Wednesday, July 8, 2015

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal Nasooti حب کے لئے حروف الف لام را کا عملِ ناسوتی (Nasooti Spell Of Letters Alif Lam Ra For Love)

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal  Nasooti

Yeh amal hub o taskheer ke liye behad mufid hai iska tareeqa yeh hai ke amil lagatar alif lam ra rozana 9 hazar martaba parhe aur ek kaghaz par alif lam ra mota mota likh kar parhte waqt isko dekhta rahe chalis don pure hone par amil 9 gharibo.n ko khana khilaye aur unko rukhsat karte waqt har ek se musafaha kare aur dua ki darkhwast kare .chais din ke bad jab amil ko ksi ke liye parhna chahiye to 231 bar parh kar khuda se dua mange ke fulan ka maqsad pura ho jaye agar naqsh banana ho to atishi chal se isko murattab kare ,aur yeh amal kisi najaiz kam ke liye harghiz na kare warna gunahgar bhi hoga aur amal salab bhi ho jayega ,yeh amal khane pine ki chizon par 231 martaba parh kar dam kar dia jaye aur jab yeh chiz talib matloob ko khilaye ga to la muhala asar hoga aur Allah ke fazl o karam se woh talib ki mohabbat me mubtala hoga kahne pine ki chiz par 231 bar amal parhne ke bad amil akhir me ek martaba yeh bhi keh de .......fulan bin fulan ki jagah pehle matloob ka aur uski ma ka nam le aur dusri jagah talib aur uski ma ka nam le ,amil ko yeh yad rakhna chahiye ke alif lam ra ke majmui adad 231 hai isliye jab bhi amal kare isi tadad me kare kam ziada na kare amil ko chahiye ke apne amal ko muassar banane ke liye alif lam ra humar bhar rozana 231 parhta rahe lekin chille ke bad alif lam ra likh kar samne rakhne ki zarurat nahi hai, yeh amal chistiyah khanadn ke buzurghon se manqool hain aur apne andar hairat anghez taseer rakhte hain lekin dunya me aise nadir amaliyat se wahi log faida utha sakte hain jin me iman o yaqeen maujood ho jo log


iman se mahroom aur yaqeen se kore hain unke liye in amaliyat me kashish nahi hai aur humari dua hai ke Allah Tala kisi na ahal aur ksi na qadre ko in amaliyat ko parhne ki taufeeq na de, yeh amal jo aj ki majlis me pesh kia ja raha hai hub aur taskheer ke liye teer ba hidaf ki haisiyat rakhta hai jo amilin is bat ke khwahish mand ho ke muhabbat aur taskheer ke muamlat me unhe nakami ka muhn dekhna na pade woh khas taur se is amal ki taraf dhiyan den aur isko tohfa e ghaibi tasuwor kare
Zakat Ka Tareeqa
 iska tariqa zakat yeh hai ke nauchandi jumerat ko bad namaz fajar ke huroof e mutatteat alif lam ra ke naqsh e hurfi ko 360 martaba zafran se kaghaz par tahreer kare aur alif lam ra ek safed kaghaz par kali siyahi se likh kar kisi diwar par laga le aur khud 3 ghaz ke fasle par baith kar alif lam ra 9 hazar martaba parhe aur nigah ko alif lam ra par jamaye rakhe ke isse amil ki nazar me quwat e kashish paida ho jayegi aur is trah chalis din tak lagatar parhe naqsh e hurfi 360 adad roz likhna hai agar ek waqt me likhne parhne ka kam dushwar maloom ho to amil ko chahiye ke fajar ke bad naqsh likhne ka aur isha ke bad amal parhne ka mamool rakhe kisi bhi tarha ka koi parhez is amal me nahi hai albatta jagah aur waqt ki pabandi is amal me zaroori hai agar amil ek din bhi nagha karega aur ek din bhi jagah badle ga to amal bekar ho jayega ,gali gloch jhoot aur gheebat aur nafrat o tohmat ki baton se zuban ko puri trah mahfooz rakhe ga iske ilawa koi parhez karne ki zaroorat nahi chalis din me zkat ada ho jayegi ,iske bad amil jab kisi ke liye amal kare to 231 martaba parh kar dua kare fulan bin fulan ko fulan bint fulan se mohabbat ho jaye aur sirf is amal se talib o matloob ke darmiyan insha Allah mohabbat paida ho jayegi aur talib o matloob ek dusre ko diwane ki tarah chahenge matloob ka nam pehle lena aur talib ka nnam bad me 


agar kisi ko mohabbat ke liye naqsh dena ho to nashq ke niche yeh ibarat likh de ....yeh amal khane pine ki chizo par 231 martaba parh kar dena chahiye jiski mohabbat hasil karni ho talib usko khila de to be fazle rabbul alamin uska dil naram ho jayega aur woh talib par farefta ho jayega iske ilawa taskheer am ke liye alif lam ra ka naqsh karamad sabit hoga aur amil is naqsh ko likhne ke bad 231 martaba alif lam ra parh kar dam karde aur hare kapde me pack kara kar talib ke sidhe bazu par bandhwa de insha Allah talib ko taskheer ki daulat nasib hogi naqsh ke niche yeh ibarat likhe ....is amal ke amil ke liye zaroori hai ke is trah ke amal najaiz umoor me na kare warna woh gunahgar ho ga aur dunya me bhi ruswai hogi yeh amaal nasooti jo apne andar had se ziada asar rakhte hain sufiyon aur waliyon ki yadgar hai in amaliyat ko man mane tareeqe par istemal karna aur inki sharait ki pabandi na karne se yeh amal bhi zaya ho sakta hai aur sath hi amil kisi musibat ka shikar ho sakta hai is amal ka amil banne ke liye ijazat lena zaruri hai warna mehnat zaya ho jayegi. 

Tuesday, July 7, 2015

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR اہل بابل اور کالدانیوں کے سحر (The Black Magic Of Babylonians and kaldanyun)

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR

Sehar ke mani lughat me amar e makhfi o poshida chiz ke hain aur ilmi istelah me aise ajeeb o ghareeb umoor ka nam hai jin ke wajood me ane ke asbab o alal nazar se poshida ho.n
Imam Razi alahirrahmah ke baqaul lafz e sehar istelahe shariyat me aise amar ke liye makhsoos hai jis ke sabab makhfi ho.n aur woh asal haqiqat ke khilaf nazar o khyal me ate hain Ulama e Ahle Sunnat ki raye me sehar waqai haqiqat hai aur muzrat rasa.n bhi hai Haq tala ne hikmat aur maslehat e kamila ke peshe nazar is me trah trah ke muzir asarat paida kar diye hain jais edusri chize.n maslan zehar aur nuqsan rasa.n adwiyat me maujood hain yeh bat nahi ke sehar jadu bazat e khud qudrat e ilahi se be niyaz ho karmuassar bizzat hai aisa samajhna kufr e khalis hai.
Allama Amadududin ibn e kaseer alahirraham ne farmaya hai ke fuqaha e islam ne sehar ke mutalliq tasreeh ki hai jin amaal me shiyateen aur arwah e khabisa waghaira se isteanat talab ki jae aur unko hajat rawa qarar dekar mantaron ke zarye uski taskheer ki jaye aur unse kam lia jaye to shirk ke mutaradif hai aur iska amil kafir hai aur jab amaal me inke elawa dusre tariqe ikhtyar kare aur inse makhlooq e khuda ko nuqsan pohchaya jaye aur trah tarah ki musibaton me dala jaye is qisam ke umoor ka murtakib haram aur gunah e kabira ka murtakib hai.
aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam ne irshad farmaya hai ke ......... (Bukhari Sharif) muhlak bato.n se bacho yani shirk aur jadu.
Allama ibne hajar asqalani likhte hain ke amal e sehar haram hai aur bil ijma gunahe kabira hai aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam  ne sehar ko sat muhlak chizo.n me shumar kia hai.

