N KI KHASIYAT MARDO.N KE LIYE بارہ برجوں کی خاصیت مردوں کے لئے ( Peculiarity Of Zodiac Sign For Men)

BARA BURJO.N KI KHASIYAT MARDO.N KE LIYE
         JIS MARD KE WASTE DEKHNA HO USKA AUR USKI MA KE NAAM KE ADAAD JOD KAR BARA SE TAQSEEM KARE.N AGAR 1 BACHE TO HAMAL 2 BACHE TO SAUR 3 BACHE TO JOOZA 4 BACHE TO SARTAAN 5 BACHE TO ASAD 6 BACHE TO SUNBLA 7 BACHE TO MIZAAN 8 BACHE TO AQRAB 9 BACHE QAUS 10 BACHE TO JADDI 11 BACHE TODALU AUR AGAR PURA TAQSEEM HOJAYE TO HAUT JO ADAD HASIL HO USKA SAMRA DEKH LE.N
  • ·         BURJ E HAMAL

 SITARA USKA MAREEKH IS TAA’LA KA MARD KHUSH TAB’A KHUSH KHALQ HOGA- DO AURTIEN USKI QISMAT ME HAI-MAGAR AARAAM EK HI SE PAYEGA-AULAAD BAHUT HOGI-SIYAAH LIBAAS USKE LIYE NAAMUNASIB HAI-AKSAR BURE KAAM KARKE SHARMINDA HOGA –AAG W PAANI SE BACHNA BEHTAR RAHEGA-NAZRE BAD SE AK-SAR NUQSAAN PAHUNCHEGA- AQEEQ KI ANGHUTI USKO PEH-ENNA KHOOB HOGA-KHARIDO FAROKHT YANI TIJARAT SE NAFA HOGA AGAR KUCH NUQSAAN BHI HOTO JALD BADAL HO JAYEGA-ZINDAGI KA PEHLA DAUR TAKLEEF ME DUSRA DAUR MATU-SAT AUR TEESRA DAUR AARAAM SE GUZRE GA-IBADATE KHUDA ME KAHELI HARGIZ NA KARE-AKSAR BIMARI SARDI WABAI SE HUA KAREGI-AGAR UMAR  40 BARAS SE GUZAR GAI TO NAWWE BARAS KI TASAWWUR KI JAYE-NAYA CHAND DEKHTE WAQT DUROOD SHAREEF PADHNA BEHTAR HOGA-CHAU PAYE JAANW-AR MISL GAI,BHAINS,BAIL BAKREE WAGAIRA PALNA MUBARAKHOGA-MANDARJAZIL TA’WEEZ ZINDAGI BHAR KE LIYE MUFEEDHOGA-INSHAH ALLAH TA’ALA-YANI NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIM E HAMAL
  •    BURJ E SAUR

SITARA ISKA ZOHRA HAI-NISHANI DAULAT MANDI W AISHO KAAMRANI KI HAI-NIKAH BAHUT KI KHWAHISH KAREGA LEKIN UMDA AURAT EK HI SE KA-ARWAI HOGI-SHARAH KE KHILAAF KAAM NA KARE TAKE USKA KAAM MARZI KE MUTABIQ PURA HO-CHAAR PAIYON SE YAKSAR NUQSAAN HOTA RAHEGA-JIS KE SAATH WAFA KAREGA JAFA PAYEGA JO KUCH KAMAYEGA UDA DEGA-AULAAD BAHUT BAHUT HOGI-AKSAR AANKH KI BIMARI ME MUBTALA RAHEGA- SHABAAN KA MAHINA TALABE HAAJAT KE LIYE BAHUT MUNASIB HOGA-BIMARI AKSAR MEDA O SAFRA AUR DARDE SEENA AUR DARDE KAMAR SE HOGI-PEHLI AUR CHAUTHI SAAL KHAIRIYAT SE GUZAR GAYE TO UMR 80BARAS TASAWWUR KARNI CHAHIYESAFAR ME BAHUT FAYEDA HOGA LEKIN KHARCH BHI KAR DALEGA-HAJ KA’BAA USKE NASEEB ME HAI-AKHEER UMR ME DAUL-AT HAATH AYEGI-INSHA ALLAH TA’ALA MANDARJAZIL TA’WEEZ USKE LIYE BEHTAR HOGA –(NAQSH JAAMIAL MATLOOB MA KHATIM E SAUR
  • ·         BURJ E JUZA

 SITARA USKA ATARAD HAI IS TAA’LA KA MARD BA MURAWWAT,KHUSH AADAT,HOSHIYAR,APNO AUR PADOSIYON SE NEKI KAREGA-LEKIN BADLA BU- RAI SE PAYEGA-BUZURGO KI SOHBAT USKE HAQ ME MUFEED HAI-HARAAM MAAL SE PARHEZ KARE WARNA EK RUPIYA HARA-AM KA TEEN RUPIYA LEKAR JAYEGA-SAFAR ME TAKLEEF UTHA-YEGA-MAAL BAHUT HAATH AYEGA YA HAJ KAREGA YA KOI AISA KAAM KAREGA JISSE HAJ KA SAWAAB PAYEGA-JANAAB SAYYEDE AALAM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI KHWAAB ME ZIYARAT NASEEB HOGI-BAAG W KHETI SE FAYEDA HOGA-AULAAD BAHUT HOGI-MAGAR UNKI TARAF SE DUKHYA RAHEGA-BALGAMI AMRAAZ,DARD SEENA,AUR DARD SAR KI AKSAR TAKLEEF RAHEGI-SHEHED AUR KALONJI SUBAH NAHAAR MUNH KHANA MUFEED HOGA-ZARD AUR NEELI AANKHON WALE SE KHATRA RAHEGA-QIBLA KI TARAF SAFAR KARNA MUBAARAK HAI-TISRI AUR PAANCHVI BARAS KI TAKLEEF SE BACH GAYA TO-INSHA ALLAH TA’ALA UMR USKI 90 BARAS KI HOGI-MANDARJAZIL TA’WEEZ INSHAH ALLAH TA’ALA USKO BAHUT MUSAR HOGA-YANI NAQSH JAME ALMATLOOB MA KHATIM E JOOZA
  • ·         BURJ E SARTAAN

