Tuesday, July 25, 2017

Amal Deg Sulaimani Baraye Dafa Asarat e Shaitani तंत्र देग सोलाीमानी ब्राे दफा प्रभाव शैतानी عمل دیگ سلیمانی براے دفع اثرات شیطانی


Mareez par Musallat Aaseb,Shaitan,Jinnat,Asarat,Jadu Tona,Sehar Hama Aqsam Ka Mukammal Ilaaj 


 Is tareeqe se kisi bhi makan aur jagah se in cheezo'n ka khatma kia ja sakta hai iska tareeqa e kaar zara mukhtalif hai mai'n yeha'n mareez par musallat asarat ke khatme ka tareeqa e kaar naqal karta hu'n Is amla ki IJAZAT mere un tamam shagirdo'n ko deta hu'n jinho'n ne ابرثا صبرثا wala chillah kata hai Aur Roohani Amileen o Mualijeen jinhe saheeh sando'n ke sath taweezat o amaliyat ki ijazat hai woh bhi is tareeqa e kaar se faida uthaye'n aur faqeer ko dua me'n yad rakhe'n




Monday, July 24, 2017

Suraj Grahan Aur Mohabbat Ka Be Nazeer Tilismi Amal सूर्य ग्रहण और प्यार का बेनजीर मंत्र प्रक्रिया سورج گہن اور محبت کا بے نظیر طلسمی عمل

21 August ko hone wale Suraj Grahan me’n aap is Be Nazeer Tilismi Amal ke amil ban sakte hain mahaz ek din balke chand sa’at ka amal hai shayeqeen hazraat o khwateen hadia ada karke Ijazat aur tilism ae’rab shuda hasil kar sakte hai’n

Note: Aaimma e Masajid aur Ulama e Kiram se is amal ka koi hadiya tahsila nahi jayega

Sunday, July 23, 2017

23 July Date Of Birth Ka Mukhtasar Zaicha


Agar Apki tareekh paidhaish 23 July Hai to apna mukhtasar aicha yeha mulahiza kare’n.


Saturday, July 15, 2017

Dast e Ghaib Ka Takseeri Amal دست غیب کا تکسیری عمل दस्त अनदेखी का तकसीरि तंत्र

Assalam Alaikum,

Amal Dast e Ghaib ki ijzat hasil karne ke liye ap hazraat 2 :00 pm to 4:00 pm Cell phone par rabta kar sakte hain.
از قلم 
محمد عمران رضوی القادری 




Wednesday, July 12, 2017

Charghe e Nemat چراغ نعمت दीपक आशीर्वाद

Some Features Of "Chiragh e Ne'mat"

  • Ghar Me'n Barkat 
  • Rupai Me'n Izafa
  • Ghaibi Madad
  • Dafa Nazar Bad
  • Dafa Shaitani Asar
  • Amraz Se Shifa
  • Hifazat e Makan
  • Ghar Me'n Aman
  • Bacho'n Ki Hifazat
  • Tankhwa Me'n Izafa
  • Tangdasti ka Khatma
  • Mohlak Amraz Se Hifazat
  • Makan Ka Roohani Hisar
  • Sab Dili Murade'n Bar Aaye'n etc







Charaghe e Nemat
 Baraye Usat e Rizq o Husool e daulat o Ghina

1. Mah sabat ya har urooj mah me bad namaz maghrib tanhai me amal shuru kia jaye aur 41 yom ka chilla hogab


2. Charagh ko aisi jagah rakhen ke charagh aur kaabe ke darmiyan apka chehra ho aur charagh kisi mez ya stool par rakhen ke sine ke muqabil rahe charon kono me roi ki battiyan rakhe.n aur khushboodar tel ya umdah ghee dale.n


3. Charagh ki batti ke ek nishan par pachchim khuda hua hai khayal rahe ke woh batti pachchim hi ki taraf rahe.



4. Bad namaz maghrib taza wozoo kare ےَا غَوْث الثقْلینَ ےَا کَرِیْمَ الطَّرْفَیْنِ اَغِْثنِیْ وَ اُمْدُدْنِیْ فِیْ قَضآ ءِ حَاجَتِیْ ےَا حَا ضِیَ الْحَاجَاتِ            be ginti chand bat parhe phir do rikat nafl salatulasrar ki niyat se parhe namaz salatulasrar ko salat e ghausia bhi kahte hain.