sehar baz surto.n me kufr hai aur baz surton me haram aur baz surto.n me gunahe kabira hai.behar hal sehar ka sikhna aur sikhana haram hai اللہم احفطنا bahut se johla sehar ko manind mojeza samajhte hain magar sulaha e keram aur buzurgan e deen ne is khayal e batil ko rad kia aur sehar mujeza ke farq ko saf saf bayan kia hai fuqaha ne iski tashreeh ki hai ke mojeza barahe raast khuda e tala ka feal hai jo baghair kisi asbab ke ek sadiq nabi ki sadaqat ke liye alam e wajood me ata hai aur iska koi asal qaida qanoon nahi hota hai balke jab khuda chahta hai ya uska nabi bargah e khuda wandi me rujoo karta hai tab mujeza ka zuhoor hota hai sehar aur jadu ek fun hai jisko uske muqarrara usool aur qawanin ki pabandi ke sath ustad fun sahir apne fun ka har waqt muzahira kar skta hai go ke iske asbab nazro.n se poshida hote hai.n lekin is fun ke waqif kar isse waqif hote hain aur khufia asbab o alal ke zarye khilaf e adat afal e ajeeba par qudrat ka nam sehar hai jisme shiyateen aur bad rooho.n se madad li jati hai dunya me mukhtaliful anwa o aqsam ke murawaja latadad tariqa hain khufia asbab jinke zarye umoor khirq adat zuhoor me ate hain kuch roohaniyat se mutalliqa hain jaise roohaniyat e kwakib ,aflak aur anasir ki roohaniyat e juziyah hain. misal ke taur par roohaniyat amraz ya jinnat o shiyateen , ya woh arwah jo jism se alag ho chuki hain aur usko musakhkhar aur taskheer karke inko mukhtalif kamo me istemal kia jata hai, ya taseerat e jismaniyah hai jo apni makhsoos trakeeb ya mukhtalif baqiyat ke ijtema ya surat e nuiyah ke khwas ki bina par amal me ati hai.
Is qisam ki roohaniyat se munasibat ya talluq paida karne ke mukhtalif tareeqe hain kabhi kabhi unka nam lekar muqarrara tariqe se ilteja faryad ki jati hai ayam e makhsoos surten tarkeeb dekar maklhsoos kalam parha jata hai 
do tariqo par sehar paya jata hai awal tareeqa kaldaniyo ka hai dusra tariqa ahle babul ka hai dusre tareeqe ka aghaz Haroot Maroot se hota hai 

,motebara tareekh ke mutala se pata chalta hai ke kalddni sehar ke bade mahir hote the aur namrood ke zamana me ulamaye babul ne 6 talism aise tyar kiye they jo aqal o faham se bahar they.
1.kaldaniyo ne tanbe ki batakh banai thi iski khususiyat yeh thi ke jab koi chor ya jasoos shehar ki char diwari me dakhil hota tha to yeh batakh khud bolne lagti thi to llog samjh jate the ke shehar me koi chor ya jasoos dakhil hua hai aur log uski talash me lag jate they aur usko giraftar kar li ajata tha 

2. Ek ajeeb naqara tyar kia gaya tha iski khususiyat yeh thi ke ke agar kisi ka mal o raqam aur koi shai gum hojati thi to woh shakhsh naqara bajata tha usse awaz ati thi ke tumhara mal aur raqam fulan jagah ya fulan ke fas hai.

3. Ek aisa hauz tarkeeb dia tha ke kisi jashn ke mauqe par log uske kinare jama ho jate they aur mukhtalif qisam ke sharbat usme dal dia karte they aur jis waqt unko zaroorat hoti wahi matlooba sharbat unko mil jata .

4. Ek aisa aina tha ke ghaib ka hal batata tha ke fulan shakhsh kahan hai aur kis hal me hai.

5. Ek aisa talab banaya tha jis me mukhtalif qisam ke masail hal kiye jate they maslan kisi ek chiz ke do shakhsh dawe dar hain ke meri dusra kehta hai meri hai to in dono ko talab me utara jata tha jo haq par hota tha to talab ka pani naf tak ata aur jo ghalat hota tha woh shakhsh is talab me gharq ho jata tha.

6. Ek aisa darakht namrood ke mehal ke samne  darwaza par laga tha jis ka saya admiyo ki tadad ke mutabiq ghatta badhta tha .
yeh talismat namrood ke darussaltanat babul me maujood they.
funne sehar ke mahireen ka kehna hai ke yeh sehar kaldani bahut hi mushkil hai iske hasil karne me sakht se sakht mehnat o mushaqqat ka samna karna padta hai itna zaroor hai ke is ilm ka amil apne ilmi kamalat se woh kamalat aur khirq adaat logo ko dikhata hai jin ko samjhne se aqal o faham bhi qasir hain

 is jadu me tamam arwaah e khabisa ki taskheer ki jati hai is qisam ke sehar bila shuba kufr hain is sehar ki 15 sharten hai jin me chand sharte yeh hain ,arwah ko dilo ke halaat par muttale hone ka yaqeen ,arwah ke khilaf zara bhi bad aqeedgi paida ho gai to sara kam bana banay bigad jata hai.
ruhaniyat kwakib ki taskheer me sab se pehla tariqa o amal taskheer e qmar ka hai aur taskheer qamar ki dawat me jo kalam parha jata hai woh kufr hai is liye iska tajarba karna bhi munasib nahi qyunke usool e islam ke khilaf hai aur tauheed ke manafi hai (taskheer e qamar aur degar saiyargan ke alvi qaaide bhi hain)
ahle babul haroot o maroot ki talim ke mutabiq taskheer e roohaniyat alviyah sifliya jismaniyah waghairah karte they aur ahle unan taskheer e ruhaniyat e alviyah par iktefa karte they unka khayal tha ke ruhaniyat alviyah ki taskheer ke bad ruhaniyat sifliyah ki taskheer ki zaroorat nahi.
zamana e qadeem me bhi sehar ahle babul ka riwaj tha mutaqaddimin hindustani ruhaniyat par zor dia karte they.

