Monday, July 10, 2017

Loh e Auj e Shams Ka Tariqa e Kaar لوح سعادت شمس کا طریقہ کار


Jab Aftab burj e sartan yani cancer ke 20" darje par ata hai to isey auj ka kamal hasil hota hai aur yeh waqt sharaf ke bad sab se taqatwar waqt mana jata hai is waqt muktalif Alwaah tarqqi aur Namwari ke liye tyar ki jati hai  is waqt ko ghanimat jante hue maine socha ke ifada e aam ke liye ek asan Loh hurf e muqatta'a ki Loh e Sa'adat Shams ka tariqa qalamband kar du'n taake har koi faida utha sake tarkeeb nihayat saada hai ek aisa kaghaz lena hai jiska ek rukh sunehra ho aur dusra rukh safed taake idhar naqsh likha ja sake 
hasil shuda kaghaz par zafran se yeh naqsh bawazu hokar tahreer kare'n kamre me koi dusra fard na ho nihayat sukoon ke saath yeh kam anjam de'n naqsh mukammal karne ke bad is dua ko 141
اللہم لک الحمد لا الہ الا انت یا حنان یا منان یا بدیع السموات والارض یا ذوالجلال والاکرام
 martaba parh kar naqsh par dam kare'n aur usi din peele rang ke kapde me lapet kar naqsh apne pas rakh le'n in sha Allah taskheer khalq hogi izzat aur shohrat ke saath paise me bhi barkat hogi 
naqsh yeh hai

یا منان
ص
م
ل
ا
ا
ل
م
ص
م
ص
ا
ل
ل
ا
ص
م

 ابرثا صبرثا صارثا صور ثا

11 july baroz mangal subh ke 8:10 am IST se Auj ka waqt shuru hoga aur thik 24 ghante tak yani dusre din taqriban 8 baje tak iska waqt rahega ab is dauran jitni saat shams ki mile unme se kisi bhi nek saat me ap Loh tyar kar sakte hain.

Saturday, July 8, 2017

Lohe Auj e Shams July 2017





آفتاب تمام سیاروں میں شہینشاہ کا درجہ رکھتا ہے جب اسے شرف یا اوج ہوتا ہے اس کی بادشاہی میں مزید قوت پیدا ہو جاتی ہے اور خاص درجے پر نہایت با قوت روحانی سعاء کاینات میں بکھیرتا ہے جسے ہم نقش یا لوح میں منسوبہ حروف ،آیات اور اعداد کے توسط سے قید کر لیتے ہیں ان وقتوں میں بناے گءے جفری نقوش اپنی مثال آپ ہیں لوح اوج شمس کی مختصر خاصیت قلمبند کی جاتی ہے


Aftab Tamam Saiyaro'n Me'n Shahanshah Ka Darja rakhta hai jab isey sharaf ya auj hota hai iski badshahi me'n mazeed quwat paida ho jati hai aur us khas darje par nihayat ba quwat roohani shuwa kainat me bikherta hai jisey Hum Naqsh aur Loh me'n mansooba huroof ,aayat aur aadad ke tawassut se qaid kar lete hai'n in waqto'n me'n banaye gaye jafri naqoosh apni misal aap hai'n Lohe Auj e Shams ki Mukhtasar Khasiyat Qalamband Ki Jati hai

Lohe Auj e Shams Ki Mukhtasar Kahsiyat
  • Shohrat Aur Namwari Ke Liye
  • Ruke Hue Kaam Jari Ho Jaye'n
  • Izzat Aur Martaba Buland Ho
  • Muashre me'n Hardil Azeez Ho
  • Saiyara Shams Ki Nahusat Khatam Ho
  • Rozgar me'n Barkat Ho
  • Naukri me'n Istehkam Hasil Ho
  • Hukkam Ya Boss Ki Qurbat Hasil Ho
  • Hasideen Ke Hasad Se Mahfoozi
  • Election me'n kamyabi
  • Sehar Tanzeel e Maratib Se Hifazat

Saturday, June 24, 2017

Lohe Adaye Qarz कर्ज का भुगतान होने के ताबीज Taweez For Debt لوح اداے قرض


Adaye Qarz Aur Khair o Barkat Ka Ek Mujarrab 
Lohe Adaye Qarz jo ke Khas Jumatulwida ke din bad namaz Juma tyar ki jati hai maine chand naqoosh hasb e mamool tyar kia hai is Loh ka hadiya mahaz 500/- INR hai agar kisi ko ashad zaroorat hai aur 500 ki bhi isteta'at na rakhta ho to mahaz courier charge ada karke free hasil kar sakte hai'n. 
فقیر قادری           
صوفی محمد عمران رضوی