5. Bad namaz charagh ke samne baithkar 11 bar durood e ghausia  اَللّٰھُمَّ صَلِّ وَسَلِّمْ عَلٰی سَیّدِ نَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ مَّعْدِ نِ الْجُوْدِ وَ الْکَرَمِ وَاٰلِہٖ وَبَا رِکْ وَسَلِّمْparhe


6. Ek bar  ےَارَسُوْلَ اللّٰہِ ےَا نَبِیَّ اللّٰہِ اَغِثْنِیْ وَاَمْدُدْ نِیْ فِی قَضآءِ حَاجَتِیْ ےَا قَاضِیَ الْحَاجَتِ       parhe



7. Teen bar apna maqsad bayan kar ke baargahe ilahi me dua karke charagh raushan kare phit 11 bat durood e ghausia



8. 16 bar ےَاسَادَاَتنَا عَبْدَالْکَرِیْمِ الْمَغْرَبِیُّ وَعَبْدَالْجَلِیْلِ الْجُنُوْبِیْ وَعَبْدُ الْرَّحِیْمَ الْمَشْرَقِیْ وَعَبْدَ الرَّشِیْدِالشَّمَالِی اَغِیْثُوْنِیْ بَحَقِّ غَوْثِنَاوَغَوْثِکُمُ الشَّیْخِ عَبْدِالْقادِرْ الْجِیْلَانِیْ رَضِیَ اللّٰہُ تَعَا لٰی عَنْھُم     parhe



9. 11 bar  ےَاشَیْخُ عَبْدُالْقَادِرْالْجِیْلَانِیُّ شَیْئاً لِلّٰہِ      parh3
10. 1543 bar   


10. 1543 bar    ےَا غَنِیُّ یَا کَرِیْمُ ےَااَحَدُےَامُنْعِمُ    parhe phir durood e ghausia 11 bar ,Alhamdo shareef ek bar Aayatalkursi ek bar Surah Ikhlas 7 bar  durood e ghausia 3 bar parhkar Saiyedul Ambia sallallaho alaihi wasallam aur tamam ambia alaihimussalam sehaba e keraam ahle baite athaar w Saiyedina Ghausul Aazam aur salaateen arba rizwanallahi alahim ajmayeen ki arwaah e paak ko sawab bakhse.


11. Bad 41 yom chilla poora hone ke har roz bad manaz maghrib durood e ghausia 3 bar dua number 4 ek bar dua number 6 ek bar dua number 8 ek bar dua number 10 ko 175 bar durood e ghausia ek bar parhta rahe ,aur har saal rajjab ji 4 tareekh ko fateha salaateen e
arba ehtemam ke sath karta rahe kabhi muflis aur kisi ka daste nagar na rahega Allah tala baizzat farakh rozi ata farmayega ,karobar khub taraqqi karega ,mulazim hai to tankhwa aut ohda me tarakki hogi ,yeh amal un hazraat ke liye besh qeemat khazana hai jo amdani kam aur kharch bohat ziada rakhte hain ,khwateen bhi is amal ko kar sakti hain uski tarkeeb alag se charagh ke saath di jayegi ,maine is charagh se das saal qabal faida uthana shuru kia tha behamdillah aaj tak mustafeed hun aur jin jin ahbab ko amal karaya sab masha Allah maze me hain.