Sehar ki dusri qisam jin aur shiyateen ko taskheer karne ki hai yeh pehli qisam se sehal aur asan hai hidustan me sehar ki dusri qisam bakasrat raij hai ,is dusri qisam ke sehar me bhawani , hanuman , kali, bhairu, luna chamari aur mukhtalif dewi dewtaun ki duhaiyah dekar unke jaye waqooa par bhent chadha kar khuxbu jala kar dhooni de kar kam lia jata hai aur lia jaraha hai yeh sehar ki dusri qisam hai yeh bhi haram o kufr hai.

Teesri qisam sehar ki taskheer e arwaah e khabisa hain isme qawi haikal deo shakhsh ki rooh ka kalam shiyateen parh kar taskheer karte hain aur apne tabe kar lete hain aur unse misl naukar ke kam lete hain is qisam ke sehar me aksar aam taur se arwaah e khabisa se hi kam lia jata is liye sharan yeh bhi mamnoo  haram hai, firaun ke jadugaro.n ne Hazrat Musa Alaihissalam ke muqable me isi qisam ke sehar se banaye hue sanp chhore they 

is qisam ke jadu ko samri jadu bhi kaha jata hai jo ke firaun ka sab se bada jadugar tha, is qisam me arwahe khabisa se madad li jati hai aur shaitan ke namo ki dohai di jati hai aur inki tazeem ki jati hai yeh bhi kufr hai.

Panchwi qisam sehar ki yeh hai ke isme ajeeb o ghareeb nazare logon ko dikhaye jate hain youn to sehar ki bahut sari qisme hain jin ka bayan ainda shay hone wale mukhtalif mazameen me kia jayega shaiqeen o aamileen ki maloomat me azafa ke liye is qadar kafi hai.
 is mauzoo par mazameen bahut ziada hai jo jald ji shaya kiye jayenge insha Allah


Thursday, July 2, 2015

Lohe Islahe Qalb لوح اصلاح قلب (Talisman For Heart Correction)


                 Lohe Islahe Qalb Ki Mukhtasar Khasiyat
  • Na farman aulad farma bardari karne lage
  • Sharab noshi aur zina ki adat jad se khatam ho jaye
  • Har qisam ke nashe se mukammal chhutkara
  • Amraz e qalb ka tashaffi bakhsh ilaj
  • Bechaini aur ghabrahat khatam ho
  • Mard biwi ke ilawa kisi aurat se talluq harghiz na bana paye
  • Aurat siwaye apne khawand ke kisi ka khayal na layegi
  • Bache ghalat sohbat se bache rahen
  • Tabiyat me tahrao aur mustaqil mizagi paida ho.
  • is qisam ke mukhtalif umoor me yeh loh apna asar tamam rakhti hai.
  • do adad loh tyar ki jati hai ek tanbe ke patre par kanda (hand engraved) kia jata jabke dusra butter paper par zafran aur amber se naqsh kia jata hai iske sath 90 taweezat zafrani course ke diye jate hai,istemal ka tareeqa nihayat asan hai.
  • لوح اصلا ح قلب کی مختصر خاصیت
  • نا فرمان اءلاد فرماں برداری کر نے لگے
  • شراب نوشی اور زنا کی عادت جڑ سے ختم حہ جائے
  • ہر قسم کے نشے سے مکمل چھٹکارہ
  • امراض قلب کا تشفی بخش علاج
  • بے چینی اور گھبڑاہٹ ختم ہو
  • مرد بیوی کے علاوہ کسی اور سے تعلق نا بنا پائے
  • عورت اپنے خاوند کے سوا کسی کا خیال نا لائیگی
  • بچے غلط صحبت سے بچے رہیں
  • تبیعت میں ٹہراو اور مستقل مزاجی پیدا ہو
  • اس قسم کے مختلف امور میں یہ لوح اپنا اثر تمام رکھتی ہے
  • دو عدد لوح تیار کی جاتی ہےایک تانبے کے پترے پر کندہ کیا جاتا ہے جبکہ دوسرا بٹر پیپر پر زعفران و عنبر سے نقش کیا جاتا ہے اس کے ساتھ 90 تعویذات زعفرانی کورس کے دئے جاتے ہیں استعمال کا طریقہ نہایت آسان ہے۔



Monday, June 22, 2015

Lohe Taskheer E Daulat لوح تسخیر دولت (Talisman For Improving Wealth)


Lohe Taskheer e Daulat Ki 3 Aham Khususiyat
  1. Yeh Loh daulat Ko is tarah khinchti hai jaise lohe ko maqnatis khinchta hai.
  2. Business me had darja munafa ke sath maali nuqsanat se mukammal tahffuz.
  3. Mulazimat aur Job karne wale afrad ki tankhwah hasb e khwahish bad jati hai.
Saiyaro.n ke nihayat saad aur qawi nazrat me yeh Loh Husool e Daulat ki khatir tyar ki jati hai ,mushtari ke samne rakh kar tanjimi amal bhi kia jata hai jis se is ki quwat aur taseer kai gunah barh jati hai ,tanbe ke patre ke sath kaghaz par bhi dastyab hai.
لوح تسخیر دولت کی 3 اہم خصوصیت
  1. یہ لوح دولت کو اس طرح کھینچتی ہے جیسے لوہے کو مقناطیس کھنیچتا ہے
  2. کاروبار میں ھد درجہ منافع کے ساتھ مالی نقصانات سے مکمل تحفظ
  3. ملازمت اور نوکری پیشہ افراد کی تنخواہ حسب خواہش بڑھ جاتی ہے
سیاروں کے نہایت سعد اور قوی نظرات میں یہ لوح حصول ِدولت کی خاطر تیارکی جاتی ہے ،مشتری کے سامنے رکھ کر تنجیمی عمل بھی کیا جاتا ہے جس سے اس قوت اور تاثیر کئی گناہ بڑھ جاتی ہے ،تانبے کے پترے کے ساتھ کاغذ پر بھی دستیاب ہے



Wednesday, June 10, 2015

Har Bimari Ke Liye La Jawab Ganda ہر بیماری کے لئے لاجواب گنڈہ ( Knot For Each Disease)


Har Bimari Ke Liye La Jawab Ganda

Khwah kisi qisam ki bimari ho yeh ganda har ek maraz me tyar kar ke mariz ke gale me dal sakte hain ,chahiye ke nabligh ladki ke hath se sat tar kache soot ka kata le.n aur sab ko ykja karke surah alam nashrah sat martba is tarkeeb se parhen aur har ek bar parhne ke bad ek girah me phonk mar kar girah mazbooti se band kare.n ,badahu ganda mariz ke gale me dale.n nihayt mujarrab mal hai,
surah is tarkeeb se parhna hai

بسم اللہ الرحمن الرحیم

الم نشریا رسول صلی اللہ علیک وسلم لک صدرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم ووضعنا عنک وزرک الذی انقض ظہرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم ورفعنا لک ذکرک یا رسول صلی اللہ علیک وسلم فان مع العسریسرا یا رسول صلی اللہ علیک وسلم انا مع العسر یسرایا رسول صلی اللہ علیک وسلم فا ذا فرغت فانصب یا رسول صلی اللہ علیک وسلم والیٰ ربک فارغب یا رسول صلی اللہ علیک وسلم بخار فلاں بن فلاں دفع شود



bukhar ke elawa koi dusra maraz ho to uska nam le.n aur fulan bin fulan ki jagah mariz aur uski walida ka nam le.n agar mariza hai to bin ki jagah bint kahe bad shifa ke ganda behte pani me dal de.n aur nazar Sarkar Ghausul Azam raziallahu tala anho ki kisi sheerni par de kar bachon me taqseem karen. 