SITARA ISKA QAMAR HAI-IS TAA’LA KE MARD KI DO SURATIEN HAI-AWWAL SANWLE RANG KA TAQATWAR DUSRE GORA CHATTA NAHEEF AUR KAMZOR LEKIN DONO SURATIEN DAULAT MANDI KI NISHANI HAI-SAFAR BAHUT KAREGA AUR FAYEDA BHI KAMAYEGA-ALBATTA  WAFA KA BADLA JAFA SE PAYEGA-USKE BADGO BAHUT HONGE- ZINDAGI KA IBTEDAYI HISSA PARESHANI ME GUZREGA-AUR BAQIYA HISSA ARAM O RAHAT ME-ANJAM BEHREHAAL BAKHAIR HOGA-AGAR RANJO GUM ME GHABRAYE NAHIN AUR YAQEEN RAKHE KE KHUDA KARSAZ HAI TO SAB KAAM INSHAH ALLAH ASAAN HO JAYENGE-SEENA AUR AAZA PAR EK TIL HAI WO MUBARAK HAI BHAIYON AUR DOSTO SE MUHABBAT KAREGA-WAFA PAYEGA-MAA BAAP SE JUDA HO JAYEGA-NIKAH KAI KAREGA LEKIN EK  SE KAARWAI HOGI-AUR AULAAD BAHUT HAI LEKIN  UPRI KHALAL KA ANDESHA RAHEGA-BIMARI AKSAR DARDE KAMAR AUR SARD HAWAON SE HOGI-HAASID BAHUT HANGE LEKIN KOI KUCH BIGAD NA SAKEGA-SAFED LIBAAS PEHENNA MUNSIB HOGA-USKE LIYE MAAHE RABI’UL’AWWAL DIN SANICHAR HAR KAAM KE LIYE BAHUT MUBARAK HOGA-NAYA CHAND DEKHKAR PAANI PAR NAZAR KARNA BAHUT BEHTAR HOGA-AGAR  KISISE KUCH LENA HOTO DAHENI TARAF KHADA HO-SAATVE  AUR ATHARVE BARAS KHAIRIYAT SE GUZAR GAYE TO-90 BARAS KI UMR RASAWWUR KARNA CHAHIYE-INSHAH ALLAH NAQSHJAMIUL MATLOOB  MA  KHATIM E SARTAAN BEHTAR RAHEGA –
  • ·         BURJ E ASAD

SITARA ISKA SHAMSH HAI IS TAA’LA KA MARD SAFED,KHUSHRU,KHUSH SUKHAN,ABRUKASHIDAH,BUZURGON KE HUZOOR CHARB ZUBANI UAR TAND KHOI SE PESH AYEGA AUR KHAYAL NA KAREGA MAINE KYA KAHA-LAH O LAIB KHELKUD KO DOST RAKHEGA-EK BADA BHARI RANJ BHI USKO PAHUNCHEGA KISI KI ZAMANAT KARNA ACHCHA NAHIN- E’FA PAR NEK BAKHTI KA NISHAN HAI-BUZURG LOG USKI BAAT KO MU’ATABAR SAMJHENGE-MAAL O ASBAAB BAHUT KAMAYEGA-LEKIN KHARCH KAR DALEGA-APNI SAADGI KE SABAB DUSHMANO KO BHI DOST JANEGA-DUSHMAN BAHUT HONGE-CHAHIYE KE KISISE APNE DIL KA BHED NA KAHE-MAA BAAP USSE PEHLE INTEQAL KAR JAYENGE-AULAAD KAM,BIMARI AKSAR DARDE SAR,DARDE SHIKAM WAGAIRA SE HOGI-EK MUDDAT  TAK USKA KAAM ANDHERE ME PADA RAHEGA-PHIR BAAD KO SAB KAAM DURUST HO JAYENGE-USKO CHAHIYE KE DUSHMANO KI NASIHAT QUBOOL NA KARE-UMR CHAAR BARAS YA TABA’EE HOGI-JUMERAT KA DIN,SURKH O SABZ LIBAAS-GAI,BAIL BAKREE USKE LIYE MUBARAK HAI-INSHAH ALLAH NAQSH JAMIUL MATLOOB MA IBARAT MA KHATIM E ASAD USKE LIYE BEHTAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-
  • ·         BURJ E SUNMBLA

 SITARA ISKA ATARAD  HAI IS TAA’LA KA MARD MEETHI ZUBAAN WALA HOGA-MAGAR USKO JHOOT BOLNA HARGIZ SAZAWAAR NAHIN-RAAST GOI AUR SACHCHAYI SE FAYEDA DIKHEGA-NAMAZ ME SUSTI W KA-HELI NIHAYAT MUZIR SABIT HOGI-GUSSA KO ZABT KARNA BEHTAR HOGA-KISISE SHIRKAT KARNA BEHTAR NAHIN-AKSAR KAAMON ME GUSSA JALD AYEGA LEKIN FAURAN JATA RAHEGA-MAAL BAHUT JALD BAAT KEHNE ME PAIDA KAREGA LEKIN SARF KAR DALEGA-BADAN ME NISHAN HOGA JO DAULATO IQBAL KI NISHANI HAI-DUSHMAN AUR BADGO BAHUT HONGE-LOG USKE SAMNE TO NEKI SE PESH AYENGE AUR PEETH PICHE BURAI KARENGE-LEKIN KUCH BIGAD NA SAKEGA-CHAAR PAYE QISMAT ME BAHUT HAI-MAA BAAP SE MIRAAS KAM KATEGI BEHEN BHAI SE JUDAI IKHTIYAR KAREGA-DO AURTON SE NIKAH KAREGA-AULAAD HOGI-LEKIN KAM JIYEGI-ZINDAGI KA PEHLA DAUR QADRE  TAKLEEF ME AUR AAKHRI DAUR NIHAYAT ACHCHA GUZREGA-UMR PANCH BARAS YA TABA’EE-RAJJAB KA MAHINA SABZ LIBAAS- CHAR PAYE NARINA MUJBARAK HONGE-ASEBI KHALAL SE AKSAR BIMARIYON ME MUBTALA REHNE KA IMKAAN HAI-INSHAH ALLAH TA’ALA NAQSHE JAMIUL MATLOOB MA IBARAT  MA KHATIME SUNBLA BEHTAR RAHEGA- WALLAHO TA’ALA ALAM –
  • ·         BURJ E MIZAAN

