Fitno ke is daur me insani aqdar o akhlaq buri tarah mutassir hai muashra gande ghinone harkaton ki aamajgah bana hua hai illa masha Allah har teesra shakshs bawajood shadi shuda hone ke kisi na kisi aurat ya ladki se talluq banaye hue hai aur maaz Allah baaz log is talluq ko zina ki had tak pohcha dete hain jisse ghar ka mahol jahannam zar ban jata hai roz biwi se jhagda hota hai bahar haal agar surat e haal is trah ki ho to is najaiz talluq ko khatam karne ke liye aur dono ke dilon me nifaq dalne ke liye ek mujarrab amal tahreer karta hun tarikeeb yeh hai ke muqabla qamar o mirrikh ya tarbee qamar o zohal me dono shakhshon ke nam ke adad nikal kar do musallas tyar kare ek aatishi chal se dusra aabi chal se (naqsh bharne ke tariqe Idara Roohani Imdad ki blogg par maujood hai ) waqt e muqarrarah se qabal naqsh ki mashq kar len aur waqt ane par sat naqoosh aabi aur sat naqoosh atishi chal se bhar len kaghaz woh len jiske ek side me surkh rang ho ab in naqoosh ko hifazat se rakh de aur jo ane wala hafta ya mangal ka din aaye us din do naqsh len ek aatishi ek aabi aur dono ke khano ko alahida alahida kainchi se kate har naqsh ke 9 tukre banenge dono naqoosh ke tukron ko alg alag rakhen aur aate me golyan banaye har goli ko ate me lapette waqt ayat والقینا بینھم العداوۃ والبغضاء الی یوم القیمہ
parh kar goli par dam kart rahe phir dono naqoosh ke golyon ko alag alag do murgon ko khila dena hai is amal me naqoosh ke banne ka waqt muqarrar hai aur golyan banane ka waqt bhi muqarrar hai jaise hafta ke din zohal ki saat me mangal ke roz mirrikh ki saat me lekin murghon ko khilane ka koi waqt muqarrar nahi han itna hai ke golyan khilane ka waqfa bahut ziada na ho jis din golian banaya hai usi din khila de aur murgho ko khilane me bhi tafaut e waqt munasib nahi dusre naqsh ka joda ane wale hafte ya mangal ko khilaye is trah
sat mangal ya sat sanichar khilana hai lekin is dauran jab bhi dono me mafarqat ho jaye amal tark karde aur baqi naqoosh ki na golya banaye na khilaye balke inhe kisi pak saf zamin me dafan karde khuda ke fazal se is amal me nakami nahi hoti han najaiz kisi ko satana gunah hai aur mumkin hai apki mehnat zaya ho islye zaroori hai ke is amal ko siwaye jaiz soorat ke najaiz amar ke lye harghiz na kare naqsh ki misal pesh karta hun
nam mard ..afroz
nam aurat ... taslima
dono nam ke adad bahisab abjad qamri 839 naqsh musallas atishi yeh bana
اجھزط
281
|
275
|
283
|
282
|
280
|
277
|
276
|
284
|
279
|
aur naqsh musallas aabi yeh bana
اجھزط
281
|
285
|
276
|
275
|
280
|
282
|
284
|
277
|
279
|
is amal ko ijazat lekar kijye jaiz surat me teer bahidaf payenge