Saturday, November 29, 2014

Nazar e bad Maloom Karne Ka Muhaiyeruluqool Tariqa نظر بد معلوم کرنے کامحیر العقول طریقہ (An Amazing Method To find Evil Eye )

Nazar e bad Maloom Karne Ka Muhaiyeruluqool Tariqa
Yeh bat aksar dekhne me aai hai ke baaz auqat insan aise maraz ka shikar ho jata hai jis ki na to tashkhis hi mumkin hoti hai aur na is maraz ka izala mumkin hota hai roohaniyat se dilchaspi rakhne wale ahbab ke nazdeek aise maraz ka sabab na hi to jismani hota hai aur na asebi o sifli balke aisa mariz nazar e bad ka shikar hojata hai jis ka jald aur saheeh ilaj na hone ke bais maraz ilaj mualja karne ke bawajood shiddat ikhtiyar kar jata hai ,is maraz ka shikar har shaks hosakta hai khususan bachche aur aurat is maraz ka asar fauran qabool kar leti hai, nazar bad maloom karne ka ek sau fisad kamyab tariqa zail me darj kia jata hai jise aazma kar ajaibaat e khuda wandi ka mushahida kare.n
Ek adad baiza e murgh lekar is par zail ki ibarat tahreer kare.n iske bad baza e murgh ko khusk dhania ki dhuni de de.n aur sat martaba surah ikhlas parh kar ande ko tor dale.n amal ki barkat se ande me zardi o safedi ke bajaye taaza khun nazar aayega is khoon se mariz ki peshani par nishan laga de.n nazat e bad ka asar fauran zail hokar mariz tandurust hojayega ibarat yeh hai.
لمشخ مھعلش معلشلخ بجمھلمش معلشلخ بجمتملش مجصلمش ملکثخ مصطثبلخ مصطھلیصح معلعصلص معلصط سطتو ا ایتھو اھیال العجل یکعلھو نیثا الخیر ھبال العجل الو حاالسا عتہ اللعنتہ الشیطان الرجیم بمادالنظرر والعین العامل۔
Nazar e bad se tahaffuz ke liye humare yehan mukhtalif qisam ke taeezat aur chandi tanbe ki takhtiyan tyar ki jati hain apne ahbab ,ghar ,kaarkhane,office factory. Machine ,gari waghaira ki hifazat ke liye hadiatan hasil kijye



Sunday, November 23, 2014

Yadullahi Yaaseen Ka Amal e Nasooti ید اللہ یسین کا عمل ناسوتی (Spiritual Practice of Yadullahi yaseen)


