Wednesday, July 8, 2015

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal Nasooti حب کے لئے حروف الف لام را کا عملِ ناسوتی (Nasooti Spell Of Letters Alif Lam Ra For Love)

Hub Ke Liye Huroof Alif Lam Ra Ka Amal  Nasooti

Yeh amal hub o taskheer ke liye behad mufid hai iska tareeqa yeh hai ke amil lagatar alif lam ra rozana 9 hazar martaba parhe aur ek kaghaz par alif lam ra mota mota likh kar parhte waqt isko dekhta rahe chalis don pure hone par amil 9 gharibo.n ko khana khilaye aur unko rukhsat karte waqt har ek se musafaha kare aur dua ki darkhwast kare .chais din ke bad jab amil ko ksi ke liye parhna chahiye to 231 bar parh kar khuda se dua mange ke fulan ka maqsad pura ho jaye agar naqsh banana ho to atishi chal se isko murattab kare ,aur yeh amal kisi najaiz kam ke liye harghiz na kare warna gunahgar bhi hoga aur amal salab bhi ho jayega ,yeh amal khane pine ki chizon par 231 martaba parh kar dam kar dia jaye aur jab yeh chiz talib matloob ko khilaye ga to la muhala asar hoga aur Allah ke fazl o karam se woh talib ki mohabbat me mubtala hoga kahne pine ki chiz par 231 bar amal parhne ke bad amil akhir me ek martaba yeh bhi keh de .......fulan bin fulan ki jagah pehle matloob ka aur uski ma ka nam le aur dusri jagah talib aur uski ma ka nam le ,amil ko yeh yad rakhna chahiye ke alif lam ra ke majmui adad 231 hai isliye jab bhi amal kare isi tadad me kare kam ziada na kare amil ko chahiye ke apne amal ko muassar banane ke liye alif lam ra humar bhar rozana 231 parhta rahe lekin chille ke bad alif lam ra likh kar samne rakhne ki zarurat nahi hai, yeh amal chistiyah khanadn ke buzurghon se manqool hain aur apne andar hairat anghez taseer rakhte hain lekin dunya me aise nadir amaliyat se wahi log faida utha sakte hain jin me iman o yaqeen maujood ho jo log


iman se mahroom aur yaqeen se kore hain unke liye in amaliyat me kashish nahi hai aur humari dua hai ke Allah Tala kisi na ahal aur ksi na qadre ko in amaliyat ko parhne ki taufeeq na de, yeh amal jo aj ki majlis me pesh kia ja raha hai hub aur taskheer ke liye teer ba hidaf ki haisiyat rakhta hai jo amilin is bat ke khwahish mand ho ke muhabbat aur taskheer ke muamlat me unhe nakami ka muhn dekhna na pade woh khas taur se is amal ki taraf dhiyan den aur isko tohfa e ghaibi tasuwor kare
Zakat Ka Tareeqa
 iska tariqa zakat yeh hai ke nauchandi jumerat ko bad namaz fajar ke huroof e mutatteat alif lam ra ke naqsh e hurfi ko 360 martaba zafran se kaghaz par tahreer kare aur alif lam ra ek safed kaghaz par kali siyahi se likh kar kisi diwar par laga le aur khud 3 ghaz ke fasle par baith kar alif lam ra 9 hazar martaba parhe aur nigah ko alif lam ra par jamaye rakhe ke isse amil ki nazar me quwat e kashish paida ho jayegi aur is trah chalis din tak lagatar parhe naqsh e hurfi 360 adad roz likhna hai agar ek waqt me likhne parhne ka kam dushwar maloom ho to amil ko chahiye ke fajar ke bad naqsh likhne ka aur isha ke bad amal parhne ka mamool rakhe kisi bhi tarha ka koi parhez is amal me nahi hai albatta jagah aur waqt ki pabandi is amal me zaroori hai agar amil ek din bhi nagha karega aur ek din bhi jagah badle ga to amal bekar ho jayega ,gali gloch jhoot aur gheebat aur nafrat o tohmat ki baton se zuban ko puri trah mahfooz rakhe ga iske ilawa koi parhez karne ki zaroorat nahi chalis din me zkat ada ho jayegi ,iske bad amil jab kisi ke liye amal kare to 231 martaba parh kar dua kare fulan bin fulan ko fulan bint fulan se mohabbat ho jaye aur sirf is amal se talib o matloob ke darmiyan insha Allah mohabbat paida ho jayegi aur talib o matloob ek dusre ko diwane ki tarah chahenge matloob ka nam pehle lena aur talib ka nnam bad me 


