Wednesday, December 31, 2014

Taweez Dafa Nazar e Bad تعویذ دفع نظر بد(Talisman For Evil Eyes.)

Taweez Dafa Nazar e Bad 

aksar chhote bachhon ko jo khubsurat hua karte hain jinn ya insan ki nazar bad lag jaya karti hai jisse bacha doodh pina tark kar deta hai rota rahta hai aur walidain pareshan ho jate hain chahiye ke is naqsh ko kaali siyahi se likh kar bache ke gale me dale siyahi jo ke paak ho istemal kare.


Tuesday, December 30, 2014

Ohdey Par Barqarar Rahne Ka Amal aur Naqsh عہدے پر برقرار رہنے کا عمل اءر نقش (Method of talisman to Stay At Any Position )

Ohdey Par Barqarar Rahne Ka Amal aur Naqsh
Jo shakhsh yeh chahta ho ke who apne ohde par ziada arsa tak bar qarar rahe jaisa iqtedar ussey Hasil hai hamesha usme rahe khwah who kisi bhi bade se bade ohde ya mansab ka malik ho to usey chahiye ke ism ya kabeer aur apne naam ma walida kea dad ka naqsh e murabbah naye chand me chahar shunba ke din saat e sayedd me zafran o amber sy likhe aur jumla qawaid ko malhooz rakhe phir ism ya kabeer ko rozana 5000 martaba padhe aur naqsh par dam karta jaye yeh amal musalsal 21 din tak jari rakhe nagha na ho warna mehnat zaya ho jayegi bad khatam chillah ky gharibon me kuch rupai taqseem karde aur naqsh ko apne pas hifazat se rakh le phir rozana ism e mazkoor ka wird 500 martaba jari rakhe insha Allah apne ohde par izzat o aabru ke saath qaim rahega agar koi dauran ohda pareshani pesh aa bhi jaye to is ism aur naqsh ki barkat se fauran door ho jaye. Aise hi agar koi shakhsh mulazmat aur ohde se mazool ho gaya ho to roza rakh kar ism mazkoor ko 11 hazar bar 11 din tak parhe insha Allah usi ohde par bahal hojayega naqsh ism kabeer ki missal yeh hai
Adad ism kabeer 232
Adad ism talib ma walida 502 ( farzi)
Kul adad 734 sy 30 tafreeq kia 704 bache isko 4 se taqseem kia 176 bar aamad hua kasar kuch nahi lihaza naqsh e misali yeh hai
786
183
186
189
176
188
177
182
187
178
191
184
181
185
180
179
190


Sunday, December 28, 2014

Taskheer e Haazirat Ke Tilismati Amaliyat تسخیر حاضرات کے طلسماتی عملیات(Spells To Presence Of The Spirits)




Taskheer e Haazirat Ke Tilismati Amaliyat
Haazirat ki taskheer ke in amaliyat me kisi qisam ki koi pabandi nahi balke har shakhsh apni zauq e taba ke mutabiq kamyab ho sakta hai

Hazirat ka Tilismati Aaina
Taskheer e haazirat o roohaniyat ke tilismati aina ki madad se aamil har qisam ke sawalat ka qabal az waqt mukammal jawab hasil kar sakta hai amal ke liye ksi saaf shisha par khusboo dar itar laga kar zail ki ibarat kw sat martaba tilawat kare aur aaina par dam kare tilismati aaina ka amal yeh haiبسم اللہ لما مطیثا رحیم برحمۃ العالی انوخ الوھاخ طیبوا بھا ما فو خادا اللہم یسر و سھل ولا تعسر والھم لنا بروح القدس یا کن لہ لا الہ الا ہو ولا معبود سوا ہء یا شکوت علیٰ ذالک النوت بحق حقک العظیم و برحمۃ اسمائک الکرام الرحمن علم القرآن
Amal ke liye das bara sal ke khubsoorat ladke ya ladki ko kisi saaf aur umdah maqam par baitha den aur aaina ko uske samne karke bache ko aina me dekhne ka hukm den chand lamhe bad bache ko aaina me ek maidan nazar aayega jab maidan nazar aaye to bache ko kahe ke khakaroob ko bulaye aisa kehne par bache ko maloom hoga ke khakaroob maidan saaf kar raha hai iske bad bache ko maidan me farsh bichhta nazar aayega jab farsh par takht aarasta kar dia jaye to bache ko kahe ke badshah e jinnat ko hazir hone ka hukm de bache ke hukm karne par ek buzurgh aur roohani shakhsh ki rooh hazir hoti hai is wqt zaroori hai bacha is buzurgh ko nihayat saliqa se salaam w aadab pesh kare aur jo sawal karna hai is hazir buzurgh se bache kea rye daryaft kare .