SITARA ISKA ZOHRA HAI ISKI TEEN SURATIEN HAI AWWAL SURKHO SAFED ABRU KASHEADAH-DUSRE BULAND QAAMAT-TEESRE GUMGEEN CHEHRA KHUSH KHALQ AGARCHA KISI PAR APNI JAAN BHI QURBAN KAR DEGA-TAB BHI KOI USKI QADRO MANZILAT NA KAREGA-KISI KI ZAMANAT NA KARE-TIJARAT SE NAFA PAYEGA-GARDAN YA BAAZU PAR EK TIL HAI JO NEK BAKHTI KI ALAMAT HAI-APNA KHWAAB HAR KISISE NA KAHE-RASULE KAREEM SALLALLAHO ALAIHEWASALLAM KO KHWAAB ME DEKHEGA-APNA MANSABO MURAD PAYEGA-KHUDA KA SHUKR BAJA LANA CHAHIYE-USKA SITARA NEK HAI-IBADATE KHUDA ME KAHILI NA KARE-APNE DIL KA BHED KISISE NA KAHE-KYUNKE DUSHMAN AUR BADGO BAHUT HAI-HARAAM MAAL APNE MAAL ME NA MILAYE AUR NA USKI TARAF TAWAJJA KARE KE SAZAWAR NAHIN AGAR EK PAISA HARAAM KA PAIDA KAREGA-DUS PAISE HALAAL ME SE JATE RAHENGE-APNE KISI KAAM ME HIMMAT NA HARE-KHUDA KE NAAM SE HAR KAAM SHURU KARE-ZINDAGANI KHUB GUZAREGA-MAA BAAP USSE PEHLE MAR JAYENGE-QISMAT ME AULAAD BAHUT HAI-CHOTE LADKE SE ARAAM PAYEGA-BEHEN BHAI SE WAFA KAM-UMR 8 BARAS YA 90 BARAS-RAMZAN KA MAHINA SABZ LIBAAS MUBARAK-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA IBARAT MA KHATIM E MIZAN  INSHA ALLAH HAR TARAH MUFID SABIT HOGA-WALLAHOTA’ALA ALAM
  • ·         BURJ E AQRAB

 SITARA ISKA MAREEKH  HAI-IS TAA’LA KA MARD SAFED PUST BULAND QAAMAT HAKIMO KE SAMNE CHARB ZUBAN-KHUSH NASEEBI KA YE HAAL AGAR MUTHI ME MATTI LEGA TO SONA HO JAYEGI-BIWI AUR AULAAD SE BAHUT FAYEDA PAYEGA-HAJ KAREGA YA KOI AISA KAAM KAREGA KE USSE HAJ KA SAWAB HOGA-ZINDAGI BAHUT HOGI-LOGON ME AZEEZO BUZURG HOGA-BE GUM W ANDOH ME UMR GUZARE GI-AZEEZON SE FAYEDA HOGA-MAA BAAP SE KAM NAFA PAYEGA-BIMARI AKSAR DARDE SHIKAM-DARDE NA-AF-KULJAKH SE HOGI-MEETHE ANAAR KA AKSAR ISTEMAL MUFEED HOGA-NAMAZ O SHARAH KI PABANDI QISMAT ME CHAR CHAND LAGA DEGI-LADAKPAN ME AAG PAANI SE KHAUF HAI-DUSHMAN AGARCHA BAHUT HAI-MAGAR GALIB NA HONGE- ALBATTA EK SHAKHS DUBLA PATLA USKA DUSHMAN HAI-USKE FAREB SE BACHTA RAHE UMR ME EK SAKHT MUSIBAT PESH AYEGI LEKIIN AQEBAT BAKHAIR HOGI-UMR 30 BARAS YA TABA’EE HOGI-TOHFAE NOORI MA KHATIM E AQRAB ISKE LIYE MUFEED HOGA-WALLAHOALAM
  • ·         BURJ E QAUS

SITARA ISKA MUSHTARI HAI-IS TAA’LA KA MARD KHUSHRU,KHUSH MIZAAJ,KHUSH LIBAAS,FARAAKH ROZI,AWWAL UMR ME PARESHANI AUR ABTARI HAI-AAKHIR ME DURUSTI AUR BAHBUDI HOGI-MAAL BAHUT JAMA KAREGA-CHAUPAYE JANWAR SE NAFA PAYEGA-HARAAM SE NUQSAAN PAHUNCHEGA-DOSTO SE RAHATO ARAAM-MAA BAAP SE ROZI KAM BHAIYON BEHNON SE NAMWAFAQT AULAAD KI TARAF SE KHUSH HAAL DUNIYA KE RANJO GUM SE FARIGUL BAAL BIMARI AKSAR AASEB SE PAYEGA-DARYA KA SAFAR MUBARAK HOGA-KOI KAAM BAND NA HOGA-HUZOOR PURNOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO KHWAAB ME DEKHEGA DEEN O DUNIYA KI SAB MURADE HASIL HONGI-EK SHAKHS KARANJI AANKHON WALE SE DARTA RAHE-AUR USSE BACHNE KI TADBEER KARTA RAHE-INSHAH ALLAH KOI DUSHMAN GALIB NA HOGA NAYA CHAND DEKHKAR KISI NAMAZI KA MUNH DEKHNA BEHTAR HOGA-UMR 30 SAAL YA TABA’EE HOGI-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIME QAUS INSHAH ALLAH TA’ALA HAR TARAH MUFEED HOGA WALLAHO ALAM-
  • ·         BURJE JADI