Monday, July 10, 2017

Loh e Auj e Shams Ka Tariqa e Kaar لوح سعادت شمس کا طریقہ کار


Jab Aftab burj e sartan yani cancer ke 20" darje par ata hai to isey auj ka kamal hasil hota hai aur yeh waqt sharaf ke bad sab se taqatwar waqt mana jata hai is waqt muktalif Alwaah tarqqi aur Namwari ke liye tyar ki jati hai  is waqt ko ghanimat jante hue maine socha ke ifada e aam ke liye ek asan Loh hurf e muqatta'a ki Loh e Sa'adat Shams ka tariqa qalamband kar du'n taake har koi faida utha sake tarkeeb nihayat saada hai ek aisa kaghaz lena hai jiska ek rukh sunehra ho aur dusra rukh safed taake idhar naqsh likha ja sake 
hasil shuda kaghaz par zafran se yeh naqsh bawazu hokar tahreer kare'n kamre me koi dusra fard na ho nihayat sukoon ke saath yeh kam anjam de'n naqsh mukammal karne ke bad is dua ko 141
اللہم لک الحمد لا الہ الا انت یا حنان یا منان یا بدیع السموات والارض یا ذوالجلال والاکرام
 martaba parh kar naqsh par dam kare'n aur usi din peele rang ke kapde me lapet kar naqsh apne pas rakh le'n in sha Allah taskheer khalq hogi izzat aur shohrat ke saath paise me bhi barkat hogi 
naqsh yeh hai

یا منان
ص
م
ل
ا
ا
ل
م
ص
م
ص
ا
ل
ل
ا
ص
م

 ابرثا صبرثا صارثا صور ثا

11 july baroz mangal subh ke 8:10 am IST se Auj ka waqt shuru hoga aur thik 24 ghante tak yani dusre din taqriban 8 baje tak iska waqt rahega ab is dauran jitni saat shams ki mile unme se kisi bhi nek saat me ap Loh tyar kar sakte hain.

Saturday, July 8, 2017

Lohe Auj e Shams July 2017





آفتاب تمام سیاروں میں شہینشاہ کا درجہ رکھتا ہے جب اسے شرف یا اوج ہوتا ہے اس کی بادشاہی میں مزید قوت پیدا ہو جاتی ہے اور خاص درجے پر نہایت با قوت روحانی سعاء کاینات میں بکھیرتا ہے جسے ہم نقش یا لوح میں منسوبہ حروف ،آیات اور اعداد کے توسط سے قید کر لیتے ہیں ان وقتوں میں بناے گءے جفری نقوش اپنی مثال آپ ہیں لوح اوج شمس کی مختصر خاصیت قلمبند کی جاتی ہے


Aftab Tamam Saiyaro'n Me'n Shahanshah Ka Darja rakhta hai jab isey sharaf ya auj hota hai iski badshahi me'n mazeed quwat paida ho jati hai aur us khas darje par nihayat ba quwat roohani shuwa kainat me bikherta hai jisey Hum Naqsh aur Loh me'n mansooba huroof ,aayat aur aadad ke tawassut se qaid kar lete hai'n in waqto'n me'n banaye gaye jafri naqoosh apni misal aap hai'n Lohe Auj e Shams ki Mukhtasar Khasiyat Qalamband Ki Jati hai

Lohe Auj e Shams Ki Mukhtasar Kahsiyat
  • Shohrat Aur Namwari Ke Liye
  • Ruke Hue Kaam Jari Ho Jaye'n
  • Izzat Aur Martaba Buland Ho
  • Muashre me'n Hardil Azeez Ho
  • Saiyara Shams Ki Nahusat Khatam Ho
  • Rozgar me'n Barkat Ho
  • Naukri me'n Istehkam Hasil Ho
  • Hukkam Ya Boss Ki Qurbat Hasil Ho
  • Hasideen Ke Hasad Se Mahfoozi
  • Election me'n kamyabi
  • Sehar Tanzeel e Maratib Se Hifazat

Saturday, June 24, 2017

Lohe Adaye Qarz कर्ज का भुगतान होने के ताबीज Taweez For Debt لوح اداے قرض


Adaye Qarz Aur Khair o Barkat Ka Ek Mujarrab 
Lohe Adaye Qarz jo ke Khas Jumatulwida ke din bad namaz Juma tyar ki jati hai maine chand naqoosh hasb e mamool tyar kia hai is Loh ka hadiya mahaz 500/- INR hai agar kisi ko ashad zaroorat hai aur 500 ki bhi isteta'at na rakhta ho to mahaz courier charge ada karke free hasil kar sakte hai'n. 
فقیر قادری           
صوفی محمد عمران رضوی

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668