agar kisi ko mohabbat ke liye naqsh dena ho to nashq ke niche yeh ibarat likh de ....yeh amal khane pine ki chizo par 231 martaba parh kar dena chahiye jiski mohabbat hasil karni ho talib usko khila de to be fazle rabbul alamin uska dil naram ho jayega aur woh talib par farefta ho jayega iske ilawa taskheer am ke liye alif lam ra ka naqsh karamad sabit hoga aur amil is naqsh ko likhne ke bad 231 martaba alif lam ra parh kar dam karde aur hare kapde me pack kara kar talib ke sidhe bazu par bandhwa de insha Allah talib ko taskheer ki daulat nasib hogi naqsh ke niche yeh ibarat likhe ....is amal ke amil ke liye zaroori hai ke is trah ke amal najaiz umoor me na kare warna woh gunahgar ho ga aur dunya me bhi ruswai hogi yeh amaal nasooti jo apne andar had se ziada asar rakhte hain sufiyon aur waliyon ki yadgar hai in amaliyat ko man mane tareeqe par istemal karna aur inki sharait ki pabandi na karne se yeh amal bhi zaya ho sakta hai aur sath hi amil kisi musibat ka shikar ho sakta hai is amal ka amil banne ke liye ijazat lena zaruri hai warna mehnat zaya ho jayegi. 

Tuesday, July 7, 2015

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR اہل بابل اور کالدانیوں کے سحر (The Black Magic Of Babylonians and kaldanyun)

AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR

Sehar ke mani lughat me amar e makhfi o poshida chiz ke hain aur ilmi istelah me aise ajeeb o ghareeb umoor ka nam hai jin ke wajood me ane ke asbab o alal nazar se poshida ho.n
Imam Razi alahirrahmah ke baqaul lafz e sehar istelahe shariyat me aise amar ke liye makhsoos hai jis ke sabab makhfi ho.n aur woh asal haqiqat ke khilaf nazar o khyal me ate hain Ulama e Ahle Sunnat ki raye me sehar waqai haqiqat hai aur muzrat rasa.n bhi hai Haq tala ne hikmat aur maslehat e kamila ke peshe nazar is me trah trah ke muzir asarat paida kar diye hain jais edusri chize.n maslan zehar aur nuqsan rasa.n adwiyat me maujood hain yeh bat nahi ke sehar jadu bazat e khud qudrat e ilahi se be niyaz ho karmuassar bizzat hai aisa samajhna kufr e khalis hai.
Allama Amadududin ibn e kaseer alahirraham ne farmaya hai ke fuqaha e islam ne sehar ke mutalliq tasreeh ki hai jin amaal me shiyateen aur arwah e khabisa waghaira se isteanat talab ki jae aur unko hajat rawa qarar dekar mantaron ke zarye uski taskheer ki jaye aur unse kam lia jaye to shirk ke mutaradif hai aur iska amil kafir hai aur jab amaal me inke elawa dusre tariqe ikhtyar kare aur inse makhlooq e khuda ko nuqsan pohchaya jaye aur trah tarah ki musibaton me dala jaye is qisam ke umoor ka murtakib haram aur gunah e kabira ka murtakib hai.
aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam ne irshad farmaya hai ke ......... (Bukhari Sharif) muhlak bato.n se bacho yani shirk aur jadu.
Allama ibne hajar asqalani likhte hain ke amal e sehar haram hai aur bil ijma gunahe kabira hai aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam  ne sehar ko sat muhlak chizo.n me shumar kia hai.