SITARA ISKA ZOHAL YANI HAI-IS TAA’LA KA MARD NEK KHILQAT SUKHAN GO CHARB ZUBAN HOGA-APNE DIL KA HAAL KISISE NA KAHE-NAMAZ ME KAHALI NA KARE-HARAAM AUR NAJAEZ MAAL KI TARAF HARGIZ TAWAJJO NA KARE WARNA BAHUT NUQSAN UTHAYEGA-RAASTI SACHAYI SE FAYEDA MAND HOGA-HUSULE DUNIYA KE LIYE BAHUT KOSHISH KAREGA LEKIN MILEGA WAHI JO NASEEB HOGA LOGON PAR APNI JAAN BHI FIDA KARDE TAB BHI USKI KOI QADR O MANZILAT NA SAMJHENGE-JISM ME EK TIL HOGA JO DAULAT O IQBAL KI NISHANI HAI-AAKHIR UMR ME BHUT MAAL HAATH AYEGA AUR KUCH CHEEZ ZAMEEN SE PAYEGA-CHAAR PAIYON SE NUQSAN UTHAYEGA-HAKIME WAQT SE KABHI KABHI KUCH FAYEDA PAHUNCHEGA-PACHHIM KI TARAF SAFAR KARNA MUBARAK HOGA-AULAAD NASEEB ME BAHUT HAI MAGAR JIYEGI KAM-ZINDAGI DARAAZ-QARZE DENA ACHA NAHIN-SHIRKAT KARNA BEHTAR HAI MAGAR KHAYANAT NA KARE-MAA BAAP SE JUDAI-MIRAAS KAM-BEHEN BHAI KHIDMAT GUZAAR HONGE-BIMARI AKSAR DARD  ZANU  WAGAIRA SE HOGI-NAYA CHAND DEKHKAR QURAN PAAK KA DEKHNA BEHTAR HAI-HAR HAAJAT BARARI KE LIYE RABIUL AWWAL KA MAHINA MUBARAK HAI CHAAR AUR ATHARA BARAS KI BIMARI SE MEHFUZ RAHA TO UMR USKI SAU BARAS TASAWWUR KI JAYE-NAQSH MUKHAMMAS MA KHATIME JADDI INSHAH ALLAH MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
  • ·         BURJ E DALU

SITARA ISKA ZOHAL  HAI-IS TAA’LA KA MARD DAULAT MAND PAAK DAMAN JIS QADAR BUZURG HOTA JAYEGA-USKA KAAM NEK HOTA JAYEGA APNE DIL KA HAAL KISISE NA KAHE-KYUNKE DUSHMAN AUR BADGO BAHUT HAI-EK BADA BHARI RANJ UTHAYEGA LEKIN ANJAAM BEHTAR HOGA-KISI KIZAMANAT NA KARE US PAR IFTRAO BOHTAAN BAHUT UTHENGE-CHAHIYE KHUDA PAR BHAROSA RAKHE AUR SABR KARE-QIBLA KI TARAF SAFAR KARNA BEHTAR HOGA-KHARIDO FAROKHT AUR ZARA’AT USKE HAQ ME MUFEED HAI-KISI TARAH HARAM MAAL SAZAWAAR NAHIN-ZINDAGI AISHO ISHRAT SE GUZREGI-MAAL BAHUT AYEGA-LEKIN UNSE JUDAI IKHTIYAR KAREGA-DO AURTON SE NIKAH KAREGA-BAAZ KAAM NA SHAESTA KAREGA LEKIN FAURAN TAUBA BHI KAREGA JO AHEM KAAM PESH AYEGA JALD ANJAM KO PAHUNCHEGA ILM ME HAREES HOGA-KISI QADAR AATISH MIZAAJ HOGA-LEKIN DIL ME KEENA NA RAKHEGA-UMR 6 BARAS YA 80 YA 90 BARAS KI TASAWUR KARNAA CHAHIYE-JAMIUL MATLOOB MA IBARAT NAQSH MA KHATIME DALLU INSHAH ALLAH TA’ALA USKE LIYE BAHUT MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
  • ·         BURJ E HAUT

 SITARA ISKA MUSHTARI HAI IS TAA’LA KA MARD BULAND QAAMAT,KHUSH KALAAM GANDUMGO,ABRU KASHEEDA,ZAREEF TAB’A,KHUSH SUKHAN,KHUSH KHALQ HOGA-NAWADRAT(YANI AJEEBO GAREEB CHIZON PAR)JAAN FIDA KAREGA-DUSHMAN BAHUT HAI-AKSAR GIBAT KARENGE MAGAR GALIB NA HONGE-APNI BAAT ME SE JO BAAT YE KAHEGA LOG QUBOOL KARENGE-APNI SADAH LUHEE KE SABAB DOST DUSHMAN ME FARQ NA KAR SAKEGA-KHALQ KI NAZRON ME AZEEZ AUR APNE KAAM ME BA TAMEEZ-BURI SOHBAT SE PARHEZ KAREGA-DENE ME KHUSH LENE ME NAKHUSH DARMIYANI UMR ME MUNHUS SITARE KE SABAB KAREGA KUCH HOGA KUCH-NAZRE BAD SE NUQSAN PAYEGA-CHAHIYE KE KOI DUA CHASHME BAD SE BACHNE KI APNE PAAS RAKHE-PADOSIYON SE NEKI KAREGA EWAZ ME BADI PAYEGA-SHAYAD AURTIEN NIKAH ME KAI HONGI- 2 AUR 13 BARAS KHAIR SE GUZAR GAYE TO UMR TABA’EE HOGI-RAJJAB KA MAHINA JUM’AA KA DIN HAR KAAM KE LIYE MUBARAK HAI-HAR KAAM KE LIYE MUHITULASRAAR MA NAQSH TAKSEERE JANNAH MA KHAITIM E HAUT NIHAYAT MUFEED HOGA-INSHAH ALLAH TA’ALA-WALLAHO TA’ALA ALAM –