Yadullahi Yaaseen Ka Amal e Nasooti
Yeh amal bhi 40 din parha jayega iska tariqa yeh hai ke rozana suraj tulu hote waqt aamil ehram bandhe aur suraj ki taraf rukh kar ke baith jaye aur apni ankh band karke ek hazar martaba yeh amal parhe YADULLAHI YAASEEN aur jab ek hazar ki tadad puri hojaye to amil suraj ki taraf pusht karke baith jaye aur apne hath apas me ek bar male aur 100 martaba yadullahi yaaseen parh kar apne hatho.n ko apne chehre par male is tarha khuli chhat par baith kar jahan suraj ko dekhna aasan ho yeh amal lagatar 40 din karen aur nauchandi itwar se is amal ki shuruat kare
Ilaj ka tariqa
Iska amil gareebon ke ek din ke 25 rupai aur maldaron se 100 rupai hadia le sakta hai isse se ziada wasool karna thik nahi amal ek mariz par lagatar 9 din tak jari rakhe.n ,amal ke waqt bimar ka chehra mashriq  ki taraf ho aur amil ka chehra maghrib ki taraf ho  aur amil agar amal karte waqt bhi ehraam me ho to afzal hai ,amil pehle dil hi dil me 12 martaba yadullahi yaaseen parhe aur phir apne dono haath 12 martaba mal kar ragde aur mariz ke sar par dono hath ek bar rakhe iske baad dono haath ragad kar mareez ke dil par masas kare iske bad phir 12 martaba apne dono hathon ko ragde aur mariz ke dono hathon ki hatelyon par masas kare phir 12 martaba apne haath ragde aur mariz ke dono pair ke talwon par masas kare phir paon ki taraf khade hokar ek martaba aahista se kahe yadullahi yaaseen ki barkat se yeh bimari door hui aur tandurusti wapas aagai, insha Allah bimar pehke din
Se acha hona shuru hojayega aur 9 din me mukammal tandurust hojayega agar darmiyan me mareez thik ho jaye to amal ko 9ndin jari rakhne ki zarurat nahi agar khuda nakhwasta thik na ho to 9 din se ziada amal na kare aur allah ki marzi samajh kar amal 9 din me khatam karde.jolog amail ko apne ghar bula kar amal karayen amil ghareeb se ek din hazri ke 45 rupai le sakta hai aur maldaar se 200 ripai se ziada lena durust nahi yadullahi yaaseen ka amil agar apne dono haath achi tarha dho kar aur dil hi dil me yadullahi yaaseen parh kar ragde phir dono haath ko kisi pani bhare tasht me rakh de aur ek minute tak inhe pani me duboye rakhe to yeh pani jis mareez ko pilaya jaye insha Allah usko zabardst faida hoga iska hadia amil ghareeb se 20 rupai aur maldar se 90 rupai wasool kar sakta hai ,rozana is pani ko subah dopahar sham pina zaruri hai waazeh rahe is pani ka isse ziada hadia wasool karna amil ke liye harghiz jaiz nahi,
Salab e Marz Aur Yadullahi Yaaseen
Yeh aisa pur taaseer amal hai ke iska amil har mariz ki bimari is amal ke zarye salab kar sakta hai agar amil kanwara ho to jaldi taseer zahir ho sakti hai islye akabireen ki raye yeh hai ke is tarha ke aamal shadi se pehle kar liye jayen lekin shadi shuda hazraat par bhi koi pabandi nahi woh bhi isse istefada kar sakte hain aur faida utha sakte hain agar insan khud ko ibadat o riyazat ka paband banaye rakhe aur gunaho se khud ko mehfooz rakhe to yadullahi yaaseen ke amal se usko aisi roohani taaqate.n hasil hojayengi jiska woh
Tasuwor bhi nahi kar sakta baaz buzurghon ne yehan tak farmaya hai ke agar amil muttaqi aur parhezgar hai aur yadullahi yaaseen ka ka amil hai to iska mariz ko sif ek hath laga dena hi kafi hai amil ke chhute hi mariz acha hojayega isi tarha yadullahi yaaseen ka amil agar sahib e taqwa hai to iske ek bar chhu lene se pani me shifa pohchane ki zabardst taseer paida hojayegi phir jo bhi mariz is pani ko ek bar hi pi lega to usko usi waqt befazle Rabbe Kareem sehat mil jayegi ,lekin aisi sifat un amilon me paida hoti hai jo maidan e amaliayt ki bunyadi riyazaton ko kisi kohna mashq ustad ki shagirdi me anjam de chuka hota hai ,janna chahiye ke salab e marz koi asan kam nahi yeh nihayat khatarnak tareeqa hai jisse mariz ke jumla amraaz ko aamil apne jism me muntaqil karta hai aur phir fauran bahar nikal deta hai ke agar zara der hui to amil khud isi maraz me giraftar hokar rah jayega beharhaal yadullagi yaseen kamail agar bunyadi riazaton se khali ho jab bhi taseer me kuch kami waqeh na hogi lekin salab e marz ki niyat harghiz na kare ,insha Allah salab e maraz ki tareef aur iske mukhtalif hairat anghez aamal faqeer shaaiqeen e amaliyat ke liye shaya karega ek bat note kar len agar mariz na mehram aurat ya ladki ho to amil ka unko hath lagana jaiz nahi iske liye mazkoorah tariqe se ishare se masas kare aur dam kare.