Monday, June 8, 2015

Amal Ba Muakkil Habshi Bachcha عمل با موکل حبشی بچہ (Angelic Spell Negro Child)


Amal Ba Muakkil Habshi Bachcha 

amal ba muakkil ke shaiqeen ke liye yeh amal ek tohfa hai,nihayat ajeeb o ghareeb aur sau fisad saheeh amal hai jisme muakkil ek habshi bachche ki shakal o surat me zahir hota hai ,goya is amal ka muakkil ek habshi bachcha hai isi waja kar is amal ko Amal habshi Bachcha bhi kaha jata hai , jisne tajarba kia sau fisad durust paya ,banisbat degar amal ba muakkil ke yeh amal kuch asan aur be khatar hai isme nuqsan ka koi khas imkan nahi hota albatta parhez jamali kam az kam zaroor karna chahiye taake amal ki quwat me mazid izafa ho ,tarkeeb youn hai baroz hafta ek mendak pakad kar zibah kare aur iske khoon ko aise kapde me tar kare.n jo ke hath ka bana hua ho ,is kapde ke 11 oalite banaye.n rozana ek palita tanbe ke chiragh me raughan chnabeli dal kar raushan kare.n chiragh ke anadr sura kausar ka hurfi naqsh 42 khano me pur karen,amal ke liye ek kamra bilkul alag chahiye taake ghalati se bhi koi wahan dauran e amal dakhal andaz na ho ,raat ke taqriban 11 baje mal shuru kare roo baqibla musalle par baithe aur chiragh ko apne samne kisi stool par raushan kare taake apke sine ke muqabil ho phir apna hisar karke 1781 martaba surah kausar ko ek nashisht me parhe aur dauran e qirat chiragh barabar jalta rahe ,sirf ek din ke bad parhai ke dauran kamre me charo taraf jugnoo nazar aayenge aur satwen din habshi bacha hazir hokar ajeeb o ghareeb harkat karega aur pure kamre me daurta phire ga lekin dar aur khauf bilkul nahi hoga ,giarween din woh apke samne aise khamoshi ke sath adab se baithe jayega jaise shagird apne ustaz ke samne zanuye talammu tai karta hai ,jab tak apka wazifa mukammal na ho harghiz klam na karen bad khatam tadad 1781 ke is muakkil se apni madri zuban me bat kare aur isse qaul o qarar le.n khabar dar uski koi shart na mane

 ,woh apne hazir hone ka tariqa khud bataye ga ,is muakkil se ap bugh o adawat aur tabahi dushmana ke sath mohabbat o taskheer ke kam khas taur se le sakte hain iske elawa yeh muakkil dusre umoor me utna kaam nahi karta ,taskheer e muakkileen ke amileen par yeh bat makhfi nahi ke mukhtalif kamo ke liye alag alag sifli aur alwi muakkil muqarrar hain jin ko taabe banane ke sainkdo nahi balke hazzaro tareeq buzurgan e deen aur aamileen o kamileen ne ijad farmaye hain,amal habshi bacha unhi aamal e mujarraba me se ek nayab amal hai jiski qismat me iska muakkil hoga uske liye yeh amal asan se asan tar ho jayega,habshi bacha tabe karne ke bad ap mandarja zeil kamo me uski khidmat hasil kar skte hain aur hazir karne ki azimat yeh hai

(1) najaiz talluqat ka khatma 
(2) do dushmani ke darmiyan judai dalwane ke liye
(3) bad kirdar mard o aurat ko saza dene ke liye 
(4) dushmano ki neend bandhne ke liye
(5) kisi zani ko na mard banane ke liye 
(6) najaiz muhabbat ko khatam krane ke liye
(7) do dilo me ek dusre ki mohabbat dalne ke liye 
(8) mia biwi ke darmiyan misali mohabbat paida karne ke liye
(9) kisi jagah rishta manzoor karane ke liye
gharz ke is qisam ke sainkdon kamo me yeh muakkil kam karta hai bashart ke is kam ka talluq bughz o adawat aur ishq o mohabbat se hona chahiye karobari taraqqi ya daulat ke husool ya imtehan me kamyabi waghairah me kam nahi karta amal ki ijazat bhi zaroori hai aur humare yehan chiragh hadiyatan hasil kar sakte hain ,chiragh ke sath amal se mutalliq izafi malumat bhi faraham ki jayenge.

Wednesday, June 3, 2015

Jumla Hajaat Ke Liye Lajawab Takseeri Amal جملہ حاجات کے لئے لاجواب تکسیری عمل (Great spell To Get All Needs)


Jumla Hajaat Ke Liye Lajawab Takseeri Amal



is amal ke teen ek dibya me kachch mom bhar len apne maqsad ko alag alag hurfon me likh len maslan mulazimat mil jaye ,apke maqsad ki goya yeh ek satar hogi phir doosre satar me yeh huroof likh le م  ف  ذ  ن  ص  ض  س  ق  ظ  ع  ر  غ  ab in dono satoor ko apas me imtezaj de len woh is trah ke dusre satar ka aakhri hurf aur satar e awal ka pehla hurf is trah غ  م  ر  ل  ع  ا  ظ  ز  ila akhir agar kisi satar me hurf ziada ho.n to kam hurf wali satar se huroof shuru se lekar pur kare.n ,ab itwar ke din saat qamar me agar batti jala kar is teen ke dibya par satar e imtezaj kanda kare.n aur iske niche yeh ibarat kanda kare.n 
کھیعص کفایتنا  حمعسق حمایتنا
aur iske niche apni murad wala fiqra kanada kare.n yani mulazimat mil jaye ,ab har roz bad namz isha 378 bar suratul fateha parhna shuru karen aur dibya ko apne roo baroo rakhen doosre din dibya ko dhoop me rakh den taake huroof mit jayen ,ek din me mite ya do din me miten magar dhoop ki tapish aur garmi me mitana shart hai jab mom par se huroof kanda shuda mit jaye to dobara kanda kar len , aur alhamdu sharif parhte rahen isi trah 11 martaba huroof ko dhoop me mitayen Allah tala ke hukm se jis bhi jaiz maqsad ke liye aap is amal ko kar rahe hain woh pura hoga ,agar ap das martaba huroof ko dhoop me mita chuke hain aur koi asar zahir nahi hua to giarween martaba jo huroof tehreer karen usey bajaye dhoop me rakhne ke ap saya me hifazat se rakh choren insha Allah bahut jald maqsad poora hoga ,aur agar do char martaba hi likhne se kamyabi mil jaye to ainda likhna tark karden magar nakami par giarah bar se ziada na likhen aur na parhen insha Allah jald hi apne maqsad ko pa lenge .