Ek Doosra Tilismati Aaina
Zeil ke tilismati amal ko chand ek bar tilawat karke ek aaina par dam kare.n  aur kisi na baligh umar ke bache ko aaina me dekhne ky liye kahe aaina me haazirat maujoood honge unse jo chahe daryaft kare haziraat apke har qisam ke sawalaat ka tasalli bakhsh jawab denge ibarat e amal youn haiبسم اللہ عاماطہ ما لنا علیک بسم اللہ عاسفۃ ما سعۃ اللہ بسم اللہ ھو خالق السماء و ننزل من القرآن بسم اللہ من وراءھم محیط بل ھو قرآن مجید فی لوح محفوظ یا رفیق بسم اللہ حضارا مجیدا۔
Maroof Haazirat
Das bara sal tak ki umar ke kisi saaf suthre ladke ya ladki ke dayen nakhun par siyahi lagayen aur khushk hone par tel laga kar zeil kea mal ko tilawat karke bache par phoonke aur naakhun me dekhne ka hukm de nakhun me haazirat ka nuzool hoga jin se aap gumshuda insaan ,chori ,tashkhis maraz aur iske ilawa job hi sawalat daryaft karne ho bache ke zarye haazirat se pooch sakte hai jin ke bilkul durust aur mukammal jawab maloom honge alam ki ibarat yeh hai عزمت علیکم یا معشر الروحانیون ان تنزلوا نھق لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ و بحق سلیمان ابن داود علیہما السلام و بھق کھیعص و بحق حم عسق و بحق یسین و بحق فسیکفیکھم اللہ و ھو السمیع العلیم و بحق یا حی یا قیوم برحمتک یا ار حم الراحمین

Haazirat Takht e Sulaimani
Ek paak o saaf makan ko muattar karke amal ke waqt looban sandal aur kaafoor ka bakhoor raushan kare aur bara sal se kam umar ladke ya ladki ko jo burai se mehfooz ho pak o saaf libas pahna kar sabz rang k eek naye chiragh me chambeli ka tel dal kar raushan kare aur bache ko chiragh ke saamne bitha kar raushan fateela ke darmiyan ghaur se dekhne ko kahe aur khud asmaye roohaniyat ki tilawat karke bache par dam karte jayen asamaye roohaniyah yeh hainحا قا ماقفا حاقفا ساقفا فقات معاتقا ما فقات بھرمتہ سلیمان ابن داود علیھما السلام اھیا و بحق لہ ما سکن فی اللیل والنھار و ھو السمیع العلیم قل اغیر اللہ اتتخذو نا فاطر السمٰوٰت والارض و ھو یطعم ویطعمaura mal ke saath bache ko kahe koi nazar aata hia ya nahi jab bache ko batti me koi surat nazar aaye to pehle safai wale ko bulaye phir Takht e Sulaimani talab kare takht aane par bimar par jaadu ya aaseb karne wale gumshuda insane ka pata chalaye ,dafeena ki jagah ka taiyun karane aur chori shuda maal o asbab ke churane wale ka naam jagah milne ya na milne ke bare me har sawal ka saheeh aur tasalli baksh jawab milega.

Haazirat ki Angoothi
Raughan e kunjad me gandum ka saf aata mila kar khoob bareek karlen aur khushk hone par ek angoothi me angina ki jagah par lagaye aur upar se shisha rakh kar daba den take iski satah hamwaar ho jaye yeh tilismati angoothi hai jiske zarye aap har qisam ke sawalat aur hal talab masail ke bare me saheeh jawab maloom kar sakte hain amal ke liye ibarat e zeil tilawat karke angina ki jagah ko kisi khusboodar itar se moattar Karen aur bache ke zarye apne hal talab masail ke bare me maloomat hasil kar len ibarat e amal hasb zeil haiبسم اللہ الرحمن الرحیم نزل بہ الروح الامین علی قلبک لتکون من المنذرین بلسان عربی مبین یا حی یا حین لا حی فی دیمومتہ ملکہ و بقآۂ یا حی
Haazirat Aalam e Khwab
Haazirat o roohaniyat se aalam e khwab me mulaqat ke liye zeil ki roohani aayat ko chandi ke waraq par hudhud ke khoon se namaz e maghrib ke waqt jabke qamar banazar e taslees zohra ko naazir ho lakdi ke qalam se tahreer karle.n raat ko sote waqt is waraq ko hareer safed ke parcha me lappet kar sarhane rakh le khwab me haazirat o roohaniyat ka mushahida hoga  aayat darj zeil hai
یا بنی انھا ان تک مثقال حبتہ من خر دل فتکن فی صخرۃ او فی السموت او فی الارض یا ت بھا ء اللہ یا معشر الاعوان الاما امر تم من یقضی حاجتی و ینصرف فی رضائی الا تعلوم علی و اتونی فی نومی بحق ما تلوتہ علیکم و طاعتھا الدیکم
Note:
Haazirat ki yeh Loh bohat hi ajeeb o gharib hai isse bohat saare muamme sulajh sakte hain aur qabal az waqt muamlaat se aagahi mil jaya karti hai agar kisi hazraat ko banwana ho to rabta kare.n