Tuesday, November 18, 2014

حروف الف لام میم کا عمل ناسوتی Huroof Alif Laam Meem Ka Amal e Nasooti (Spiritual Practice of Letter Alif Laam Meem)



Huroof Alif Laam Meem Ka Amal Nasooti
Sufiyo.n Aur Darwesho.n Ke Who Aamal Jo Sina Basina Chale Aarahe Hain
Yeh who huroof hain jin se kalamullah ki shuruat hoti hai Allah tala ki bheji hui aakhri kitab ka sab se pehla hurf alif hai huroof e muqatteaat me alif aur ya ka bohat bada darja hai kiyon ke alif huroof e tahajji ka sab se pehla aur ya sab me aakhir hurf hai ye dono huroof nida me jama hokar apni ahmiyat ko zahir karte hain jab insaan Allah ko pukarta hai to hurfe nida yak e saath pukarta hai lafze ya me huroof e tahajji ka pehla aur aakhri hurf maujood hai
Buzugho.n ne farmaya hai ke Alif Lam Meem ka amal tamam maddi zaroorto.n aur jismani bimaryo.n ke liye teer bahidaf ki haisiyat rakhta hai aur kaisa bhi khatarnaak aur mohlak maraz ho alif laam meem ka amil is maraz se mareez ko nijat dilane me kaamyab hojata hai .
Alif Laam Meem ka amil banne ke liye alif laam meem arbi rasmul khat me qadre mota kar k eek gate pe likhwaya jaye ya safed kaghaz par likhwa kar ia computer se kisi achche font me print out karwakar isko gate par chaspa kardia jaye phir is gate ko kisi diwar par laga dia jaye aur teen ghaz ke faasle par do zaanu baith kar alif laam meem 5000 martaba parhe parhne ki jagah aur waqt muqarrar ho aur lagatar is amal ko 40 din tak jari rakhen.
Is amal me kisi bhi tarha ka koi parhez karni ki koi hajat nahi albatta jagah ,waqt aur tadad ki pabandi zaruri hai ,paak saaf kapdo.n me amal karna bhi shart ki haisiyat rakhta hai iske elawa kisi bhi tarha ki shart aur pabandi ki zarurat nahi ,agar 40 din me ek din bhi nagha hojaye gay a jagah aur waqt ki pabandi ek din bhi barqarar nahi rahegi to amal bekar hokar rah jayega .
Agar 39 din tak parha aur ek din kisi waja se chhot gaya to 39 din ki mehnat bekar hojayegi ,is liye amal ki shruat us waqt kare.n jab 40 din me ek din bhi nagha hone ka andesha na ho albatta is amal ko karne ke baad agar kisi wajah se chhod dia to amil ki taraf kisi tarha ki rajat nahi hoti  tahum baghair kisi uzr kea mal ko paya e takmeel tak pohchaye baghair chhodna kam himmati aur namuradi ki dalil hai .
40 din pure hone ke baad amail ki nighah aur zaban me zabardast taseer aur roohani quwat  paida hogi  is ke baad aamil agar kisi mareez par 3 minut nazar jama kar dekh kar dil hi dil me alif laam meem parh lega to mareez befazle Khuda acha hojayega kitna bhi khatarnak maraz ho agar amil mareez ko 11 din tak jhaad de aur alif laam meem parh kar dam karde to mareez tandurust hojayega .
Jhaadne ka tareeqa yeh hai ,mareez ko bilkul chit lita de aura mil apne chehre ko maghrib ki taraf kar le aur mareez ke ghutno ke pas baithe iske bad 30 bar alif laam meem parh kar sar se par ki taraf dam kare sirf ek martaba dam kardena kaafi hai isi tarha lagatar 11 din dam kare.
Is amal ki niaz yeh hai kea mil mareez se rozana 90 rupai wasool kare is me se 70 rupai apne sarfe me laaye aur 20 rupai kisi majboor ko khairat karde isse ziada agar amil wasool karega to amal bekar hojayega  muhaida ki khilaf warzi ki wajah se .
Chillah ki takmeel ke bad amil apne haath se alif laam meem ka naqsh likh kar mareez ko de sakta hai ek naqsh gulab o zafran se likhe is naqsh ko botal me dal kar pani bhar de aur 11 din subh o sham iska pani mareez ko pine ki takeed karde aur rozana waqt muqarrar kar ke mareez par mazkoora tareeqe se dam karta rahe insha Allah bohat tezi ke saath mareez sehat ki taraf palte ga.
Gale me dalne wala naqsh kale kapde me silne ki takeed ki jaye yeh naqsh aur yeh amal tanan bimaryou.n me befazle Rabbul aalameen teer ki tarha kaam karta hai aur mareez ko hairat nak taur par shifa hojati hai lekin amileen ke liye zaroori hai ke who pehle iski zakaat ada kare aur niyaz marizo.n se utni wasool kare jitni humne takeed ki hai aur isme se bhi gharibon ka haq zaroor nikale .
Note:
Agar mareez kisi dusre mulk ya shahar me ho to is amal se faida na hoga kiyonke is amal me mareez ka qareeb hona zaroori hai dam karne ke liye is ke liye ek doosra Nasooti Amal hai jo aainda mazkoor hoga.

