





Faal Lene Ka Islami Tasuwor
Chand maah qabal main ne istekhara ke talluq se ek jame mazmoon apne blog me
shaya kia tha jis ke akheer me maine faal aur tashkhis ke mutalliq aainda
wazahat karne ki baat kahi thi lihaza is silsile me tahreer pesh e khidmat hai
yeh mukhtasar mazmoon faal ki sharai haisiyat ko wazeh karne ki gharaz se likha
gaya hai aksar log faal aur istekhara aur tashkhis ko khalat malat kar dete
hain awam to khair apni jagah rahi amil kehlane wale hazraat bhi is baka me
giraftar hain tashkhis ki tareef ko phir aainda ke liye moakkhar karta hun feal
haal faale hasan aur bad faali ka islamintasuwor mulahiza kijye.
Faal ka jahilana tasuwor yeh raha hai ke kankariya.n phenk kar lakeer khinch
kar daane aur ghutliyan juft taaq gin kar aur qara andazi karke kisi kaam ke
karne ya na karne ki ijazat o mumaneat ya anjaam e khair aur anjam e bad ko
maloom karne ki koshish ki jati hai jo ke tiflana tasalli aur ahmaqana fel ke
siwa kuch nahi aur is bar akas faal aur tafaul ka islami tasuwor yeh hai ke azkhud
koi koshish na ki jaye balke dafatan kisi achi baat ya ache naam ke sunne ka
ittefaq ho jaye to isey nek shagun par mehmool kar lia jaye aur admi khuda ki
rahmat se pur ummid hojaye ,jahili faal aur me nek o bad dono qisam ke shagun
maujood hain jabke islami faal ka aksar o beshtar talluq shagun ke ache aur
rajai pehlu se hota hai.
Hazrat abuhuraira raziallaho anho kehte hain maine Rasoolullahi salallaho alai
wasallam ko farmate hue suna ke bad faali koi chiz nahi aur faal Achi
chiz hai farmaya acha kalama jo kisi se sune yani kahin jate waqt ya kisi kaam
ka irada karte waqt kisi ki zuban se acha kalma nikal gaya yeh faal e hasan hai
(Bukhari o Muslim)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ne farmaya teer yani bad faali shirk
hai yani mushrikeen ka tariqa hai (Bukhari o Muslim) isko teen martaba farmaya
ek doosri hadis me farmaya jo koi hum me se ho yani musalman ho woh Allah par
tawakkal karke chala jaye (Abudaud o Tirmizi)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ke samne bad shagun ka zikar hua to
Huzoor ne farmaya faal achi chiz hai aur bad shagun kisi musalman ko wapas na
kare yani kahin jaraha tha aur bura shagun ho to wapas na aaye chala jaye aur
jab koi shakhsh aisi chiz dekhe jo usey napasand ho yani bura shagun paye to
kahe. اللہم لا
یاتی بالحسنات الاانت ولاید فع السیئات الا انت ولاحول ولا قوۃ الا با للہ
Faale hasan ki wazahat karte hue kehte hain ke yeh ek aisa kalama hai ke jisse
kisi momin ko manpasand maani samajh me aate hon tahum iski shart yeh hai ke
isko maloom karne ke liye azkhud koi justujoo na ki jaye balke woh achanak
ittefaqan sunne me aajaye ( haashiyah siraj e muneer)
Sharah shareef me faal lena yeh hai ke insaan azkhud koi faal lene ka qasad na
kare achanak hi koi bat uske kaan me aapade agar qasad aur irade se aisa karega
to yeh faal na hogi jika jawaz shariyat me hai. (Almudkhal)
Faal ki kisal yeh hogi ke farz kijye kisi shakhsh ki koi chiz gum ho gaibaur
woh ussey dhoond raha ho itne me woh sunta hai ke koi shakhsh wajid ali ka naam
lekar kisi ko aawaz de raha hai ab dhoondne Wala wajid ke lafz se chiz ke mil
janr ka faal lesakta hai kiyonke wajid maane hain pane wale ke lekin isme shart
yeh hai ke dhoondne wala shakhsh khud kisi ko tyar karke na bheje isi tarha
agar koi lashkar kisi mohim par agar rawana ho raha ho aur ahle lashkar ko
fateh ,nusrat,mansoor,zafar waghairah ke alfaaz sunne ka ittefaq ho to yeh faal
e hasan hogi kiyonke inme kamyabi ki taraf ishara hai .
Kehte hain khuda ki taraf se bheji gai faal yeh hai ke jab koi shakhsh aazim e
safar ho to woh kis shaksh ko ae salaam ae salamat keh kar pukarte hue sune ya
koi koi bimar ho woh ya shafi ya kaafi kahte hue sune ( hashiyah siraj e
muneer)
Shaikh Abdul Haque muhaddis dehelvi kehte hain ke Rasool e Paak sallallaho
alaihi wasallam nek faal lia karte they chunancha jab koi shakhsh samne aata to
uska naam daryaft karte they agar uska naam rashid ,kamraan, zafaryab waghairah
ho to khush ho jaya karte aur isse rushd o hidayat aur kamrani o kamyabi ki
faal lia karte they.Huzoor salallaho alaihi wasallam bilumoom naamo.n hi se
faal lia karte they jis kisi jagah ka kisi ko amil bana kar bhejna hota to
pehle uska naam daryaft karte agr uska naam acha hota to khush hote aur bura
naam hota to nagawari ke aasaar chehra e mubarak se zagir hojate isi tarha gaun
bastiyon aur manzilo.n ke namo.n se faal lia karte they.(sharah
safarussadat)
Kutub e ahaadis ki roshni me yeh bhi wazeh hota hai ke Huzoor sallalaho alaihi
wasallam ne kai logo.n ke naam unke qabool e islam ke bad badal diye they naam
Badalne ki youn to aur bhi wajoohat thi.n lekin aham waja yehi tafaul e hasan
tha .