Saturday, December 27, 2014

Khazana Aur dafeena Ka Mushahida خزانہ اور دفینہ کا مشاہدہ (To Acquire Hidden Treasure)

Khazana Aur dafeena Ka MushahidaAgar shak ke kisi maqam par koi khaana madfoon hai to iske maloom karne ka ek nihayat mujarrab tareeqa yeh hai ke mashkook maqam ko saaf suthra karke looban ka bakhur jalayen aur ibarat e amal ko tilawat karke ek safed rang ke murgh ke par o bal par dam karden aur uski aankh par sabz rang ka reshmi kapda mazbooti ke saath bandh den aur iske bad amal ki tilawat jari rakhte hue murghe ko aazad karde ,khuda ki qudrat ka zuhoor hoga murgh khazane aur dafine ki jagah ja khada ho jayega aur apne paun se us jagah ki mitti ko kurede ga aur buland awa ke sath us jagah par azane dene lage ga is nadir o naayab amal ka talluq hazirat o ruhaniyat ke azeem tareen aamal se hai aur is amal ki sab se badi khubi yeh hai ke isme kisi qisam ki chillah kasha aur zakat ki adayegi ki zaroorat nahi hai is amal se khazana aur dafeena ka suragh lagan eke saath saath uski haalat o waqoo ka saheeh andaza ho jata hai ,lekin yeh bawar rah eke dafeena waghairah nikalna harkas o nakas ka kaam nahi iske liye amil ke pas moakkileen e hisaar hona lazmi hai yak am az kam koi sa amal e hisaar iske roz ke mamool me ho take khazana par qabiz jinnati quwat amil ko koi nuqsan na pohcha sake amal ki ibarat is tarha hai,
ھلھطس بقرۃ طر طش علمط علمطی مطورش یا طلبش مطلیورش علھطیش سلططلع ثراھیا شمر شیثا ملوحج سملمیطش و ھو الذی یتو فکم با اللیل و یعلم ما جرحتم با النھار ثم یبعثکم فیہ لیقضیٰ اجل مسمی ثم الیہ مر جعکم ثم ینبئکم بما کنتم تعملون ھلمطیاش دوطرش علمطیثاغ قداح قدوح قدوس بطلیاس ثرا میاش طلبناش النود۔

Friday, December 26, 2014

Amal Surah Fateha Batareeq e Khaas عمل سورۃ فاتحہ بطریق خاص (Special Procedure For Surah Fatiha)

Amal Surah Fateha Batareeq e Khaas عمل سورۃ فاتحہ بطریق خاص


surah fateha is khas tarkeeb se mashaikh e qadriyah se manqool hai aur jumla maqasid ke husool ki khatir iska wird tamam buzugho.n ka mamool hai Hazrat Shaikh Ibn e Arbi aur Imam Mohammad Ghaali alaihirrahama is surat ko sabah masani kehte hain yani sat aayat aur farmaya har aayat ke liye do ism hai is tarha الحمد للہ رب العالمین یا حی یا قیوم الرحمن الرحیم یا رؤف یا عطوف مالک یوم الدین یا عالم السرائر یا مقلب القلوب والابصار ایاک نعبدو ایاک نستعین یا سریع یا قریب اھد نا الصراط المستقیم یا قادر یا مقتدرصراط الذین انعمت علیہم یا حکیم یا قدیرغیر المغضوب علیہم ولضالین یا قاھر یا عزیز hahiye ke har namaz ke bad 10 se 41 martaba is tarteeb se padhe ke har ayat aur har ism ko das das bar aur is qasam ko das bar padhe qasam yeh hai بسم اللہ الرحمن الرحیم اللہم انی اسئلک بحق سبع مثانی و بحق قرآن العظیم بسم اللہ الرحمن الرحیم و بحق کھیٰعص و بحق حٰمعسق وبحق دعاء نبیک و حبیبک سیدنا محمد و الجاء فی کھفک و استوطن فی حرزک ولم یثق الا بک اقسمت علیکمiske elawa ek tariqa padhne ka yeh hai ke bad namaz isha 110 bar surah fateha aur 10 bar qasam padhe auwal aakhir 11 bar durood shareef  kisi bhi jaiz maqsad ke husool ki khatir is amal ko karne wala kabhi nakam nahi hota chahiye ke naye chand me amal shuru kare ke jab qamar nahusat se pak ho amal ki muddat 41 yum hai khushboo ka istemal rakhe aur khilwat me bahuzoor e qalb padhe duran qira at guftagu karne se amal aya ho jayega har woh shakhs khwah amil ho ya na ho is amal se faida utha sakta hai han agar bazabta iski zakat ada karli jaye to amal qabu me aajayega  aur iska amil har kisi ka kam ahasan tariqe se kar sake ga zakat ka tariqa inda mazkoor hoga.
                Mohammad  Imran Razvee Al Quadri             