Friday, November 7, 2014

Dawat Surah Ikhlas Ba Moakkil Baraye Futooh o Usat e Rizq. دعوت سورہ اخلاص با موکل برائے فتوح و وسعت رزق (Spiritual Practice Of Surah Ikhlas For Wealth)


Dawat Surah Ikhlas Ba Moakkil Baraye  Futooh o Usat e Rizq.
Nauchandi jumerat ko roza rakhe.n aur bad nmaz fajar naha kar kisi se kalaam na kare.n aur khilwat me paak kapde pahan kar khusboo sulgaye.n arw aur do rikat tahiyatulwozu parh kar is etesam ko 300 martaba parhe.n ۔بسم اللہ الرحمن الرحیم اللھم اجعلنی من المخلصین بحر متہ سورتہ الاخلاص ویسرلی مایلیف بھا بین الخواص الشریفتہ والمواھباتہ الا لھیتہ وصلی اللہ تعالی علی سید نا محمد والہ اجمعین برحمتک یا ارحم الراحمین
Iske baad 1000 martaba surah ikhlas is tariqa se parhe.n بسم اللہ الرحمن الرحیم قل ھو اللہ احد اجب یا جبرئیل اللہ الصمد اجب یا میکائیل لم یلد ولم یولد اجب یا اسرافیل ولم یکن لہ کفوااحد اجب یاعزرائیل
Aur parhne ke waqt qul huallah ka naqsh zanu par rakhe.n iske baad 100 martaba is ikhtetam ko parhe.n  یاحنان انت الذی وسعت کل شئی رحمتہ وعلمایاحنان 
iske baad 100 bar is dua ko parhe.n
 اللھم انی اسلک سخرلی خد ام ھذا السورتہ بحق لاالہ الااللہ محمد رسول اللہ
Isi tarha baad namaz zohar,asar maghrib,isha aur tahajjud k eke k hazar ma etesam o ikhtetam ke parhe.n majmua 6000 martaba rozana ka hua aur kul 14 din parhe is tarha 84 hazar marta hua phir pandhravi din jumerat ko bad namaz fajar hazar bar parhe isi din bedari ya khwab me 3 farishte hazir honge unka naam Abdullah, Abdulahad,Abdussamad  hai who salaam karke kahenge aye abdussaleh tum hamare bhai hogaye kisi musalman ki burai na karna aur har jumerat ko qaboor e muslimeen ki ziarat kw jana aur hamesha surah ikhlas parhte rahna humlog tumhari hajato.n ke kafeel hain aur behtar yeh hai ke dawat ke zamane me 15 roza rakhe aur iftar siah angoor se kare agar siah angoor na mile to munaqqah ia kishmish ,maghaz badam khaye aur khane me chawal o shkar khaye namak bilkul na khaye aur khilwat me rahe agarbatti o khushbu ka istemal rakhe phir chilla ke baad rozana 111 bar parhta rahe naqsh yeh hai
Note-
Is amal ko har shakhs nahi kar sakta siwaye uske jis ne mukhtalif amal ke chille baandhe ho aur is silsile me khoob waqfiyat rakhta ho ,yeh amal lajawab hai aur baaz auqaat riyazat ke dauran muakkil ki mauoodgi ka ehsaas aise hota hai ke haibat taari hojati hai lekin yeh moakkilan bohat raham dil aur meharban hote hain zarar nahi pohchate lekin khud se dar gaye to pagal hojane ka andehsa qawee hota hai behtar hai ustad ya peer e kamil ki ijazat aur unki negehdasht me mal kare.n insha Allah 100 fisadi kaamyabi naseeb hogi zindagi me kabhi bhi tangdast na hoga aur jisko bhi naqsh likh kar dega uska rizq bhi kushada hoga aur behtar hai ke jumla maqasid ke liye Lohe Surah ikhlas tanbe par kanda karke dia kare ke asar iska saalon qaim rahta hai.


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668