Sunday, June 1, 2014

BARA BURJO.N KI KHASIYAT SIRF AURTO.N KE LIYE بارہ برجوں کی خاصیت صرف عورتوں کے لئے (Peculiarity Of Zodiac Sign For Women )

 BARA BURJO.N KI KHASIYAT SIRF AURTO.N KE LIYE
JIS AURAT KE WASTE DEKHNA HO USKA USKI MAA KE NAAM KE A’DAAD JODH JOD KAR BARA SE TAQSEEM KARE.N AGAR 1 BACHE TO HAMAL 2 BACHE TO SAUR 3 BACHE TO JOOZA 4 BACHE TO SARTAAN 5 BACHE TO ASAD 6 BACHE TO SUNBLA 7 BACHE TO MIZAAN 8 BACHE TO AQRAB 9 BACHE QAUS 10 BACHE TO JADDI 11 BACHE TODALU AUR AGAR PURA TAQSEEM HOJAYE TO HAUT JO ADAD HASIL HO USKA SAMRA DEKH LE.N
·        BURJ E HAMAL
SITARA USKA MAREEKH HAI-IS TAA’LA KI SURAT KHUSHRAFTAR,KHUSH GUFTAR, AQALMAND AUR HOSHIYAR HOGI-SEENA,GARDAN YA BAAZU PAR TIL HOGA JO NEK BAKHTI KA NISHAN HAI-JHOOT BOLNA AUR AMANAT ME KHAYANAT KARNA USKO SAAZGAAR NAHIN- JAB GAZABNAAK HONA AUR JALD HI GUSSA KA FARO HONA USKI AADAT ME DAKHIL HOGA-PADOS ME EK SHAKHS USKA DUSHMAN HAI USSE HOSHIYAR RAHE-AWWAL UMR ME BAHUT RANJO MUSIBAT UTHAYEGI-AAKHIR UMR ARAAM SE GUZRE GI WALDAIN SE RAHAT PAYEGI-SHOHAR AKSAR MEHERBAN RAHEGA  AULAAD HOGI MAGAR JIYEGI KAM-UMME SABYAAN(MASA-AN)KA FASAAD RAHEGA-DUA DAWA KARNE SE INSHAH ALLAH JATA RAHEGA-APNE DIL KA BHED KISISE NA KAHE WARNA NUQSAN UTHAYEGI-TEESRI AUR CHAUTHI SAAL KHAIRIYAT SE GUZAR GAYI TO 70 BARAS KI UMR TASAWUR KARNA CHAHIYE-SABZ  LIBAAS USKE LIYE MUBARAK O BEHTAR HAI-TAKSEER JINNA MAMUHITUL ASRAAR  EK TARAF AUR DUSRI  TARAF KHATIME HAMAL  GALE ME PADA REHNA AUR USI KA PAANI DHO DHO KAR PEENA NIHAYAT MUFEED RAHEGA-WALLAHO TA’ALA ALAM.
·        BURJ E SOOR
 SITARA ISKA ZOHRA HAI IS TAA’LA KI AURAT KHUSH KHALQ,NEK SEERAT,AQALMAND,KHUSH SUKHAN,DASTKAAR HOGI-CHAHIYE KISI KE SAATH KITNA HI SULOOK KYUN NA KARE-BADLA BURAI SE PAYEGI-USKE HAQ ME YE BAAT ACHI NAHIN KE JO KUCH DIL ME ATA HAI BE  SOCHE SAMJHE ZUBAN PAR LE ATI HAI-CHAHIYE KE APNA BHED  KISISE NA KAHE-EK SHAKHS NEELI AANKHON WALA-KUTAH QAD USSE DUSHMANI RAKHTA HAI LEKIN GALIB NA HOGA-KISI  KO QARZ DENA PASAND KAREGI MAGAR LENA PASAND NA KAREGI-KABHI KABHI MISL  AATISH KE GARAM AUR GUSSA ME APE SE BAHAR HO JANA LEKIN JALD HI THANDA PADH JANA AADAT  ME DAKHIL HOGA-MAA BAAP SE ITNI RAHAT PAYEGI KE DEGAR  BHAI BEHEN USE DEKH DEKH KAR KHAAR KHAENGE-SHOHAR MEHERBANI KAREGA KAHI.N AZRDA  KHATIR BHI HOGI THODI DER KE LIYE DARMIYANI UMR ME KUCH NISTI CHAND ROZ KE  LIYE AYEGI-UMR KA AAKHIR HISSA BEHTAR GUZREGA-KABHI KABHI KAMAR ME SHIDDAT KA DARD AUR SHANA KA KANPNA  AUR YE SHIKAYAT RAHM KI  KHARABI KE SABAB HOGI-AULAAD  BAHUT HOGI MAGAR JIYEGI NAHIN-USKO CHAHIYE KE USKE  SAR KI KANGHI KISI KO NA DE-APNE KHAAS BADAN KA KAPDA  KISI KO NA - 2 AUR 6 BARAS KI UMR KHAIR SE GUZAR JAYE TO UMR 60 BARAS KI TASAWUR KARNE CHAHIYE-SHABAN KA MAHINA JUMERAT KA DIN HAR KAAM KE LIYE MUBARAK HAI-EK TARAF NAQSH SURAH  IKHLAAS AUR DUSRI TARAF AKSEERE AZAM  MA KHATIM E SAUR USKE LIYE INSHAH  ALLAH TA’ALA BAHUT MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-
·        BURJ E JUZA