Wednesday, December 24, 2014

Bismillah Shareef Aur Aamal e Khair o Shar بسم اللہ شریف اور اعمالِ خیر و شر (Remedy Regarding Bismillah Shareef)








Bismillah Shareef Aur Aaamal e Khair o shar
Hadees me hai کل امرذی بال لایبئد فیہ ببسم اللہ فھواقطع یعنیyani jo kaam bismillah se shuru na kia jaye wo abtar hai dusri hadis me hai من ارادان ینجیہ اللہ من الذبا نیتہ تسعتہ عشر فلیقر اء بسم اللہ الر حمن الرحیمjo shaksh chahe ke zabaniyah (19 farishtey jahannam ke azab dene wale ) se nijat paye who bismillah sharif padhe.
Bismillah ki kahsiyat bohat ziadah hai jis tarha bhi chahe wird kare khwa tanha ya bazumme baaz azaim.
Istekhara Mujarrab
Mutabarrak raton me ke budh jumerat juma peer ki raten hain sone se qabal wozu karke ke kisi se kalam na kare aur do rikat tahiyatul wozu padhkar bismillah sharif 786 martaba padhe aur duaye matlab kare muhn qibla ru sar shumal ke janib karke so jaye agar rat me maloom ho behtar warna 3 din musalsal Karen.
Baraye Futooh wa Kashaish .
Baraye husool e futooh 6 haar bar ek chillah 21 roz me ya 3125 martaba 40 din me padhe kamyab hoga phir rozana 119 bar wird me rakhen (ijazat kisi sahib e amal ki honi shart hai)
Baraye Qazaye hajaat w taskheer e Khalq
Qazaye hajat ke liye urooj maah qamri me nau chandi jumerat ko roza rakhen aur iftar angoor ya kishmish se Karen aur agar yeh chiz na mil sake to kisi shirni se phir bad maghrib 120 martaba bismillah sharif padhe phir isha ki namaz ke bad bistar par bismillah sharif is qadar padhe ke padhte padhet so jaye aur subh ki namaz ko bismillah sahrif kea dad ke barabar naqsh mazhar o muzmar likh kar apne pas rakhe.
Baraye Jumla Maqasid
Baraye qazaye hajat yeh duaے بسمہ اللہ الر حمن الر حیم لا حول ولا قوتہ الا باللہ العلی العظیم بسم اللہ الرحمن الرحیم بسم اللہ الملک الحق المبین من العبدالذلیل الی المولیٰ الجلیل مسنی الضر وانت ارحم الراحمنkaghaz me likh kar darya me dale.n  is ke bad 70 bar is dua ko padheالٰھی بحرمۃ کن فیکون فتبار ک اللہ احسن الخالقینAur ghar laut kar aaye aur 100 martaba pehli dua padhe 21 din yehi amal kare is amal ki buzughon ne bohat tareef ki hai. Jiska dil chahe ama ley.
Dushman  Ki barbadi Ka Amal
Sarkash mufsideen ke dafah ke liye nuzool maah me nahas din misl shanbah ya sah shanbah naqsh mazhar bismillah likhe aur us shakhs ka naam is naqsh me dakhil kare uske bad yeh dua 7 bar padh ke naqsh par dam kare bad azaan anguza o lahsun e khaam ki dhuni de kar chulhe ke qareeb dafan kare ke garmi naqsh ko pohnche warna talib ko zarar hoga who dua yeh hai
اللہم انی اسئلک باسم اعظیم الاعظم وھو بسم اللہ الرحمن الرحیم الذی انت لہ الوجوہ و خشعت لہ الاصوات ووجلت من خشیتہ القلوب ان تصلی و تسلم علیٰ سیدنا محمد و علیٰ الہ و صحبہ و ان تقضی حاجتی فی فلاں(یہاں اس
کا نام لکھیں) اللہم ان کنت تعلم انہ یرجع عما ھو فیہ قاھرہ و وفقہ ان کنت تعلم انہ لا یر جع فانزل علیہ بلائک وسخطک و غضبک و اہلکہ یا قاہر یا قھار یا قادر یا مقتدر یا اللہ
Bukhar se shifa
Bukhar se shifa ke liye dono naqsh mufeed o mujarrab hain matiz ke sirhane rakhe
Mushkil kam aasan ho