sehar baz surto.n me kufr hai aur baz surton me haram aur baz surto.n me gunahe kabira hai.behar hal sehar ka sikhna aur sikhana haram hai اللہم احفطنا bahut se johla sehar ko manind mojeza samajhte hain magar sulaha e keram aur buzurgan e deen ne is khayal e batil ko rad kia aur sehar mujeza ke farq ko saf saf bayan kia hai fuqaha ne iski tashreeh ki hai ke mojeza barahe raast khuda e tala ka feal hai jo baghair kisi asbab ke ek sadiq nabi ki sadaqat ke liye alam e wajood me ata hai aur iska koi asal qaida qanoon nahi hota hai balke jab khuda chahta hai ya uska nabi bargah e khuda wandi me rujoo karta hai tab mujeza ka zuhoor hota hai sehar aur jadu ek fun hai jisko uske muqarrara usool aur qawanin ki pabandi ke sath ustad fun sahir apne fun ka har waqt muzahira kar skta hai go ke iske asbab nazro.n se poshida hote hai.n lekin is fun ke waqif kar isse waqif hote hain aur khufia asbab o alal ke zarye khilaf e adat afal e ajeeba par qudrat ka nam sehar hai jisme shiyateen aur bad rooho.n se madad li jati hai dunya me mukhtaliful anwa o aqsam ke murawaja latadad tariqa hain khufia asbab jinke zarye umoor khirq adat zuhoor me ate hain kuch roohaniyat se mutalliqa hain jaise roohaniyat e kwakib ,aflak aur anasir ki roohaniyat e juziyah hain. misal ke taur par roohaniyat amraz ya jinnat o shiyateen , ya woh arwah jo jism se alag ho chuki hain aur usko musakhkhar aur taskheer karke inko mukhtalif kamo me istemal kia jata hai, ya taseerat e jismaniyah hai jo apni makhsoos trakeeb ya mukhtalif baqiyat ke ijtema ya surat e nuiyah ke khwas ki bina par amal me ati hai.
Is qisam ki roohaniyat se munasibat ya talluq paida karne ke mukhtalif tareeqe hain kabhi kabhi unka nam lekar muqarrara tariqe se ilteja faryad ki jati hai ayam e makhsoos surten tarkeeb dekar maklhsoos kalam parha jata hai 
do tariqo par sehar paya jata hai awal tareeqa kaldaniyo ka hai dusra tariqa ahle babul ka hai dusre tareeqe ka aghaz Haroot Maroot se hota hai 

,motebara tareekh ke mutala se pata chalta hai ke kalddni sehar ke bade mahir hote the aur namrood ke zamana me ulamaye babul ne 6 talism aise tyar kiye they jo aqal o faham se bahar they.
1.kaldaniyo ne tanbe ki batakh banai thi iski khususiyat yeh thi ke jab koi chor ya jasoos shehar ki char diwari me dakhil hota tha to yeh batakh khud bolne lagti thi to llog samjh jate the ke shehar me koi chor ya jasoos dakhil hua hai aur log uski talash me lag jate they aur usko giraftar kar li ajata tha 

2. Ek ajeeb naqara tyar kia gaya tha iski khususiyat yeh thi ke ke agar kisi ka mal o raqam aur koi shai gum hojati thi to woh shakhsh naqara bajata tha usse awaz ati thi ke tumhara mal aur raqam fulan jagah ya fulan ke fas hai.

3. Ek aisa hauz tarkeeb dia tha ke kisi jashn ke mauqe par log uske kinare jama ho jate they aur mukhtalif qisam ke sharbat usme dal dia karte they aur jis waqt unko zaroorat hoti wahi matlooba sharbat unko mil jata .

4. Ek aisa aina tha ke ghaib ka hal batata tha ke fulan shakhsh kahan hai aur kis hal me hai.

5. Ek aisa talab banaya tha jis me mukhtalif qisam ke masail hal kiye jate they maslan kisi ek chiz ke do shakhsh dawe dar hain ke meri dusra kehta hai meri hai to in dono ko talab me utara jata tha jo haq par hota tha to talab ka pani naf tak ata aur jo ghalat hota tha woh shakhsh is talab me gharq ho jata tha.

6. Ek aisa darakht namrood ke mehal ke samne  darwaza par laga tha jis ka saya admiyo ki tadad ke mutabiq ghatta badhta tha .
yeh talismat namrood ke darussaltanat babul me maujood they.
funne sehar ke mahireen ka kehna hai ke yeh sehar kaldani bahut hi mushkil hai iske hasil karne me sakht se sakht mehnat o mushaqqat ka samna karna padta hai itna zaroor hai ke is ilm ka amil apne ilmi kamalat se woh kamalat aur khirq adaat logo ko dikhata hai jin ko samjhne se aqal o faham bhi qasir hain

 is jadu me tamam arwaah e khabisa ki taskheer ki jati hai is qisam ke sehar bila shuba kufr hain is sehar ki 15 sharten hai jin me chand sharte yeh hain ,arwah ko dilo ke halaat par muttale hone ka yaqeen ,arwah ke khilaf zara bhi bad aqeedgi paida ho gai to sara kam bana banay bigad jata hai.
ruhaniyat kwakib ki taskheer me sab se pehla tariqa o amal taskheer e qmar ka hai aur taskheer qamar ki dawat me jo kalam parha jata hai woh kufr hai is liye iska tajarba karna bhi munasib nahi qyunke usool e islam ke khilaf hai aur tauheed ke manafi hai (taskheer e qamar aur degar saiyargan ke alvi qaaide bhi hain)
ahle babul haroot o maroot ki talim ke mutabiq taskheer e roohaniyat alviyah sifliya jismaniyah waghairah karte they aur ahle unan taskheer e ruhaniyat e alviyah par iktefa karte they unka khayal tha ke ruhaniyat alviyah ki taskheer ke bad ruhaniyat sifliyah ki taskheer ki zaroorat nahi.
zamana e qadeem me bhi sehar ahle babul ka riwaj tha mutaqaddimin hindustani ruhaniyat par zor dia karte they.