SITARA ISKA ATARAD  IS TAA’LA KI AURAT GUNDAM GO,BULAND QAD,NEK ZUBAN,REHEM DIL,KHUSH GUFTAAR,AUR HAR DIL AZEEZ HOGI-KISI AZU  ME EK TIL YA NISHAN RAKHTI HAI WO NEK BAKHTI KI NISHANI  HAI-APNO AUR PADOSIYON SE NEKI KAREGI-EWAZ  ME BADI PAYEGI-USE CHAHIYE KE APNE DIL KA BHED KISI KO NA DE-DUSHMAN BAKASRAT HAI-KHAAS KAR JISNE DO SHOHAR KIYE HAI KUTAH QAD SIYAAH CHASHM USSE BAHUT BUGZ RAKHTA HAI MAGAR YE DOST DUSHMAN KO NAHIN PEHCHANTI JOKUCH DIL ME ATA HAI KEH DALTI HAI-HAMESHA USKE KAAM ABTAR RAHENGE-CHAHIYE  KE KHUDA TA’ALA SE DUA MANGTI RAHE AUR  NAMAZ ME KAHELI NA KARE TAKE SITARE KI NAHUSAT DAFA  HO AUR APNI MURAD KO PAHUNCHE AKSAR SARDI AUR KHUSHKI KE SABAB ZAANO AUR PEDU EM DARD HONE KA IMKAAN  HAI-HAR KA MURABBA YAB GULQAND DO TOLA SOTE WAQT GARAM PAANI SE KHANA MUFEED HOGA-KISI SE ADAWAT PAIDA HO JAYEGI-12 AULADE QISMAT ME HAI MAGAR KAM JIYEGI AUR AASEB SE MUZARRAT PAHUNCHEGI-BUDH KE DIN SAR NA DHOYA KARE-NAYA CHAND DEKH KAR PAANI KO DEKHE-AGAR  2 BARAS YA 16 BARAS KI UMR KI BIMARI SE MEHFUZ RAHI TO  UMR 80 BARAS TASAWUR KI JAYE-TAKSEERE JINNA MA SAIFI  MA KHATIME JUZA  KE LIYE INSHA ALLAH NIHAYAT MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E SARTAAN
SITARA ISKA QAMAR  HAI-IS TAA’LA KI AURAT MIYANA QAD,ABRU KASHEEDAH,CHALAAK HOGI,SEENA PAR YA AUR AAZA PAR NEK BAKHTI KA NISHAN HAI-JIS QADAR BUZURG HOGI KAAM BHI BUZURG HOGA- UMR BHAR ME DO MARATABA NAHAS SITARE KE SABAB PARE-SHANI ME MUBTALA HO JAYEGI-DUSHMAN AUR BADGO BAHUT HONGE-ZAHIR ME LOG DOSTI KARENGE BATIN ME DUSHMANI-BAD NAZAR SE MAAL AUR AULAAD KA NUQSAN UTHAYEGI- APNI BAAT ME SACHI HOGI,JHOOT KO DUSHMAN SAMJHEGI-KISI QISM KA HARAAM MAAL US KO SAZAWAAR NAHIN-EK BADI  BAHRI MUSIBAT  QISMAT ME HAI-DUSHMANI AUR BADGOI USKE HAQ ME PEHLE USKE APNO HI SE NIKLEGI-WALDAIN SE NAFA KAM PAYEGI-APNE DIL KA HAAL KISI SE NA KAHE-US PAR TOHMAT AUR IFTRA BAHUT HOGA-RANJ BAHUT UTHAYEGI-AULAAD HOGI MAGAR JIYEGI KAM BIMARI AKSAR SARDI KHUSHKI AUR DARDE KAMAR SE HOGI-CHHACH AUR KHATTAI SE PARHEZ  KARE-GUL SURKH SHEHED KE SAATH MAJUN KARKE KHAYE-EK  SHAKHS NEELI AANKH WALA USKE AUR USKE SHOHAR KE DARMIYAN DUSHMANI KARADEGA-KABHI KABHI SHOHAR KE SAATH  ZUBAN DARAZI BHI KAREGI-CHAHIYE KE USKO TARK KARE- NAMAZ ME KAHELI NA KARE-UMR 30BARAS YA 80 SAAL TAK-USKE LIYE SHAWAAL KA MAHINA MUNGLE KA DIN HAR KAAM KE LIYE MUBARAK HOGA-GAYE  BHAINS KA HONA AUR SABZ RANG  KE LIBAAS KE LIYE MUBARAK HOGA-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIME SARTAN INSHA ALLAH USKE LIYE BAHUT MUFEED HOGA-WALLAHO  TA’ALA ALAM –
·        BURJ E ASAD
SITARA ISKA SHAMSH HAI-IS TAA’LA KI AURAT BULAND QAAMAT,NEK KHU,KHUBSURAT, KHUSH KHALQ,FARAKH ROZI HOGI-ZINDAGI HANSI KHUSHI SE  GUZARE GI-MAGAR AWWAL ME RANJO MUSIBAT BAHUT UTHAYEGI-USKE HAATH ME GUN NAHIN HOGA-BADLA NEKI KA BADI PAYEGI-PEHLE KUCH TAKLEEF UTHAYEGI-BAAD ME SAB BIGDE KAAM BAN JAYENGE-AATISHE MIZAAJ HOGI-KABHI KABHI  ZUBAN DARAZI BHI KAREGI-NAMAZ ME KAHELI HARGIZ HARGIZ NA KARE-EK SHAKHS USKE MAAL ME KHAYANAT KAREGA-HOSHIYAR RAHE-WALDAIN SE AWSAT NAFA RAHEGA-AULAAD HOGI MAGAR SHAYAD KAM JIYEGI-DARDE KAMAR,KHUSHKI,DARO  ZAANO WAGAIRA SE BIMAR RAHEGI-QAND KHAYA KARE-CHARE HUE JANWAR MUBARAK HAI-NAYA CHAND DEKHKAR  SUNHERI RUPEHLI CHEEZ DEKHE-UMR TABA’EE HOGI-NAQSH  JAMIUL MATLOOB  MA KHATIM E ASAD APNE PAAS RAKHE INSHA ALLAH KAAR  AAMAD HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E SANMBLA