Hazrat Ali raziallaho anhu farmate hain mushkil kam asan karne ki dua bismillah hai aur farmate hain bismillah har ranj ko door karti hai aur dil ko khush karti hai.
Apne maqsad me kaamyabi ke liye
Apne maqsad me kaamyabi ke liye jo shakhsh 786 martaba bismillah shareef padhega 7 din tak rozana who phir apne maqsad ke liye dua kare rab tala zaroor uska maqsad pura farmayega.
Har Aafat o Musibat se Hifazat
Jo shakhsh moharram ki pehili tarikh ko 311 bar bismillah likh kar apne pas rakhe who har aafat bala musibat se mehfooz rahega.
Bismillah Likhne Ka Faidah
Ek buzurgh ne farmaya jo shakhsh 56 martaba bismillah likh kar apne pas rakhe ga Allah Rabbul Izzat usko izzat ne nawaze ga aur koi insane usey nahi sataye ga aur jo koi 600 martaba bismillah sharif likh kar apne pas rakhe ga to logon ke dilon me uski taazim hogi koi uske sath bura bartao nahi karega .
Quwat e Hafiza ke Liye
786 martaba ghuroob aaftab ke waqt pani par dam karke pilane se hafiza mazboot ho jayega.
Muhabbta ke Liye
786 martaba bismillah shareef ko padh kar kisi meethi chiz par dam karke matloob ko khila de to uske dil me khilane wale ki mohabbat paida hojayegi najaiz maqsad harghiz na ho warna nuqsan hoga.
Aulad zinda rahne Ke Waste
Jis aurat ki aulad zinda na rahti ho usko 61 martaba kisi kaghaz par likh kar bataur e taweez us aurat ke bandhe to aulad zinda rahe.
Kheti me Barkat Aur Hifazat
101 martaba bismillah shareef likh kar kisi kaghaz me apne khet me dafan kar de.n to kheti tamam aafat se mehfooz ho aur usme bartkat ho.
Tandasti door ho Khushhali aaye.
Bismillah shareef ka jamei ka naqsh ya takseeri tilism kisi parhe gar amil se ban wa len insha Allah rupai paise ki tangi ka naam o nishan na rahega aur sare qarze ada ho jayenge .(humare yehan se hadiyatan hasil kar sakte hain.
Har jaiz Maqsad Pura Ho.
Hazrat shah abdul azi muhaddis dehelvi ne apni tafseer me yeh mashhoor omaaroof amal naqal kia hai bismillah shareef ko 12 hazaar martaba is tarha padhe ke jab ek hazar ki tadad mukammal ho jaye to do rikat nafal namaz e hajat padh kar dua Karen isi taur par ek hazar ke bad do rikat nafl padh kar dua karni hai insha Allah maqsad pura hoga raqimul huroof Imran Razvee ghufera lahu ka tajarba yeh hai ke aksar pehle din hi kaam ban jate hain aur bohat mushkil kaam hua to 12 din musalsal isko kia jaye naakami ka to sawal hi paida nahi hota Rab tala ke fazal se har mushkil se mushkil kaam ko yeh amal kaafi o waafi hai.
Suzak ke ilaj ke liye
Jo shakhsh suzak ke maraz me munbtala ho usko chahiye ke har namaz ke bad 7 martaba padh le ….
Izala e Haziyan
Namaz e fajar ke baad sar par haath rakh kar phere aur yeh dua 7 bar padhe …..
Chori o Shaitani asarat se Hifazat
Sone se qabal 21 martaba padhe to chori o shaitani asarat se hifazat rahe aur achanak maut se bhi mehfooz rahe .
Zalim Par Ghalba Pane ke Liye
Jo shakhsh baitul khula jane se qabal bismillah padhle to jinnat aur Khabis jinni uske satar ko na dekh sake.n
Saato.n aaza par aag haraam ho jati hai
