Monday, February 13, 2017

Namaz e Chast Se Tangdasti Ka Khatima نماز چاشت سے تنگدستی کا خاتمہ (Ending Of poverty And Namaz e Chast)

Fi zamana har shaksh aflas o tangdasti me mubtala hai aur dunyawi jiddo johad me subh se sham tak apna wqt zaya karte hain magar maqsad barari nahi hoti jo log musibat me mubtala hai main unse guzarish karta hun ke woh dunyawi sa'ee o koshish ke sath roohaniyat ki taraf bhi mutawajjo ho.n aur dekhe.n ke bargahe khudawandi se unhe kia inam milta hai aur unka maqsad kitna jald pura hota hai hadees saheeha me warid hua hai ke farmaya Rasool e kareem sallallahu alaihi wasallam ne jo shakhsh namaz e chasht ki 12 rak'ate.n parhta hai to Allah ta'ala uske aflas o tandasti ko door farma kar usey har tarah khush o khurram bana deta hai is hadees e motabar ki ro se har hajatmand ko apni tangdasti door karne ke liye namaz e chast ada karni chahiye namaz chast ki char rakate.n bhi hoti hain magar 12 rakate.n batareeq e amal hain do rakat parh kar 6 salam se 12 rakat poori kare.n ya char char rakat 3 salam se parhe.n koi surat khas parhne ki nahi hai bad namaz Baari ta'ala ki janab me moaddibana apni ilteja pesh kare insha Allah ta'la chand din me iska asar hoga aur ghaib se imdad hogi chast ke mana dopahar ke hain din ke 10 baje aur kahin 11 baje namaz e chast shuru kar dia kare.n aur itni takheer bhi na kare.n ke waqt e makrooh nisfunnahar shuru ho jaye 
Tarkeeb e Deegar
ek doosri tarkeeb Mashaikh se youn manqool hai ke chast ke waqt 4 rakat ek salam se parhe aur pehli rakat me sura balad dusri rakat me sura washshams teesri rakat me surah walllail chauthi rakat me surah wadduha parhe rozi me barkat aur aflas o tangdasti ke khatma ke liye yeh tareeqa mujarrab hai aur mashaikh e kibar ke mamoolat me raha hai.

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668