Featured Post
Bachcha Na Hone Ke Asbab بچہ نا ہونے کے اسباب (Reason Of Pregnancy Disorder)
- Get link
- X
- Other Apps
BAHCHCA NA HONE KE ASBAB
Yeh amal faqeer ko buzurghan e deen
se dast ba dast mila hai tajurba se saheeh sabit hua yeh amal Hazrat Sulaiman
alaihissalam ko pariyon ne bataya tha ke aulad se mehroom rahne ki saat
illate.n hoti hain yeh sab ma alamaat o ilaj darj hain.
1. Pehli illat yeh hai ke aurat ki raham yani bachha dani ulat
jati hai.
Alaamat.
Bad sohbat aurat ke sar me dard hota hai
Ilaj.
Maghaz banola murgh ki bet apas me hal kar ke haiz se farigh hokar teen roz roi
tar kar ke shiyafa le bad teen yom ke jama kare.
2. Doosri illat yeh hai ke aurat ke raham ka munh band hojata
hai.
Alaamat,
Bad jama andaam nihani ke saath sara badan dard karta hai ,chehra zard hojata
hai.
3. Teesri illat yeh hai ke raham ke munh me waram ya gosht
aajane se hamal qarar nahi pata.
Alaamat,
bad sohbat kamar me dard hota hai.
Ilaj,
Zira saf3d aur hathi ka nakhun bareek pees kar gaye ke ghee me mal kar shiyafa
le ,bad teen yom sohbat kare.
4. Chothi illat yeh hai ke raham ke sar par keeda paida hojata
hain jo nutfe ko lha jata hai
Alaamat,
Haddiyo.n me dard hota hai.
Ilaj,
Sabun,saji khar qadre pani me hamwazan hal kar ke bad haiz teen yom shiyafa le
badahu jama kare.
5. Panchhwi illat yeh hai ke etedal se ziada raham me garmi
paida hojaana.
Alaamat,
Dil ka dharakna aur dil ke maqam par dard hona
Ilaj,
Gaye ke ghee me maghaz neeb ,gule gulab pees kar shiyafa le bad teen yom sohbat
kare
6. Chhati illat yeh hai ke etedal se ziada sardi jama ho jaye.
Alaamat,
Bad jama chhati me dard hota hai .
Ilaj,
Kilonji zira siyah hamwazan paoser tili ke tel me pakaye.n jab nisf rah jaye
roi tar kar ke teen yom shiyafa le badahu jama kare.
7. Satwi.n illat yeh hai ke deo pari ummussabiyan ka asar hona
Alaamqt,
Bad sohbat ke kisi qisam ka dard na hona.
Ilaj,
Nek saat ,e naqsh isteqrar e hamal mushk o zafran se likh kar bad taharqt haiz
kamar me bandhe aur hambistar ho.
Note.,
Bachcha na hone ka sabab unki alamat aur unka ilaj jo upar darj kia gaya hai
yehi woh asbab hain jin ki waja se hamal ka isteqrar nahi ho pata hai
,wajoohaat aur alamaat musallam hain jabke ilaj mukhtalif tariqe se kia ja
sakta hai lihaza jin hazraat o khwateen ko upar diye gaye tibbi mualje me
uljhan mehsoos ho to woh apne doctor se rabta kare.n yeh un 6 alamaat ke liye
hain aur akhir ka ek waja adam isteqrar e hamal ka roohani hai is silsile me
aamileen se elaj kar waye.n kabhi asarat e shaitani aur bandish e hamal bhi ek
aham waja hoti hai iski alamt yeh hai ke mard aurat ka sara medical test saheeh
hota hai aur dono tandurust hone ke bawajood aulad ki khushi se meroom rahte hain
,agar surat e haal yeh hai to is faqeer ka mashwara yeh hai ke kisi bhi amil se
rohani ilaj karwane ke saath doctors ke diye hue dawaon ko bhi band na kare.n
ke baaz auqat sehar bandish ki waja se dawaon ka sar nahi hota ,behamdillah
mera roz ka tajurba hai aur sinkdo jodo.n ko Allah ke fazal se aulad ki nemat
hasil hui hai.
Popular posts from this blog
ADAD NIKALNE KA TARIQA اعداد نکالنے کا طریقہ (Method Of Reckoning Number By Abjad )
ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA KISI BHI NAAM KA ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA YEH HAI KE NAAM KE HUROOF KO MUFARRAD YANI ALAG ALAG LIKH LE.N PHIR IN HUROOF KE ADAAD ABJAD QAMRI SE HAASIL KARKE SAB KO JAMA KARDE.N TO NAAM YA KISI BHI KALMA KA SAHEEH ADAD BAR AAMAD HOJAYEGA MASLAN HUME.N KASHIF KHAN KE ADAD NIKALNE HAIN TO YOU.N LIKHE.N GE KAAF ک 20 ALIF الف 1 SHEEN ش 300 FA ف 80 KHA خ 600 ALIF الف 1 NOON ن 50 IN SAB KO JAMA KARNE PAR 1052 ADAD NIKLA BAHISAAB ABJAD QAMRI YEH KASHIF KHAN KA ADAD MAKTUBI HAASIL HUA IS TARIQE SE AAP KISI BHI SHAI KA ADAD BA AASANI NIKAL SAKTE HAI.N JADWAL ABJAD QAMRI YEH HAI ا ب ج د ہ و ز ح ط ی 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 ک ل م ن س ع ف ص ق ر 20 30 40 50 60 70 80 ...
Asmaye Baari Ta'ala Ke Mujarrab Amaliyat اسمائے باری تعالی کے مجرب عملیات (The Names Of Allah And Their Beneficial Remedy )
MUKHTASAR FAWAYED ISMAYE BARI TA’ALA YA HOO: ISME ZAAT BARI TA’ALA HAI SAHAB TANWEER UL ASMATEHREER FARMATE HAI KE AHLE TAHQEEQ NE ISM E AZAM KAH-A HAI AUR YE KHAAS TAREEN ISM HAI-ASMAYE BARI TA’ALA SE AUR ASMAAYE HASNAH ME SAB SE PEHLE WAQEA HUA HAI AGAR KOI SHAKHS 29 MARTABA YA HOO KAHE TO ATISHE DOZAKH US PAR HARAAM HO-JIS KA DIL AKHERAT KE ANJAM SE LARZA WATARSA HO ALLAH’HU KA ZIKR KARE HASHR ME MUTMAEEN HOGA- TANWEERUL ASMA ME HAI HUZOOR SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA AGAR KOI SHAKHS PANCHSHAMBA KO ROZA RAKHE AUR CHINI KE PYALE PAR LA’ILAHA’ILALLAHU LIKH KAR AABE BARA.N YA AABE CHASHMA SE DHO KAR ROZA IFTAR KARE MARZ NASYAAN KHATAM HO JAYE JO YAAD KARE KABHI NA BHULE MASHOOR KO PILAYE SEHAR DAFA HO AGARLIKH KAR APNE PAAS RAKHE TO HAR BALA SE MAHFUZ RAHE –DUSHMANO PAR MUZAFFAR O ...