Sehar ki dusri qisam jin aur shiyateen ko taskheer karne ki hai yeh pehli qisam se sehal aur asan hai hidustan me sehar ki dusri qisam bakasrat raij hai ,is dusri qisam ke sehar me bhawani , hanuman , kali, bhairu, luna chamari aur mukhtalif dewi dewtaun ki duhaiyah dekar unke jaye waqooa par bhent chadha kar khuxbu jala kar dhooni de kar kam lia jata hai aur lia jaraha hai yeh sehar ki dusri qisam hai yeh bhi haram o kufr hai.

Teesri qisam sehar ki taskheer e arwaah e khabisa hain isme qawi haikal deo shakhsh ki rooh ka kalam shiyateen parh kar taskheer karte hain aur apne tabe kar lete hain aur unse misl naukar ke kam lete hain is qisam ke sehar me aksar aam taur se arwaah e khabisa se hi kam lia jata is liye sharan yeh bhi mamnoo  haram hai, firaun ke jadugaro.n ne Hazrat Musa Alaihissalam ke muqable me isi qisam ke sehar se banaye hue sanp chhore they 

is qisam ke jadu ko samri jadu bhi kaha jata hai jo ke firaun ka sab se bada jadugar tha, is qisam me arwahe khabisa se madad li jati hai aur shaitan ke namo ki dohai di jati hai aur inki tazeem ki jati hai yeh bhi kufr hai.

Panchwi qisam sehar ki yeh hai ke isme ajeeb o ghareeb nazare logon ko dikhaye jate hain youn to sehar ki bahut sari qisme hain jin ka bayan ainda shay hone wale mukhtalif mazameen me kia jayega shaiqeen o aamileen ki maloomat me azafa ke liye is qadar kafi hai.
 is mauzoo par mazameen bahut ziada hai jo jald ji shaya kiye jayenge insha Allah


Thursday, July 2, 2015

Lohe Islahe Qalb لوح اصلاح قلب (Talisman For Heart Correction)


                 Lohe Islahe Qalb Ki Mukhtasar Khasiyat
  • Na farman aulad farma bardari karne lage
  • Sharab noshi aur zina ki adat jad se khatam ho jaye
  • Har qisam ke nashe se mukammal chhutkara
  • Amraz e qalb ka tashaffi bakhsh ilaj
  • Bechaini aur ghabrahat khatam ho
  • Mard biwi ke ilawa kisi aurat se talluq harghiz na bana paye
  • Aurat siwaye apne khawand ke kisi ka khayal na layegi
  • Bache ghalat sohbat se bache rahen
  • Tabiyat me tahrao aur mustaqil mizagi paida ho.
  • is qisam ke mukhtalif umoor me yeh loh apna asar tamam rakhti hai.
  • do adad loh tyar ki jati hai ek tanbe ke patre par kanda (hand engraved) kia jata jabke dusra butter paper par zafran aur amber se naqsh kia jata hai iske sath 90 taweezat zafrani course ke diye jate hai,istemal ka tareeqa nihayat asan hai.
  • لوح اصلا ح قلب کی مختصر خاصیت
  • نا فرمان اءلاد فرماں برداری کر نے لگے
  • شراب نوشی اور زنا کی عادت جڑ سے ختم حہ جائے
  • ہر قسم کے نشے سے مکمل چھٹکارہ
  • امراض قلب کا تشفی بخش علاج
  • بے چینی اور گھبڑاہٹ ختم ہو
  • مرد بیوی کے علاوہ کسی اور سے تعلق نا بنا پائے
  • عورت اپنے خاوند کے سوا کسی کا خیال نا لائیگی
  • بچے غلط صحبت سے بچے رہیں
  • تبیعت میں ٹہراو اور مستقل مزاجی پیدا ہو
  • اس قسم کے مختلف امور میں یہ لوح اپنا اثر تمام رکھتی ہے
  • دو عدد لوح تیار کی جاتی ہےایک تانبے کے پترے پر کندہ کیا جاتا ہے جبکہ دوسرا بٹر پیپر پر زعفران و عنبر سے نقش کیا جاتا ہے اس کے ساتھ 90 تعویذات زعفرانی کورس کے دئے جاتے ہیں استعمال کا طریقہ نہایت آسان ہے۔



Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668