 SITARA ISKA ATARAD  HAI-IS TAA’LA KI AURAT,KHUSH SHAKL,ABRU KASHEEDAH,RANG SURKH YA SAFED,AAZA PAR EK TIL IZZAT O IQBAL KI NISHANI HAI- APNE BAAZ AZEEZO SE JUDA HO JAYEGI-DOST BAHUT HONGE EK SHAKHS BULAND QAD SANWLA RANG,SABZI MAEL USKA  DUSHMAN HAI USSE HOSHIYAR RAHE-JHOOT BOLNA USKO SAZAWAR NAHIN HOGA-US PAR BOHTAN BAHUT HOGA-LEKIN KOI KUCH BIGAD NA SAKEGA-JAHIL AADMIYAON KE PAAS NA BAITHE-KUCH DINO KISI AISI CHEEZ KI TAMANNA ME DIL BASTAGI RAHEGI JISKA TARK O HUSOOL DONO GAIR MUMKIN HONGE- BHED APNA KISISE NA KAHE TO MURADE.N  HASIL HONGI-WALDAIN NIHAYAT MUHABBAT KARENGE-BEHEN W BHAI AZIYAT  O TAKLEEF PAHUNCHAYENGE-ISKA QADAM SHOHAR KE LIYE MUBARAK HOGA-TAAK AULAAD QISMAT ME HAI-UMR TABA’EE  HAI-NAQSH JAMIUL MATLOOB MA KHATIM SUNMBLA  INSHA ALLAH USKO BAHUT MUASSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E MIZAAN
 SITARA ISKA ZOHRAH  HAI-IS TAA’LA KI AURAT KE AAZA PAR EK TIL YA KOI NISHAN HOGA WO IQBAL KI NISHANI HAI-FARAKH ROZI HOGI-ZINDGANI AISH O SHADMANI SE GUZAREGI-EK ZAMANA SAKHTI KA US SAR  PAR GUZARNE WALA HAI-DUSHMAN AUR BADGU BAHUT HAI  LEKIN KOI GALIB NA HOGA-EK MUDDAT TAK KISI AISI CHEEZ KI  TAMANNA ME DIL BASTAGAI RAHEGI-JIS KA CHODNA AUR MILNA MUMKIN  NA HOGA-CHAHIYE KE IFFAT AUR PAAK DAMANI IKHTIYAR KARE TO BIGDE KAAM SAWAR JAYENGE-AWWAL MUSIBAT AKHIR KO AISH HAI-AATISH MIZAAJI KI WAJAH SE KUFR KE KALEMAT KEH BAITHTI HAITARK KARNA CHAHIYE-HARAAM CHEEZ SE BILKUL PARHEZ KARE-SHOHAR MEHERBAN RAHEGA-BIMARI AKSAR BALGHUM SAFRA  SE  HOGI-AANKHON KE NEECHE  ANDHERA SA MALUM HONE LAGEGA-AKSAR KUCH AISI  HAALAT  RAHEGI KE NA TO BIMAAR NA TANDURUST-DUA MANGNE  SE SAB MURADE HASIL HONGI-UMR 3 BARAS YA 90 BARAS YA TABA’EE HOGI-RANGEEN KAPDE MUBARAK HONGE-SURAH IKHLAAS MA SAIFI MA KHATIM E QAUS  INSHA ALLAH USKE LIYE BAHUT MUSAR HAI WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E AQRAB
 SITARA ISKKA MAREEKH  HAI-IS TAA’LA KI AURAT KHUSH MIZAAJ KHUSH RAFTAAR SEENE PAR EK TIL YA AUR KOI NISHAN RAKHTI HOGI  WOH  NEK BAKHTI KI  NISHANI HAI-ROZ BAROZ USKA SITARA TARAQQI PAR HAI-RANJO MEHNAT BAHUT UTHAYEGI-CHAHIYE KE BADO.N  KI NASIHAT QUBOOL KAR LIYA KARE-DIL KA BHED KISISE NA KAHE-EK MARTABA KUCH DHOKA KISISE UTHAYEGI-SABR KARE  AUR GUSSA KO TARK KARE-ZINDAGI HANSI KHUSHI GUZAREGI-  BADI AUR SARDI MADAH WAGAIRA KE SABAB AKSAR BIMARI  HOGI-DARDE SAR DARDE KAMAR AUR DIL KA KAANPNA BHI USKE SAATH HAI-DIL ME SANSANI AUR BOJH SA MALUM HONE KI SHIKAYAT KASRAT SE RAHEGI-WALDAIN SE FAIZ PAYEEGI-BEHEN BHAI SE WAFA KAM AULAADE KAI HAI-LEKIN EK SE ARAAM  PAYEGI-UMR 30 SAAL YA TABA’EE HOGI-ZEEL KA NAQSH INSHA ALLAH TA’ALA USKO MUSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM  NAQSH SURAH NASR  MA KHATIM E AQRAB
·        BURJ E QOOS