Tuesday, June 2, 2015

Mehboob Ko Mohabbat Me.n Beqarar Karne Wala Tilism محبوب کو محبت میں بے قرار کرنے والا طلسم (Talisman For Impatience Of Beloved )


Mehboob Ko Mohabbat Me.n Beqarar Karne Wala Tilism
yeh tilism ajeeb o ghareeb hai jo ke huroof aur aadad se murakkab hai ,is tilism ka amil banne ke liye zaroori hai ke is ki zakat batareeq e khas ada ki jaye jiska tariqa yeh hai ke maah e zujasdain me naucjande jumah ko tilism mazkoora ko sat e awal me kali siahi se likhna shuru kare bakhoor uood o sandal surkh ya safed ki barabar raushan rahe ek sau giarah tilism tahreer kare.n sab ko uood o sandal ki dhooni dekar mehfooz kar len isi taur par musalsal giarah dino tak bila nagha saat awal me 111 tilism likh kar zakat mukammal kare giarween roz tamam tilism ko kisi mitti ki handi men rakh kar 11 batashe aur 11 long rakh kar darya burd kare.n aur agar darya samndar qareeb na ho to kisi jungle jhadi me rakh chhore.n khayal rahe darya me dalne ke bad ya jhadi me rakhte waqt niswani awaz sunai dengi uski taraf kuch bhi iltefat mat karna aur baghair pichhe mude apna rasta lena, zakat bakhubi ada ho chuki ab is tilism se jab bhi kam lena ow yani mehboob ko beqarar karna 

ya uski tawajja ko apni janib mabzool karana waghaira to matloob ka pehna hua kapda hasil kare aur juma ke din saat e zohra me ke tilism kapde par zafran o mushk ki aamezesh se tehreer kare.n phir fauran usi waqt ek mitti ke chiragh me raughan e chanbeli dal kar us kapde ki batti bana kar chiragh me jala de.n rukh chiragh ka matloob ke ghar ki taraf ho is tilismi fateele ka sar 24 ghante ke andar shuru ho jata hai ,isi trah rozana waqt e muqarrarah par kapde par tilism tehreer kar ke fateela bana le.n aur chiragh raushan kare muddat is amal i 21 yom hai baaz auqat 3 din ya 7 din me hi asar batamam o kamal zahir ho jata agar matloob ka kapda na mile to kisi bhi naye safed kapde par likh sakte hain,is aml me yeh zaroori hai ke matloob talib se bahut ziada door nahi hona chahye jaise ek dusre shehar ya mulk ka fasla na ho balke matloob usi shehar ya qasba me ho jahan talib yeh mal kar raha hai, warna amal ka asar wesa nahi ho payega jaisa ke hona chahiye ,talib o matloob ke darmiyan agar fasla bahut ziada ho to uske liye dusre sainkdo amaliya hain jaise humare yeha se chiragh e muhabbat waghaira dia jata hai lekin is amal me fasla taweel na hone ki qaid zaroor hai ,nihayat mujarrab tilismi amal hai isse ap kai mawaqe par kam le sakte hain jaise shohar ya biwi ghar se naraz ho kar chale jaye ia koi rishtadar jiski himayat aur dosti ki apko zaroorat hai,apka koi dost rooth gaya hai aur usey manana hai waghairah waghaira bahut sare kam is tilism ki zakat ada karke ap le sakte hain zakat ada karne se qabal ijazat lena zaroori hai taake aap ki mehnat zaya na ho aur saahib e izn ki ijazat se amal ki quwat barqarar rahe. 

Monday, June 1, 2015

Tilism Khatimul Uyoon Aur Nazar Bandi Ke Das Tilismati Aamal طلسم خاتم العیون اور نظر بندی کے دس طلسماتی اعمال (Tilism Khatim Ul Ayoon And Ten Magical Spell For Detention)



Tilism Khatimul Uyoon 
Dunya e Tilismat Ke Das Hairat Anghez Tilismati Aamal 
Bara e Nazar Bandi

Ulamaye Tilismat o Rohhaniyaat ne tilism khatimul uyoon ko nazar bandi ke silsile ke amaliyat ke bab me ek aisa jaame ul kamalat amal ki haisiyat se bayan kia hai ,is amal se mukhtalif tarakeeb par mushtamil bahut se amaliyat wabista hain is aetbar se is amal ko nazar bandi ke tamam tar aamal ki bunyad qarar dia jata hai.
Ulamaye fann ke irshadat o aqwal ke mutabiq jo shakhs is tilism ke mutalliqa aamal me se kisi ek amal ka amil ban jayega to sara jahan uska khidmat guzar aur taabe dar ban jayega aur woh amil har qisam ke amal se be parwaah ho jayega ke koi hajat uski baqi na rahegi eil me tilism khatimul uyoon ki ibarat e amal aur amal ke mtalliqa tarakeeb ke haamil mukhtalif amaliyat ki tafseel ko darj kia jata hai
ibarat e amal mulahiza ho