Insaan ka saara jism sar sina , pust , do hath , do paun par mushtamil hai inhe aazaye saba yani saat aaza kehte hain bismillah shareef ki yeh taseer hai ke jo shakhsh ek laakh bar bismillah padh leta hai to who shaitan ke shar se mehfooz ho jata hai Allah tala uske saat aaza par aag ko haram kar deta hai.
Daulat mand banne ka nuskha
Ghar me dakhil hote waqt bismillah padh kar ek baar surah ikhlas padh li jaye aur is par mudawamat ki jaye to insane ke din phir jate hain aur dekhte dekhte daulat mand ho jata hai.
Sau zaroorten aur haajaten puri karne ka nuskha
Agar mandarja zail dua ko ek sau bar padh li jaye allah tala padhne wale ki sau zaroorten aur haajaten puri farma deta ha ibis dunya ki assi aakhirat ki.
Nekiyon ka khazana
Hazrat abu hurairah razi allaho anho ne farmya ke huzoor Aqdas sallallaho alaihi wasallam ne farmaya wozu karte waqt bismillah padh lia karo jab tak farigh na hoga farishte barabar nekiyan likhte rahenge.
Taskheer e Quloob
Jo shakhsh bismillah sharif ko 600 bar likh kar apne pas rakhe to logon ke dilon me uski tazim o haibat qaim ho aur koi use bad sulooki se pesh na aaye.
Dard e sar ke liye
21 martaba likh kar dard sar wale ke gale me dale ya sar pebandhe insha Allah dard e sar jata rahe ga.
Husool e Daulat ka Anmol Nuskha
Is mal ko wahikare jo himmate mardana rakhta ho kiyonke ek din bhi nagha hua to amal saqit ho jayega aur mehnat rayega jaye gi rozana fajar ki namaz ke bad tulu aaftab se qabal 300 bar bismillah sharif aur isi qadar durood shareef padh len musalsal ek saal amal ko jari rakhen daulat e laazawal haath ayegi is amal me ijazat zaroori hai who bhi aise aamil ki jisne bismillah sharif ki zakaat e akbarul kabaair ada kar rakhi ho.
Bismillah sharif ke mukhtalif aamaal insha Allah aainda tahreer karunga.
Bismillah shareef Rab tabarak o tala ki who nemat hai jiska andaza lagana aam insaan ka kaam nahi iske asrar akabir auliyah par khulte hain aap hazrat yeh jaan len ke bismillah sharif ki riyazat aur chillah kasha ke bad ksi dusre amal ki hajat o zarurat amil ko nahi rahti ,jis khush qismat ke naseeb me is khazane se hissah muqarrar hota hai bahar haal who hasil kar leta hai yehan maine bismillah shareef ki akat aur uski riyazat ke tariqe darj nahi kiye iske liye ek alag mazmoon darkaar hai jo ke aainda mazkoor hoga jisme mukhtalif qisam ke aamal har kisi ke qawaye batini ke pesh e nazar draj kia jayega take amaliyat se shaghaf rakhne wale hazraat o khwateen apne apne waqt aur himmat ke mutabiq amal ka intekhab kar sake is tez raftaar dunya me har shakhsh yehi chahta hai ke kam se kam waqt me ziada se ziada kamyabi hasil kar le lekin kia yeh sab ke liye mumkin hai zahir hai aksar aisa nahi hota lekin bismillah shareef ka waseela pakadne wala aur dil o jaan se Nabi Kareem sallallaho alaihi wasallam par nazil hona wali is nemat ki khidmat karne wala bohat kam arse me zarre se aaftab ban jata hai iski saari tamannayen ghaib se puri hoti hain akheer me sirf itna kahunga ke bismillah shareef who kunji hai jisse hart ala khola ja sakta hai .