Saturday, June 17, 2017

Nad e Ali Ek Suryani Tilism ناد علی ایک سرےانی طلسم नाद अली एक सरियानी मंत्र Nad e Ali A Syriac Spell

Ap ko yeh jan kar hairat ho gi ke Nad e Ali Sharif bazuban e suryani das hazar saal qabal maseeh se aatish parast saahiro'n ke mujarrabat me shamil tha aur unke aqeede ke mutabiq is tilismi ibarat se har kam lia ja sakta tha, janna chahiye ke Nad e Ali Shareef Jang e Ohad me'n Nabi Kareem Sallallah alaihi wasallam ki zuban e aqdas par jari hua kehte hai'n jibreil ameen ne Saiyed e Alam Sallallahu alaihi wasallam ko yeh alfaz sikhaye 

ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی

to iske jawab me'n Aaaqaye do jaha'n salallaho alaihi wasallam ne yeh irshad farmaya
بعظمتک یا اللہ یا اللہ یا اللہ و بنبوتک یا محمدیامحمدیامحمد و بولایتک یا علی یا علی یا علی
Hazrat Muhammad Ghaus Gawalyari rahmatullahi alaih musannif e Jawahir e Khamsa isey Jang e Khaiber se mansoob batate hai'n bahar kaif is bat par to sabhi muttafiq hai'n ke Nad e Ali sharif ek azeemulmartabat isteghasa hai Khudaye Qadeer ki bargah e quds me'n bawaseela Janab e Muhammadur Rasoolullah Sallallaho alaihi wasallam w Maula e kainat Hazrat e Ali Sher Khuda karramallahu wajhahul kareem,aur in mutabarrak kalemat ki ijazat ki sanade'n bhi bahut Aala o arfa hai'n maslan barre sagheer ki maya naaz ilmi o roohani shakshiyat jinhe dunya Shah Waliuallah Muhaddis Dehelvi ke naam se janti hai aur jinhe lagh bhag tamam makatibe e fikr ko log tasleem bhi karte hai'n , aisi hasti ne apni marakatul aara tasaneef ke andar Nad e Ali shareef ki ijazat ke mutalliq tahreer farmaya hai lihaza in jaisi shakhshiyat ka Nad e Ali sharif ka ijazat lena aur dena hi barre sagheer hind o pak ke shakki mizaj aur wehmi afrad ke liye dawa aur ahle mohabbat ke liye taskeen e khatir ka saaman hai ,yeh bate'n zimnan arz kar di kehna yeh hai ke jis tarah bismillahir rahmanirraheem ke talluq se warid hua ke yeh har daur me'n nazil hota raha aur phir utha lia jata


Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam se qabal Hazrat e Eisa alaihissalam par nazil hua lekin utha lia gaya phir jab Humare Aaqa Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam par nazil hua to ta qayamat yeh Qur'an ke andar baqi rahe ga iske zarye se mushkilen aasan hoti rahengi hatta ke dozakh se chhutkara bhi isi bismillah ki barkat se mile gi ,yeh bat to mutahaqqaq hai ke bismillah shareef ka har daur me nuzool hota raha to kia bayeed hai ke Nad e Ali shareef ki jis suryani tilism ki bat main kar rara hu'n woh bhi kabhi nazil hua ho agarcha iska nuzool baarha na hua ho aur is par koi tahqeeq bhi nahi ke yaqeen ke sath kuch kaha ja sake, bat samajhne ki sirf itni hai ke Qudrat e Khudawandi ka karishma dekhye ke jo waqeyah das hazar saal ke bad wakoo pazeer hone wala hai aur us musibat ke waqt Khuda e Ta'ala ki janib se jis Nad e Ali shareef ke alfaz nazil hone they thik usi mazmoon ki ek dua suryani zuban me'n nazil ho chuki thi aur na sirf yeh ke nazil hui balke itni mashhhor o maroof aur mujarrab dua thi hai ke tauheed paraston ke sath sath imtedad e zamana ke bad bhi atish parast qaum ke sahiro'n ne is dua se khoob faida uthaya lihaza Ibn e hallaj apni kitab me likhte hai'n ke in suryani asma o kalemat ka agar arbi me tarjama kia jaye to yeh Nad e Ali shareef ban jata hai aur yeh tilism das hazar saal qabal maseeh ke daur ke  aatish parast sahiro'n ke zer amal ane wali aur us qadeem daur se lekar aj tak ke daur ke ulama o aamileen ke amal o tajurba me'n ek moassar tareen amal sabit ho rahi hai , ab aaiye kuch is suryani tilism ki khasiyat bhi bayan ki jaye Ibne hallaj apni kitab me tahreer karte hain ke wasil ibne ata baghdadi se manqool hai ke jo shakhsh is tilism suryani ko kisi dhat par basa'at sayeed kanda kare aur khushboo ki dhooni dekar apne pas rakh le to uski har khwahish jald ya bader puri ho jaya karegi @Khuda e Ta'ala uske tamam kamo ka zamin hoga @usko koi makhlooq kisi qisam ka zarar na pohncha sakegi @uske dushman usko dekh kar aise bhagenge jaise sher ko dekh kar gidar bhagta hai @logo'n ke dilo'n me'n uski izzat qaim rahegi @har qisam ki aafat o balliyat door se apna rasta badal lenge @kisi qisam ka jadu sehar ka is par asar na hoga 