Nazar Bandi Ka Pehla SarTaj Amal

Saahib e Madarijul Burooj  hakeem Jildaqi tilism Khatimul uyoon se wabista zeil ke amal ki tarkeeb ko bayan karte hue mazkoora tilism aur iske mutalliqa tarkeeb ki tafseel ke silsile me tahreer karte hai ke yeh tilism jaameul aamal tilism hai aisa tilism ke nazar bandi ke tamam asrar o ajaibat isme poshida hai hakeem farmate hain ke tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amaliyat ke bab e nzar bandi ke haqaiq ka jame amal zeil ki tarkeeb ka tariqa mera zati taur par mujarrab o aazmuda hai jisko kaam me lakar saahiban e ilm o tadbeer jumla qisam ke amaliyat se be niyaz ho sakte hai.
madarijul burooj me mandarja zeil tarkeeb ke mutabiq is amal ke liye insani pitte ki zaroorat hai ,amil ko chahiye ke zohra ke mustaqimussair hone ke auqat me insani pitte aur apni khoon e fisad dono ko masawiul wazan hasil karke pees kar khushk kar le phir is sufoof ko roi me lapet kar iska fateela banaye aur insani khopdi me insani charbi ya gaye ki charbi ya gaye ka ghee dal kar fateela ko chiragh me jala kar iska kajal tyar kare is kajal ko bahifazat rakhe is kajl ka nam ramadul uyoon hai
jab is ramd ka amal karna maqsood ho to amil ko chahiye ke is kajal ko apni dono aankho ke lagaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karte hue hazireen e majlis ki aankho me aankhe dal kar jis bhi manzar ka tasuwor pesh karega ,arbab e majlis us manzar ko ape ankho ke samne payenge ,hakeem raqam taraz hai ke amil yeh dikhana chahe ke woh asman par charh raha hai to iske liye radul uyoon ko ankho me laga kar tilism ke asma e mutazikkara ko parhe aur ek rasi lekar usey asman ki taraf phenke aur buland awa ke sath kahe ke hazireen e majlis mulahiza farmaye main is rassi ki madad se asman par parwaz karne jata hun,ispar logo ko yeh maloom hoga ke amil inke samne rassi pakar kar asman ki taraf ja raha hai halanki haqiqat me aisa nahi hota kiyunke amil to hazireen ke darmian hi baitha rahta hai lekin hazireen e majlis amil ki taraf se pesh karda manzar ke tasuworaat ko haqiqat me mushahida karrahe hote hain.
yeh amal humne bataur e namuna pesh tahreer kia warna is tarkeeb me amil apne quwat e iradi se jo bhi manzar hazireen ke samne pesh karna chahe kar skta hai ,jilan atras apni kitab assahar wal bayan me likhte hain ke is amal ke liye insani pitte ka husool na mumkin ho to iske badal par ban manus janwar jiska talluq bandar ki nasal se hota hai ,iska pitte ko bhi kam me laya ja skta hai yeh pitta bhi apne afaal o o khwas ke aetbar se ansani pitta ki jumla khususiyat ke barabar mufeed aur kar amad sabit hota hai.
chunanche jilan atras tahreer farmate hain ke nazar bandi ke is amal ki tarkeeb ke liye ban manus ke pitte se ramadul uyoon tyar karke mtaddid bar isko azmaya aur insani pitte se murakkab ramad ke barabar taseer paya hai,ashrah maqalat me hakeem hunain bin ishaq bhi is amal ke mutalliq bayan karte hain ke jildaqi ke is amal ko maine dono tariqo ke mutabiq azmaya hai chunanche ek martaba to ban manus ke pitte tarkeeb dekar aur dusri martaba insani pitta se tyar karke alahida alahida taur par iski haqiqat ka mushahida kia hai aur is natija par pohcha hun ke jildaqi aur atras dono akbireen ki taraf se bayan karda dono tarakeeb ke mutalliqa ajzaa is amal ke liye apne apne taur par nihayat saheeh aur motebar hain.



Nazar Bandi Ka Dusra Amal

Allama ba alki alaihirrahma khwasul huroof me tahreer farmate haike sanichar ke din sat atarad me jabke qmar masoodul haal ho amil sang e pusht yani kachhwe ko pakad kar jis trah munasib ho halak kare iska khoon hasil kare aur is khoon ko nihayat hi hifazat se sanbhal kar rakhe nazar bandi ke amal ka jab muzahira karna maqsood ho to is khoon ko amil pane dono hatho par male aur khushk hone de is amal ke bad amil hazireen e majlis ke samne khade hokar asmaye khatimul uyoon ko tila wat kare aur dono hatho ko khol kar majma ke samne karde hazireen me se jo shakhsh bhi amil ki kisi ek hath ki hatheli par ek martaba hi nazar dale ga to ski nazar bandh jayegi aur jis bhi manzar ka nam lekar pukare ga dekhne walo ko wahi manar nazar aayega ,raqimul huroof arz karta hai nazar bandi ke woh tamam kamyab o bekhata aamal jo tilism khatimul uyoon ke amal se wabista karke bayan kiye gaye hain agarcha inke kamyab o bekhata hone ke mutalliq kisi ka koi shak shuba nahi kia ja skta hai tahum unme nazar bandi ke is mal ko maine intehai sehlul husool samajhte hue khud azmaya aur tajarba ke bad sau fisad sahee paya  meri taraf se sahiban e ilm o fun ke liye dawat aam hai ke woh is amal ko apne taur par aazmaye aur haqiqat e tilismat o roohaniyat ka mushahida karke in uloom ki sadaqat o haqqaniyat par itmenan e qalb hasil kare.


Nazar Bandi Ka Teesra Amal

qazi saaid apni mashhoor kitab niabeuttilismat me raqam taraz hai ke jisko nazar bandi ke amal ka shauq ho to woh zeil ke amal ko baja laye yeh amal asrar e tilismat se hai jiski madad se huzzar e majsil ke samne ajeeb o ghareeb manazir pesh kia ja skta hai qazi saaid ke tehqiqat ke mutabiq is amal ki sadaqat is bat se sabit hoti hai ke Ulame mutaqaddimeen o mutakhireen ne is tarkeeb ko apne apne mamulat o mujarrabat me badi tareef ke sath bayan kia hai qazi saaid likhta hai amil is amal
us waqt baja laye jab aftab burj e hamal ,asad ya qaus me ho ya shamsh o qamar dono kwakib nehas saiyargaan ki nazrat se pak ho.
tarkeeb ke mutabiq khar e pusht yani sehah janwar jiske badan par nokile qisam ke kante paye jate hain pakar kar halak kare aur uski charbi jis qadar bhi hasil ho sake bahifazat nikal kar rakhe yeh charbi nazar bandi ke liye nihayat mufeed chiz hai ,amil is charbi se katan yani alsi ke kapde ko tar karke batti banaye aur tanbe ya chandi ke chiragh me isi charbi ko bataur e tel dal kar amal ke liye rat ke waqt jis majlis me is chiragh ko raushan karega aur asmaye khatimul uyoon ko tilawat karte hue jis bhi manzar ke mutalliq jo bhi ajaibat pesh karne ka irada rakhta hoga uske mutalliq hazireen e majlis ke samne jo kuch bayan karega hazireen e majlis us manzar ko apne roo ba roo payenge  aur khoob lutf andoz honge sahib e sirre maktoon o shamileen aur imam harmas ne apne rasail me is tarkeeb ki bahut tareef ki hai aur isey nazar bandi ke silsile ke amaliyat me mumkinul amal qisam ke tilism ke taur par bayan karte hue iski sehat par ittefaq kia hai .


Nazar Bandi Ka Chauthha Amal

Hukmaye fun kehte hain ke nazar bandi ke liye siah batakh ki khal khhench kar aur asfahani surma se dabaghat dekar mehfooz rakhen,is amal ke bad jab chand grahan lage to is khal par asmaye khatimul uyoon ke asmaye amal ko tahreer kare phir khal ki topi tyar kare amal ke waqt is topi ko sar par pehan kar hazireen e majlis ke darmiyan khade ho kar nazron se ghaib hojane ke manzar ka elan kare aur amal ki ibarat ko tilawat karke charo taraf phunke iske bad khud ankhe band karke khamoshi ke sath zamin par baith jaye amil jab tak apni ankhe band kiye zamin par baitha rahega us waqt tak woh ahle majlis ki nazro se ghaib rahega phir jab zahir hona chahe to topi ko sar par se utar kar alahida karde aur ankhe khol de nazar ane lagega , kitab duales me hakim suqrat is amal ko tehreer karte hue iski tafseel me likhte hain agarcha nazar bandi ka amal nazron se aojhal hojane ke liye makhsoos hai lekin iske bawajood is amal ka amil apne irade ki quwat se jo manzar bhi pesh karna chahe pesh kar skta hai hakem farmate hai yeh ajeeb o ghareeb amal mere amal o tajarba me khwas o fawaid ke etbar se ek lajawab amal sabit hua hai jiska amil darya ke kinare khade hokar pani par chalne ,rat ko din ,din ko rat kar dikhane ka manzar pesh kar sakta hai uyoonussehar aur kitab ibn e hallaj me bhi tilism khatimul uyoon ke amal ke mutalliq is tarkeeb ka zikr badi sharh o bast ke sath kia gaya hai.