Wednesday, December 10, 2014

Faal Lene Ka Islami Tasauwor فال لینے کا اسلامی تصور फ़ाल लेने के इस्लामी अवधारणा






Faal Lene Ka Islami Tasuwor
Chand maah qabal main ne istekhara ke talluq se ek jame mazmoon apne blog me shaya kia tha jis ke akheer me maine faal aur tashkhis ke mutalliq aainda wazahat karne ki baat kahi thi lihaza is silsile me tahreer pesh e khidmat hai yeh mukhtasar mazmoon faal ki sharai haisiyat ko wazeh karne ki gharaz se likha gaya hai aksar log faal aur istekhara aur tashkhis ko khalat malat kar dete hain awam to khair apni jagah rahi amil kehlane wale hazraat bhi is baka me giraftar hain tashkhis ki tareef ko phir aainda ke liye moakkhar karta hun feal haal faale hasan aur bad faali ka islamintasuwor mulahiza kijye.
Faal ka jahilana tasuwor yeh raha hai ke kankariya.n phenk kar lakeer khinch kar daane aur ghutliyan juft taaq gin kar aur qara andazi karke kisi kaam ke karne ya na karne ki ijazat o mumaneat ya anjaam e khair aur anjam e bad ko maloom karne ki koshish ki jati hai jo ke tiflana tasalli aur ahmaqana fel ke siwa kuch nahi aur is bar akas faal aur tafaul ka islami tasuwor yeh hai ke azkhud koi koshish na ki jaye balke dafatan kisi achi baat ya ache naam ke sunne ka ittefaq ho jaye to isey nek shagun par mehmool kar lia jaye aur admi khuda ki rahmat se pur ummid hojaye ,jahili faal aur me nek o bad dono qisam ke shagun maujood hain jabke islami faal ka aksar o beshtar talluq shagun ke ache aur rajai pehlu se hota hai.
Hazrat abuhuraira raziallaho anho kehte hain maine Rasoolullahi salallaho alai wasallam ko farmate hue suna ke bad faali koi chiz nahi aur faal  Achi chiz hai farmaya acha kalama jo kisi se sune yani kahin jate waqt ya kisi kaam ka irada karte waqt kisi ki zuban se acha kalma nikal gaya yeh faal e hasan hai (Bukhari o Muslim)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ne farmaya teer yani bad faali shirk hai yani mushrikeen ka tariqa hai (Bukhari o Muslim) isko teen martaba farmaya ek doosri hadis me farmaya jo koi hum me se ho yani musalman ho woh Allah par tawakkal karke chala jaye (Abudaud o Tirmizi)
Huzoor e Aqdas sallallaho alaihi wasallam ke samne bad shagun ka zikar hua to Huzoor ne farmaya faal achi chiz hai aur bad shagun kisi musalman ko wapas na kare yani kahin jaraha tha aur bura shagun ho to wapas na aaye chala jaye aur jab koi shakhsh aisi chiz dekhe jo usey napasand ho yani bura shagun paye to kahe.
 اللہم لا یاتی بالحسنات الاانت ولاید فع السیئات الا انت ولاحول ولا قوۃ الا با للہ 
Faale hasan ki wazahat karte hue kehte hain ke yeh ek aisa kalama hai ke jisse kisi momin ko manpasand maani samajh me aate hon tahum iski shart yeh hai ke isko maloom karne ke liye azkhud koi justujoo na ki jaye balke woh achanak ittefaqan sunne me aajaye  ( haashiyah siraj e muneer)
Sharah shareef me faal lena yeh hai ke insaan azkhud koi faal lene ka qasad na kare achanak hi koi bat uske kaan me aapade agar qasad aur irade se aisa karega to yeh faal na hogi jika jawaz shariyat me hai. (Almudkhal)
Faal ki kisal yeh hogi ke farz kijye kisi shakhsh ki koi chiz gum ho gaibaur woh ussey dhoond raha ho itne me woh sunta hai ke koi shakhsh wajid ali ka naam lekar kisi ko aawaz de raha hai ab dhoondne Wala wajid ke lafz se chiz ke mil janr ka faal lesakta hai kiyonke wajid maane hain pane wale ke lekin isme shart yeh hai ke dhoondne wala shakhsh khud kisi ko tyar karke na bheje isi tarha agar koi lashkar kisi mohim par agar rawana ho raha ho aur ahle lashkar ko fateh ,nusrat,mansoor,zafar waghairah ke alfaaz sunne ka ittefaq ho to yeh faal e hasan hogi kiyonke inme kamyabi ki taraf ishara hai .
Kehte hain khuda ki taraf se bheji gai faal yeh hai ke jab koi shakhsh aazim e safar ho to woh kis shaksh ko ae salaam ae salamat keh kar pukarte hue sune ya koi koi bimar ho woh ya shafi ya kaafi kahte hue sune  ( hashiyah siraj e muneer)
Shaikh Abdul Haque muhaddis dehelvi kehte hain ke Rasool e Paak sallallaho alaihi wasallam nek faal lia karte they chunancha jab koi shakhsh samne aata to uska naam daryaft karte they agar uska naam rashid ,kamraan, zafaryab waghairah ho to khush ho jaya karte aur isse rushd o hidayat aur kamrani o kamyabi ki faal lia karte they.Huzoor salallaho alaihi wasallam bilumoom naamo.n hi se faal lia karte they jis kisi jagah ka kisi ko amil bana kar bhejna hota to pehle uska naam daryaft karte agr uska naam acha hota to khush hote aur bura naam hota to nagawari ke aasaar chehra e mubarak se zagir hojate isi tarha gaun bastiyon aur manzilo.n ke namo.n se faal lia karte they.(sharah safarussadat)