Imam Jalaluddin Seuti ne ek waqeya likha hai aur woh yeh hai ke mahmood halbi
ka bayan hai ke qazi ibnulkhawi aur main ne ikhatte hajj kia jab hum maqam e
arfaat me they to huamre mabain hadees من ذکرنی فی نفسہka tazkira chal nikla qazi sahab
kahne lage kash yeh maloom hojata humne to khuda ko yaad kia bhala hume bhi
mala e aala me yaad farmaya gaya hai ya nahi achanak ek kitab ka munadi karne
wala guzra hume maloom nahintha ke uske paas konsi kitab hai maine qazi sahab
se arz kia zara is kitab me dekhe.n aur isse faal le.n chunancha usse kitab
lekat pehla safa hi khola tha ke uske daye,n taraf ibnulfaraz ka yeh sher nazar
para لک
البشارت فاخلع ما علیک فقد
ذکرت ثم
علی مافیک من عوجqazi sahab ne apne ehram ke kapde
utare aur us shakhs ko de dia jiske pas woh kitab thi aur bojat khush hue .
Istekhara masnoona ke baad is tarha faal lena baaz bizurgho.n se manqool hai
lekin yeh unka mamool nahi tha balke kabhi kabui woh aisa kar lia karte they
maslan abu mohammad abdullah jahbi ke bare me ek riwayat milti hai woh bayan
karte hain ke ek bar ba amr majboori bahri safar ke liye namaz istekhara ada
karne aur dua e istekhara mangne ke bad barkat ke liye quran pak khol kar dekha
to achanak mera hath is ayat par para .. واترک البحر رھوا انھم جندمغرقون .bad me pata chala woh sab ke sab
dauran e safar gharq ho gaye.
Faal e hasan ki misal dekhiye jang e qadsiya me musalmanon ke hath ek jhanda
laga tha jis par irani tilism saazo.n ne das hazar khano wala naqsh
(Musalman
hukama ne riyazat e Shaqqa se iski zakat ,qurbaniyon,aur kam lene ke tariqe
maloom kiye aur apne shaghal o amal se har shakhs ko faiz pohchaya aur isko
nihayat poshida raka is azeem naqsh ka tariqa aur iski khususiyat bohat jald
shaya kia jayega ) auza e falki ki saat e sayeed me
sone ke taro.n se kadha tha iran ke in tlism tyar karne walon ka khayal tha ke
jis taraf 10000 ka naqsh hoga woh hamesha apne dushmano par ghalib hoga lihaza
yeh faal e hasan dekhye ke musalmano ke hamle ke waqt bahukm e khudahawa ne
hamesha uska rukh musalmano ki janib rakha irani foj ko shikasht e faas hui aur
sipaah salar rustam zillat ki maut mara gaya to kehna yeh hai ke jhande
ka rukh barabar musalmano ki taraf hona yeh faal e hasan tha lekin agar is
tilismi jhande ka rukh kafiro,n ki taraf hota jab bhi woh harghiz iman walon
par ghalib nahi aasakte they kiyonke Ashaab e Rasool aur iman wale apni batini
roohani qowaton se aise tilism par fateh paa sakte hain unke quloob aur nazar
kafiron ki tyar karda hazaron tilism par hawi hote hain jaisa ke firaun ke
darbar me Hazrat e Musa alaihissalam ke samne jadugaro,n ki na chali lihaza aaj
bhi agar hum un aashiqane mustafa ki kamil pairwi karen to koi jadu sehar
acha ya bura hum par asar andaz nahi ho sakta.
Is mukhtasar si wazahat aap itna to samajh gaye honge ke faal kahte kise hain
aur isko kaise le lia jata hai fal e hasan koi nikalne ki hiz nahi balke nikal
jati hai aur bad faali musalman ko harghiz na lena chahiye ,musalmano ke liye
sab chizen saad hain aur hasan hain jabke mushrikon aur kafiron ke liye koi
chez saad nahi iske saath hi yeh bhi malom hua ke log jo aamilin ke pas jakar
kahte hain zara hamara faal khol dijye aur dekhye hum par kisi ne jadu tona to
nahi kardia hai humara kaam nahi chalta, biwi se jhagda rahta hai, bahe bat
nahi sunte,paise hathnme nahi rukte waghairah zalik ....kia yeh jihalat nahi
arey bhai aamil ka kaam faal kholna nahi uska kaam to tashkhis karna hai jise
aaj kal istekhara aur faal ke naam se mosum karne ki jihalat awam o khwas dono
kar rahe hain.
Insha Allah
ainda tashkish par ek mazmoon shaya karunga
Mohammad Imran Razvee Al Quadri
(Spiritual Healer)