Nazar Bandi Ka Panchwa Amal

Hakeem Qunyan bin anoosh apni kitab dosem me tehreer karte hain ke main ek taweel muddat tak mukhfiyat o roohaniyat ke bab me is fun ke asrar o nukat aur haqaiq o daqaiq o ghaur o fikr karne ke bad is natije par pohcha hun ke yeh ilm o fun sona aur chandi banane ki sanat se bhi ziada mufeed o akseer hai,hakim kehta hai ke yeh khudaye tala ka mujh par ek khas ehsan hai main ulamaye fun ki khidmat o tabedari aur mehnat o riyazat ke bad uloom e makhfia ke behre zakhkhar se maqdoor bhar hissah hasil karne me kamyab ho gaya hun ab jabke in uloom ke mutalliqa haqaiq mujh par munkashif ho gaye hain to iske sath hi main yeh zaroorat mehsoos karta hun ke apni kitab dosem me in uloom ka kuch hissah makhlooq e khuda ki behtari ke liye bayan kardun taake yeh zakhira faiz rasa.n hamesha ke liye baqi rahe hakeem is silsile ki tafseel ka zikr karte hue muqaddmatulkitab ke aakhiri hissah me likhte hain mere nazdeek uloom e makhfiyat ke jumla haqaiq ka raaz nazar bandi ke amaliyat me pinha hai,chunanche hakeem mausoof ne kitab dosem me nazar bandi ke maliyat ka ek azeem zakhira jama kardia hai in amaliyat me tilism khatimul uyoon ke amal ka bhi zikr milta hai jiski ajeeb o ghareeb tarakeeb ki tafseel ke liye hakeem ne ek lag bab likha hai,is haqeer raqimul huroof ne nazar bandi ke amaliyat se apni dilchaspi ke sabab jab is kitab ke amaliyat ka tarjama kia ti afsos nak surat e hal samne aai ke in amaliyat ke beshtar hissah par amal dar aamad nihayat mushkil hai kiyonke inme istemal hone wale anasir o haiwanat ka husool fi zamana nihayat mushkil ho gaya hai isliye is ziman me kitab dosem ke chand ek aise amal ko bayan kia gaya hai jo humare amal pazeer ho sakte hain zeil me tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amal me se ek mujarrabul mujarrab amal ki tarkeeb o tafseel darj hai jiske mutalliq hakeem raqamtaraz hai ke nazar bandi ke amal me yeh amal sab se badh kar mufeed aur akseerul asar paya gaya hai is amal ke husool ke liye amil ko chahiye ke woh mausam garma me aise sehrai bakre ko jo gosht khor ban chuka ho pakad kar zibah kare aur uske bad darkht anjeer ki lakriyon ki aag jala kar is zabihah bakre ko us aag me dale ,amil bade ehtiyat ke saath is amal ke dauran barabar aag raushan rakhe aur jab maloom kare ke is bakre ke jism ka tamam gosht post aur haddiyan waghairah sab jal kar raakh ho chuke hain to aag ka jalana band kar de aur intezar kare ke aag bilkul thandi pad jaye jab aisa ho jaye to amil is janwar ki jali hui haddiyan ko ek ek karke uthata jaye is amal ke dauran in haddiyon me ek aisi haddi bhi amil ke hath lagegi jo bilkul saheeh o saalim halat me hogi aur ispar aag waghaira ka koi asar nahi hua hoga yehi haddi amil ka maqsood hoti hai, chunanche amil is haddi ko qabu karle aur baqi jo kuch mawad waghaira maujood ho usse pada rahne de ,hakeem kehta hai ke amil is haddi ko pehle pani se dhokar saaf karle phir tilism khatimul uyoon ki ibarat ko ispar tahreer karke apne pas mehfooz rakhe ,yeh haddi apne khasiyat ke etbar se nazar bandi ke is amal ki asal hai bawaqt e zaroorat amil is hadi ko ahle majlis ke samne karke jis bhi manzar ke liye kahega wahi manzar dekhne me aayega nazar bandi ka yeh sareeuttaseer amal el aisa amal hai jise ulamaye fun ki taraf se mujarrabul mujarrabn hone ki sanad hasil hai.


Nazar Bandi ka Saatwa.n Amal

Hakeem ladin tarabilsi kitab sirrul asrar me tilism khatimul uyoon ke ziman me  insan ko haiwan ki soorat me tabdeel kar dene ka haqaiq ke hamil ek amal ko badi tareef ke sath pesh karte hue uski tarkeeb me tahreer karta hai ,urooj maah qamri me taslees zohra o atarad ke waqt garbah siyah nar o mada ko pakar kar zibah kar ke khoon ko kisi mitti ke bartan me ehtyat ke sath sanbhal kar rakhen ,is amal ke sar anjam dene ke bad dono janwar ko nai mitti ki handia me dal kar gul e hikmat karke ek shabana roz aag par rakhen taake bartan me maujood har ek chiz jal kar khak ho jaye ,phir handia ko aag par se utar le isme maujood mawad ko bahar nikale aur isme khoon e mazkoora bala shamil karke khoob pees kar safoof bana kar bahifazat rakh len , is raakh ko tilismat me ramad ka nam dia jata hai aur yehi rama nazar bandi ke is amal ki asal hai ,hakeem bayan karta hai jab amal karna maqsood ho to amil is ramd me se ek chutki bhar lekar hazireen e majlis ke se jis kisi ek shakhsh ke sar par isko dal kar asmaye tilismat ko parhe aur us shakhsh ko pukar kar kahe aey fulan haiwan ban ja ,baqudrat e ilahi woh shakhsh logo ko wahi haiwan maloom hoga jiska amil ne nam lia hoga.



Nazar bandi Ka Aathwa Amal

Harmus ne ifadaat me likha hai ke jab mushtari burj e sartan ke pandhrawi darja par nuzool kare to girgit ko pakar kar halak kar dalen lekin yeh ehteyat rakhen ke na uska sar zakhmi ho ne paye aur na hi uski koi haddi toote warna amal batil ho jayega iske bad is janwar ko amal e hunoot ke tariqa par khushk karke kamal e ehtyat ke sath sambhal kar rakh chhoden phir jab kabhi nazar bandi ke amal ko baja lana chahhe to is hunoot shuda janwar ko hazireen e majlis ke samne kisi chiz par buland karke rakhe ke tamam logo ki nigah ka markaz bana rahe amal baja late waqt sab se pehle asmaye khatimul uyoon ko tilawat karke charo taraf phoonke aur jis manzar ko pesh karna chahe uski tafseel bayan kare ,hazireen e majlis apne samne amil ke bayan karda ajaibat ko maujood payenge ,yeh manar us waqt tak baqi rahega jab tak janwarv mazkoor majma ke samne pada rahega aur amil ibarat e tilism ke kalemat ko tilawat karta rahega nihayat ajeeb o ghareeb amal hai.