@purane se purane sehar ka khatma ho jayega aur isi par bas nahi iski khasiyat bahut ziada hai ,das hazar saal qabal maseeh ke is suryani tilism ki ibarat mulahiza farmaye'n ghaur karne par maloom ho jayega ke alfaz Nad e Ali ke is suryani tilism se kaise hu bahu mel khate hai'n suryani tilism yeh hai
یو ھو تیا رکنیا بای صیفا تکیلس یا ایلیا ھی دو جو میامی تفشا کمرفا صحاکملسا میلا ھینا نو قتہا میا نھن رکزا ققا دو قھاقی یا ربا یھا کط ھکیا یا محماد ایا لا معالع مجما جناج سدار ما یا علیا ھا یا علیا ھا یا علیا ھا
aur Nad e Ali shareef mashhoor o maroof yeh hai 
ناد علیا مظھر العجائب تجدہ عونا لک فی النوائب کل ھم و غم سینجلی بنبوتک یا رسول اللہ وبولایتک یا علی یا علی یا علی
akheer me arz karu'n ke is mazmoon ko likhne ka khyal kai dino'n se tha husn e ittefaq se ramazan ki ikeeswe'n shab me iski taufeeq mili aur dauran e tahreer khayal aya ke yeh to shab ikeeswe.n hai Maula e kainat Hazrta e Ali Sher khuda karramallahu wajhahul kareem ki shahadat ki tareekh pas maine samjha yeh sadqa aur tawajjoh hai Babul Ilm Abu Turab Haidar e Karrar Mahbbob e Kirdigar karramallahu wajhahul kareem ka jo is faqeer e Quadri Imran Razvee ko hasil hui.

Friday, June 16, 2017

Taweez Quwat e Hafiza Ke Liye तावीज़ शक्ति मेमोरी का تعویز قوت حافظہ کا Amulet For Power Of Memory

Jin bacho'n ka hafiza kamzor ho sabaq yad na hota ho to chahiye ke surah taha ki mashoor o maroof ayat rabbi zidni ilma ko rozana 414 martaba parhne ke liye bache ko takeed kare'n agar 414 martaba na parh sake kam az kam 100 bar hi parhaya jaaye aur maa bap ya koi rishtedar rozana 414 martaba parh kar bache ko pani me'n dam kar ke dia kare sath is naqsh ko budh ke din awal sa't me'n zafran se likh kar bache ko usi din gale me'n pehnaye in sha Allah hafiza qawi hoga ilm me'n izafa hoga aur parhai me'n bhi dil lagega

Wednesday, June 14, 2017

Taweez Do Bhaiyon Me.n Sulah Ho Jaye ताबीज दो भायों में सुलह हो تعویذ دو بھاءوں میں صلح ہو جاءے

Jab do bhaiyon ya do doston me apsi ranjish paida ho jaye to unki sulah karane ke waaste surah yousuf ki ayat number 92 ko 3371 martaba parh kar naqsh par dam kare.n aur dono me.n se kisi ek ko yeh taweez bandh de.n agar kisi ko bhi taweez dena mushkil ho to kisi phal dar darakht ya ghar me.n latka de.n taake hawa se hilta rahe ,yeh tariqa do giroh ya do jama't me.n bhi sulah karane ke liye behad asan aur mujarrab hai.

Surah Ikhlas Ba Mawakkil Ka Amil Banye सूरा इखलास बा मौक्किइल का अमीन बनिये سورہ اخلاص با موکل کا عامل بنے


Tuesday, June 13, 2017

Taweez Garmi Ki Shiddat Aur Loo Se Bachne Ke Liye تعویذ گرمی کی شدت اور لو سے بچنے کے لے तावीज़ गर्मी तीव्रता और लो से बचने के लिए


Mausame garma me bahut sare afraad loo lagne se ja.n bahaq ho jate hain aur hazaro.n log bimar par jate hai.n is mausam ki garam hawaon se ped paude bhi jhulasne lagte hain aur mukhtalif bimariyon ka daur shuru ho jata hai in sab se mehfooz rahne ke liye is ayat e qurani ko rozana 11 bar parh kar khud par dam kare.n aur bacho.n par bhi 11-11 bar parh kar dam kare.n aur isi ka naqsh gale me dale.n

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668