SITARA ISKA MUSHTARI  HAI- IS TAA’LA KI AURAT KI TEEN SURATIEN HAI-AWWAL SAFED RANG,FARAKH ROZI,DUSRE KHUSH KHALQ,TEESRE GAREEBDOST AUR MEHERBAN-PEHLU ME KOI TIL YA NISHAN HAI WO DAULAT KI NISHANI HAI WASEEULQALB AUR KHUDA KI TARAF  DIL KO RUJU KARNE WALI-BAAT KI SACHI-JHUTO KI DUSHMAN USKO EK NUQSAN PAHUNCHEGA MAGAR ALLAH TA’ALA  EWAZ  BHI ATA FARMAYEGA-KISI AISI JAGAH SE FAYEDA HOGA-JAHANSE  GUMAN BHI NAHO-KHAYANAT NA KARE-IBADATE KHUDA ME GHAFLAT NA BARTE-HAR MURAD ASAANI SE HASIL HOJAYA KAREGI-JISSE DOSTI KAREGI DUSHMANI PAYEGI-DUSHMAN BAHUT HAI-BAAZ WAQT BAHUT MAYOOS HO JAYA KARTI HAI-AUR APNI MAUJUDA ZINDAGI SE GHABRAKAR MAUT KO TARJEEH DENE LAGTI HAI-SABR KARNA CHAHIYE-SAARE KAAM BAN JAYENGE-WALDAIN SE MAMULI FAYEDA-BEHEN BHAI SE RAHATO KHUSHI HASIL HOGI-BIMARI AKSAR  RATUBATE  SAFRA MEDA AUR ANDRUNI SE HOGI-SONTH SHEHED MILAKAR KHAYA KARE-UMR 4 BARAS 7 BARAS YA 80 BARAS HAI-NAQSH MUKHAMMAS MA KHATIME QAUS  USKE LIYE INSHA  ALLAH TA’ALA MUFEED HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM –
·        BURJ E JADI
SITARA ISKA ZOHAL  HAI-IS TAA’LA KI AURAT BA MURAWWAT,HOSHIYAR FARAKH  ROZI HOGI-EK AZAAR SAKHT USKI QISMAT ME HAI-DILI BHED KISI KO NA BATAYE-KISI KE LIYE KITNA HI MUSIBAT JHELE MAGAR USKI QADR O MANZILAT KOI NA JANEGA-SACHAYI PASAND HAI-KUCH DINO KISI AISI SHAI KI MUHABBAT ME MUBATALA  RAHEGI KE NA TO WO SHAI MIL SAKTI HAI NA USE YE CHHOD HI SAKTI HAI-HAMESHA FIKRO ANDESHA ME REHTI HAI-AKSAR  MAYOOS HO JAYA KARTI HAI-THODE DINO BAAD MURAADE DIL  HASIL HOGI-PADOSIYON SE MUHABBAT KARKE BADI PAYEGI- KABHI KABHI SHOHAAR SE RANJISH HO JAYA KAREGI-AULAAD  ZYADA HAI MAGAR JIYEGI KAM AULAAD KE NA JEENE KI WAJAH  YE HAI KE SHOHAR USKA QABRISTAN GAYA THA WAHA KISI KO USSE NUQSAN PAHUNCHA THA-RAHAM KE ANDAR HAWA KA  KHALAL HAI AANKHON KE TALE ANDHERA SA CHANE LAGTA HAI AUR DIL ME RA’SHA SA PHAIL JATA HAI-BADAN ME SUSTI AUR  KAHELI REHTI HAI-KHATAI WAGAIRA SE PARHEZ KARE-SONTH, JOOZ,GULE KAASNI,SHEHED ME MILAKAR KHAYA KARE-UMR  TABAA’EE HAI-ZEL KA NAQSH INSHA ALLAH TA’ALA USKO BAHUT MUSAR HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-YANI NAQSH SURAH  NASR MA SURAH IKHLAAS DO TARFA  MA KHATIM E JADI
·        BURJ E DALU
 SITARA ISKA ZOHAL  HAI-IS TAA’LA KI AURAT JAZIB NAZAR BA MURAWWAT W KAMRAN HOGI-US PAR TOHMATO BOHTAN BAHUT HOGA-LEKIN  IZZAT ME FARQ NA AYEGA-UMR ACHI TARAH KATEGI-ALBATTA  DARMIYAN ME KUCH DIN PARESHANI ME GUZRENGE-WALDAIN  SE NAFA AUSAT-BHAI BEHEN SE BHI WAFA KAM-SHOHAR MEHERBANI KAREGA UMR TABA’E HOGI-NQSH SURAH FATEHA EK TARAF AUR DUSRI TARAF AKSE- ERE AZAM  MA KHATIM E DALU GALE ME DAAL LE-INSHA ALLAH PANAH ME RAHEGI WALLAHO TA’ALA ALAM .
·        BURJ E HAUT
SITARA ISKA MUSHTARI  HAI- IS TAA’LA KI AURAT ABRU KASHEEDAH,HAR DIL AZEEZ HOGI-RANJO MAHAN BAHUT SAHEGI-AATISH MIZAAJ,HAATH  ME KOI KHAAS GUN NAHIN-JISSE NEKI KARTI HAI WOHI GEEBAT KARTA HAI-DUSHMAN BAHUT HAI-SHOHAR SE KABHI KHILAAF  NAHO-NAMAZ ME GAFLAT NA BARTE-SHOHAR KI FARMABARDAAR HAI-SAB BALAE RAD HO AUR MURADE DIL HASIL HO-DUSHMAN PAMAAL HO-USKI ZINDAGI AUSAT HAI-BIMARI AKSAR  DARDE SAR,AUR DARDE GARDAN SE RAHEGI-UMR 2 BARAS YA 90 BARAS YA TABA’EE-RAMZAN KA MAHINA JUM’AA KA DIN  HAR KAAM KE LIYE BEHTARO MUBARAK HAI-INSHA ALLAH ZEL KA NAQSH USKE LIYE NIHAYAT KAAR AMAD HOGA-WALLAHO TA’ALA ALAM-AKSEERE AZAM MA SAIFI  MA KHATIM E HAUT                      














 
                   

 








Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668