Nazar Bandi Ka Nawa Amal

nazar bandi ke liye istekhwan e adam kohna jama karke pees le aur chalees roz tak chaurahe me dafan rakhe ,phir bahar nikal kar khushk karke safoof banakar rakh le.n , amal ke liye is safoof ko koilo par sulgaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karke jis manzar ka tasuwoor pesh karenge dekhne walo ko wahi manzar dekhai dega, sahib e shumailussehar likhta hai is amal ka rat ke waqt baja lana nihayat pur ltf rehta hai.


Nazar Bandi Ka Daswa Amal

mushaf e bughdadi me mastooker hai ke zeil ka amal sab se badh kar ajeeb o ghareeb hai hukamaye unan aur ahl e kaldu suryan nazar bandi ke asal aamal ko isi amal par mauqoof samajhte hain,is amal ka aamil insani quloob o khayalat par ghalba hasil karke unke weham par tasullut kar leta hai aur is trah apne irade ki quwat se hazireen ke samne jo manzar pesh karna chahe pesh kar skta hai tarkeeb is amal ki yeh hai ke mosh dasti ko halak karke khushk kar le aur khushk karke pees le is trah jo safoof tyar ho usme shehad khalis ko shamil karke goliyan banaye har goli ek ratal ki ho zarurat ke waqt darakht kaneer ki lakdiyon ke koilo ki aag par jalaye aur asmaye tilism ka wird karna shuru karde ,yeh dukhna jis mehfil me raushan kia jayega arbab e mehfil amil ki taraf se bayan karda manazir ke ajaibat ka mushahida karenge wasil bin ata raqam taraz hain ke yeh amal mujarrabul mujarrab hai.


Zaroori Wazahat

is qisam ke tilismati aamal me baaz auqat aisi chizo ki zaroorat pesh ati hai jinke nam sunkar log shadeed mughalte ka shikar ho jate hain,aur apni kam fehmi aur la ilmi ki bina par aise aamal ko sifli amal kehna shuru kar dete hain samajhne ki bat yeh hai ke aise tilismati aamal ka talluq ilm e seemiyah se hai aur is amal ke zarye kisi ki hajat barari nahi hoti balke mahaz tamsha beeni hai jise dikha kar logo ko hairat me dalna aur daad wasool karna maqsad hota hai, han agar in aamal ko koi amil logo ko bewaqoof bana kar lootne ke liye istemal karega to goya zulm karega.aur jaha tak sifli aamal ka talluq hai to alag hai jiski tafseel kisi aur mauqa se pesh ki jayegi aam log yeh nahi jante ke shobdah bazi kise kehte hain aur sifli uloom kia hain lihaza nazar bandi ke in tilismati amal ko sifli ilm kehna durust nahi han yeh bat zaroor hai ke baaz aamal me woh ajzaa darkar hain kis ke husool par shariyat pabandi lagati hai to usse bachna bahar haal chahiye aur is qisam ke aamal darj karna takmeel e bab hai jise ahl e fun bakhoobi jante hain.



Tuesday, May 26, 2015

Najaiz Talluqat Ka Khatma ناجائز تعلقات کا خاتمہ (Ending Of Unlawful Relationship)

Fitno ke is daur me insani aqdar o akhlaq buri tarah mutassir hai muashra gande ghinone harkaton ki aamajgah bana hua hai illa masha Allah har teesra shakshs bawajood shadi shuda hone ke kisi na kisi aurat ya ladki se talluq banaye hue hai aur maaz Allah baaz log is talluq ko zina ki had tak pohcha dete hain jisse ghar ka mahol jahannam zar ban jata hai roz biwi se jhagda hota hai bahar haal agar surat e haal is trah ki ho to is najaiz talluq ko khatam karne ke liye aur dono ke dilon me nifaq dalne ke liye ek mujarrab amal tahreer karta hun tarikeeb yeh hai ke muqabla qamar o mirrikh ya tarbee qamar o zohal me dono shakhshon ke nam ke adad nikal kar do musallas tyar kare ek aatishi chal se dusra aabi chal se (naqsh bharne ke tariqe Idara Roohani Imdad ki blogg par maujood hai ) waqt e muqarrarah se qabal naqsh ki mashq kar len aur waqt ane par sat naqoosh aabi aur sat naqoosh atishi chal se bhar len kaghaz woh len jiske ek side me surkh rang ho ab in naqoosh ko hifazat se rakh de aur jo ane wala hafta ya mangal ka din aaye us din do naqsh len ek aatishi ek aabi aur dono ke khano ko alahida alahida  kainchi se kate har naqsh ke 9 tukre banenge dono naqoosh ke tukron ko alg alag rakhen aur aate me golyan banaye har goli ko ate me lapette waqt ayat والقینا بینھم العداوۃ والبغضاء الی یوم القیمہ
parh kar goli par dam kart rahe phir dono naqoosh ke golyon ko alag alag do murgon ko khila dena hai is amal me naqoosh ke banne ka waqt muqarrar hai aur golyan banane ka waqt bhi muqarrar hai jaise hafta ke din zohal ki saat me mangal ke roz mirrikh ki saat me lekin murghon ko khilane ka koi waqt muqarrar nahi han itna hai ke golyan khilane ka waqfa bahut ziada na ho jis din golian banaya hai usi din khila de aur murgho ko khilane me bhi tafaut e waqt munasib nahi dusre naqsh ka joda ane wale hafte ya mangal ko khilaye is trah 

sat mangal ya sat sanichar khilana hai lekin is dauran jab bhi dono me mafarqat ho jaye amal tark karde aur baqi naqoosh ki na golya banaye na khilaye balke inhe kisi pak saf zamin me dafan karde khuda ke fazal se is amal me nakami nahi hoti han najaiz kisi ko satana gunah hai aur mumkin hai apki mehnat zaya ho islye zaroori hai ke is amal ko siwaye jaiz soorat ke najaiz amar ke lye harghiz na kare naqsh ki misal pesh karta hun
nam mard ..afroz
nam aurat ... taslima
dono nam ke adad bahisab abjad qamri 839 naqsh musallas atishi yeh bana 
        اجھزط                                                                                        
281
275
283
282
280
277
276
284
279
aur naqsh musallas aabi yeh bana 
         اجھزط                                                                                                                   
281
285
276
275
280
282
284
277
279

is amal ko ijazat lekar kijye jaiz surat me teer bahidaf payenge


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668