Kutub e ahaadis ki roshni me yeh bhi wazeh hota hai ke Huzoor sallalaho alaihi wasallam ne kai logo.n ke naam unke qabool e islam ke bad badal diye they naam Badalne ki youn to aur bhi wajoohat thi.n lekin aham waja yehi tafaul e hasan tha .
Imam Jalaluddin Seuti ne ek waqeya likha hai aur woh yeh hai ke mahmood halbi ka bayan hai ke qazi ibnulkhawi aur main ne ikhatte hajj kia jab hum maqam e arfaat me they to huamre mabain hadees
 من ذکرنی فی نفسہka tazkira chal nikla qazi sahab kahne lage kash yeh maloom hojata humne to khuda ko yaad kia bhala hume bhi mala e aala me yaad farmaya gaya hai ya nahi achanak ek kitab ka munadi karne wala guzra hume maloom nahintha ke uske paas konsi kitab hai maine qazi sahab se arz kia zara is kitab me dekhe.n aur isse faal le.n chunancha usse kitab lekat pehla safa hi khola tha ke uske daye,n taraf ibnulfaraz ka yeh sher nazar para لک البشارت فاخلع ما علیک فقد
ذکرت ثم علی مافیک من عوجqazi sahab ne apne ehram ke kapde utare aur us shakhs ko de dia jiske pas woh kitab thi aur bojat khush hue .
Istekhara masnoona ke baad is tarha faal lena baaz bizurgho.n se manqool hai lekin yeh unka mamool nahi tha balke kabhi kabui woh aisa kar lia karte they maslan abu mohammad abdullah jahbi ke bare me ek riwayat milti hai woh bayan karte hain ke ek bar ba amr majboori bahri safar ke liye namaz istekhara ada karne aur dua e istekhara mangne ke bad barkat ke liye quran pak khol kar dekha to achanak mera hath is ayat par para ..
واترک البحر رھوا انھم جندمغرقون .bad me pata chala woh sab ke sab dauran e safar gharq ho gaye.
Faal e hasan ki misal dekhiye jang e qadsiya me musalmanon ke hath ek jhanda laga tha jis par irani tilism saazo.n ne das hazar khano wala naqsh
(
Musalman hukama ne riyazat e Shaqqa se iski zakat ,qurbaniyon,aur kam lene ke tariqe maloom kiye aur apne shaghal o amal se har shakhs ko faiz pohchaya aur isko nihayat poshida raka is azeem naqsh ka tariqa aur iski khususiyat bohat jald shaya kia jayega ) auza e falki ki saat e sayeed me sone ke taro.n se kadha tha iran ke in tlism tyar karne walon ka khayal tha ke jis taraf 10000 ka naqsh hoga woh hamesha apne dushmano par ghalib hoga lihaza yeh faal e hasan dekhye ke musalmano ke hamle ke waqt bahukm e khudahawa ne  hamesha uska rukh musalmano ki janib rakha irani foj ko shikasht e faas hui aur sipaah salar rustam zillat ki maut  mara gaya to kehna yeh hai ke jhande ka rukh barabar musalmano ki taraf hona yeh faal e hasan tha lekin agar is tilismi jhande ka rukh kafiro,n ki taraf hota jab bhi woh harghiz iman walon par ghalib nahi aasakte they kiyonke Ashaab e Rasool aur iman wale apni batini roohani qowaton se aise tilism par fateh paa sakte hain unke quloob aur nazar kafiron ki tyar karda hazaron tilism par hawi hote hain jaisa ke firaun ke darbar me Hazrat e Musa alaihissalam ke samne jadugaro,n ki na chali lihaza aaj bhi agar hum un aashiqane mustafa ki kamil pairwi karen to koi jadu  sehar acha ya bura hum par asar andaz nahi ho sakta.
Is mukhtasar si wazahat aap itna to samajh gaye honge ke faal kahte kise hain aur isko kaise le lia jata hai fal e hasan koi nikalne ki hiz nahi balke nikal jati hai aur bad faali musalman ko harghiz na lena chahiye ,musalmano ke liye sab chizen saad hain aur hasan hain jabke mushrikon aur kafiron ke liye koi chez saad nahi iske saath hi yeh bhi malom hua ke log jo aamilin ke pas jakar kahte hain zara hamara faal khol dijye aur dekhye hum par kisi ne jadu tona to nahi kardia hai humara kaam nahi chalta, biwi se jhagda rahta hai, bahe bat nahi sunte,paise hathnme nahi rukte waghairah zalik ....kia yeh jihalat nahi arey bhai aamil ka kaam faal kholna nahi uska kaam to tashkhis karna hai jise aaj kal istekhara aur faal ke naam se mosum karne ki jihalat awam o khwas dono kar rahe hain.
Insha Allah ainda tashkish par ek mazmoon shaya karunga
Mohammad Imran Razvee Al Quadri
                                                                   (Spiritual Healer)

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668